Is Main Buhat Kuch Hai Samjhnay Waloon Kay Liyae...:SubhanAllhaa:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aorat Ki Mazloomiyat....
Collapse
X
-
Re: Aorat Ki Mazloomiyat....
acha mauzo hai is per jitni bhi behes ki jae kam hai...jahan tak baat Anparh mardon ki hai woh khawateen per tashadudt kertey hain unhen haqeer samajhtey hain kiun keh un mardon ki na tau tarbiyat achi hoi hai na un ke pas taleem hai rahi sahi kasar ghurbat aur iflas ne puri ker di jis se tan aaker yeh log jhunjhlahat ka shikar hotey hain aur apni khawateen per tashadut kertey hain...
aur dosrey mard humarey muashrey main aisey bhi hain jin ke pas Ala taleem hai lakin is ke bawajood jahalat ka yeh aLAM HAI KEH WOH LOG AURAT KO bahut se aisey kamon mein le atey hain jahan woh mazeed beizzati kashikar hoti hai maslan TV waghera per aaj kal khwateen jis huley mein maujood hain woh tau un khawateen se bhi gai guzri hain jo apne shohar kehathon tashadut aur zulm o ziadati kashikar hoti rehti hain .. humarey muashrey mein mardon ne Aurat ko kisqader pasti main pahuncha dia hai .IS KA TASAWUR BHI MUHAL HAI.
-
Re: Aorat Ki Mazloomiyat....
aoorat mazloom
hadood ordinance bill kaa pass honayy kayy baad bhee mazloom haiii abhee takkkk
Assembly main eik tihaiii nishastain hasil karnay kayy badd bhee mazlloom haii
abhee takkk
Marathon races main doornay kayy baddd bhee mazllom hainnn
aggar inn sabb kuch kayy baad bhee mazllom haii to meree khial main shayyyad hee kabhee yehh sinf satisfied hoo sakkkay ...................."Can you imagine what I would do if I could do all I can? "
Comment
-
Re: Aorat Ki Mazloomiyat....
in sab sey har tabqey ki urat ki zindagi mai koi bhi farq nahi aya hay haa kuch khaas urto ki zindagi kuch farq parha hoga jo urtey waqai mai mazlom hay tho un ki zindagi aaj bhi wesi hi hay yeh sab kuch khaas tabqey ki urto kay lia hi hay
wasalaam....
Comment
Comment