Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

CURRENT: Nazria Zarorat Zindabad

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • CURRENT: Nazria Zarorat Zindabad

    Nazria Zarorat Zindabad
    is nazriay nay aik dafa pir dictator ko jitwa dia and law and justice dustbin main pinkwa dia
    kia baat hay is nazriay ki

    Nazria Zarorat Zindabad
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

  • #2
    Re: Nazria Zarorat Zindabad

    bohat ghalat fesla hua aaj:fuming:

    Comment

    • #3
      Re: Nazria Zarorat Zindabad

      Yahan aik baat ki taraf ham tawajoh nahin de rahay ya shaid hamain tawajoh nahin dainay di ja rahi.
      17th amendment ki mojudgi mein supreme court kuch nahin kar sakti.Constitution mein tabdeeli sirf parliament kar sakti hai.
      Hamaray haan politicians ko jab mufadaat chahian thay to unhoon ne president musharaf ke haath mazboot kiay aur unhain 2/3 majority di taake woh constitution mein apni marzi ki tabdeeli kar sakain.
      Supreme court ke haath inhi politicians ne bandhay hain.Awaam ko chahiay ke apnay numaindoon ka aihtisaab karain jinhain unhoon ne mendate diya tha ke woh awam ki umangoon ke mutabiq faislay karain laikin unhoon ne zaati mafadaat ko tarjih di.
      Aaj politician asl mein apna qusoor supreme court ke sar daal kar khud bachna chahtay hain.Agar awam inki chaal mein aa gaye to yeh zaati mafadaat ka khail jari rakhain gay.
      Mind Sciences

      Comment

      • #4
        Re: Nazria Zarorat Zindabad

        Originally posted by zapk7 View Post

        behan merayeh
        ab jo baat ho rahi thee wo foji general ki election larney ki hay
        17th amendment ki waja sey King Pervaiz musharaf ney aik dafa hakomat ker li lakin ab wo Qanoon , aeen kisi bi tarah election ka ehal naeen hay

        sirf nazria zarorat hi us ko bacha sakta tha and usi ney us ko bacha lia jesay pehlay dictataroon ko bachata aya hay

        so my salute to nazria zarorat

        aik dafa pir zoor sey kaheen
        Nazria Zarorat Zindabad
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment

        • #5
          Re: Nazria Zarorat Zindabad

          I'm sorry to say 15th november tak president ko 2 offices rakhnay ki ijazat di gai hai.
          Infact hamaray politicians hamesha apnay mufadaat ke liay soda baazi kartay hain aur phir awam ke samnay masoom ban jatay hain.
          Mujhay aaj ki baat batain kounsay leaders lawers ke saath jid-o-jihad ke liay aay hain?Kiya koi bara leader nazar aaya????
          Yeh sab mafadaat ka khail hai.
          Opposition parties baar baar mukarnay ke baad ab resign kar rahi hain jab assemblion ki muddat poori honay ko hai.
          Aur ab bhi woh aisa nahin chahtay,isi liay to 2 october tak ka time rakha hai ta'ake fedral governmrnt N.W.F.P mein tahreek-e-adam aitmaad le aye aur assembly tootnay se bach jaye,aur sarhad mein unki govt qayam rahay.
          Doosri taraf benazir iqtidaar mein hissa hasil karnay ke liay bar bar biyan badal rahi hain.
          Mein apko bata rahi hoon jab tak hamari awam apnay leaders ka aihtisaab nahin karain gay aur unhain yeh ahsaas nahin dein gay ke awam unhain ghalat faislon se rokain gay; us waqt tak aisa hi hua karay ga.
          Aapka kiya khiyal hai doosray mumalik ke leaders bohat achay hain,unhain iqtidaar ki khuahish nahin hai?Unhain awam track per rakhtay hain.
          Hamaray haam leaders ko pata hai jab bhi woh awam ke paas jain gay awam unhain masoom tasleem kar lein gay,isi liay apna bojh kabhi adlia per daltay hain to kabhi wukla per.
          Agar yeh leaders waqai democracy chahtay hain to tahreek kiyun nahin chalatay?wukla aur sahafion ki tarah lathian kiyun nahin khatay?Qurbaani kiyun nahin daitay?Sirf benifits hi kiyun laina chahtay hain?
          Last edited by zapk; 29 September 2007, 19:05.
          Mind Sciences

          Comment

          Working...
          X