Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: students raid brothel

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: MUBAHISA: students raid brothel

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    es mozoo per aap log kafi behas ker chukey hain ham bus itna kahen gey k let's analyze aaya inn logon ney apney matabaat manwaney k liye sahi tareeqa muntkhib kiya hai. protest register karana aik aur muaamla tha lakin ISLAM k nafaz k liye qanoon ko hath mein lena extermism hai. ISLAM talwaar k zore per nahi phela aur jis tarah Shariyat k nafaz ki koshish ki ja rahi hai koi bhi zee hosh insan es ko appreciate nahin karey ga.
    jahan tak ham samjhtey hain shru mein ye entirely aik madrasey ki talbaat ka apney jaiz mutalbey k liye ehtjaj tha lakin uss k baad es muaamley ko politicise kiya gaya aur ye kerney waley koi aur nahi woh log hain jin k hathon se ikhtayr ki dore nikal rahi hai ya woh jo chore rastey se iqtdaar hasil kerney ki koshish ker rahey hain...yani Musharaf govt already Iftkhar Ch case ki waja se mushkil mein thi. just 2 weeks back USA ka bayan aya tha jo khuli indication de raha tha k mojooda govt k din poorey ho chukey. so in such circusmstances it's a good strategy to reveal USA Gurus somehow that Talibanization is grasping roots in Pakistan and as all kno k Afghanistan aur phir Pak mein bhi Taliban k khilaf Musharaf ney he unn ka sath diya tha so es maslay ko deal kerney k liye bhi aik dictator hand he chahye. so there is a great chance of agencies involvement in highlighting and magnifying this issue. werna aik taraf tou hamari police aur qanoon itna bay khuf hai k mulk ki sab sey qabil-e-ehtram seat per bethey shskhs ko balon se ghasstney sey bhi ehtraaz nahin kerti aur doosri taraf LAL MASJID aur Jamia HAFSA k liye itni nermi kia maani rakhti hai. jab NWFP aur Tribal Areas mein Madrasahs k khilaf action kiya gaya tha tab tou ye nahin socha gaya tha k wahan masoom buchey perrhtey hain tou ab??? esi tarah ager last week mein NAB k uss deptt k band jiye janey ko bhi zehan mein rakha jaye jo PPP ki head k khilaf saboot ikathey ker raha tha aur phir aaj ka BIBI ka byan k unn mein aur Musharaf govt mein deal ho rahi hai tou sab k sirey aik he jaga miltey hain..BIBI es March mein ye bhi bayan de chuki hain k sirf wohi iqtdar mein aa ker aik LIBRAL govt tashkeel de sakti hain jo Fundamentalism ko khatam kerney k liye bhot zaroori hai
    jahan tak in talibaat k Library per qabzey ka taaluq hai tou plz koi humain ye bataye k Islam ney ye kab kaha hai k jis shay mein Islam ka naam nahin aata uss ko tehas nehas ker dou. ho sakta hai ham apney point of view ko wazya kerney k liye darust aflaz estmaal nahi ker sak rahey lakin ham sirf ye kehtey hain k jab Islam ney non muslims ko masjid tak mein aaney ki ijazat de rakhi hai k shayed hamarey husn-e-salook se mutasir ho ker woh Islam ki roshni ko apna len tou who we are to decide.. ham kesey fatwa de saktey hain k koi munafiq hai...aap log dunya ko Islam se mutnafer ker rahey hain. kisi bhi rawaye ko apnaney sey pehley uss k tamam pehloo per ghore kerna zaroori hai. jitney qabil-e-ehtram ULMA hain mulk mein unn sab ney es rawaye ki mazamat ki hai. ager es tarah her koi apne apne khyal k mutabiq shariyat ka nafaz kareny lag jaye tou everything will turn into a mess.
    jin auraton ko pakker ker ley jaya gaya woh yaqeenan ikhlaqi aur social buraae phela rahi hun gi lakin haqeeqat pasandi sey jaiza liya jaye tou humain bataye k kiya es rawaye ney unn k khyalat ko change kiya ho ga?? kabhi nahin ager woh naqab pehan ker media k samney aae hain tou sirf force kiye janey ki waja sey.werna ussi lady ney baad mein aik interview mein kaha hai k woh bayan sirf der aur khuaf ki waja sey diya tha. kisi ko burae sey hataney k liye uss per zaberdasti kerna masley ka hal nahin hai bulkey uss k dil mein apney terz e amal se burae ko burae samjney k jazbaat peda kerna zaroori hai aur ye aik raat mein nahi ho jata. it requires long consistent efforts.
    ho sakta hai aap logon ko hamari baat se ihtlaf ho aur aap humain bhi koi so called ROSHAN KHYAL samjhein laikin lemme tell u k hum shayed bhot sey logon se zayada fundamentlist hain lakin fundametalism aur extremism mein bhot farq hota hai. apni bunyadon ko follow kerna bhot achi baat hai lakin uss mein extremism ikhtyar kerna sara sir ghalat. Islam ney mayanarawi ki talqeen ki hai her mumaaley mein.
    maqsad koi bhi ho jab woh ghalat hathon mein chala jaye tou apni credibilty kho bethta hai aur yehi kuch aaj kal Islamabd k hot issue mein ho raha hai. Jamia Hafsa aur Lal Masjid walon ney apna asal maqsad kho diya hai ..zaroorat hai sahi guidance ki. change hamesha grass root level sey aata hai. apni society ko aik mukamal ISLAMIC society mein change kerney k liye danda nahi bulkey aam insan ki soch tabdeel kerney ki zaroorat hai aur woh aati hai taleem se. so ager yehi log tareeqey sey aam awam ki tawaja grasp karen tou believe me PAKISTAN kuch he salon mein aik true ISLAMIC STATE ho ga..lakin es k liye time and patience chahye

    Aap ki baatein perh ke dil khush ho gaya...exactly mein bhi aisa he soochta hoon jesa aap ne beyaan kia :thmbup:

    Bohat saaray points to aap ne bool diye, aik point pe mein bhi emphasise kerna chahon ga wo yeh he ke islami nazam-e-taleem.

    mere khyaal mein deeni taleem ke liye duniyawi taleem bohat zaroori ho gai he. Loog bohat si baaton ko misinterpret ker ker ke naye jawaz paida ker lete hein...tasveer ka aik rukh dekh ke mafroozay kaim kiye ja rahay hein. Mere khyaal mein aik acha aalam wohi ho sakta he jo deen ke saath saath duniyaavi taleem se bhi aagah ho...jo islam ki positive implementation ker sakay...warna hamaray typical madarsa system ne Musalmanon se ziada extermist he paida kiye hein.

    We need to change this system
    :thmbup:

    Comment

    • #32
      Re: MUBAHISA: students raid brothel

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      exactly. hamain apni society ki sahi maanu mein ISLAMISATION k liye baqaida mansooba bandi ki zaroorat hai. aur ye taleem se aye gi. Islam dunya ko chorrney ki hosla afzai nahi kerta bulkey DEEN aur DUNYA ko sath sath le ker chalna he Islam ki sahi pervi hai.

      inn logon ka maqsad yaqeenan naik ho ga lakin ager woh apni energies ko sahi taraf use karen tou bhot acha change aa sakta hai. CDs ya Libraries ko destroy kerna masley ka hal nahi..jahan esi CDs record hoti hain ya jo log inn mein involve hote hain unn ko kyun nahi nishana banaya jata.ham phir kahen ge k bunyadi zaroorat awam ki SOCH ko tabdeel kerney ki hai aur woh overnight task nahi hai. it needs CONSISTENT efforts. JOSH se nahi HOSH se kaam lene ki zaroorat hai. ham SOCIALIST inqlaab afford nahi ker saktey humain KHUMAINI jesa thandey mizaj ka leader chahye jo es tarah kaumi soch tabdeel kare k AWAM khud uth jayen buraae ko khatam kerney k liye na.kay unn ko majboor kiya jaye.
      "All I have learned from Life is that I know nothing."

      Comment

      • #33

        Aap ki raaye se hameesha itfaaq he hota he mujay...aik musalman ko moderate hona chahiye...islam kabi nahi kehta ke aap deeni taleem hasil karo aur duneyavi taleem choor do...its all about maintaining a proper symetry and balance. islam ke naam pe voilation ho raha he, jo ke katun islami nazar nahi aata...islam to tahamul aur bardasht ka mazhab he, kuch black sheeps hein hamari society mein unhein point out aur eliminate kerne ke liye bhi aik marboot hikmat-e-amli honi chahiye...khair mujay jo bhi nazar aa raha he aisa he lag raha he ke jese islam ki totally misinterpretation ho rahi he...her mulk ke kanoon aur kaiday hotay hein...so let the law enforcement authorities to take the proper action against those who are currupt
        :thmbup:

        Comment

        Working...
        X