Govt aur benazir ke darmian deal ke charchay aik arsay se hain.Taza tareen itala'at ke mutabiq yeh deal akhri marahil mein hai.Aap ka khiyal hai is deal se kisay kiya faida hoga,aur koun ghatay mein rahay ga?????Zara apni insight ka muzahira karain.:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Collapse
X
-
Tags: None
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Assalam o Alikum Zap.....!
Musharraf jis ne Benazir n Nawaz Khandaan k Paki aany pr pabandi lgae thi n openly saari nation k samny inky sabhi -ve Aspects rakhy thy........ab jo Benazir se hi deal krny ja rahy hain to offcourse apny designation ko qaim rakhny k lye........taaky unhy kuch support Aunty ki bhi mil jae rite.
n Aunty.......jin k khyalat ab Uncle se milny lagy hain unky sath mil kr ROSHAN KHYAALI (in their sense) ko mazeed chaar chaand lgae gy
abhi tak to koi deal ho nahi pae.......pr ager ho gae to iska faeda sirf in dono persons tak hi mehdood rahy ga,.
Nation ya Country ko pehly se ziada nuqsaan ho ga.........as now 2 ppl ll b there to implement the so called Modernism.
Thx 4 starting current debate among us :thmbup:
KHUSH RAHYYE :)
MA'ASSALAM! :rose
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Zara is per bhi roshni dalain ke agar is deal ke nateejay mein President sahib wardee utaar dein,to kiya jamhoriat ki sahih rooh qayam nahin ho paye gi?Aik aisi hakoomat jis mein koi fouji nahin hoga sab civillian hongay.Wardi ke baghair musharaf sahib ki woh taqat to nahin rahay gi jo ab hai???:roseOriginally posted by Shaim View PostAssalam o Alikum Zap.....!
Musharraf jis ne Benazir n Nawaz Khandaan k Paki aany pr pabandi lgae thi n openly saari nation k samny inky sabhi -ve Aspects rakhy thy........ab jo Benazir se hi deal krny ja rahy hain to offcourse apny designation ko qaim rakhny k lye........taaky unhy kuch support Aunty ki bhi mil jae rite.
n Aunty.......jin k khyalat ab Uncle se milny lagy hain unky sath mil kr ROSHAN KHYAALI (in their sense) ko mazeed chaar chaand lgae gy
abhi tak to koi deal ho nahi pae.......pr ager ho gae to iska faeda sirf in dono persons tak hi mehdood rahy ga,.
Nation ya Country ko pehly se ziada nuqsaan ho ga.........as now 2 ppl ll b there to implement the so called Modernism.
Thx 4 starting current debate among us :thmbup:
KHUSH RAHYYE :)
MA'ASSALAM! :rose
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Faida jis ka bhi ho Bibi ka Ya phir Gen. Sahib ka Nuqsan Qom hi uthaey gee...ghareeb awamOriginally posted by zapk7 View PostGovt aur benazir ke darmian deal ke charchay aik arsay se hain.Taza tareen itala'at ke mutabiq yeh deal akhri marahil mein hai.Aap ka khiyal hai is deal se kisay kiya faida hoga,aur koun ghatay mein rahay ga?????Zara apni insight ka muzahira karain.:rosesigpic
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Ghareeb awam ka faida hua kab hai.Koi dour bhi dikha dein.So yeh baat to understood hai ke faida sirf siasatdaan ya gen musharraf mein se hi koi uthai ga.:tasali:Originally posted by sccorpion81 View PostFaida jis ka bhi ho Bibi ka Ya phir Gen. Sahib ka Nuqsan Qom hi uthaey gee...ghareeb awam
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Yes offcourse....aur hamain koee dilchaspi nahein hai k un main say kon faida uthata hai aur kon nuqsan...kon maarta hai aur kon marta hai...dono jaien jhanum main aur khuda say itni hi dua hai K ya Allah koee tu ham main hi bhaij day jo insaf ker sakay jo tere deen ki hifazat ker sakay....jo mazloomon ko panah day sakay ..... Jo zalimon k samnay deewar ban sakay koee tu hamain bhi ata ker day Jo pakistan ko Islam ka Qila Bna sakay:duaOriginally posted by zapk7 View PostGhareeb awam ka faida hua kab hai.Koi dour bhi dikha dein.So yeh baat to understood hai ke faida sirf siasatdaan ya gen musharraf mein se hi koi uthai ga.:tasali:sigpic
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Originally posted by zapk7 View PostGovt aur benazir ke darmian deal ke charchay aik arsay se hain.Taza tareen itala'at ke mutabiq yeh deal akhri marahil mein hai.Aap ka khiyal hai is deal se kisay kiya faida hoga,aur koun ghatay mein rahay ga?????Zara apni insight ka muzahira karain.:rose" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Ameen :)Originally posted by sccorpion81 View PostYes offcourse....aur hamain koee dilchaspi nahein hai k un main say kon faida uthata hai aur kon nuqsan...kon maarta hai aur kon marta hai...dono jaien jhanum main aur khuda say itni hi dua hai K ya Allah koee tu ham main hi bhaij day jo insaf ker sakay jo tere deen ki hifazat ker sakay....jo mazloomon ko panah day sakay ..... Jo zalimon k samnay deewar ban sakay koee tu hamain bhi ata ker day Jo pakistan ko Islam ka Qila Bna sakay:dua" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
YEh woh muqam hai jahan se maira aksar logon se ikhtalaf shuru hota hai.Dua karain laikin kuch amal per bhi tawajoh dein.US aur UK mein aisa kiya hai ke wahan ke awam sab kuch hain aur ham kuch bhi nahin?Originally posted by sccorpion81 View PostYes offcourse....aur hamain koee dilchaspi nahein hai k un main say kon faida uthata hai aur kon nuqsan...kon maarta hai aur kon marta hai...dono jaien jhanum main aur khuda say itni hi dua hai K ya Allah koee tu ham main hi bhaij day jo insaf ker sakay jo tere deen ki hifazat ker sakay....jo mazloomon ko panah day sakay ..... Jo zalimon k samnay deewar ban sakay koee tu hamain bhi ata ker day Jo pakistan ko Islam ka Qila Bna sakay:dua
Farq yeh hai ke woh amal kartay hain aur ham sirf musallay per baith kar dua kartay hain aur amal doosron per chor daitay hain.beamali sab se bara farq hai.ham chahtay hain ke sab kuch khud bakhud ho jaye.
Aaj aap daikhain chahay upper courts mein hi sahih faislay azadana ho rahay hain aur dictator ke khilaf kisi khouf ke baghair ho rahay hain,kiyun?wukala ne is ke liyay qurbaani di hai,ham politics ko theek karnay ke liyay aisa lahia-e-amal kiyun nahin muratab kartay?Kiyun baar baar ke azmaye huay logon ko baar baar azmatay hain?Politicians ko yeh ahsaas kiyun nahin dilatay ke awam ke jazbaat ko samajhna zaroori hai,ulta ham apnay jazbaat unke mutabiq kar laitay hain.:rose
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
Yeh to aap ne theek kaha hai hamari politics ko USA monitor karta hai.Har baar jinhain america ki himayat haasil hoti hai woh aqtidaar mein aa jatay hain aur jo is se mahroom ho jatay hain woh USA ko bura bhala kehnay lagtay hain.Originally posted by Xenya View Postham ye baat bohot achi tarhaN jantey heiN hamari politics ko america back kerta hai.......ab agar musharraf key baad benazir aayeiN gi to Awaam ka yahi khayal ho ga key benazir ko bhi america ney hi opt kiya hai ......
faida aur nuqsaan in dono parties mey sey kisi ka nahi ho ga, ye sirf aik compromising deal hai jo key meyra khayal hai hamesha sey hi chalti ayi hai Pakistani politics mey .......Last edited by zapk; 13 September 2007, 19:21.
Comment
-
Re: Mubahisa:::Deal.......NoDeal
ji haan yeh sab kuch to ab manzar-e-aam per aa gaya hai.Sab mil kar qoum ko bewaqoof bana rahay hain.Yeh to ab media azaad hai,is liay tamam batein khul kar samnay aa jati hein.Originally posted by Shaim View Post
Comment
Comment