Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

    :Qasim: aap ki engagement ka sun ker ham sab ko bhi bohot khushi hui
    aap ko bohot Mubarak ho :rose (Y)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #17
      Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

      hmmm......jahan tak mujhey yaad padta hai...meine apni aj tak ki zindagi mein koi bhi zaberdasti ki shadi nhi daikhi....:)
      Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
      Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
      Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
      Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha

      :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

      Comment

      • #18
        Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

        Originally posted by barg.e.gul
        :Qasim: aap ki engagement ka sun ker ham sab ko bhi bohot khushi hui
        aap ko bohot Mubarak ho :rose (Y)
        Salaam

        Bohot shukria janaab :phool:

        Qassim Mirza :Qassim:

        Comment

        • #19
          Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

          Originally posted by SaPpHiRe

          Thanx Sapphire for sharing such a though-provoking and attention grabing topic with us, which surely needs an adequate attention of our society and law enforcement authorities.

          When someone is pushed to marry an unwanted person is simply an abuse or burtality. Since my childhood, my ears have frequently been smacked with the quacking news of forced marriages, which is quite inhuman. Depriving of the youngers to their basic Islamic as well as social rights and forcing them to make an uneven and unwanted match is quite a pathetic act and should be condemned as strongly as possible. If we have a profound look over the matter, we vividly find that the so-called ego of elders, their orthodox believes, stupid customs and illitracy are some of the raw material that have been providing a thorough boost to prop up the absurd propensity of forced marriages. Upon considering rashionally, we find the depression, anxiety, disparity, and sometimes aggression are the end products of forced marriages. I think we, "the youngers" can't do much in this regard to make our elders realize in order to bring about a revolutionary but healthy change in our society. But i think we should spread awareness regarding this social violance among the masses with a hope that everything would be on the right lane with the passage of time. Hope for the best :rose
          :thmbup:

          Comment

          • #20
            Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

            Zaberdasti ki Shadiyan....

            hamaray mashray ki aik aam si riwayat .. bay jor aur zaberdasti ki shadiyan .. khilonay tau walidain bachon ki pasnad k khareetay hain lakin shadi k mamlay main ager bachy apni pasnad ya na pasnad zahir karain tau wo aana ka masla ban jata hay .. ye tau tasveer ka aik rukh hay
            lakin youn bhi tau ho sakta hay k walidain bachon ki behtari k liya zaberdasti ki shadi kerwana chah rahay hoon .. un ki tajarba kaar nigahon nay wo daikh liya ho jo bachon ki na tajarbakar nigahain nahi dekh sakteen ..

            kabhi jeet walidain ki hoti hay aur kabhi aulaad ki .... aur asal sirf ye hay k jis ki qismat main jo likha hay wo us ko milna hay

            aisa koi waqya meray samnay tau nahi hoa bas suna hay k aisa hota hai ...

            lakin jab haan ker hi di chahay zaberdasti tau us ko nibhana ferz banta hay
            aur jahan tak baat hay k zaberdasti ki shadian nakaam hoti hain ya kamiyab tau is main 50 - 50 chance hay jaisay k normally shadion main hota hay depend kerta hay jis ki shadi hoi hay ager tau wo usay Allah ki raza aur apna naseeb jan k raazi ho jay aur apnay life partner k saray haqooq sahi say aada karay tau kamiyabi hi kamiyabi hay yahan bhi aur wahan bhi .. lakin ager aisa na ho tau na kami hi nakami hay
            Last edited by Zindagi; 11 September 2005, 16:22.
            To free us from the expectations of others, to give us back to ourselves--there lies the great, singular power of self-respect.
            Joan Didion

            Comment

            • #21
              Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

              Originally posted by Zindagi
              Zaberdasti ki Shadiyan....

              hamaray mashray ki aik aam si riwayat .. bay jor aur zaberdasti ki shadiyan .. khilonay tau walidain bachon ki pasnad k khareetay hain lakin shadi k mamlay main ager bachy apni pasnad ya na pasnad zahir karain tau wo aana ka masla ban jata hay .. ye tau tasveer ka aik rukh hay
              lakin youn bhi tau ho sakta hay k walidain bachon ki behtari k liya zaberdasti ki shadi kerwana chah rahay hoon .. un ki tajarba kaar nigahon nay wo daikh liya ho jo bachon ki na tajarbakar nigahain nahi dekh sakteen ..

              kabhi jeet walidain ki hoti hay aur kabhi aulaad ki .... aur asal sirf ye hay k jis ki qismat main jo likha hay wo us ko milna hay

              aisa koi waqya meray samnay tau nahi hoa bas suna hay k aisa hota hai ...

              lakin jab haan ker hi di chahay zaberdasti tau us ko nibhana ferz banta hay
              aur jahan tak baat hay k zaberdasti ki shadian nakaam hoti hain ya kamiyab tau is main 50 - 50 chance hay jaisay k normally shadion main hota hay depend kerta hay jis ki shadi hoi hay ager tau wo usay Allah ki raza aur apna naseeb jan k raazi ho jay aur apnay life partner k saray haqooq sahi say aada karay tau kamiyabi hi kamiyabi hay yahan bhi aur wahan bhi .. lakin ager aisa na ho tau na kami hi nakami hay
              Dil ko lagti he baat bakri ki :D

              Well said Zindagi...aap ki her baat agreeable he :clap:
              :thmbup:

              Comment

              • #22
                Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                hmm jabri shadiyon ki do soorat ho sakti hain
                aik ye k maa baap zabardasti karwa dain
                dossrey aulad apni zabradsti walaedain par thopain

                dono sooraton main talkhiyaan janam leyti hain magar jis tarah zindagee ji ney kaha maan baap aulad ka acha sochtey hain magar aulad samjh nahi pati, dosri taraf baz aukat maa baap bey jaa ana kartey hain magar...waqt k sath sath dono hi SAMJHOTA kar leytey hain aur yehi zabardasti ..khushi main badal jati hey.

                lekin jo bat aap ney kahi k maar peet kar haan karwayi jati hey to aisa to bohat hi daqyanoosi mahool main hota hey k jabar main iss hadh tak koyi aa jaye aur iss qisam k jabar ka nateeja kabhi acha nahi nikalta....aur aisey mahool main koi larki to larki...larka bhi koyi action nahi ley sakta jahan k loag baat cheet sey masla hal karney k bajaye maar peet ko masley ka hal samjhtey hoan.
                Last edited by kanwal; 12 September 2005, 07:18.

                Comment

                • #23
                  Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                  Originally posted by kanwal

                  Aap shayad zabardasti ki shadi ki definition galat ker gai hein. Ager aulad apni merzi zabardasti waldain per thoompein to is ka matlab yeh nahi ke yeh forced marriage ke zumray mein aa jati he, its quite another thing
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24
                    Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                    Originally posted by munda_sialkoty

                    :) sahi kehtey hain aap merey bhai....

                    magar main ney aupar kaha hey k zabradsati ki shadi ki do sooratain hain....
                    aur ye waqyee dosri soorat hey.
                    yahan hamara topic pehli soorat hey yani walaidain ki zabradsti auald par....

                    aur main ney aagey chal kar issi par comments diye hain .:)

                    Comment

                    • #25

                      Lekin doosri soorat ko mein zabardasti mein catagorize nahi kerta, bulke apni pasand ki shadi kerna her balig larkay aur larki ka haq he, it shouldn't be mingled.
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                        Originally posted by munda_sialkoty
                        Lekin doosri soorat ko mein zabardasti mein catagorize nahi kerta, bulke apni pasand ki shadi kerna her balig larkay aur larki ka haq he, it shouldn't be mingled.
                        sahi kaha , islam ki rou sey har aqil o baligh ka haq hey k wo apni pasand sey nikah karey magar hamarey moashery main koun ab ye haq tasleem karta hey ?
                        jo loag apni pasand sey shadi kartey hain aur unkey parents iss par raazi na hoan to wo parents to yehi kehtey hain k bachon ki zid par zabardsati kar di :)
                        bahar hal sab ki apni apni soch hey .

                        Comment

                        • #27
                          Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                          Bhai Shaidi Zabardasti ki hu ya Arrange..... zindagi ki aazadi chin jati hey.... huhhhh.... abhi kitney aazad hein ham .... baad mein tu baas .... khair .... mozeh k lehaaz se Zabardasti... wala lafz waqai kuch sahi nahi hey....

                          Baqi rohein tu aasmano se likhwa kar aaya karti hein.....

                          Kitna sar phor lein man cahey se nahi hu sakti... aur kahin kitni zabardasti kar li jaye ya kitna ahtejaaj karliya jaye huti wahin hein.....

                          tu janab ab tehrey kam aqal log aap logo k replies parhey achey lagey

                          Keep It up.....

                          Comment

                          • #28
                            Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                            Congractulations Sapphire ..:rose :rose

                            Comment

                            • #29
                              Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                              Originally posted by aik_lerki
                              Congractulations Sapphire ..:rose :rose
                              :tauba Yeh loog hotay hein doosron ki mehnat per paani phairnay walay...post perhi nahi aur congratulation :khi:

                              Bunda in se poochay ke Sapphire ki Suzuki Maruti inaam mein nikal aai he jo congratulation keh rahi hein aap :D

                              Topic serious he, ghoor talab he, aur is se barh ke jawaab talab bhi he, aankhein khool ke post aik baar phir perhein aur apni aaraa se nawaazein...shuNNNkriya :D
                              :thmbup:

                              Comment

                              • #30
                                Re: Post of the Week--Zabardasti ki shadiyaan

                                Originally posted by munda_sialkoty
                                :tauba Yeh loog hotay hein doosron ki mehnat per paani phairnay walay...post perhi nahi aur congratulation :khi:

                                Bunda in se poochay ke Sapphire ki Suzuki Maruti inaam mein nikal aai he jo congratulation keh rahi hein aap :D

                                Topic serious he, ghoor talab he, aur is se barh ke jawaab talab bhi he, aankhein khool ke post aik baar phir perhein aur apni aaraa se nawaazein...shuNNNkriya :D
                                yeh aik serious topic hai
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X