Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poll: Teesri Baar Prime Minister........?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Poll: Teesri Baar Prime Minister........?

    Hamaray haan constitution mein kisi bhi fard ke teesri baar prime minister ban'nay per pabandi hai(According to 17th amendment).Aap ki kiya raye hai yeh pabandi lagi rehni chahiyay ya isay khatm hona chahiyay.Apney khialat se nawazain.
    Agar aap samajhtay hain ke aik fard ko sirf 2 baar hi prime minister ban'na chahiyay to "Yes" ka option click karain aur agar aap ke khiyal mein aik fard ko 2 se ziada baar PM ban'nay ka haq hona chahiyay to "No" ka option chunain.
    3
    Yes
    33.33%
    1
    No
    66.67%
    2
    Don't know
    0.00%
    0

    The poll is expired.

    Last edited by zapk; 5 September 2007, 19:33.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Poll:Teesri baar prime minister

    Maiay khiyaal mein to yeh amendment mazhaka khaiz hai.Government systems 2 tarah ke hotay hain:
    1.Sadarti Nizam (Presendtial system)
    2.Parlimani Nizam(Parliamentary system)
    Dono ki requirements different hoti hain.Yeh to aap ko maloom hoga ke sadarti nizaam mein prime minister ka ohda nahin hota.Aur parlimani nizaam mein sadar baraye naam muqtadir hota hai(Hamaray haan nahin:D)
    Presidential system mein sadarti umeedwaar koi bhi ho sakta hai laikin parliamentry system mein wazir-e-azam ka umeedwaar amooman part leader hota hai.
    Presidential system mein to kisi ko 2 baar muntakhib honay tak roka ja sakta hai laikin parlimani nizaam mein yeh ajeeb lagta hai ke aik party election jeetay laikin uska leader sirf is wajah se prime minister na ban paye ke woh already 2 baar muntakhib ho chuka.
    Mairay khiyaal mein to yeh restriction technically ghalat hai,so isay khatam hona chahiyay.
    Mind Sciences

    Comment

    • #3
      Re: Poll:Teesri baar prime minister

      umm pehlay yeh to pata chalye kay prime minister kay uhday ki muddat hoti kitni hai ?:khi: :cc:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment

      • #4
        Re: Poll:Teesri baar prime minister

        Originally posted by Aanchal View Post
        umm pehlay yeh to pata chalye kay prime minister kay uhday ki muddat hoti kitni hai ?:khi: :cc:
        Jitni mudat Asambliyon ki hoti he, yaani 5 saal
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Poll:Teesri baar prime minister

          Originally posted by zapk7
          Hamaray haan constitution mein tarmeem ke zariyay kisi bhi fard per teesri baar prime minister ban'nay per pabandi hai.Kiya yeh pabandi lagi rahna chahiyay ya khatm ho jana chahiyay?Aapki kiya raye hai.Agar aap apni raye detail se dein yeni aap is pabandi ke haq mein ya mukhalifat mein kiyun hain to bohat acha hoga.
          Shukriya
          Constitution mein amendment ub to honi he hay, cuz, is ke bagair koi chara he nahi he...PPPP ki chairperson BB aur Nawaz Sharif sahib dono ko he is se benifit ho ga...ager Govt. yeh change nahi lati to yeh dono parties aapis mein ithaad ker ke aur panay saath MMA ko mila ke yeh 2/3 aksriyat puri ker ke consitution mein change la sakti hein, but is tarah PML-Q isolate ho jaye gi, aur is ke ilawa General sahib ki wardi aur President ke ohday ka bhi clash he, wo bhi hal nahi ho sakay ga ager afhaam-o-tehfeem ka raasta na nikala gyaa...to mere khyaal se consitution mein yeh amendment ho ke he rahay gi
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Poll:Teesri baar prime minister

            Originally posted by Aanchal View Post
            umm pehlay yeh to pata chalye kay prime minister kay uhday ki muddat hoti kitni hai ?:khi: :cc:
            Assembly ki muddat 5 saal hoti hai aur prime minister ko jab tak assembly mein aksariat haasil rahay woh is ohaday per faiz rahta hai.:rose
            Mind Sciences

            Comment

            • #7
              Re: Poll:Teesri baar prime minister

              Originally posted by munda_sialkoty View Post
              Jitni mudat Asambliyon ki hoti he, yaani 5 saal
              Nahin bhai! Agar makhloot hakoomat ho to assembly ki mudaat khatam honay se pahlay kai prime ministers badal saktay hain:D:
              Last edited by zapk; 4 September 2007, 15:57.
              Mind Sciences

              Comment

              • #8
                Re: Poll:Teesri baar prime minister

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                Constitution mein amendment ub to honi he hay, cuz, is ke bagair koi chara he nahi he...PPPP ki chairperson BB aur Nawaz Sharif sahib dono ko he is se benifit ho ga...ager Govt. yeh change nahi lati to yeh dono parties aapis mein ithaad ker ke aur panay saath MMA ko mila ke yeh 2/3 aksriyat puri ker ke consitution mein change la sakti hein, but is tarah PML-Q isolate ho jaye gi, aur is ke ilawa General sahib ki wardi aur President ke ohday ka bhi clash he, wo bhi hal nahi ho sakay ga ager afhaam-o-tehfeem ka raasta na nikala gyaa...to mere khyaal se consitution mein yeh amendment ho ke he rahay gi
                Darust kaha.Aap ne yeh amendment is waqt lazmi hai.President musharruf looks to be in a corner.Ya to unhain parties ke saath ifham-o-tafhim se chalna hoga ya phir Martial Law ke baray mein sochain gay,laikin Martial Law bhi shaid ab bohat mushkil hoga;raasta to aik hi reh gaya hai.:D:
                Mind Sciences

                Comment

                • #9
                  Re: Poll:Teesri baar prime minister

                  Originally posted by zapk7 View Post
                  Assembly ki muddat 5 saal hoti hai aur prime minister ko jab tak assembly mein aksariat haasil rahay woh is ohaday per faiz rahta hai.:rose
                  agar koi fard prime minister ban kay acha kaam karta hai to 2 dafa say zaida bhi ban jaye koi haraj nahi :D:

                  agar nahi to aik muddat poori honay say pehlay hi utha doo usay :hehe:
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: Poll:Teesri baar prime minister

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    agar koi fard prime minister ban kay acha kaam karta hai to 2 dafa say zaida bhi ban jaye koi haraj nahi :D:

                    agar nahi to aik muddat poori honay say pehlay hi utha doo usay :hehe:

                    Exactly Correct.....!:thmbup:

                    per ik cheez add krna chahoon gi Zap sis k jis tarah ki votings hamary haan karai jaati hain........wo nahi hooni chahin........votes ushi ko milin jo deserve krta hai yani no corruption @ vote casting.

                    tab main bhi yahi karoon gi jo accha hai.......or sab ya maximum systems thiik se run kr raha hai usko 2 yrs se ziada ka chance milna chahye coz ager nation satisfied n country iz developing then there must not b any prob.......

                    so ye "AGER" ki situation hai.........ab main kis option pr vote doon :hhh:

                    Comment

                    • #11

                      Darust kaha laikin yeh sab constitution mein nahin likha ja sakta.:D:
                      Mind Sciences

                      Comment

                      • #12
                        Re: Poll:Teesri baar prime minister

                        Originally posted by Shaim View Post
                        Exactly Correct.....!:thmbup:

                        per ik cheez add krna chahoon gi Zap sis k jis tarah ki votings hamary haan karai jaati hain........wo nahi hooni chahin........votes ushi ko milin jo deserve krta hai yani no corruption @ vote casting.

                        tab main bhi yahi karoon gi jo accha hai.......or sab ya maximum systems thiik se run kr raha hai usko 2 yrs se ziada ka chance milna chahye coz ager nation satisfied n country iz developing then there must not b any prob.......

                        so ye "AGER" ki situation hai.........ab main kis option pr vote doon :hhh:
                        I agree to you:thmbup:Laikin yeh surat-e-haal us waqt tak rahay gi jab tak ham qoumi muamilaat per discussion se is wajah se pahlootahi karain gay ke iska koi faida nahin.Iska fori faida to waqai nahin hai laikin is se shaoor bedaar hoga aur aik din aisa aye ga jab hamaray haan bhi awam muqtadir hongay.:phool:
                        Last edited by zapk; 13 September 2007, 19:23.
                        Mind Sciences

                        Comment

                        Working...
                        X