Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: current discussion issues btw youth?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: MUBAHISA: current discussion issues btw youth?

    asay hi jasy app otarnay ki try karnaay lagay ho
    تیرے جیسی آنکھوں والے جب ساحل پے آتےہیں
    تو لہریں شور مچاتی ہیں،
    لو آج سمندر ڈوب گیا ۔

    ~Mujay Vote Dain~
    پاکستانی کا خواب

    Comment

    • #17
      Re: current discussion issues btw youth?

      Originally posted by yellowsky View Post
      lol interesting

      aaj kal hot issue phir CJ karachi etc etc ho ga

      kabhi kabhi kheyali pulaow bhi bana leyney chahiyeiN :D ....

      aap to mulk sey bahar hotey ho to aap log kaisey deykhtey ho key jo hamari naujawan nasal hai Pakistan mey wo kitni sincere hai apni duties sey?

      Jee Haan kuch din pahle tak tu tha ab aahista aahista muamila naram perta ja raha hai...Saneha Karachi k baad Dil toot sa gya hai...banda kis ko qasoor war tahraey laikin phir bhi jab topic nikle tu bahas ho hi jati hai...

      Jee hain kabhi kabhi jagti ankhon say bhi khwab daikh laine chahien.

      Yellow Sky...Bhot ssay bare boorhay logon say suna hai aur kaee jaghon per perha hai k agar aap tasweer ko waziah tor per daikhna chatay hain tu thora sa door ho jaien tu manzar aap ko wazeh nazar aaey ga...jab main Pakistan main tha tu mujhe itni ziyada intrest nahien tha in sab cheezon main...Laikin jab main mulk say bahir nikla tu mujhe apne mulk ki qadr o qemat ka ahsas hoowa...Jab mera doosri nationalities ka samna kerna pera tu main yeh sochne per majboor ho gya k hamara mulk kis taraf ja raha hai....Aur jahan tak hamari baqi nojwan nasal ka tualuq hai tu mere khyal main chand saal pahle hamari young Generation kisi aur raste per chal peri thee...laikin wo rasta unhain raas nahien aaya aur ab main 100% tu nahien kah sakta laikin :alhamd: hamari nojwan nasal phir say rah rast per aana shuroo ho gaee hai...aur main nay khas ker nojwan larkiun main yeh daikha hai k un main Islam phir say srayat kertaja raha hai .... main high class ko chor ker baat ker raha hoon kiun k un say mujhe koee twaquat nazar nahien aatien....laikin hmari nojwan nasal main aik new soch develop ho rahi hai ... wo apne mulk ki qadar kerte hain (Is ki aik misal tu yeh forum hai wallah main is forum k logon ki jab batain perhta hoon tu yeh yaqeen ho jata hai k :insha: jab tak aap sab jaise log is mulk main mojood hain koee kuch nahien bigar sakta ).... bas ham ko aik achi leader ship chahiey aur yeh jitne boorhe aur khoosat siasatdan hain in say chutkara .... aur jo baqi nojwan hain jo k apne raste bhatke howay hain un ko seedhi rah per chalaney wala chahiey ... tu is main koee shak nahien k ham log taraqi na ker sakain...
      sigpic

      Comment

      • #18
        Re: MUBAHISA: current discussion issues btw youth?

        Hamare topics ka kuch pata nahien hota kahan say chalain gay aur kahan kis topic per ja ker khatam ho jaien gay...siyasat say shuroo honnn gay beech main faishion aa jaey ga beech main painting aa jaey gee aur chalte chalte pata nahien kahan ja ker khatam ho ga

        waise taqreeban her qisam ka topic hota hai hamari mahflon main ... waise tu ab mahflain hi kam sajti hain ....

        yeh magar door ki kahani hai yeh magar door ka fasana hai
        in topic k beech main hail jane kitni sdion ka zamana hai:wk

        Comment

        • #19

          Originally posted by Abdul Qudoos View Post
          asay hi jasy app otarnay ki try karnaay lagay ho
          yani key aik cheez ka best nikaalney ko khaal otarna kehtey hien :mm:

          :D

          Originally posted by sccorpion81 View Post
          Jee Haan kuch din pahle tak tu tha ab aahista aahista muamila naram perta ja raha hai...Saneha Karachi k baad Dil toot sa gya hai...banda kis ko qasoor war tahraey laikin phir bhi jab topic nikle tu bahas ho hi jati hai...

          Jee hain kabhi kabhi jagti ankhon say bhi khwab daikh laine chahien.

          Yellow Sky...Bhot ssay bare boorhay logon say suna hai aur kaee jaghon per perha hai k agar aap tasweer ko waziah tor per daikhna chatay hain tu thora sa door ho jaien tu manzar aap ko wazeh nazar aaey ga...jab main Pakistan main tha tu mujhe itni ziyada intrest nahien tha in sab cheezon main...Laikin jab main mulk say bahir nikla tu mujhe apne mulk ki qadr o qemat ka ahsas hoowa...Jab mera doosri nationalities ka samna kerna pera tu main yeh sochne per majboor ho gya k hamara mulk kis taraf ja raha hai....Aur jahan tak hamari baqi nojwan nasal ka tualuq hai tu mere khyal main chand saal pahle hamari young Generation kisi aur raste per chal peri thee...laikin wo rasta unhain raas nahien aaya aur ab main 100% tu nahien kah sakta laikin :alhamd: hamari nojwan nasal phir say rah rast per aana shuroo ho gaee hai...aur main nay khas ker nojwan larkiun main yeh daikha hai k un main Islam phir say srayat kertaja raha hai .... main high class ko chor ker baat ker raha hoon kiun k un say mujhe koee twaquat nazar nahien aatien....laikin hmari nojwan nasal main aik new soch develop ho rahi hai ... wo apne mulk ki qadar kerte hain (Is ki aik misal tu yeh forum hai wallah main is forum k logon ki jab batain perhta hoon tu yeh yaqeen ho jata hai k :insha: jab tak aap sab jaise log is mulk main mojood hain koee kuch nahien bigar sakta ).... bas ham ko aik achi leader ship chahiey aur yeh jitne boorhe aur khoosat siasatdan hain in say chutkara .... aur jo baqi nojwan hain jo k apne raste bhatke howay hain un ko seedhi rah per chalaney wala chahiey ... tu is main koee shak nahien k ham log taraqi na ker sakain...
          mey bilkul itteyfaaq kerti hun aap ki baat sey .....mulk ho ya religion hum inhein for granted leytey hein aur waqai iss ki qadr tabhi hoti hai jab hum aik doosrey mulk mey aik doosrey culture mey hotey hein.....

          Allah Karey key bohot jald hamarey mulk key aur Muslim Ummah key liye assaniyaN ayeiN Ameen
          Last edited by Z.; 23 May 2007, 17:46.
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #20
            Re: MUBAHISA: current discussion issues btw youth?

            Originally posted by Qurratulain View Post
            Hamare topics ka kuch pata nahien hota kahan say chalain gay aur kahan kis topic per ja ker khatam ho jaien gay...siyasat say shuroo honnn gay beech main faishion aa jaey ga beech main painting aa jaey gee aur chalte chalte pata nahien kahan ja ker khatam ho ga

            waise taqreeban her qisam ka topic hota hai hamari mahflon main ... waise tu ab mahflain hi kam sajti hain ....

            yeh magar door ki kahani hai yeh magar door ka fasana hai
            in topic k beech main hail jane kitni sdion ka zamana hai:wk
            ahan ....sab sey pehley to KhushAmdeed Mobahissa sec. mey :wave

            aur agar aap ki taraf ab kam kam mehfileiN sajti hein to aap hamari MehfiloN mey aya karein :D

            and being a girl mey samaj sakti hun aap key topic ki changes aur sara kuch :D

            bas aik baat jann'na chahun gi .....aap ney kaha hai key ab mehfileiN kam sajti hein ....iss ki waja mehaz masrufiat hai ya kuch aur hai??
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #21
              Re: MUBAHISA: current discussion issues btw youth?

              Originally posted by yellowsky View Post
              ahan ....sab sey pehley to KhushAmdeed Mobahissa sec. mey :wave

              aur agar aap ki taraf ab kam kam mehfileiN sajti hein to aap hamari MehfiloN mey aya karein :D

              and being a girl mey samaj sakti hun aap key topic ki changes aur sara kuch :D

              bas aik baat jann'na chahun gi .....aap ney kaha hai key ab mehfileiN kam sajti hein ....iss ki waja mehaz masrufiat hai ya kuch aur hai??
              Thank u very much for ur welcome

              haan Insha Allah zaroor koshish keroon gee

              bas thori masroofiat bhi kah sakti hain...sirf meri hi nahien sab friends ki...zahir hai ab college scholl life tu khatam ho gaee ... kuch mulk say bahir chli gaien kuch ki shadi ho gaee...aur kuch apni jobs per ya ghar per hoti hain...taqreeban waqt k saath saath sab hi door ho gaee hain bas aik 2 hi hain jin k saath kabhi kabhar mulaqat ho jati hai....
              kisi k pass itna waqt hi nahien hai k doosre ka pooch sake .... bas thori seee purani yadain hain

              Comment

              Working...
              X