Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

hamari sooch aisi kayoun hai ...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • hamari sooch aisi kayoun hai ...?

    assalamalikum

    main sooch rahi the kay aksar members buhat achi achi postings kartay hain lekan jab un kay thread pay koi replay na karey to woh yeh samjahatay hain hamaray thread ka haq ada nahi hova ab ham postings karain gay hi nahi waghera waghera ......ham nay agar koi achi cheez post ki to usay jis nay bhi paraha woh bhi to aik bari baat hai na :) kisi nay usaye paraha hoo ga us pay amal kia hoo ga ...yeh bhi hoo sakta hai us nay us thread main replay na kia hoo to ham yeh samjahatay hain kay hamarai mehnat hizaya hoo gai .....aisa sooch nahi reakhni chaye :) buhat say loog achi post ko parh kay us say istafada hasil kartay haian ..un main say aksar reply nahi kartay ya kar nahi patay kisi bhi waja say ......
    agar koi app kay thread main good post ya best post likh daye sirf yeh barai baat nahi hoti ..aap nay apna pegham dosroun tak pounchaya yeh bari baat hai :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

    Agreed Aachal :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment

    • #3
      Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

      haan bilkul sahi kaha anchal yehi soch honi chaey :) wese me bhi yehi soch kar thread likhti or parhti hun ke ham sab kuch acha seekhen or acha sikhaen aik dusre ko. :)

      Comment

      • #4
        Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

        Bohat achi soch hai aapki........
        Allah

        Comment

        • #5
          Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

          Aanchal bohot saarey aeysey "kyoon" hotey hein jin ka koi jawab nahi hota.

          Originally posted by Aanchal
          agar koi app kay thread main good post ya best post likh daye sirf yeh barai baat nahi hoti ..aap nay apna pegham dosroun tak pounchaya yeh bari baat hai
          yep :thmbup:
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

            Originally posted by barg.e.gul
            bohot saarey aeysey "kyoon" hotey hein jin ka koi jawab nahi hota
            Drust kaha hai aap ney Gul.
            Main ney jab forums peh likhna shuru kiya to meri shairi aur mera shairana intikhaab bohat log parhtey they. Magar jab main ney nasr likhni shuru ki aur meri nasr as u all know bohat talkh hoti hai to kam kam log hi parhtey. Main dil-bardashta huwa tha magar phir jab socha keh main apna kaam kis maqsad key liye karta hoon, main to siraf apni baat kehna chahta hoon takeh log ussey parhein aur us per agar chahein to apna nuqta-e-nazar pesh karein. Agar main likhoon ga hi nahin to log parhein ge kaisey? Phir main ney is baat ki fiker kiyey bghair keh kon parhta hai kon nahin to likhta raha.....

            To meri advise yehi ho gi tmaam likhney walon ko; yeh mat socho keh kon parhta hai, jo online hai woh zaroor nazar sey guzrey ga. Siraf apni soch ko samney lao.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

              Buhut achi baat samjhai hai aap ne Anchal!
              Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

              Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

              Comment

              • #8
                Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                Thread Post Keroo Sirf Yeh Soch ker k Zaida say Zaida Members is say Istifada Hasil ker sakain Apne Shan or Apna Naam Bananain k liye Jo kam kerta hai to wo kabi kamiyab nahe Hota Hamesha Yaad Rakhain k Kamiyab Hona hai to Suche Dil say or Niyat e Kalos k sath Kam kerian or yeh soch ker k es say Members ko Faida Ho ga :)

                Comment

                • #9
                  Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                  Walaikum Asslam & Asslam O Alaikum,

                  Anchal tumhari soch bohat achi hai par baat kuch kitabi si lagi mujhey:) .!! Insani fitrat is soch ko nahi manti ..!! Jab bhi koi naya topic koi member lagata hai to wo yehi sochta hai kai zayda sai zayda replies mujhey milein ham in sab sai request sai to ker saktey hein kai kotahion ko da'rguzar kerein par in sab ki soch nahi badal saktey .!! Haan theek kaha tum nai kai karna aisey hee chayeh jasey bata rahee ho par hota aisey nahi hai ye tum bhi janti ho main bhi janta hoon bas aisey members sai yehi darkhwast hai kai pls tolerate kerein ..!! Main nai bohat sai forums dekhein hain bohat si diff nationalities ki bohat si diff baatein bhi parhi hain jo mera criteria hota tha yaa hai wo ye tha kai pehley doosron kai threads per jao un par replies kero aur phir akhir main apna koi thread lagao kai loag tumhein samajh kar tumhein parhney aein :) n e ways took so long i guess me n my big mouth nice one achi baatein kerney lagi ho :) jeeti raho Waslam

                  Comment

                  • #10
                    Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                    Originally posted by Aanchal
                    assalamalikum

                    main sooch rahi the kay aksar members buhat achi achi postings kartay hain lekan jab un kay thread pay koi replay na karey to woh yeh samjahatay hain hamaray thread ka haq ada nahi hova ab ham postings karain gay hi nahi waghera waghera ......ham nay agar koi achi cheez post ki to usay jis nay bhi paraha woh bhi to aik bari baat hai na :) kisi nay usaye paraha hoo ga us pay amal kia hoo ga ...yeh bhi hoo sakta hai us nay us thread main replay na kia hoo to ham yeh samjahatay hain kay hamarai mehnat hizaya hoo gai .....aisa sooch nahi reakhni chaye :) buhat say loog achi post ko parh kay us say istafada hasil kartay haian ..un main say aksar reply nahi kartay ya kar nahi patay kisi bhi waja say ......
                    agar koi app kay thread main good post ya best post likh daye sirf yeh barai baat nahi hoti ..aap nay apna pegham dosroun tak pounchaya yeh bari baat hai :rose
                    Bohat achi baat ki hai aapnay Aanchal jee per aksar aisa hota hai ke reply karnay ko alfaaz nahi miltay khaas kar meray saath yeh masla hamesha rehta hai.anyways good thought.

                    Take care
                    Allah-hafiz

                    Comment

                    • #11
                      Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      assalamalikum

                      main sooch rahi the kay aksar members buhat achi achi postings kartay hain lekan jab un kay thread pay koi replay na karey to woh yeh samjahatay hain hamaray thread ka haq ada nahi hova ab ham postings karain gay hi nahi waghera waghera ......ham nay agar koi achi cheez post ki to usay jis nay bhi paraha woh bhi to aik bari baat hai na :) kisi nay usaye paraha hoo ga us pay amal kia hoo ga ...yeh bhi hoo sakta hai us nay us thread main replay na kia hoo to ham yeh samjahatay hain kay hamarai mehnat hizaya hoo gai .....aisa sooch nahi reakhni chaye :) buhat say loog achi post ko parh kay us say istafada hasil kartay haian ..un main say aksar reply nahi kartay ya kar nahi patay kisi bhi waja say ......
                      agar koi app kay thread main good post ya best post likh daye sirf yeh barai baat nahi hoti ..aap nay apna pegham dosroun tak pounchaya yeh bari baat hai :rose
                      arey nahi nahi aisa tho nahi hay humy tho billkul bhi bora nahi lagta agar koi reply na karay balkey acha lagta hay
                      wasalaam..

                      Comment

                      • #12

                        Threads Post Honay Chayeen es Niyat say kay Hum nay Knowledge Convay kerni hai na kay apni zat ki shurat k liye:)

                        Comment

                        • #13
                          Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                          Baat siraf etni hay k hum sirf apni qadar kerty hain kisi aur kee nahi aur en main me khudh bee shamil hun...................humain dosron kee mehnat bee sahrani chayee.takay wo humain bee jawab achy andaz main dain.

                          Comment

                          • #14
                            Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                            Originally posted by Zindgi View Post
                            Baat siraf etni hay k hum sirf apni qadar kerty hain kisi aur kee nahi aur en main me khudh bee shamil hun...................humain dosron kee mehnat bee sahrani chayee.takay wo humain bee jawab achy andaz main dain.
                            wah kia baat kahi aap ney:thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: hamari sooch aisi kayoun hai ...?

                              Originally posted by Nisa* View Post
                              arey nahi nahi aisa tho nahi hay humy tho billkul bhi bora nahi lagta agar koi reply na karay balkey acha lagta hay
                              wasalaam..
                              again another ghera murda zinda kia hay app ney
                              why?
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment

                              Working...
                              X