Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

9/11

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 9/11

    Attached Files

  • #2
    Re: 9/11

    Aaj 4 saal ho gaye, America mein abhi log Katrina Hurricane ka disaster jhel rahe hain, dead bodies ko dhoonda ja raha hai. To dusri aur kuchh shahri apne "ABBA" (Osama Bin Laden) ko yaad kar ke rahe hain.

    9/11 ke baad musalmano ka martaba gira hai, iss se pehle America mein aaye din non Muslim Islam mein convert ho rahe thay, CAIR report ke mutabiq 9/11 ke baad US mein rah rahe musalmano ke saath zyadatiyan bhi ho rahi hai, deegar non Muslim countries bhi Musalmano ko shak ki negah se dekhtey hain, itne khaufzadah hain ke unke gharon agar patakha phate to kahta hai kisi Musalman terrorst ka haath hai

    Yeh terrorism ka naam dene waley real terrorist to wahi log hain, jis din Bush, Sharon, ka khatma ho jayega earth se automatically terrorism khatm ho jayega.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #3
      Re: 9/11

      main ny to us bary kuch nahi soacha....
      kien k mujy to es main USA kke apni sazish lagti hay

      Comment

      • #4
        Re: 9/11

        Ofcourse Dukh tu zaroor howa tha kyun kay Zahir Begunah logo'n ki Jaan chali gaye the maghar is sab main Kahi Muslamano'n ka Qasoor nahin hai jin ko aaj tak nishana banaya ja raha hai :) aur Begunah Muslamano'n ki Jaan li ja rahi hai
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment

        • #5
          Re: 9/11

          Originally posted by Spy009
          Aaj 4 saal ho gaye, America mein abhi log Katrina Hurricane ka disaster jhel rahe hain, dead bodies ko dhoonda ja raha hai. To dusri aur kuchh shahri apne "ABBA" (Osama Bin Laden) ko yaad kar ke rahe hain.

          9/11 ke baad musalmano ka martaba gira hai, iss se pehle America mein aaye din non Muslim Islam mein convert ho rahe thay, CAIR report ke mutabiq 9/11 ke baad US mein rah rahe musalmano ke saath zyadatiyan bhi ho rahi hai, deegar non Muslim countries bhi Musalmano ko shak ki negah se dekhtey hain, itne khaufzadah hain ke unke gharon agar patakha phate to kahta hai kisi Musalman terrorst ka haath hai

          Yeh terrorism ka naam dene waley real terrorist to wahi log hain, jis din Bush, Sharon, ka khatma ho jayega earth se automatically terrorism khatm ho jayega.
          g bilkul sahi kaha aap ne dunia asel roots tak nahi jaa rahi serf muslims ko ilzam de rahi he.

          Comment

          • #6
            Re: 9/11

            Originally posted by khl
            main ny to us bary kuch nahi soacha....
            kien k mujy to es main USA kke apni sazish lagti hay
            g sazish to yakinan he na or socha kiun nahi?

            Comment

            • #7
              Re: 9/11

              Mujhey yaad hai main kaam per tha aur yeh khabar ham ney Internet per suni thi. Shaam ko apni sis key haan they aur tv dekh rahey they to main ney kaha keh musalmano key burey din aa gaey hain.

              9/11 duniya ki tareekh ka aik bohat ahan waqiya hai. Aisa waqeya jis ney duniya ko aik naee tareekh mein daal diya hai. Soviet Union key collaps key baad duniya mein taqat ka ballance disturb huwa hai. America jiskey nazdeek uska sab sey bada hareef USSR tha. Unke khatmey key baad america ko total globalisation karney key liye Islam per hath dalna tha. Magar kaisey dalta. Ameriki agencies jo duniya bhar mein sab sey ziyada wasaeel istimaal karti hain, unhein mazeed wasaeel ki zaroorat thi aur unho ney Iraq per qabza karney key liye 9/11 ki chaal chali.

              Hamari bohat badi ghaflat yeh hai keh ham aik muddat sey apney jaah-o-jalaal mein gum qom hain jinhein kisi bhi baat ki fiker nahin. Phhir aisey mein hamarey burey din aaney hi they. :(
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: 9/11

                Nice topic shy

                2 towers giray us ke budlay mein USA ne 2 countries ko gira diya...jub yeh haadsa hua to ofcourse acha nahi laga, meri nazar mein aik insaan ka katl insaaniyat ka katl he, go ke wo gair muslim hi kyoon na ho. lekin on the other hand 9/11 ke waqeye ke baad muslims have left no choice but to face humiliation and brutality...America apna badla be-gunaah loogon se kub ka le chuka, lekin ub bhi us mein badlay ki tashnagi khatam nahi ho paa rahi he...aap ne sahi kaha USA ke moun ko khoon lag chuka he.

                1. Jub 9/11 ka waqeya hua to bilkul bhi acha nahi laga, lekin meri 6th sense yeh keh rahi thi ke ub Muslims ke saath acha nahi honay wala

                2. Changes yeh huein ke 9/11 se pehle Afghanistan aur Iraq independent thay, jo ub nahi hein. Pakistan ko extreme level ki flexibility show kerna pari ya isay part of diplomacykeh lein, ke pakistan ne USA ko apni territory per Air Base bananay ki ijazat di aur logestic help bhi ki, jo yeh show kerta he ke Pakistan kitna majboor ho chuka he Aik Super Power ke haathon.

                Is ke ilawa Muslims per Extremist honay ki authenticated chaap lag gai...jo ghaltiyaan muslims ne kein aur jo ghaltiyaan muslims ne nahi kein un sub ka moradulilzaam muslims ko thehraya gaya...indeed muslims ka image kafi kharaab hua. Muslims ke image ko oojagar kene mein OIC bhi is moaamlay mein koi fa'aal kardar ada na ker saki. Sari Muslim Umaa per be-bassi ka aik saaya sa mundlanay laga.

                3. ofcourse muslims ke saath ziadti hui he aur ziadti ho rahi he. Hamaray paas ub kuch khaas option nahi bachay hein, siwaye suiside attacks ke. lekin is se to hum mazeed apna image down ker rahay hein.
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: 9/11

                  Originally posted by munda_sialkoty

                  Nice reply
                  Mera 6th sense kahta hai ke Jung hogi Islam vs Chrisitianity, and suicadal attack mein kya pata dushman mare ya na marey, ussey khada khada marenge, :insha: lekin uss sey pehle zaroorat hai ham sab musalmano ko ek honey ki.
                  Kuchh log Osama Bin Laden ke naam lene se dartey hain, main to kahta hoon ke 1000 Osama Bin Paida ho.
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment

                  • #10
                    Re: 9/11

                    Nabee Kareem SAW ki pasheengoiyon mein sey aik yeh hai keh qurb qayamat mein haq aur batil ka aik bohat bada maarka ho ga jis mein haq ko kaamyabi milley gi. Magar us sey pehley haq siraf 2 shehron key darmiyaan rah jaey ga. Aur woh shehar Makkah aur Madeena. Duniya key halaat jis dagger per jaa rahey hain, 9/11 aur 7/7 inhi ki aik karee hai. Aur Iraq hamarey hathon sey nikal chuka hai, next it'll Shaam aur doosrey mumalik. Phir wohi ho ga jo Nabee Kareem SAW ney farmaya tha.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: 9/11

                      Originally posted by Spy009
                      Nice reply
                      Mera 6th sense kahta hai ke Jung hogi Islam vs Chrisitianity, and suicadal attack mein kya pata dushman mare ya na marey, ussey khada khada marenge, :insha: lekin uss sey pehle zaroorat hai ham sab musalmano ko ek honey ki.
                      Kuchh log Osama Bin Laden ke naam lene se dartey hain, main to kahta hoon ke 1000 Osama Bin Paida ho.
                      Allah Taalah ne zulm ki raasi ko kafi dheel di hui he, yeh rassi kisi din zaroor kasay gi :insha:

                      Lekin mein is cheez ke haq mein nahi hoon ke sirf jazbaat se jang ki jaye, is ke liye hamein dil ke saath saath dimaag ko bhi kaam per lagana ho ga...apne aap ko internally mazboot kerna ho ga, moaashi aur militry aitbaar se bhi...Jo halaat ja rahay hein, in halaat mein to hamein gurbat, na-insafi aur jahalat ke khilaaf jang kerne ki zyada zaroorat he :D
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: 9/11

                        Originally posted by Masood
                        Nabee Kareem SAW ki pasheengoiyon mein sey aik yeh hai keh qurb qayamat mein haq aur batil ka aik bohat bada maarka ho ga jis mein haq ko kaamyabi milley gi. Magar us sey pehley haq siraf 2 shehron key darmiyaan rah jaey ga. Aur woh shehar Makkah aur Madeena. Duniya key halaat jis dagger per jaa rahey hain, 9/11 aur 7/7 inhi ki aik karee hai. Aur Iraq hamarey hathon sey nikal chuka hai, next it'll Shaam aur doosrey mumalik. Phir wohi ho ga jo Nabee Kareem SAW ney farmaya tha.
                        Well, ub syria aur Iran USA ka target hein, in doono countries ki geo-political importance USA ki nazar mein kafi ziada he. Waise bhi Worldwide Anti-Muslim Lobby bohat takat hasil ker chuki he, aur hum Muslim ithaad kerne ki bajaye aapis mein lar rahay hein. Is ki misaal kurdoon se le lein ya Ahmad Shah Masood se le lein. We need to be unite in order to repel the external pressure. Without unity, we are nothing
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: 9/11

                          Originally posted by munda_sialkoty

                          Lekin mein is cheez ke haq mein nahi hoon ke sirf jazbaat se jang ki jaye, is ke liye hamein dil ke saath saath dimaag ko bhi kaam per lagana ho ga...apne aap ko internally mazboot kerna ho ga, moaashi aur militry aitbaar se bhi...Jo halaat ja rahay hein, in halaat mein to hamein gurbat, na-insafi aur jahalat ke khilaaf jang kerne ki zyada zaroorat he :D
                          Right :thmbup:
                          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                          Comment

                          • #14
                            Re: 9/11

                            Thanx spy
                            :thmbup:

                            Comment

                            Working...
                            X