Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

August special:Khud eihtisaabi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • August special:Khud eihtisaabi

    Dosto!August hamari azadi ki khushion se labraiz hai.Ham har baar ki tarah is saal bhi sirf youm mananay per iktifa kar rahay hain,ya phir hukoomat per tanqeed kar rahay hain.Main hakoomat ki wakalat nahin kar rahi,laikin main is baat per yaqeen rakhti hoon ke agar awam mazboot hon aur apni zimadarion ko pura kartay hon to hakoomatain kabhi bhi ghalat rawish ikhtiaar nahin kar paatein.August ke is mahinay main mein aapko khud eihtisaabi ki da'awat daiti hoon.Zara batain ke aap apni roz marra ki zindagi main hub-ul-watani ka kitna izhaar kartay hain(baton se nahin amal se).Qanoon ki kis had tak paasdaari kartay hain,aur pakistan ko aap ne kiya diya hai?Pakistan se to aap kuch na kuch talab kartay rehtay hain,magar kabhi yeh bhi sochain aap ne Pakistan ke liyay kiya kiyya hai?:rose
    Mind Sciences

  • #2
    Re: August special:Khud eihtisaabi

    Originally posted by zapk7 View Post

    :thmbup::thmbup::thmbup:

    Kis ney garri chalatey huwey kitney isharey torrey hain? Sarrkon per kitna gand phainka hai? Apney kaam nikalwaney key liye kitney logon sey DEAL ki hai? - apna ehtisab karein! Excellent step Almas...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: August special:Khud eihtisaabi

      Originally posted by zapk7 View Post
      Dosto!August hamari azadi ki khushion se labraiz hai.Ham har baar ki tarah is saal bhi sirf youm mananay per iktifa kar rahay hain,ya phir hukoomat per tanqeed kar rahay hain.Main hakoomat ki wakalat nahin kar rahi,laikin main is baat per yaqeen rakhti hoon ke agar awam mazboot hon aur apni zimadarion ko pura kartay hon to hakoomatain kabhi bhi ghalat rawish ikhtiaar nahin kar paatein.August ke is mahinay main mein aapko khud eihtisaabi ki da'awat daiti hoon.Zara batain ke aap apni roz marra ki zindagi main hub-ul-watani ka kitna izhaar kartay hain(baton se nahin amal se).Qanoon ki kis had tak paasdaari kartay hain,aur pakistan ko aap ne kiya diya hai?Pakistan se to aap kuch na kuch talab kartay rehtay hain,magar kabhi yeh bhi sochain aap ne Pakistan ke liyay kiya kiyya hai?:rose

      Very Nice Thoughts Zap sis :clap:

      i agree wid ur thoughts pr ik baat add krna chahoon gi.......ehtisaab beshak zaroori hai or krna bhi chahye........lakin ik govt mai or ik individual mai buhat farq hoota hai.

      ik fard apni zaat tak or govt aggregate level tak hooti hai ........ jitna aasani govt ko hooti hai muash'ra banany or sanwarny mai kise ko nahi hooti

      pr ye baat 100% sahee hai k........ehtisaab zaroori hai

      KHUSH RAHYYE!:)
      Waiting more stuff 4m ur side :thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: August special:Khud eihtisaabi

        salam Zap!

        good Q :thmbup:

        :alhamd: jitna rules n regulations ka mey yahan khayal rakhti huN utna hi Pakistan mey ja ker bhi rakhti huN... iss key ilawa here i always defend Pakistan koi bhi topic pakistan key hawaley sey underdiscussion ho.

        aur baki to abhi student heiN to aagey bohot kuch kerna hai :insha:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: August special:Khud eihtisaabi

          Originally posted by Masood View Post
          :thmbup::thmbup::thmbup:

          Kis ney garri chalatey huwey kitney isharey torrey hain? Sarrkon per kitna gand phainka hai? Apney kaam nikalwaney key liye kitney logon sey DEAL ki hai? - apna ehtisab karein! Excellent step Almas...
          Shukriya masood bhai:salam:Aik choti si koshish hai ke ham apnay ander khamuyon ko kam se kam karain aur khobion ko barhanay ki koshish karain.
          Mind Sciences

          Comment

          • #6
            Re: August special:Khud eihtisaabi

            Originally posted by Shaim View Post
            Very Nice Thoughts Zap sis :clap:

            i agree wid ur thoughts pr ik baat add krna chahoon gi.......ehtisaab beshak zaroori hai or krna bhi chahye........lakin ik govt mai or ik individual mai buhat farq hoota hai.

            ik fard apni zaat tak or govt aggregate level tak hooti hai ........ jitna aasani govt ko hooti hai muash'ra banany or sanwarny mai kise ko nahi hooti

            pr ye baat 100% sahee hai k........ehtisaab zaroori hai

            KHUSH RAHYYE!:)
            Waiting more stuff 4m ur side :thmbup:
            Detailed reply ka bohat shukriya.:salam:Main aapki baat tasleem karti hoon ke govt ke sources bohat ziada hotay hain,laikin agar log saath na dain to hakoomat kuch nahin kar sakti.Maslan hamaray haan govt ne traffic signals bhi laga diyay hain aur signal tornay per saza bhi hai laikin jab log hi is rule per amal nahin kartay to kuch bhi darust nahin hota.Theek hai is main haath traffic police ka bhi hai jo rishwat le kar signal tornay walon ko chor daitay hain,laikin agar log hi isharay na torain to rishwat khor kiya kar sakay ga.
            Main ne suna hai ke doosray mumalik main govt ke saath saath apni madad aap ka usool bhi chalta hai,iski tasdeeq to PG ke woh members kar saktay hain jo un mumalik main rahtay hain,taaham yeh usool bohat aham hai.Hamaray haan gandi galian,ubaltay huay gattar,ghalazat ke dhair awam ki civic sense ki kami ke mazhar hain.
            Main isi liyay khud eihtisaabi ki baat karti hoon.Main is baat ko bhi manti hoon ke bohat si jaghoon per ham majboor bhi ho jatay hain,maslan govt ke idaron se kaam karwana ho to rishwat laazmi cheez hai warna kaam hota hi nahin hai,laikin jahan tak ho sakay hamain is se bachna chahiyay.:rose
            Mind Sciences

            Comment

            • #7
              Re: August special:Khud eihtisaabi

              Originally posted by bloo View Post
              salam Zap!

              good Q :thmbup:

              :alhamd: jitna rules n regulations ka mey yahan khayal rakhti huN utna hi Pakistan mey ja ker bhi rakhti huN... iss key ilawa here i always defend Pakistan koi bhi topic pakistan key hawaley sey underdiscussion ho.

              aur baki to abhi student heiN to aagey bohot kuch kerna hai :insha:
              Bohat khoob.Aapki soch bohat achi hai.Agar ham sab rules & regulations ka khiyaal rakhain to bohat jald taraqi ki rah per gamzan ho saktay hain,ke rules & regulations qoum ki rooh hotay hain.:rose
              Mind Sciences

              Comment

              • #8
                Re: August special:Khud eihtisaabi

                Originally posted by zapk7 View Post
                Detailed reply ka bohat shukriya.:salam:Main aapki baat tasleem karti hoon ke govt ke sources bohat ziada hotay hain,laikin agar log saath na dain to hakoomat kuch nahin kar sakti.Maslan hamaray haan govt ne traffic signals bhi laga diyay hain aur signal tornay per saza bhi hai laikin jab log hi is rule per amal nahin kartay to kuch bhi darust nahin hota.Theek hai is main haath traffic police ka bhi hai jo rishwat le kar signal tornay walon ko chor daitay hain,laikin agar log hi isharay na torain to rishwat khor kiya kar sakay ga.
                Main ne suna hai ke doosray mumalik main govt ke saath saath apni madad aap ka usool bhi chalta hai,iski tasdeeq to PG ke woh members kar saktay hain jo un mumalik main rahtay hain,taaham yeh usool bohat aham hai.Hamaray haan gandi galian,ubaltay huay gattar,ghalazat ke dhair awam ki civic sense ki kami ke mazhar hain.
                Main isi liyay khud eihtisaabi ki baat karti hoon.Main is baat ko bhi manti hoon ke bohat si jaghoon per ham majboor bhi ho jatay hain,maslan govt ke idaron se kaam karwana ho to rishwat laazmi cheez hai warna kaam hota hi nahin hai,laikin jahan tak ho sakay hamain is se bachna chahiyay.:rose

                Right........:)
                pr main aksar soochti hoon ager koi superb govt aye to kaafi kuch sanwar jae na
                lakin tab bhi off course khud ehtisaabi lazmi ho gi or aj bhi humin isko khud pr implement krna chahye

                KHUSH RAHYYE
                MA'ASSALAM!:rose

                Comment

                • #9
                  Re: August special:Khud eihtisaabi

                  Originally posted by Shaim View Post
                  Right........:)
                  pr main aksar soochti hoon ager koi superb govt aye to kaafi kuch sanwar jae na
                  lakin tab bhi off course khud ehtisaabi lazmi ho gi or aj bhi humin isko khud pr implement krna chahye

                  KHUSH RAHYYE
                  MA'ASSALAM!:rose
                  Ji bilkul!Agar ham apna eihtisaab nahin karain gay to kabhi taraqi nahin kar sakain gay,aur na hi koi achi hakoomat aye gi kiyunke ham hi electoral college hain,jab ham vote baichain gay to numaindon ne bhi jo kharcha hamaray vote khareednay per kiya hoga usay qoumi khazanay se sood samait wusool karain gay,aur hamari muashi halat kharab se kharab tar hoti jaye gi.
                  Mind Sciences

                  Comment

                  Working...
                  X