Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Media: haqeeqat ya jhoot!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Media: haqeeqat ya jhoot!

    Asalam alaikum Respected Members!


    kehtey hein key Akhbaraat ya Media aik qaum ki sochoN ko rule kerta hai, chahey to bigaR deyta hai chahey to nikhaar deyta hai. Dunya mey aik jaga runuma honey wala aik waqia dunya key her mukhtalif akhbaar mey mukhtalif tareekey sey pesh kiya jata hai. her mukhtalif tv channel uss ko apney rang mey pesh kerta hai.


    Kya aap iss baat sey muttafiq heiN?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

    Jee haan bil kul mutafiq hooon....hamain jo media dikahta hai hamain usi per yaqeen kerna perta hai...warna ham itne door baith ker kis traha jan sakte hain kis ho raha hai....aur media agar raat dikhaey ga tu ham ko manina pare ga k raat hai...aur agar raat ko hi her taraf roshni ker k keh day k yeh din hai tu hamain manina perta hai k din hai kiun k wahan roshni hoti hai...

    ab hamara media sirf firing ki awaz suna ker agar keh day k yeh awaz jo apa sun rahay hain yeh abdul rasheed ghazi ki fairing ki awaz hai tu ham yeh samjh laitay hain k Govt tu mazloom hai aur bhot sabar say kam lay rahi hai Ghazi tu dashat gard hai
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

      pakistan ko media nay hee too barbaad kiya hai.
      Last edited by Shaim; 11 July 2007, 12:19. Reason: foul lang is not allowed plz :(
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

        Media jo dikhati hai us per yakeen kerna perta hai.......agreed wid Yasir Bhai!

        per Media bhi 90% wahi kehta hai jo govt order karyyy
        warna media band ho jae.........so tthey ve to follow govt in any way

        phir bhi main kahoon gi k kuch tajziya nigaar sach kehny se nahi rukty

        like Hamid Mir,Talat Hussain n 2 more persons at AJ TV

        so hum saary hi media ko rong nahi keh sakty

        buhat se log buhat c wajah se majboor bhi hooty hain :)

        Comment


        • #5
          Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

          Jee main aap ki is baat se bhi mutafiq hooon k media walay majboor ho jatay hain .... aur sirf chand aik log hi hain jo apni jan per khail jatay hain aur such bol daitay hain.....laikin me here agar media ko itna himajboor ker rakha hai govt nay tu phir yeh nara kiun lgaya jata hai k ham nay media ko azad ker diya hai....kahan hai azad media phir ??? kia aap aisay media ko azad keh sakte hain jo such chupnay per majboorr ho jaey
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

            Originally posted by waitingeyes View Post
            Jee main aap ki is baat se bhi mutafiq hooon k media walay majboor ho jatay hain .... aur sirf chand aik log hi hain jo apni jan per khail jatay hain aur such bol daitay hain.....laikin me here agar media ko itna himajboor ker rakha hai govt nay tu phir yeh nara kiun lgaya jata hai k ham nay media ko azad ker diya hai....kahan hai azad media phir ??? kia aap aisay media ko azad keh sakte hain jo such chupnay per majboorr ho jaey

            Nice Question:clap:

            well yasir bhai govt ne kab koi sacchi statement di hai?
            or ager di bhi to "AARZI"

            previous days private channels like ARY 1 World n GEO per kuch TAJZIYEE aty rahy + kuch programes like "capital Talk" n "Jawab Deh" @ GEO.....in mai tajziya nigaar/host next person jo k normally statemen hoota hai uski buhat insult ker deta hai to is lye kaha gya k media azad hai
            per infact media azad nahi haiii q k ab govt ne isko bhi khareed liya hai

            thatZ Y
            PER KUCH LOG AB BHI SACH BOLNY SE NAHI RUKTY

            Comment


            • #7
              Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

              Originally posted by Me Here View Post
              thatZ Y
              PER KUCH LOG AB BHI SACH BOLNY SE NAHI RUKTY
              Shweet sister .. ek baat kaho yeh kuch loag mujhay Pakistan mai nazar nahi aaye ................Pakistan ki sub sai bari dushman Pakistani awam khud hai .... and media .. tu or ghanda kar rahi hai ... that what i think .... yeh mere soch hai ..... jo ka ghalat b hosakti hai ..... today .. aaj ma Taxi mai yahan ka ek local radio station per news sun raha tha i think SBS tha .... ek Pakistani reporter jisa bahir ki dunya na khareda hai ... kya kuch Pakistan kai khilaf nahi keh raha tha ..... A To Z os na sub woh kuch kaha jo shayad ek Pakistani dosra Pakistani sai expect b nahi kar sakta .government tu government .... aam shehriyo ko b nahi chora ... ... mujhay tu ghusa araha tha infact driver jo ka non Pakistani tha osay muj sai b zyada os per ghusa araha tha ..kai yeh kaise log hia apna mulk ka bara mai sirf money kalia kya kuch nahi kehta ....... ... .... welll kuch loag tu international channels ko bilkul haqeqat manta hai bilkul such ..woh yeh sochta hai kai Pak media Gov ka control mai hai and bahir ki media azad hai ... no thats wrong international media money ka control ma hai & mera khyal sai ek b aesa mulk nahi jo >> Pakistan ki taraki kalia paisa kharch karai ... i mean to say ka woh aesa news per kyu paisa kharch karai jis mai Pak ki taraki .... Pak ki numaya karkardagi hooo ......... ..... ..
              Plz dont mind
              May be i m wrong ...
              Last edited by Shaheen; 13 July 2007, 21:25.

              Comment


              • #8
                Re: Media: haqeeqat ya jhoot!

                AOA,

                Umeed hai sab khairiyat se hoon ge aik journalist hone k nate jo batain sab nain ki hain un ka khule dil se ahtaraam karta hoon tanqeed ka haq har kisi ko hasil hai tanqeed mosbat ho to bahli mahloom parrti hai sab nain jo kaha wo mosbat andaaz main hai islaah ki zarorat waqtan fawqtan parrti rahti hai kahan koch ghalt nain hai molk se bahie ki baat karain ya mulk ki har jaga koi na koi hota hai jo dosroon k liye tanqeed ka bahis banta hai lakin iss ka ye matlab nain k sab ghalt hain sab bikke hoye hain media main b zard sahaft mojood hai lakin wo chand anasar hai jin ko meda bezaar annasar kaha ja sakta hai jo ziyada tadaad main ya qareeban jitne b loog hain chan ko choor k apne apishe se wafa karte hain koch kamzoriyaan hakomat ki b hain sahfi ko mahashre ki ankh kaha jata hai ji wo daikh hai kahta hai likhta hai main tarafdari nain kar raha sirf itna kahne ki koshish kar raha hoon agar koi ahsa hai to aap ko haq pohanchta hai aap us pe tnqeed karain aur ahse afraad se guzarish b hai khdar apne mulk k naam ka khaiyaal kia karain agar kisi ko meri batain nagawaar guzri hain to main mahzarat khua hoon.


                Sohail Abbasi.
                Apna haq ada karo.

                Comment

                Working...
                X