Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

    Originally posted by Shaim View Post
    Assalam o Alikum Peghamians!

    Hope U ll B Fine n Happy INSHALLAH!:)

    Jesa k ap sab jaanty hain k AUGUST ka Mahina start ho chuka hai n off course Paki's Birthday iz somehow very near....MASHALLAH.....!

    per humin is birthday k "MAQSAD" per baat krna hai.....
    or Birthday ka "MAQSAD" off course......."JASHN-E-AZADI" hai

    Viewers.......apny views hamary sath share kijiye k kiya hum WAQAI Azad hain......ya hum ne apni ankhin meechi hoi hain sacchae se?

    Apk views ka intizar rahy ga.
    ik baat kehna chahoon gi.......ager hum mai koi burai hai to jab tak hum usko accept nahi ker lety uska cure mushkil hai is lye tamaam +ve n -ve points k sath baat kijiye ga.

    Humin Pakistan ko Aagy ley kr jana hai........buhat aagy INSHALLAH........tamaam kamzooryaan door kr k........!

    KHUSH RAHYYE
    Pakistan Zinda Baad.......!:thmbup:
    w/alaikum asalam:)

    g ham :masha say geographically azaad hain, mentally abhi tak ghulami kar'rahay hain.

    aap nay kaha kamzoariyaa'n...pehlay hamain *accept* aur *admit* karna parhay ga k ye kamzoarian HAIN aur ye find out karna parhay ga k kaun kaun si hain...phir InshAllah sab kuch jald theek hojaye ga, phir ham waqaiye azaad hongay :)
    Finding truth - Finding love
    These diamonds sparkle from lights above

    Lorraine Venner

    Comment


    • #17
      Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

      :pak1:HAPPY INDEPENDENCE DAY to all of you.mashAllah we are an independant nation.hum azzad hain.but nowadays i feel very very bad because some negative forces are threatening our independance.i am from pindi/islamabad it was always considered a peaceful and quiet city.see how they are ruining it.as for politics i dont know much but i feel really confused as things never looked as bad as they are now.i no longer know who is sincere and who is not.:cc:i think only and only ordinary people are sincere to pakistan and not the poiliticians as we all live and socailaise happily with people of every cast and every religion & every language:ghug:,but this politics has divided us in several groups:hathora.and young blood is shed all over the country due to this politics.and the outcome is nothing.

      Comment


      • #18
        Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

        HAPPY INDEPENDANCE DAY to all of the peoples of Pakistan. May Live Long Pakistan. :insha:

        Regards,

        PAF FALCONS
        www.paffalcons.com
        www.paffalcons.com/forums
        Muhammad Salman Baig (www.paffalcons.com)
        FOR THOSE WHO DARE THE FUTURE IN THE SKIES

        Comment


        • #19
          Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

          As'kum... haan ye special day to hai... lekin yaro... swaal waqee bohat ehamm hai k kya hum azaad hain???? kaisee aazadi?? cant say anything about it.... buss... dua he kar saktay hain... k
          "Ay Allah Hum ko Acha Rahnuma...Achi Qyadat Naseeb Farma..."
          Aameen

          Comment


          • #20
            Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

            AZADI
            phle to ye samjhna zarori hae ke azadi hae kiya
            60 salon main ham ne kiya hansil kiya ham log beshak azad nazar ate hain magar mhkom hain ahm unn ledronke jo ham par azab ban ke ajate hain oe is main kisi or ka kasor nahi hota ye hamari hio galti hoti hae ke ham azmaye hoye ko kion ajmate hain azad sirf kisi hise ko azad kar walene ka nam nahi hae.
            1183 MAIN JAB SULATAN SALHAOWDIN AYUBI [/QUOTE]NABSIBA KE MAKAM PAR KHEMA ZAN THA TO APNE SALARON SE AJ KI HAQIQAT KE DAOR KI BATIN KAR RHA THA;;;;;
            ``ISLAM par jo bhi daor aye ga who ALLAH ke sipahi ka daor ho ga''
            SULTAN NE KHA `` jab tak ISLAM zinda he kufar ISLAM ke dushman hi rahe gain aj hamare sallaron ke dilon jaho hasmat ki jo khawahis payda ho gai hae who kisi bhi waqat ISALAM ko le dobye ga. mujhe nazar arha hae ke ISALAM zinda rahe ga magar us ser ki trha zinda rahe ga jis ko sudha liya gaya ho ga or us ko faramosh kara diya gaya ho ke who badsha hae ye ser bakriyon se bhi darta rahe ga musalman kufar ki anglion par nachin ge ALLAH ka sipahi maojod ho ho ga magar us ke hanth main talwar nahi ho ho gi agar talwar ho gi to who kisi salebi ki dee hovi ho gi jisye who niyam se nikalne ke liye selebi se izazat le ga...................... to dosto ketni sachi batin ki thi sultan salaowdin ayubi ne ham jab apne etraf main nazar dalte hain to ye hi sab kuch nazar ata hae..;;;;

            Comment


            • #21
              Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

              abhi tak to seenay par aik chhota pakistani parcham lagakar office main betha hoon haan magar shaam mian Pakistani embassy jaaon ga wahan par jashn-e-azadi kay kafi saray programs hain, woh attend karoon ga.

              Comment


              • #22
                Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                Walaykum Assalam our yaom-e-Azadi Mubarak ho Ap sabko our on logo ko jo Pegham sy kuch na kuch wasta rakta hay.Bohot housh huwa apka Massege padkar kioki koi to hay jo Pakistan my reh kar bi humy yad karty hy jo humy janty tak nahi pir bi is hushi k muqay par itna kuch lik kar bayj diya.
                Darasal may dubai may hoo qareeban ak sal hochuka hay Pakistan sy aya huay.

                Lakin jistarah Pakistan k halat banty jarahy hay to man nahi karraha kih Pakistan aye kal on logo ki Jishn ti jin ki hamasha huwa karti ti yane on SIYASATDANO ki jo apny awam ky Khoon sy rangy hatoon sy Parcham chadaty ty our kal myny bi TV par dhykha o log kitny khoush ty jo sirf apny liye samajty hy dosro ki sirf bagawat samajty hay our apni Gaddari ko mulk ki mohabbat ka nam dyty hay our sirf apny siyasat ka rang dekhaty hay. koi siyasat dan aj tak kisi bi dhamakhy my nahi mara sirf Ghareeb our bygunah log mary jaty hay our ye har koi samajta hay kih waja kiya hay kih is tarah hota hay. Bas har jaga par awam ko ruswah our badnam karty hay koi aty hay midiya par to bas yahi farmaty hay kih bas SADAR MUSHARRAF SAB har koi oska wafadar kutta sabit karna chahty hay kioki onko panch waqt ka khana sirf Musharaf k ghar sy milta hay agar ye na kahy to on ka kon banyga humdard. our dosri taraf musharaf ko har waqt sirf apni Wardi ka apni Eqtedar ka our apny Dhanday ka fikar hota hay our ye sary siyasatdan hum sy betar janty hay chahy o musharraf ka koi wafadar o ho ya koi oska bilmukabi ho.
                NNawab:roseAli(Sagittarius)
                Deira Dubai(UAE)
                PAK(National)
                N.W.F.P
                Mardan

                Comment


                • #23
                  Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?


                  Very Brilliant Thoughts......:clap: :clap:

                  i agree wid u k humin na shukri nahi kerni chahye.....
                  pr ye soch meri nahi ab Paki k taqreeban hr person ki ho gae hai uski wajah yahi hai k humin sahee leadership nahi mil rahi hai

                  beshak leader hum mai hi koi ho ga.......pr sis itna easy nahi hai k wo leader yuun hi samny a jae
                  q k kise acchy leader ko ye log aany nahi dety hain
                  jo person 8 saal se hum pr musallat hai wo 8 saal pehly bhi khud hi musallat ho gya tha or ab tamaam tarr koshishon k bawajood uska uterny ka koi irada nahi

                  have u seen.......jinhy mulk badar kiya gya tha aj SEAT n UNIFORM k lye un se bhi guft o shaneed ki ja rahi hai.

                  he is alone now.......even Army ki bhi majority unky khilaaf hai
                  or unhi ki wajah se.........we ppl r suffering or jo identity humny pae thi wo hum kho rahy hain.......ap kabhi Paki culture ko dekhin u ll see k wo pehly wali baat hi nahi

                  kuch probs hum mai bhi hain...........hum bhi apni identity khony mai peechy nahi hain hum bhi buhat kuch wo krty hain jinhy krny se pehly ik baar humin yaad kr lena chahye k Pakistan Zinda Baad" k naaron se aagy bhi hamara koi farz hai

                  i pay respect 2 ur +ve thoughts :thmbup:
                  Buhat Khush Rahin :)

                  Comment


                  • #24
                    Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                    Originally posted by arifkarim View Post
                    yeh ham bar bar musharraf ko kioon ilzam de rahe hain. tareekh gawah hai hamnain aajtak pakistan main aik bhi azad hukmaran nahin daikha jisnain sache dil se pakistan ki khidmat ki ho. 1948 main jis din liaqat ali khan ko liaqat bagh main sab logon ke samnain goli mari gai usi din hamara pakistan bhi halak ho giya tha. ab ham kis umid par baithai hain, yahan to sare ka sara awa hi bigra howa hai. qasoor america ka ya british ka nahin hamara apna hai.

                    dekhin hum Mush ko is lye qasoor waar tehraty hain k inho ne wo kiya jo tareekh mai kabhi nahi hoa.

                    pichly siyasatdaan jese bhi thy.......unho ne ISLAM pr atleast attack nahi kiya tha......or jab apna RELEGION mehfooz na ho to zahir hai phir kis cheez k hum azad......pr jese bloo ne kaha.....humin hi struggle krna hai.......shaid struggle to hum kr rahy hain pr humin zara ziada struggle ki zaroorat hai

                    Mush daur mai buhat c cheezin buhat ghalt hoi hain.........thatz y we blame him......or main unky sath khud ko bhi blame krti hoon q k ager unho ne kuch nahi kiya to maine kiya kiyaa hai?

                    Anyhow thx 4 ur comments :)
                    :welcome:n KHUSH AMDEED @ PEGHAM NETWORK:welcome:

                    KHUSH RAHYYE!:salam:

                    Comment


                    • #25
                      Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                      Originally posted by chalakie View Post
                      w/alaikum asalam:)

                      g ham :masha say geographically azaad hain, mentally abhi tak ghulami kar'rahay hain.

                      aap nay kaha kamzoariyaa'n...pehlay hamain *accept* aur *admit* karna parhay ga k ye kamzoarian HAIN aur ye find out karna parhay ga k kaun kaun si hain...phir InshAllah sab kuch jald theek hojaye ga, phir ham waqaiye azaad hongay :)

                      yes or isky lye humin critically apni apni personality kio judge krna hai........
                      i always used to say......k cheez kharab ho to usko accept karo then usko dhoondo n sort out karo bajae isky k hum mai to koi masla nahi n we r perfect

                      ye ik ghalt sooch hai jo yakeenan hum mai se nikal jani chahye

                      Shukerya apk nazaryat ka
                      :rose n KHUSH AMDEED @ BEHES O MUBAHISA :rose

                      KHUSH RAHYE:salam:
                      n stay in touch wid us :rose

                      Comment


                      • #26
                        Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                        [quote=sheezay;499045]

                        Comment


                        • #27
                          Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                          Originally posted by air marshal View Post
                          HAPPY INDEPENDANCE DAY to all of the peoples of Pakistan. May Live Long Pakistan. :insha:

                          Regards,

                          PAF FALCONS
                          www.paffalcons.com

                          HAPPY INDEPNDENCE DAY 2 U TOO

                          KHUSH RAHYYE!:salam:

                          Comment


                          • #28
                            Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                            [quote=sheezay;499045]

                            Comment


                            • #29
                              Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                              Originally posted by seeker View Post
                              As'kum... haan ye special day to hai... lekin yaro... swaal waqee bohat ehamm hai k kya hum azaad hain???? kaisee aazadi?? cant say anything about it.... buss... dua he kar saktay hain... k
                              "Ay Allah Hum ko Acha Rahnuma...Achi Qyadat Naseeb Farma..."
                              Aameen

                              AMEEN......!

                              KHUSH RAHYYE :salam:

                              Comment


                              • #30
                                Re: 14th AUG Special DEBATE: Azadi....Kiya Hum Azad Hain.....?

                                Yeh bara nazik topic hai jis ke peechay kai awamil hain jo aik doosray se juray huay hain.Ham ne ghulami se to azadi hasil kar li laikin hamari soch abhi tak azaad nahin ho saki.Soch is liyay azad nahi hui kiyunke hamaray muashi halaat darust nahin hain,muashi halaat is liyay darust nahin hain ke hakoomatain darust policies nahin banati hain.Hakoomatain darust policies is liyay nahin banati hain ke awam unka aihtisaab nahin karti hain.Awam is liyay aihtisaab nahin karti kiyunke min hais-ul-qoum ham khud gharz hain,agar hamari pasand ki hukoomat hai to ham usay har kaam ki khulli chutti daitay hain aur agar is ke baraks hai to ham tanqeed baray tanqeed kartay hain so hamari raye ki value nahin rahi hai.
                                Agar ham zindagi ke har maidaan main khud gharzi chor dain,aur qana'at ke islami usool per amal paira hoon to ham apnay mahdood wasail main survive karain gay jis se corruption khatam hogi,corruption khatam honay se economy mazboot hogi aur mazboot economy hamain azaad aur bawaqar zindagi de gi.
                                Mind Sciences

                                Comment

                                Working...
                                X