Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

    1-2-3
    Attached Files

  • #2
    Re: Quaid Azam kay Paseeraaan

    ye Paki ka sab se bara masla hai k hamary politicians sirf apny designation se concerened hain awam se nahi or apni duties se nahi

    main aksar sochti hoon k 60 yrs mai koi ik bhi mukhlis insaan humin nahi mila.......or hum bhi din ba din apny DEEN se door hoty gae or shaid is hi ka ye nateeja hai

    mujeh lgta hai Paki mai sabse ziada zaroorat is baat ki hai k Poverty pr ghaur kiya jae ye roads construction infrastructure work ye sab apni jaga sahee lakin.....ager dekha jae to sabse pehli zimme dari tamam leaders ki yahi hai k tamam insaanon ko basic needs se facilitate kiya jae......pr is taraf koi nahi aata

    i do agree mujeh bhi monument jesi koi building pehly dekhny mai nahi aye wo unique n beautiful hai pr us se bhi imp mere lye ye hai k bhooky logoon ka pait bhara jae or hum insanyat k lye kaam karin.......

    pr koi nahi sochta na
    or ager soochy bhi to practical work ZERO.......:(

    KHUSH RAHYE SADA

    WASALAM :rose

    Comment


    • #3
      Re: TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

      khuram bhai is thred main lafaz paseeran samjh main nahene aya? kaya is se murad pisar hy jo k farsi ka lafza hy aur kaya ye ussi lafaz ki koi tarqi yafata shakal hy ya phir aap ki imla ki ghalti?
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #4
        Re: TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

        Mask bahi app ki itla key liya Quaid e Azam ney apni beti ko aaq ker dia tha and wo india chaley gaey they
        keeon key unhoon ney islam ko choor ker parsi mazhab kabool ker lia tha
        keeon key un key walida key parents parsi hi they jinhon ney un ki perwarish ki thee jab key un ki walida ney islam kabool kia tha
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment


        • #5
          Re: TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

          رومی بھاٰی! آپ نے واقعی بہت نازک معاملے پر قلم اﹸٹھایا ہے۔یہ ہمارا المیہ ہے کےہمارے سرکردہ لوگ پیسوں میں کھیلتے ہیں اور عوام روٹی کو ترستی ہے۔تاہم میں یہ ضرور کہوں گی کہ اس میں بھی ہمارا قصور ہے،ہم کیوں بار بار انہی لوگوں کو مسندﹺ اقتدار پر لا بٹھاتے ہیں جو قومی خزانے کو اپنی عیاشیوں پر لٹا دیتے ہیں؟اب بھی وقت ہے اگر ہم بھی اپنی ذمہ داری پوری کرنے کا عہد کر لیں تو مستقبل میں ایسے واقعات کا تدارک کیا جا سکتا ہے۔
          Mind Sciences

          Comment


          • #6
            Re: TAJZIYA: Quaid Azam kay Paseeraaan

            Khurram sab sey pehli baat to yeh hai keh duniya key mulk jitney bhi ameer kyun na ho jaein, kahin na kahin kuchh na kuchh kami zaroor rehti hai. Ab aap US ki misaal ley ljiye - kya aap samajhtey hain wahan per log ghareeb nahin? Bilkul hain, magar unki aur hamari ghurbat mein farq hai... is baat ko yehi per rehney dein.

            Parks banwana, tafreeh'gahein tameer karwana bohat hi ahmiyat ka hamil hai - aisa keh aik mulk is key bghair na'mukamil hai. Parks ki tameer rukwa deney sey ya un per kharch aaney wali raqam, ghareebon mein bant deney sey ghurbat kam nahin hoti!

            Rahi baat Quaid-e-Azam ki beti key betey ka kasam'pursi mein zindagi guzarney ki to merey nazdeek yeh Pakistan ya awaam-e-Pakistan ka dosh nahin!! Khud apni zindagi mein Quaid-e-Azam ney apni beti sey ta'aluq torr liya tha jab unki beti ney kisi Parsi sey shadi ki thi! Jab betiyaan aisi ho jaein to ghairat'mand baap un sey nata torr letey hain, lehaza unki aulad ka Pakistan per koi haq nahin banta!
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            Working...
            X