sahi hai ? :wk
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
zindagi...shadi kay bad :)
Collapse
X
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
kehtey hain keh shadi sey pehley mard boltey hain aur auratein sunti hain (pyaar muhabbat ki batein hi hoti hon gi, aur bechara mard kya kar sakta hai :rolleyes) - lekin shadi key baaaaad to ji bas AURATEIN hi bolti hai - bolti kya kab chup hi nahin hoti - tasweer apni zuban khud bol rahi hai :D :Dtumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Originally posted by Masoodkehtey hain keh shadi sey pehley mard boltey hain aur auratein sunti hain (pyaar muhabbat ki batein hi hoti hon gi, aur bechara mard kya kar sakta hai :rolleyes) - lekin shadi key baaaaad to ji bas AURATEIN hi bolti hai - bolti kya kab chup hi nahin hoti - tasweer apni zuban khud bol rahi hai :D :D
To lai lijiyeh is tasweer se nasihat, matt kijieyeh ga Shadisigpic
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Jee mujhe to maloom nahin......
main to......hay la......abhi woh hoon jee........ehehe.....
(aik awaaz aayi qareeb hi)
oyee.....abhi abhi kissi nain mujhe ghuda kaha............khair...woh to hoon hi no doubt....kunwara bhi hoon naan.....arr....:)
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Is topic par apni likhi hui aik ghazal aap ki khidmat mein paish kar raha hoon...
Zindagi ka wo bhi safar kar rahay hain
Biwi ke hathon jo Suffer kar rahay hain
Un se chup kar aaye hain yahan
apne dukh dard ka zikar kar rahey hain
jo phool tor kar laaye thay aik din
us ke kaante aaj asar kar rahay hain
shadi hui hai jab se humari
ghulami ki zindagi basar kar rahay hain
kis gunah ki humein saza mil rahi hai
hum is pe ghor-o-fikar kar rahay hain
Ammi ki sun rahay hain, Biwi ki sun rahay hain
jaan azaab mein hai, sabar kar rahay hain
aik wo hain jo har baat pe lar rahay hain
aik hum jo sab darguzar kar rahay hain
hum jaisa shohar kiya mila unhain
wo isi baat pe fakhar kar rahay hain
in phoolon ko duur se dekhna yaaro
yeh hum aap ko khabar kar rahay hain
jo dost abhi tak hain kunware
humein deikh kar shukar kar rahay hain
jo is daldal mein phans chukay hain
yeh ghazal hum unki nazar kar rahay hain
kiya hoga agar wo jaan gaye Udaas
k aap unki burai is kadar kar rahay hain
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Is topic par apni aik aur ghazal paish kar raha hon:
Shadi ki hai to yeh rishta nibhao kisi din
haalat pe humari tars khao kisi din
maana k tumhain aata nahi kuch bhi pakana
haathon se apne chai to pilao kisi din
kitni baar guzre tere ghar ki gali se
kitna baar kaha "maikay" jao kisi din
milte hain jab bhi to kehtay hain mujhe
kyun rehte ho Udaas, muskurao kisi din
kehte they bohat sharif hai larki humari
yeh sharafat humein bhi to dikhao kisi din
main apni har aik saans usi raat ko de doon
laray bina chup kar ke so jao kisi din
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
:lol bas janab ham ghareeb makhlooq shauhar ban'ne ke baad or bhi ghareeb hi hojate hen:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rosewoh rooth hi rahay manzoor hay lekin:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
yaaro ussay samjhao mera sheher na choray
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Originally posted by UdaasIs topic par apni likhi hui aik ghazal aap ki khidmat mein paish kar raha hoon...
Zindagi ka wo bhi safar kar rahay hain
Biwi ke hathon jo Suffer kar rahay hain
Un se chup kar aaye hain yahan
apne dukh dard ka zikar kar rahey hain
jo phool tor kar laaye thay aik din
us ke kaante aaj asar kar rahay hain
shadi hui hai jab se humari
ghulami ki zindagi basar kar rahay hain
kis gunah ki humein saza mil rahi hai
hum is pe ghor-o-fikar kar rahay hain
Ammi ki sun rahay hain, Biwi ki sun rahay hain
jaan azaab mein hai, sabar kar rahay hain
aik wo hain jo har baat pe lar rahay hain
aik hum jo sab darguzar kar rahay hain
hum jaisa shohar kiya mila unhain
wo isi baat pe fakhar kar rahay hain
in phoolon ko duur se dekhna yaaro
yeh hum aap ko khabar kar rahay hain
jo dost abhi tak hain kunware
humein deikh kar shukar kar rahay hain
jo is daldal mein phans chukay hain
yeh ghazal hum unki nazar kar rahay hain
kiya hoga agar wo jaan gaye Udaas
k aap unki burai is kadar kar rahay hain
ahahaha.....yaar isse poetry section main post to kero.....mera hukum....arr.....jee meri aageya hai...
Kiya ho ga agar, woh jaan gaye udaas...
:)
Comment
-
Re: zindagi...shadi kay bad :)
Originally posted by UdaasIs topic par apni aik aur ghazal paish kar raha hon:
Shadi ki hai to yeh rishta nibhao kisi din
haalat pe humari tars khao kisi din
maana k tumhain aata nahi kuch bhi pakana
haathon se apne chai to pilao kisi din
kitni baar guzre tere ghar ki gali se
kitna baar kaha "maikay" jao kisi din
milte hain jab bhi to kehtay hain mujhe
kyun rehte ho Udaas, muskurao kisi din
kehte they bohat sharif hai larki humari
yeh sharafat humein bhi to dikhao kisi din
main apni har aik saans usi raat ko de doon
laray bina chup kar ke so jao kisi din
Lugta hai ke Mr.s Udaas se ab milna hi pare ga....jo Udaas ke liye itni bari inspiration saabit ho rehi hain...
ahahah:)
Ab to phus gaye bache.....:)
Comment
-
Comment