Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: aaakhir kiun...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

    yay baat bilkul theak hai...lakin hum sab kay sab ...ya koi aik khaas tabka to zimmaydaar nai hai na...!

    Comment


    • #17
      Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

      hum sab k sab zimedar hain.

      awam ki taqat ka andaza nahe shayed ap ko.

      agar ap ko philippines ka dictator marcos yad ho to. 80 ki dahai me us ka takhta ulat diya gaya tha aur jis waqt awami tehreek shoro ki gai thi us ka nam bi peoples power rakha gaya tha agar ap ko yad ho to.

      lekin hamari awam bi kya karay hukmarano ne gharib awam ko ma'ashi bad hali me is tarha jakar rakha hai k kisi ko parwah he nahe. har koi yahe sochta hai k mai akela to nahe hun puri qom he is musibat me mubtala hai aur yahe soch hakumat ko aur zyada mazbut karti hai.

      hamaray sabiq hukmrano ko dekhen london me beth k press conference kartay hain yaqen karen un k byanat parh k aur sun k hansi ruknay ka nam nahe leti.

      imran khan ki mai bohot izat karta tha lekin guzashta dino london me jab us ne kaha k agar mohtarma bi conference me ati to acha hota. kal tak benazir aur nawaz sharif ko bura bhala kehtay huay us ki zuban nahe thakti thi aur aj benazir ki adam shamuliat pe afsos kar raha hai.

      aur janab ne apni party ka nam rakha hai tehreek e insaf. Subhanallah kya kehnay is insaf pasandi k.
      Last edited by zahid; 3 August 2007, 18:26.
      jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
      yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

      Comment


      • #18
        Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

        i,raan khan ko aap kuch na kahin..yay baat theak hai kay apni politics kay aghaaz main wo mush kay baray haami rahain hain ..but he is now matured in his thinking...! baynazir kay baaray main unhoon nay baad main wazahaat main yay bhi kaha tha kay...mohatarma ager deal main mulawiss nai to hummaray saath kiun nai aa ker baithiti..

        Comment


        • #19
          Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

          kyu na kahun jee. ghalt ko ghalt aur sahe ko sahe kehna har insan ka farz hai ab woh chahay imran k liye kahay, nawaz sharif k liye ya benazir k liye. haqiqat ko jhutlaya to nahe ja sakta.

          kher is bahes me parna fazul hai. bat yahan jo ho rahe hai usi pe bat ki jaye to behtar hoga kya khyal hai ap ka.
          Last edited by zahid; 3 August 2007, 19:59.
          jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
          yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

          Comment


          • #20
            Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

            Nice Topic Sher Ali Main kuch is topic ke barey main kehna chahoN ga
            Baat shoro hoti hay September 11 se jab America ke khayal se Usama aur kaha jata hay ke ISrael ne world trade center se tayyare takrae thay...America ne ne kaha ke sare ka sara kya dhara Usama aur is ke ittehadeo ka hay taake Muslims ke khilaf aik bharpoor sazishke tehat jang shoro ki ja sake taake Woh khud ko super power manwa sake.....is sazish main America ka sath dya Israel ne.....Us waqt ke America ke wazeer e kharija ne Parvez Musharraf ko kaha tha ke Dehshat gardi k khilaf is jung mian humara sath do Warna Hum tumhain Pathar ke dor main puhancha dein ge.. Yeh bayan Musharaf sahib ne khud dya tha....aur inhon ne Yeh samjhte hoe un ka sath dene ke lye hami bhar li ke woh is ka himayti ban jaye ga aur okhe sokhe wele kaam aye ga.....Phir ahista ahista dehshat gardi ki jung to dheemi parti gayi.....Lekan isi asna main america Pakistan main sirayat kar gaya.....Khawateen niswan bill wahan ki parliment main pass ho ke aya.....Pakistan ki main Universities main Music classes ka ijra wahan se hua.....Musharaf America ki jaan ban gaya aur In the line of fire ki taqreeb e roonmai bhi wahin hoi........Bajor main Masoom janoN ka nahak qatl e aam kya to America ke Bagair pilot ke tayyaro ne.......Kia kia zulm nai dhaye America ne Pakistan main.us ki sazish kisi hadh tak kamyab ho gai....Eman ki kamzori hay humare hukmurano main....darte pata nai keu hain.....agar America challenge karta hay to us ko qabol karien aur Allah ka naam lein.......Lekan KHursheed mehmood kasoori sahib ko to bayan dete hoe itni bhi sharm nai ai ke America super power hay aur bohat kuch kar sakta hay..kuch khayal karna chahye ke super power WOH ZAAT hay jo sab ka raziq hay na ke America..............................
            Thats all from me
            Allah

            Comment


            • #21
              Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

              Originally posted by sher ali View Post
              yay baat bilkul theak hai...lakin hum sab kay sab ...ya koi aik khaas tabka to zimmaydaar nai hai na...!
              WE are responsible ......
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: MUBAHISA: aaakhir kiun...!

                100% correcr

                Comment

                Working...
                X