:)
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~RoshaN vs TareeK~*~
Collapse
X
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Very nice Shy. Main iska jawab apney bhai sey pooch kar post karoon ga :D :D :D
Nahin InPage mein likh kar post karoon ga. Itna kehna chahta hoon, keh aap key dimagh key keerey bohat zabardast kaam kar rahey hain aaj kal :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Jahan tak meyra apna tajruba hai sab depend kerta hai key aap ki company kaisi hai, kis tarhan key Mahaul mey aap reh rahey ho, kis tarhan ki soch rakhney waley aap key kareeb hein,
to phir aap ki fitrat per in sab cheezon ka bohot had tak asar hota hai
leykin kuch log mey ney bohot ajeeb deykhein hein --kabhi na badalney waley --aeysey log khush rehna chahtey hi nahi isi liye her baat unhien ulti nazar aati hai" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Originally posted by MasoodVery nice Shy. Main iska jawab apney bhai sey pooch kar post karoon ga :D :D :D
Nahin InPage mein likh kar post karoon ga. Itna kehna chahta hoon, keh aap key dimagh key keerey bohat zabardast kaam kar rahey hain aaj kal :)
or ye kin keeron ka ziker:cc:
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Originally posted by barg.e.gulJahan tak meyra apna tajruba hai sab depend kerta hai key aap ki company kaisi hai, kis tarhan key Mahaul mey aap reh rahey ho, kis tarhan ki soch rakhney waley aap key kareeb hein,
to phir aap ki fitrat per in sab cheezon ka bohot had tak asar hota hai
leykin kuch log mey ney bohot ajeeb deykhein hein --kabhi na badalney waley --aeysey log khush rehna chahtey hi nahi isi liye her baat unhien ulti nazar aati hai
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Originally posted by ForumAdminFitr'atan na shukrey hotey hain aisey loag ..!! Aur main unhi main sai aik hoon :)
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Originally posted by shybaba g aap pleejjjj apni aenak change kar lein na:tauba esi aenak lgaen jis se duina kabhi kabhi kuch kuch roshan bhi nazer aey na,pleejjj:blush:
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Well I think insan ke mahol aur fitrat ka is mei buhut dhakal hota hai ..
Zindagi ka roshan pehloo to he koi dekhta hai aur dekhna chahta hai, magar akser insan zindagi ke liyeh musbat andaz mei sichtey hain magar jab wo koi thokar khatey hain aur zindagi ki talkhian jheltey hain, tab depend kerta hai ke koi waqiya yaan hadsa insan ki soch, jazbat yaan sahksiyat per kis hadth tak asar andaz hota hai....... ousi asar ke tehat insan ki soch manfi yaan musbat hoti hai aur woh aainda zindagi mei bhi wesa sochta hai.
Magar akser yeh insan ki choice per nahi hota akser insan ke samney halat-o-waqiyat aisey hotey hain ke insan chahtey huwey bhi musbat nahi sochta hai.
Is mamley mei main sahi hoon yaan galat i dont know, magar itna hai ke shuroo se hi dosro ke experience ke negative results dekh ker mei oun baton aur oun chizo se dour rahi, yeh sochey bagair k ho sakta hai ke her kisi ke sath galat na ho. Aur rahi baat apni zindagi mei zaati experince ki to mei her chiz ke musbat aur manfi dono pehlo'on ko zehan mei rakhti hoon, magar jis chiz se ek baar negative result baramad ho ous ke barey mei meri soch humesha negative rehti hai.sigpic
Comment
-
Re: ~*~RoshaN vs TareeK~*~
Shy very nice article
aap ne jo dusre pehloo zikr kiya hai wo lagbhag sab ke saath nahiin hai ke har negative sochne wala aadmi kisi negative hi advise karega. Ho sakta ho ke achhe ya burey ki pehchan ho usse, future ka calculated result wo already jhel chuka hai tabhi wo aisa batata hai.
Insaan jo hamesha roshan khyal hota uske hisse mein bhi tareeki aati hai jo tareek khyal mein rahta hai unke bhi zindgi mein roshani lamhe aate hain.
Hamey dono pahloo'on ko soch kar chalna chahiye ke iska result kaisa hoga. Haan jiss chiz mein mujhe negative result milta hai phir mein uski taraf dekhta bhi nahin.Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
Comment