Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Islam Ki Nazar Mai Aurat Buhat Mazboot Hai.......!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: Islam Ki Nazar Mai Aurat Buhat Mazboot Hai.......!

    assallam_u_allaikum.
    JAISA KEH AP SAB KO MALOOM HAI KEH AAJ KAL HAMARAY PAKISTAN MAIN AORAT KI MAZLOOMIYYAT KA BARA RONA ROYA JATA HAI.AYE ZARA THORA SA SOCHTYA HAIN.
    hamarah sab say bara maslah too yeh hai keh humari koi bhee ''ngo'' ho ya koi bhee channel aur ooper say hamaray ''nam nihaad danashwer'' jo kehtay hain keh aorat bechari bari mazloom hai.kaha jata hai keh is ''muashray'' nay aorat kay saath kabhi acha bertao nahi kiya.
    naray lagaie jatay hain ''haqoq_e_naswan'' kay.kabhi kaha jata hai keh aorat ko jala diya jata hai.phir kabhi kaha jat ahai keh ''mard'' aorat per buhat zulam kerta hai.yeh hai hamaray nam nihad danashwaroon ki sooch aur hamari nam nihaad ''ngos'' ki soach aur phir saathy hee hamaray ''channels'' ki sooch.lakin main un sab say muttafiq nahi hon.
    sab say pehlay yeh aik baat yaad rakhiyae keh ''aaj kay saray mard aur saari aortain jo mil ker aik muashrah banatay hain yeh sab kal aik hee ki aolaad thay yani ''aorat'' kay.
    in sab ki bunyaad aik aorat hee hai.kion keh islaam kehta hai keh
    ''maan ki gaod bachay ki pehli daras gah hai''.yani bachay ki bunyaad us ki maan hee banati hai.jaisay hum kehtay hain keh ''aik building ki bunyaad jab tak mazboot nahi ho gi woh ziada dair khari nahi reh sacti.''
    isi terhaan maan aur bachay ka ta'lak hai.is ki aik misaal daita hon keh
    ''aap jab bhee apnay khandan kay kisi function main jatay hain too wahan bachay bhee hotay hain aur aap yeh bhee dhaikhtay hain keh ''buhat saray bachay begair kisi respect kay her kam kertay hain aur buhat see doosri sharartain bhee kertay hain.lakin 2 ya 3 bachay aisay hotay hain jo keh bilkul chup hotay hain aur doosray bachoon ki taraf bari herani say dhaikhtay hain.yahi bachay jo khamoosh nazar atay hain yahi woh bachay hotay hain jin ki mothers nay un ki terbiyyat ki hui hoti hai.yani in ko sikhaya jata hai keh mehfiloon main kis terhaan bhaita jata hai.yeh too tha aik chota sa ta'raf.
    yani is say aik baat too sabit ho gai keh
    ''aaj kay bachay kal kay jawan hain yani afraad hain chahay woh larka hai ya larki,aur aik muashrah afraad say mil ker banta hai. aur in afraad ki bunyaad aik aorat hai yani maan hai.''
    chaloo in batoon ko hum chor daitay hain kion keh hum buhat ziada jadeed period main aa gay hain.yani hum ''roshan khial'' ho gay hain.chalain aap ko aik angraiz ka qaol bhee suna daita hon
    meray khial say ''napolian bonapart'' kay yeh alfaaz thay
    ''tum mujhay achi mothers doo main tum ko aik achi nation doon ga.''
    woh aik angraiz yeh baat keh raha hai aur hum ko yahi baat 1400 saal pehlay bata di gai yani
    ''maan ki gaod bachay ki pehli daras gah hai.''
    is say yahi baat sabit hoti hai keh aik muashray ya nation ka inhesaar aik aorat yani maan per hee hota hai.
    mager kia kerain keh hamari bechari ''mazloom aorat'' is baat ko manti hee nahi .yani apnay bachoon ki terbiyyat kerti hee nahi aur phir dunia say shikwah kerti hai keh ''aorat too bechari mazloom hai''.
    umeed hai keh aap sab samajh gay hon gay.
    ab baat ati hai keh aorat hee kion mard kion nahi.
    too janab mard too sara din aik janwer ki terhaan kam per laga rehta hai jo subah 7 ya 8 bajay nikalta hai aur raat ko 7 ya 8 bajay ata hai .too bacha too maan kay hee paas raha na.mard ihlay gharana ka ''serbarah hai'' aur mard kay zeemay apnay gher waloon ki tamaam bunyaadi zarooriyaat poori kerna hai.yaad rahay keh bunyaadi zarooriat ka kaha gia hai woh zarooriat nahi jo hum nay khud bana lii hain.yani bari see gari aur buhat bara bangla aur bhee..............
    aorat ki terbiyyat main sirf in chand lines main biyaan karoon ga.
    palna poosna,islami lihaas say terbiyyat,aqaid ko bana.qaidana silahyatain paida kerna.
    mager kia kerain keh hamari aorat bechari apnay hussan ki namaish kiyae bina nahi reh sacti aur apnay bachay ko tiyaar ker kay school bhej daiti hai aur kehti hai keh mera farz too pura hua aur baray fakhar say kehti hai keh
    ''ab main farag hoon aur mujhay job bhee kerni chahiyae''
    aray zalim aorat teri job tera bacha hai jis ki tujh say pooch ho gi'
    main baat ko ziada lamba nahi karoon ga ,likhnay ko too buhat kuch hai lakin abhi sirf itnay per hee iqteefada karoon ga.
    akhar main hazoor muhammad(pbuh) ki aik hadees_e_mubarkah pesh karoon ga jis say aap sab ko haqeeqat ka aur bhee ilm ho ga
    mafhoom
    ''hazoor (pbuh) nay fermaya keh tum main say her koi nighahban hai mard apnay ihla_e_khana ka,aorat apnay husband aur bachay ki,aur hukmaran awaam ka,aur in sab say is kay baray main baaz pars ho gi''
    chalta hon phir milain gay inshaallah
    ager koi sawaal hai zehan main too lazmi poochiyae ga.
    balkeh sawalat to ain gay lazmi.
    allah hafiz.
    Last edited by abdulwahab; 8 March 2007, 21:00.
    Fight for Khilafah
    :insha:

  • #2
    Re: Aorat Mazloom Nahi Hai.

    :rose
    Last edited by ; 11 March 2007, 17:36.

    Comment

    Working...
    X