Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Javaid Ahmad Ghamidi ??

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
    salam to all
    aal kal javed ahmad ghamdee sahib kaa charcha harr janib hoo rahaa tv walee unn per especial progrrams ker rahee hain
    meree khial main joo loog religious minded hain jesaa kehh Abdul Wahab wohh kisee bheee soorat main Ghamdee sahib koo right nahee bolian geee aorr 2nd side per roshan khial Ghamdee sahib koo right kahain geee
    now who is right
    bhi g jo log hai na roshan khial woh too us ko like karain gay hee kion keh woh un kay mufaad paer pura uterta hai.
    rahi baat kon sahi hai too jis nay allah aur us kay rasool kay hukam kay khilaaf koi fasilah diya woh nafftar kay kabil hai:jazak:
    Fight for Khilafah
    :insha:

    Comment

    • #17
      Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

      Es Thread Ko Close Ker Raha Hoon Khalil Apne Reply kay sath es Thread ko Open kerain Gay Hum un kay Reply ka Wait ker Rahay Hain.......

      or es Thread ko Sticky ker Raha Hoon es liye kay yeh Gum Nahe Ho Khalil kay Reply kay sath es ko Unsticky ker Diya jay ga Insha Allah
      Allah Hafiz
      Last edited by *Roomi*; 10 March 2007, 11:32.

      Comment

      • #18
        Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

        Originally posted by TheMask View Post
        Es Thread Ko Close Ker Raha Hoon Khalil Apne Reply kay sath es Thread ko Open kerain Gay Hum un kay Reply ka Wait ker Rahay Hain.......

        or es Thread ko Sticky ker Raha Hoon es liye kay yeh Gum Nahe Ho Khalil kay Reply kay sath es ko Unsticky ker Diya jay ga Insha Allah
        Allah Hafiz
        Mery yehan behas kerny sy kia aap ghamdi sahib ko Durast maan lain gy?
        i m sure nahi..............kiun k main yeh janta hun k kuch logon k zehnoon per taly pary huy hian....aur ghamdi UNCLR unain kholna chahty hian aur wo loag bus apni wohi farsooda ghair islamic rasmoon main jhakry huy hian aur wo chahty hain k wo KUFAL band hee rahain...................
        aap logon ko ALLAH ka shuker ada karna chayee k GHAMDI sahib kee shakal main aap ko aik aur mufakar mil gia hy jo hum logon k kaano main azaan dy raha hay k khudara apny aap ko tabdeel karo werna doseri qoamin tummain Khas toor per Pakistanion ko tabdeel ker diain gee..aur tumhara naam o nashaan tak na rahy ga..............Reallitay dekhain aur wo bee Ground reallity....
        Thanks for asking me dear Brother Mask and Wahab bhai........
        Main aap kee tukuat per paani phair dia hay aur aap ka koi bee jawab nahi dy sakta...........main to araam sy study k liy ja raha hun aap tention na loo ghamdi UNCLE kee.

        Comment

        • #19
          Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

          Originally posted by Khalil View Post

          hum maan lain gay aap kuch batain too sahi.\
          aik baat aap ki buhat ach lagi keh
          ''main to araam sy study k liy ja raha hun ''
          waqai aap ko buhat zaroorat hai study ki
          aik baat aap nay buhat galat ki mr khalil
          aap nay kaha keh
          '' aap tention na loo ghamdi UNCLE kee''
          hum kion na tention lain kion keh dushman hamary gher tak aa chuka hai.waisay aap ki soch buhat achi hai yani dushman gher tak aa chuka hai aur aap kehtya hain keh tention nahi:clap: i proud of u:fuming:
          aur rahi baat fersoodah zehnoo ki too hum apni behnoo ko beperda nahi dhaikna chahtay .aur na un ko ''naach gana'' kertay dhaikhna chahtay hain.
          main is baat per heeran hon keh ''roshan khial'' log aurat kay raqs ko ''fun'' kehtay hain aur doosroon ki behnoo aur bation ko nachatya hain lakin un ki apnai behnain aur batian gher main bhaiti hai. whyyyyyyyyyyyyy???
          maza too tab jab un ki bhee beech ''meedan'' main ain.
          :jazak:
          Last edited by abdulwahab; 10 March 2007, 12:50.
          Fight for Khilafah
          :insha:

          Comment

          • #20
            Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

            Assalam-o-alaikum
            Agar nagawar na ho to main bhi is bahas main shamil hona chahti hoon.
            Maira point of view yeh hai ke Allah Ta'ala ne deen to Quran ki shakl main naazil kiya hai.Aur chunke yeh aakhri kitaab hai lihaza us ne yeh bhi bandobast kiya hai ke is main koi tahreef na ho,isis liyay Allah ne is ki hifazat ka zimma khud liya hai.Aur yeh wahid hidayat hai jis main kisi qism ki tabdeeli nahin ho sakti,yeh hamara eiman hai.Is ke illawa hadis main bhi tahreef ho sakti hai aur aima-e-arba ki kutab main bhi agar zamana tabdeeli kar de to koi rok nahin sakta.
            Lihaza wahid quran-e-majeed hi wahid ma'akhaz hai darust hidayat ka.Aur quran main Allah ta'ala ne tahqeeq-o-justujoo ka hukm diya hai,lihaza tahqeeq ka rasta band nahin kiya ja sakta aur na hi aap yeh kah saktay hain ke falan alim ne jo kah diya bas wohi darust hai aur us ke siwa saray fitnay hain.Aima-e-arba ne apnay apnay lihaz se tahqeeq ki,laikin iska matlab yeh hargiz nahin hai ke unke paas ma'azalla wahi aati thi is liyay unki har baat harf-e-aakhir hai aur koi doosra yeh haq hi nahin rakhta ke woh tahqeeq karay.
            Agar aima-e-arba ki har baat harf-e-aakhir hoti to un charon ki baton main ikhtalaf na hota.
            Mairay khiyal main agar apko ghamidi ki taqeeq se ikhtalaf hai to aap ki marzi hai laikin aap jo daleel de rahay hain woh ghalat hai.Main ne ghamidi ko ziada nahin parha ya suna so main us ki tahqeeq ke baray main koi rai nahin de sakti laikin yeh ghalat hai ke aap apnay ilawa doosron ko bardasht hi na karain aur unke liyay ghalat alfaz ka istaimaal karain.
            Hamara yeh tarz-e-amal hai jis ne aaj hamain puri duniya main badnam kiya hua hai,ke islam main kisi mukhalifat ko bardasht hi nahin kiya jata.Halanke islam bohat hi khulay dil ka malik deen hai aur is main tahqeeq ka rasta har waqt khula hua hai.
            Main admin sahib se darkhuast karon gi ke yahan kisi ke baray main bhi ghalat alfaz kay istaimal ki ijazat na di jai,aur aisay members kay liyay punishment hona chahiyay.
            Last edited by *Roomi*; 10 March 2007, 16:13. Reason: Allah's A is Capital Always
            Mind Sciences

            Comment

            • #21
              Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

              Originally posted by Khalil View Post
              Mery yehan behas kerny sy kia aap ghamdi sahib ko Durast maan lain gy?
              i m sure nahi..............kiun k main yeh janta hun k kuch logon k zehnoon per taly pary huy hian....aur ghamdi UNCLR unain kholna chahty hian aur wo loag bus apni wohi farsooda ghair islamic rasmoon main jhakry huy hian aur wo chahty hain k wo KUFAL band hee rahain...................
              aap logon ko ALLAH ka shuker ada karna chayee k GHAMDI sahib kee shakal main aap ko aik aur mufakar mil gia hy jo hum logon k kaano main azaan dy raha hay k khudara apny aap ko tabdeel karo werna doseri qoamin tummain Khas toor per Pakistanion ko tabdeel ker diain gee..aur tumhara naam o nashaan tak na rahy ga..............Reallitay dekhain aur wo bee Ground reallity....
              Thanks for asking me dear Brother Mask and Wahab bhai........
              Main aap kee tukuat per paani phair dia hay aur aap ka koi bee jawab nahi dy sakta...........main to araam sy study k liy ja raha hun aap tention na loo ghamdi UNCLE kee.
              Khalil Mani na Mani Bad ki Bat Hai Jab Tarazo kay Aik Palray May Ap ki Batain or Dosray May Hamari Liki howe batain Hongi to Tarazo kis Tarf jhukay ga wo he Dhekna Hai Aik Bat Meri Advice Samaj ker Qabool kerain

              Aik Bat :
              Jab B Haq or Batil ka Farq Ya kesi b Qisam ka Faisla kerna Ho Too Yaktarfa Bat say Faisla Nikalnay walay Be-Waqoof Hotey Hain Lihaza Ap Ghamidi ko b Read Kerain or un ko b jin kay qol ko Ghamidi nay Reject kia

              For Example :
              Ghamidi Sahib ka " Music " Per kia Nazariya Hai or or Baqi Ulma jo un say Iktilaf kertay Hain un ka kia Nazriya Hai or Q Hai To Tab Malom hoga kay kon Haq or Kon Batil Hai .....

              Allah Hafiz
              Last edited by *Roomi*; 10 March 2007, 16:19.

              Comment

              • #22
                Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                Originally posted by zapk7 View Post
                Assalam-o-alaikum
                Agar nagawar na ho to main bhi is bahas main shamil hona chahti hoon.
                Maira point of view yeh hai ke Allah Ta'ala ne deen to Quran ki shakl main naazil kiya hai.Aur chunke yeh aakhri kitaab hai lihaza us ne yeh bhi bandobast kiya hai ke is main koi tahreef na ho,isis liyay Allah ne is ki hifazat ka zimma khud liya hai.Aur yeh wahid hidayat hai jis main kisi qism ki tabdeeli nahin ho sakti,yeh hamara eiman hai.Is ke illawa hadis main bhi tahreef ho sakti hai aur aima-e-arba ki kutab main bhi agar zamana tabdeeli kar de to koi rok nahin sakta.
                Lihaza wahid quran-e-majeed hi wahid ma'akhaz hai darust hidayat ka.Aur quran main Allah ta'ala ne tahqeeq-o-justujoo ka hukm diya hai,lihaza tahqeeq ka rasta band nahin kiya ja sakta aur na hi aap yeh kah saktay hain ke falan alim ne jo kah diya bas wohi darust hai aur us ke siwa saray fitnay hain.Aima-e-arba ne apnay apnay lihaz se tahqeeq ki,laikin iska matlab yeh hargiz nahin hai ke unke paas ma'azalla wahi aati thi is liyay unki har baat harf-e-aakhir hai aur koi doosra yeh haq hi nahin rakhta ke woh tahqeeq karay.
                Agar aima-e-arba ki har baat harf-e-aakhir hoti to un charon ki baton main ikhtalaf na hota.
                Mairay khiyal main agar apko ghamidi ki taqeeq se ikhtalaf hai to aap ki marzi hai laikin aap jo daleel de rahay hain woh ghalat hai.Main ne ghamidi ko ziada nahin parha ya suna so main us ki tahqeeq ke baray main koi rai nahin de sakti laikin yeh ghalat hai ke aap apnay ilawa doosron ko bardasht hi na karain aur unke liyay ghalat alfaz ka istaimaal karain.
                Hamara yeh tarz-e-amal hai jis ne aaj hamain puri duniya main badnam kiya hua hai,ke islam main kisi mukhalifat ko bardasht hi nahin kiya jata.Halanke islam bohat hi khulay dil ka malik deen hai aur is main tahqeeq ka rasta har waqt khula hua hai.
                Main admin sahib se darkhuast karon gi ke yahan kisi ke baray main bhi ghalat alfaz kay istaimal ki ijazat na di jai,aur aisay members kay liyay punishment hona chahiyay.
                thanks baji..........wakee achy logon sy achai kee hee tuwakuat huti hain great...:masha

                Comment

                • #23
                  Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                  Originally posted by TheMask View Post
                  Khalil Mani na Mani Bad ki Bat Hai Jab Tarazo kay Aik Palray May Ap ki Batain or Dosray May Hamari Liki howe batain Hongi to Tarazo kis Tarf jhukay ga wo he Dhekna Hai Aik Bat Meri Advice Samaj ker Qabool kerain

                  Aik Bat :
                  Jab B Haq or Batil ka Farq Ya kesi b Qisam ka Faisla kerna Ho Too Yaktarfa Bat say Faisla Nikalnay walay Be-Waqoof Hotey Hain Lihaza Ap Ghamidi ko b Read Kerain or un ko b jin kay qol ko Ghamidi nay Reject kia

                  For Example :
                  Ghamidi Sahib ka " Music " Per kia Nazariya Hai or or Baqi Ulma jo un say Iktilaf kertay Hain un ka kia Nazriya Hai or Q Hai To Tab Malom hoga kay kon Haq or Kon Batil Hai .....
                  Allah Hafiz
                  jazak ALLAH

                  Comment

                  • #24
                    Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                    Originally posted by abdulwahab View Post
                    hum maan lain gay aap kuch batain too sahi.\
                    aik baat aap ki buhat ach lagi keh
                    ''main to araam sy study k liy ja raha hun ''
                    waqai aap ko buhat zaroorat hai study ki
                    aik baat aap nay buhat galat ki mr khalil
                    aap nay kaha keh
                    '' aap tention na loo ghamdi UNCLE kee''
                    hum kion na tention lain kion keh dushman hamary gher tak aa chuka hai.waisay aap ki soch buhat achi hai yani dushman gher tak aa chuka hai aur aap kehtya hain keh tention nahi:clap: i proud of u:fuming:
                    aur rahi baat fersoodah zehnoo ki too hum apni behnoo ko beperda nahi dhaikna chahtay .aur na un ko ''naach gana'' kertay dhaikhna chahtay hain.
                    main is baat per heeran hon keh ''roshan khial'' log aurat kay raqs ko ''fun'' kehtay hain aur doosroon ki behnoo aur bation ko nachatya hain lakin un ki apnai behnain aur batian gher main bhaiti hai. whyyyyyyyyyyyyy???
                    maza too tab jab un ki bhee beech ''meedan'' main ain.
                    :jazak:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                      Originally posted by zapk7 View Post
                      Assalam-o-alaikum
                      Agar nagawar na ho to main bhi is bahas main shamil hona chahti hoon.
                      Maira point of view yeh hai ke Allah Ta'ala ne deen to Quran ki shakl main naazil kiya hai.Aur chunke yeh aakhri kitaab hai lihaza us ne yeh bhi bandobast kiya hai ke is main koi tahreef na ho,isis liyay Allah ne is ki hifazat ka zimma khud liya hai.Aur yeh wahid hidayat hai jis main kisi qism ki tabdeeli nahin ho sakti,yeh hamara eiman hai.Is ke illawa hadis main bhi tahreef ho sakti hai aur aima-e-arba ki kutab main bhi agar zamana tabdeeli kar de to koi rok nahin sakta.
                      Lihaza wahid quran-e-majeed hi wahid ma'akhaz hai darust hidayat ka.Aur quran main Allah ta'ala ne tahqeeq-o-justujoo ka hukm diya hai,lihaza tahqeeq ka rasta band nahin kiya ja sakta aur na hi aap yeh kah saktay hain ke falan alim ne jo kah diya bas wohi darust hai aur us ke siwa saray fitnay hain.Aima-e-arba ne apnay apnay lihaz se tahqeeq ki,laikin iska matlab yeh hargiz nahin hai ke unke paas ma'azalla wahi aati thi is liyay unki har baat harf-e-aakhir hai aur koi doosra yeh haq hi nahin rakhta ke woh tahqeeq karay.
                      Agar aima-e-arba ki har baat harf-e-aakhir hoti to un charon ki baton main ikhtalaf na hota.
                      Mairay khiyal main agar apko ghamidi ki taqeeq se ikhtalaf hai to aap ki marzi hai laikin aap jo daleel de rahay hain woh ghalat hai.Main ne ghamidi ko ziada nahin parha ya suna so main us ki tahqeeq ke baray main koi rai nahin de sakti laikin yeh ghalat hai ke aap apnay ilawa doosron ko bardasht hi na karain aur unke liyay ghalat alfaz ka istaimaal karain.
                      Hamara yeh tarz-e-amal hai jis ne aaj hamain puri duniya main badnam kiya hua hai,ke islam main kisi mukhalifat ko bardasht hi nahin kiya jata.Halanke islam bohat hi khulay dil ka malik deen hai aur is main tahqeeq ka rasta har waqt khula hua hai.
                      Main admin sahib se darkhuast karon gi ke yahan kisi ke baray main bhi ghalat alfaz kay istaimal ki ijazat na di jai,aur aisay members kay liyay punishment hona chahiyay.
                      Qabza or Elam per kesi ka nahe Ho sakta Lakin Bat Sirf Itni Hai kay 2 x2 = 4 ko koi 2 x 2 = 5 Kahey ga to Wo Darust Nahe Ghamidi ko b Read kerain lakin sath may Dosron ko be Takay Farq malom Ho sakey kesi Alim nay kabi aisa nahe socha jesa ap nay likha hai na kesi nay Qabza kia hai ager hota to en kay pas Elam na Hota

                      Comment

                      • #26
                        Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                        Javed Ahmed Ghamidi Said :
                        For Details : Click Here

                        سوال : آپ کے خیال میں جہاد کی کیا تعریف ہے؟
                        جواب : شریعت کی رو سے ظلم و عدوان کے خلاف کسی منظم حکومت کے تحت علانیہ اقدامِ جنگ جہاد ہے ۔ گویا وہی اقدام جہاد قرار پائےگا جس میں یہ تین شرطیں پوری کی گئی ہوں
                        س١ ۔ اقدام ظلم و عدوان کے خلاف ہو ۔
                        ٢ ۔ منظم حکومت کے تحت ہو ۔
                        ٣ ۔ علانیہ ہو
                        Last edited by *Roomi*; 10 March 2007, 18:12.

                        Comment

                        • #27
                          Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                          Jihad ki Tareef Dheki Ap nay jo Ghamidi Nay ki hai es kay Bad kia Kuch Kehna Baqi Hai ??????

                          Jihad Allah ki Rah May kia Jata Hai Jesa Ghamidi nay Kaha wo 3noo Shartain koi Kafir Mulk Pura keray fir ?

                          Comment

                          • #28
                            Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                            mask bhai kam az kam UN ka sara interview jo site aap ny batai hay dekh lain to shaid ap ko b samaj ajati

                            Comment

                            • #29
                              Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                              Originally posted by Khalil View Post
                              mask bhai kam az kam UN ka sara interview jo site aap ny batai hay dekh lain to shaid ap ko b samaj ajati
                              Ji Brother sara perha hai naaaaa tabi to yeh aik sawal kata hai uder say USA ki Mukalifat may aik line likhnay say wo darust nahe ho sakta Jihad ki Tareef he Ghalt ki hai Kia Quran May Jihad ki Aisi Tareef hai ? Sura Toba Per ker Dhekain kay kia hai es may or Ghamidi kia kehta hai

                              Comment

                              • #30
                                Re: Javaid Ahmad Ghamidi ??

                                سوال : آپ کی بات تو بہت واضح ہے ، لیکن ہمارے علما اس سے بہت مختلف جگہ پر کھڑے ہوئے نظر آتے ہیں ؟
                                جواب : ہمارے علما اپنے علم و فہم کے مطابق کہہ رہے ہیں اور میں اپنے علم و فہم کے مطابق بیان کر رہا ہوں ۔ جس بات پر آپ کا اطمینان ہو ، آپ اسے اختیار کر سکتے ہیں۔

                                Comment

                                Working...
                                X