Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Discussion:Presidential Elections

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Discussion:Presidential Elections

    Friends!
    6th October.......Presidential elections mutawaqoh hain.Zara iska tajzia karain.
    1.President Musharraf ko dobara elect honay kay liyay vote mil jain gay aur woh re-elect ho jain gay?
    2.Agar aik provincial assembly toot gai to elections ki hasiat kiya hogi?
    3.Opposition resign kar de to Kiya National assembly ko tor ke naye election ,presidential elections se qabl karwana lazmi ho jain gay?
    Zara is nukaat per aur is ke illawa jo bhi nukaat is zimn mein aapke zehan mein hon,un per discussion karain.:rose
    Mind Sciences

  • #2
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Discussion:Presidential Elections

      Zapk aap ka sawalat kafi acha hai but ma ek hi line ma jawab dena ki koshish karonga
      "Jis ki lathi os ki bhens"

      Comment

      • #4
        Re: Discussion:Presidential Elections

        Agar hamain apnay faislay khud karnay hain to phir agay barhna hoga,qurbani daina hogi.Zehan to shaoor ki roshni bakhshna hogi.Aisi discussions isi liay yahan rakhi jati hain ta'ake shaoor ki practice ho.
        Mind Sciences

        Comment

        • #5
          Re: Discussion:Presidential Elections

          Originally posted by zapk7 View Post

          Zapk aap ka jazbah sir ankho per kis ko leader banaye , kon imandar hai , sub mulk bhechna per tula hai , kon hai jo awam ka khyal kar raha hia , han sub ek na ek ka himaiti hai per i know hamara politicians agar boht acha hojaye kaam akhir ma wahi karna hai , samp kabhi dost nahi banta , Musharaf ko hataya tu kya jo dosra ayega woh acha hoga , nahi koi nahi .... sub ek jaisa ahi .fark sirf time ka hai koi aaj rang dekhaye ga koi kal dekhayega , agar khoun kharaba ho , qurbaniyan start hojaye tu hasil kya hona hai 0 kuch nahi milna sub ma nuksan apna hi hai , kabhi kabhi tu sochta ho bahir sai agar higher kerkai b koi leader la aoo tu woh b in sa acha kaam karega .. iman daar rahega ... koi faida nahi is mulk ka leadroo sa koi umeed karna ka , bus yahi Kahonga ka Allah Tallah is qaoum ki madad karai , or inhai leaders ki aaaas per na chora ,,, or behs mubahisa karna waisa hi apna jism ka khon kam karna hai ,

          Comment

          • #6
            Re: Discussion:Presidential Elections

            Originally posted by Saahir View Post

            Saahir bhai! Mein aap ki aur un sab ki mamnoon hoon jo yahan reply kar rahay hain.
            Mein aapki har baat se mutafiq hoon.
            Taham mein samajhti hoon ke agar awam in cheezon mein dilchaspi lein aur hamaray politicians ko yeh ahsaas ho ke awam unhain watch kar rahay hain aur ghalat kamon ko napasand kar rahay hain to yehi leaders seedhay raastay per chalain gay balke inhain chalna paray ga.
            Saari dunya mein democracy awam ki wajah se chalti hai.Awam se barh kar koi mahtasib nahin hota.Aaj agar UK mein bahtareen democracy hai to is ke liay awam ne qurbani di hai.Awam ne agay barh kar muamilaat apnay haath mein liay hain.
            Ham bhi jab tak yeh daikhtay rahain gay ke koi mukhlis banda aaye aur hamain bachay;us waqt tak hamari halat nahin badlay gi.
            Agar aap president musharaf ka intadai dour daikhain to aapko is fard mein bhi khuloos aur qoum ki behtari ka jazba nazar aata tha,laikin jab awam yeh mahsoos kar ke chein ki neend so gaye to us ne bhi apna mafad sochna shuru kar diya.
            Leader kahin aur se nahin aain gay.Hamain apnay mulk se hi dhoondnay hongay aur phir un per check bhi rakhna hoga.Yaad rakhain:
            Khuda ne aaj tak us qoum ki halat nahin badli
            No ho jis ko khiyal aap apni halat ke badalnay ka.
            Mind Sciences

            Comment

            • #7

              shayad aap theek keh rahi hai :( and Allah pak na khud b farmaya hai
              jaisi qomein hoti hain ham unko leader bhi waisey hi detey hain .
              hamari qaum hi aesi hogaye hai :(

              Comment

              • #8
                Re: Discussion:Presidential Elections

                Originally posted by Saahir View Post
                shayad aap theek keh rahi hai :( and Allah pak na khud b farmaya hai
                jaisi qomein hoti hain ham unko leader bhi waisey hi detey hain .
                hamari qaum hi aesi hogaye hai :(
                Ji haan sab kuch qoum per hi munhasir hai.Iqbaal ne kaha hai:
                Afraad ke haathon mein hai aqwam ki taqdeer.
                Jamhoriat yehi hai.
                Jab tak hamari qoum bhi apni taqdeer apnay haath mein nahin le gi us waqt tak jamhoriat nahin aye gi aur na hi hamara haal sudhray ga.
                Mind Sciences

                Comment

                Working...
                X