Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aaj aur Kal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aaj aur Kal

    Apna aaj bhar poor tareekey sey guzaarein
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Aaj aur Kal

    Gul main ney last november aik course kiya hai; Shakhsiyat ki developement ka, uskey aik muqaam per hamari yehi behas hui thi keh insaan apney maazi sey bohat wabasta rehta hai, jo ho chuka ho usmein khoya rehta hai, ya phir aaney waley waqt ki fiker karney lagta hai. Agar sochein to "kal jo beet chuka hai, woh hamarey hath mein nahin; "kal" jo aaney wala hai usper ikhtiyaar nahin; agar hai to hamarey paas hamara AAJ hai to kyun na ham apney aaj ko behtar karein? Maazi bhulaya nahin jaata; mustaqbil maloom nahin - to phir jo hai ussey kyun na seerhi bnaein aik achhey mustaqbil ki???
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Aaj aur Kal

      Sab log kahte to hain "Aaj" jee lo kal kisne dekha...ham bhi dialogue aur taqreeren de dete hain. But Practical mein ham log khare nahin hain, kahte kuchh hain karte kuchh hain. Har koi kal ke baare mein sochta hai,

      Agar kal ke baare mein naa sochen to Science aur Medical itni taraqqi nahin karega, agar kal ke baare mein naa sochen to nayi technic, nayi ta'alim ka ejad hi naa ho, kal ke baare mein naa sochen to hamare youngers brothers sisters sardkon pe khada rahega.

      Haqeeqat yeh hai ke ham kal ke baarey mein sochne se mahroom nahin ho sakte.

      Kal

      Aaj, aur

      Kal

      zindagi is pe tiki huwi hai, iss se agar inkaar karen to saari byanbaazi dil ko bahlane ke liye aur JHOOTI hai.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #4
        Re: Aaj aur Kal

        Gul aap sahi keh rahi hain, kehne ko yeh batain buhut achi lagti hain, magar baat jab practical per aati hai na to aisa nahi hota.. Akser zindagi mei log sochtey hain ke kal ka kya hai kal aayeh gi to dekhi jayeh gi, wo apney Aaj ko bharpoor enjoy kerna chahtey hain, aur kertey hain, magary waqt guzertey hi jab oun ka Aaj' kal ho jata hai aur "Kal " Aaj ban jata hai aur jab hath kuch nahi hota tab sochtey hain ke kash hum ne apna kal barbad na kiya hota aaj ki fiker mei kuch kiya hota to Aaj ous ka phal milta.

        Mei itna kahoon gi "Na to kal aaj se kabhi juda tha aur na kal aaj se kabhi juda ho ga" Jo samjha gayeh wo kuch ker gayeh jo nahi samjhey wo sochtey rahey :)
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Aaj aur Kal

          barg ap ne bohat acha point btaya he lekin serf hamare aaj me jeene se kia hota he jab ham se wabasta log guzre kal or ane wale kal me rehte hon?

          Comment


          • #6
            Re: Aaj aur Kal

            Bohat acha likha hay aapne :)
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Aaj aur Kal

              :) beetay dino'n ki yaado'n ko bula nahin sakhti kum-az-kum main :)


              anywayz achi baataein kahi tum nay :rose


              khush raho :)
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Aaj aur Kal

                Originally posted by Masood
                ...Agar sochein to "kal jo beet chuka hai, woh hamarey hath mein nahin; "kal" jo aaney wala hai usper ikhtiyaar nahin; agar hai to hamarey paas hamara AAJ hai to kyun na ham apney aaj ko behtar karein? Maazi bhulaya nahin jaata; mustaqbil maloom nahin - to phir jo hai ussey kyun na seerhi bnaein aik achhey mustaqbil ki???
                bilkul theek,
                maazi ko bhoolna bhi nahi chahiye kyoon key us sey ham ney kafi kuch seekha hota hai leykin her cheez mey aik tawazun hona chahiye ....agar hamesha maazi ya phir aaney waley kal mey rahein ge to aap ka "aaj" kahan fit ho ga aap ki zindagi mey
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Aaj aur Kal

                  Originally posted by Spy009
                  Sab log kahte to hain "Aaj" jee lo kal kisne dekha...ham bhi dialogue aur taqreeren de dete hain. But Practical mein ham log khare nahin hain, kahte kuchh hain karte kuchh hain. Har koi kal ke baare mein sochta hai,

                  Agar kal ke baare mein naa sochen to Science aur Medical itni taraqqi nahin karega, agar kal ke baare mein naa sochen to nayi technic, nayi ta'alim ka ejad hi naa ho, kal ke baare mein naa sochen to hamare youngers brothers sisters sardkon pe khada rahega.

                  Haqeeqat yeh hai ke ham kal ke baarey mein sochne se mahroom nahin ho sakte.

                  Kal

                  Aaj, aur

                  Kal

                  zindagi is pe tiki huwi hai, iss se agar inkaar karen to saari byanbaazi dil ko bahlane ke liye aur JHOOTI hai.
                  hmm spy
                  mey kuch nahi kahun gi :tauba
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aaj aur Kal

                    Originally posted by Saima Shaheen
                    Gul aap sahi keh rahi hain, kehne ko yeh batain buhut achi lagti hain, magar baat jab practical per aati hai na to aisa nahi hota.. Akser zindagi mei log sochtey hain ke kal ka kya hai kal aayeh gi to dekhi jayeh gi, wo apney Aaj ko bharpoor enjoy kerna chahtey hain, aur kertey hain, magary waqt guzertey hi jab oun ka Aaj' kal ho jata hai aur "Kal " Aaj ban jata hai aur jab hath kuch nahi hota tab sochtey hain ke kash hum ne apna kal barbad na kiya hota aaj ki fiker mei kuch kiya hota to Aaj ous ka phal milta.

                    Mei itna kahoon gi "Na to kal aaj se kabhi juda tha aur na kal aaj se kabhi juda ho ga" Jo samjha gayeh wo kuch ker gayeh jo nahi samjhey wo sochtey rahey :)
                    theek ....in sab ko apas sey juda bhi nahi hona chahiye ...deykhein agar aaj hum ney sab kuch kiya ho to tabhi hamara kal bhi theek ho ga kabhi bhi hum kal ka kaam aaj nahi ker saktey ....
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aaj aur Kal

                      Originally posted by YAARAM
                      Bohat acha likha hay aapne :)
                      Shukrya
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aaj aur Kal

                        Originally posted by shy
                        barg ap ne bohat acha point btaya he lekin serf hamare aaj me jeene se kia hota he jab ham se wabasta log guzre kal or ane wale kal me rehte hon?
                        :) beetay dino'n ki yaado'n ko bula nahin sakhti kum-az-kum main :)


                        anywayz achi baataein kahi tum nay :rose


                        khush raho
                        Mmm...mey soch rahi hun key meyri baatein aksar logon ko samjh kyoon nahi aati hein ..aur ghalti of course meyri banti hai ...khair...
                        Mey kya kehna chah rahi thi
                        Hum aaj aur kal ko hi khatam ker deytey hein ..baat sirf ye hai key i noticed key dunya key log itney dher saarey busy hein --mujhey to her koi bhagta dorhta nazar aata hai ....kisi key paas bhi itna time hi nahi hota key wo thori deyr kaheen ruk ker nature ko appreciate ker sakey...ussey mehsoos ker sakey ... aapna her kaam log bhagam bhagam khatam kertey huye nazar aatey hein .... break fast bhi roads per aur lunch bhi waheen ... ye sab mey ney note kiya isi liye likh bhi liya jo key shayad thora sa ghalt raha key ye wo baat nahi samjha saka aap ko jo mey kehna chahti thi ....
                        aur "kal" aaney wala kal hai ...peechley kal ka to mey ney likha hi nahi ....
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aaj aur Kal

                          Originally posted by barg.e.gul
                          Mmm...mey soch rahi hun key meyri baatein aksar logon ko samjh kyoon nahi aati hein ..aur ghalti of course meyri banti hai ...khair...
                          Mey kya kehna chah rahi thi
                          Hum aaj aur kal ko hi khatam ker deytey hein ..baat sirf ye hai key i noticed key dunya key log itney dher saarey busy hein --mujhey to her koi bhagta dorhta nazar aata hai ....kisi key paas bhi itna time hi nahi hota key wo thori deyr kaheen ruk ker nature ko appreciate ker sakey...ussey mehsoos ker sakey ... aapna her kaam log bhagam bhagam khatam kertey huye nazar aatey hein .... break fast bhi roads per aur lunch bhi waheen ... ye sab mey ney note kiya isi liye likh bhi liya jo key shayad thora sa ghalt raha key ye wo baat nahi samjha saka aap ko jo mey kehna chahti thi ....
                          aur "kal" aaney wala kal hai ...peechley kal ka to mey ney likha hi nahi ....
                          oohh achaa to aap en ye poocha tha :tauba haan theek kaha ke sab bhaag rahe hen lekin shuker me kahin nahi bhaag rahi hoti haan sab ko bhagte huey dekhti hun bzy shzy logon ko to pareshan ho jati hun bas :embarasse

                          Comment

                          Working...
                          X