:cc:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
*Uran Tashtaree Or Aliens*
Collapse
X
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Originally posted by YAARAMShy main ne to nahi dekhi hain aaj tak.....aur Allah dikhaye bhi nahi..:khi:
wese mere khayal se in cheezoN ka wajood hay.....aakhir kahin koi dekhi hi gayi hay to tabhi yeh batein bani hain.......:)
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Ghalban 1920 key baad jab pur-asrar kahaniyaan likhney ka trend jaari huwa to aisey latadaad kahaniyan likhi gaein hai doosri duniya ki makhlooq key mutaliq. Aur aam tor per unhein zaalim aur wahshi roop mein dikhaya geya hai. Yeh us soch ki akasi karta hai keh ameriki soch mein unkey siwa baqi shayid sari kainaat zaalim aur wehshi hain. Yehi wajah hai keh unki jo shaklein aap ney biyaan ki hain, woh aam rawaaj paa gaee hain. Aur yeh bhi aik pur-asrar hairat ki baat hai keh aisi urran tashtriyaan siraf amerika ya europe hi key elaqon mein nazar aai hain. (Albeta ghalban 1952 ya 62 mein Balochistan mein dawa kiya geya hai keh wahan per urran tashtriyaan nazar aai hain).
Inki haqeeqat?
Mera zaati nuqta-e-nazar yeh hai keh hamari duniya wahid duniya nahin kainaat mein aur kainaat jo is qadar waseeh hai jiskey ham siraf aik chhotey sey koney mein hain. Us mein kahee na khaee koi na koi aur duniya zaroor aabad hai. Ab woh ham sey ziyada ilam-o-baseerat rakhtey hain ya ham un sey aagey hain, yeh aik elag sawaal hai. (Mujhey to zaati tor per aaj tak yaqin nahin keh insaan ney chaand per qadam rakha hai keh nahin - i don't belive it).
Har roz duniya bhar sey radio waves key through message chhorrey jatey hain kainaat mein is umeed per keh kabhi na kabhi kaheen na kaheen sey koi response aaey ga. I think aisa ho ga. Lekin mujhey yaqin hai keh yeh bahir sey makhlooq aaey gi na keh insaan bahir jaey ga.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Masood bhai main bhi nahi manta ke insaan chand par puhancha ho.....:)
aur han aap ne likha ke wo hum se aqal o baseeart ziada rakhte hain to main is ittifaq nahi karta keunke Allah pak ne humain Ashraf-ul-Makhlooqat banaya hay......aqal humare pass bhi bohat hay istimal karne ki baat hay :PAllah
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Pehli baat to yeh pyarey bhai keh aap to meri soch ka doosra hissah ho (woh jo achha wala hai :) ) to aap bhi wohi mano gey to main manta hoon.
Doosri baat yeh keh main ney yeh nahin kaha keh woh ham sey aql-o-baseerat ziyada rakhtey hain, main ney kaha keh "Ab woh ham sey ziyada ilam-o-baseerat rakhtey hain ya ham un sey aagey hain, yeh aik elag sawaal hai".... Insaan ko Allah Tala ney aql aur basarat ka buland tar muqaam bakhsha hai no doubt about it. Lekin yeh bhi to yaqin nahin keh doosri duniya mein basney waley insaan nahin? Mumkin hai woh bhi insaan ho, aur insaan ki bohat advanced satah per hon. Insaan pehley primitive tha phir aahista aahista taraqi karta huwa is muqaam per pohancha hai jo aaj ham jantey hain. Koi nahin janta keh woh doosri duniya mein basney waley ham sey aagey na hon?tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Originally posted by YAARAMMasood bhai main bhi nahi manta ke insaan chand par puhancha ho.....:)
aur han aap ne likha ke wo hum se aqal o baseeart ziada rakhte hain to main is ittifaq nahi karta keunke Allah pak ne humain Ashraf-ul-Makhlooqat banaya hay......aqal humare pass bhi bohat hay istimal karne ki baat hay :P
Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
Universe mein Galaxy hai, Galaxy mein billions of billions stars hain, jisme kuchh stars hamare the Sun se bhi bigger hai, ek sun ke chaaron taraf jab 9 planets ho sakte hain to suraj se bigger jo dusre stars hain zahir hai ke wahan bhi planets honge aur uss planets mein living creature hoga.
Glaxy mein Suraj se bhi bada jo star hai uska naam hai "Sirius"
Allah subhan o ta'ala sirf Earth ke living creature ka Khuda nahin hai balke puri puri kaiynaat (Universe) ka maalik hai. Ho sakta ho ke dusre sun ke planets mein jo living creature hai wo insaano se zyadah intelligent ho.
Ab aap sawal karenge ke hamare astronomer usse pata kyon nahi lagate, to brother Earth ke scientist utne power aur speed se chalne wali space vehicle banaya hi nahin, zyadah se zyadah Mars tak, Naptune, Platu to bahut door Jupiter aur Saturn per bhi space rocket nahin pahunch saka hai.Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: *Uran Tashtaree Or Aliens*
sab se tez "light" ki raftar hai
33000 kilometer per second.
Raat mein timtimatey huwe jo taare dekhte hain those are stars (Stars have its own light, jiski apni roshni hai)
33000 kilometer per second light travels, qyas karen ke 1 minute mein kitna, 1 hour mein kitna, phir 1 day mein kitna doori tai karega.
iss raftar se light 1 year mein jitni doori tai karti hai usse "1 Light Year" kahte hain. kuchh stars ki roshni earth tak pahunchne mein 40 years bhi lag jaate hain...ab sochen ke wo star kitna door hoga.
fig. of Udan Tashtri (Flying Saucer)Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
Comment