Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Groups and Tribes

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Groups and Tribes

    Assalamo 3leikum wa rehmatuAllah he Wabaraktuhu...

    Dosto ajj say chand din pehlay , mere ek bohat hi achi dost jo kay yahan admin bhee hayien unhon nay , mujh say ek sawal pocha tha , kher may apni basat kay mutabik sawal ko jitna samjh saka , uska jawab unhien direct deny ki bajay , may yahan post kar raha hoon , kiu kay agar iss say mere mazeed ya kisi or ki rehnumai ho saky , tu iss say achi bat kia hay , Kia pata Allah ko konsi Ada pasand aa jay , Ameen

    Question from her: Hum log groups may kiu taqseem hayien , kia Allah Tala iss ki ijazat dety hayien... ?

    Answer: iss kay jawab kay silsay may , pehlay may Quran ki ek ayah , attach karon ga , or phir samjhnay ki kosish karon ga kay mere nazdeek iss bat ki hakeekat kia hay..

    Urdu / Arabic :




    English:[49:13]

    Mere Nazdeek:

    Jiss tarh kay har koom or Qabeelay ka apna nizam , apnay , aqaiad , apnay rasmo rawaj or dekhnay ka andaz hota hay , iss cheez kay pesh e nazzar , Allah Jal wa Jalal , nay insonon ko mukjtalif kabeelon or komo may tabeel kar dia , kiu kay Allah had cheez per kadir hay , usay geeb ka ilam hay , woh bari hikmat wala hay , Ayen mumkin tha , agar yeh kadam na uthya jata tu , loog appi tasadum ka shikar ho jaty , Mukhtalif iqdar ki waja say YA phir yeh samjh na a pata kay , kon kia kar raha hay , or kia drust hay...

    Issi trah may , kisi khas firkay ya Group ko nishana nahee bana raha , per may Isay bhee sara sar Allah ki koi mashlehat he karar doon ga , kay hum Log , mukhtalif groups may taqseem hayien , Like , Sunni , Sheea , Wahabi , or diobani. Kia theek hay ya kia , Galat , may uss per kadir nahee , per may iss bat say hargiz gafil nahee , kay Kiynat ko banay wala iss cheez say gafil nahee hay woh har cheez per qadir hay...

    ek or wakiya yahan , pesh karon ga , pura tu yadd nahee , per kuch youn tha...

    Hazar Muhammad(PBUH) nay ek dafa Hazrat Ali (RA) say farmaya tha "Ay Ali , tumhari waja say 70 (or 40 im not sure) , groups , jahanm may jayien gay" (muaf kijay ga pura wakiya yadd nahee, agar kisi bhai ko yadd ho tu qoute kar day)

    Kehnay ka matlab yeh tha , kay aaj say 14 so sall pehlay , bhee Allah kay Mehboob (PBUH) ko yeh bat pata thi , kay mustabil may log gropus may bat jayien gay..

    My kisi grouping kay haq may nahee , per phir bhee hum kisi na kisi ek Immam kay treka kar ko follow kar rahy hoty hayien , Yeh farmiya gia hay kay , "Bay shak deen may koi jabar nahee" . or ek or jaga kaha gia , "Tumhara deen tumhary liay , Mera deen mere Liay", iss ki roshni may yehi bat keahi ja sakti hay , kay apnay apnay firkay may rehty huay , hum apnay apnay treeka kar say chalnay kay liay azad hayien , or humien ek dosary kay aytakad ka kisi had tak andaza hay, Jo kay kisi had tak sakoon ki zamin hay, warna har shaks shyad issi , preshani may mubtala rehta kay , mere sab sathi different cheezon per belive karty hayien , or kon sahi hay kon galat , so uss ki puri umar issi chakr may guzar jati. (firkon per tanqeed ek dosra topic hay , JO MERA MARKIZ E BEHAS NAHEE, OR NA HI MAY KABHEE KARON GA......)

    Allah bara maff karnay wala or reham karnay wala hay , Agar mere say kisi kisam ki galti , ya kami beshi ho gai ho , tu dua karta hoon Allah say kay maff farmay.

    Note: May koi Alam nahee , lakin jo kuch may samjh saka may nay bata dia , Mere bhapoooooor khwaish hay , kay agar may kahien Galt hoon tu mera koi doooooooost mere Rehnumai karay , YA , iss bat ko mazeed waziya karnay may kosish karay , ta kay hum sab ko samjnay may madad milay...

    asalam o 3likum wa rehmatullah hi wabarakatuho..




  • #2
    Re: Groups and Tribes

    bohot ache tareeke se jawaab dea hai...:jazak: :)
    sigpic


    Comment


    • #3
      Re: Groups and Tribes

      Aap ney QABEELEY, QOM aur FIRQEY key farq ko nahin samjha aur iski tayid min Quran ki aayat dey di hai... Jis Aayat-e-Kareema ka hawala aap ney diya hai uskey mafhoom ka itlaaq us sawaal per nahin hota jiska jawab aap ney deney ki koshish ki hai .... Mohtaram yeh koi pacheedah masla nahin keh QABEELEY, QOM aur FRIQEY key farq ko na samjha jaey.

      Qabeeley qudrat ki janib sey hain magar firqabandi ALLAH ki janib sey nahin - Na'aooz-o-billah. Is mein qat'ii koi shak nahin keh jo hota hai, usmein kuchh na kuchh hikmat hoti hai - magar yeh jawaab nakaafi aur be'buniyaad hai!!!
      Last edited by Masood; 16 February 2007, 02:48.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Groups and Tribes

        Aik aaya ka terjma he

        "Aur Allah ki rasi ko mazbooti se thamay rakho, aur tafarkay mein na paro"

        Hope this aaya is relevant to your answer. Is se hamein yeh bhi pata chalta he ke Allah Taalah ne hamein Firkon se door rehnay ka hukam diya he
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Groups and Tribes

          Originally posted by Masood View Post
          Aap ney QABEELEY, QOM aur FIRQEY key farq ko nahin samjha aur iski tayid min Quran ki aayat dey di hai... Jis Aayat-e-Kareema ka hawala aap ney diya hai uskey mafhoom ka itlaaq us sawaal per nahin hota jiska jawab aap ney deney ki koshish ki hai .... Mohtaram yeh koi pacheedah masla nahin keh QABEELEY, QOM aur FRIQEY key farq ko na samjha jaey.

          Qabeeley qudrat ki janib sey hain magar firqabandi ALLAH ki janib sey nahin - Na'aooz-o-billah. Is mein qat'ii koi shak nahin keh jo hota hai, usmein kuchh na kuchh hikmat hoti hai - magar yeh jawaab nakaafi aur be'buniyaad hai!!!

          Jaysa kay may nay pehlay bhee kaha kaha , kay iss maslay ko may iss nazriay say dekhta hoon , or koi zarori nahee jo may sochta hoon , sab theek hi hoo , isay post karnay ka matlab hi yehi tha kay , iss Nakafi or Baybuniyad jawab ko , sahi kar kay ap log agay furthr sab tak pohnchieyn ta kay sab ki rehnumai ho saky...


          Comment


          • #6
            Re: Groups and Tribes

            Originally posted by ajnabee View Post
            Jaysa kay may nay pehlay bhee kaha kaha , kay iss maslay ko may iss nazriay say dekhta hoon , or koi zarori nahee jo may sochta hoon , sab theek hi hoo , isay post karnay ka matlab hi yehi tha kay , iss Nakafi or Baybuniyad jawab ko , sahi kar kay ap log agay furthr sab tak pohnchieyn ta kay sab ki rehnumai ho saky...
            Yeh baat to ham jantey hain keh har insaan aik Aadam aur aik Hawa ki aulad mein sey hain. Aadam aur Hawa ki aulad ko duniya mein bikher jaaney ka hukm huwa takeh Khuda ki duniya bsaii jaa sakey. Jab insaan ney mukhtalif elaqon ka rukh kiya to wahan per aik society (aik muashra banta geya), yehi muashraa phir insaan ki pehchan bana jissey ham Qabeela kahein gey, jab qabeeley ta'adad mein bhartey hain main aik khitey mein hi hotey hain aur mil ker apney nizaam ko chalatey hain to ussey aik qom kaha jaey ga - qom sey phir mulk bantey hain - yehi aik fitrati taqseem hai insaniyat ki jis sey insaan ki pehchaan hoti hai aur jis aayat-e-Kareema ka hawal aap ney diya hai, uska ishara isi taraf hai.

            Islam sey pehly Arab mein jaggah jaggah per beshumar qabeeley they magar un sab ko aapis mein jorrney wala Deen hai. Deen mein phir group bandi karney ko ham firqa kehtey hain aur ISI firqey sey Allah Tala ney hamein baaz rehney ko kaha hai aur farmaya hai keh

            "Allah ki rassi ko mazbooti sey thaam aur firqon mein na parro"

            aik doosri jaggah Hukm-e-Khuda hai keh:

            "Tehqeeq woh log jinhon ney tafarqa kiya aur firqey firqey ho gaey, tujhey unkey barey mein koi ikhtiyar nahin, unka muamla Khuda key hazoor pesh hai aur Khuda unkey af'aal sey khaber dey ga"

            Ham ney Islam ko jin firqon mein baan diya iska AJJAR hamein Allah hi dey ga hamari apni aqlein to maand hoti jaa rahi hain keh Allah key sabaq ko bhooley bethey hain...
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            Working...
            X