Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Ta'ateel key Din

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ta'ateel key Din

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo allaikum

    Aaj mujhey maloom huwa hai keh Pakistan mein Kashmir Day manaya jatah hai. Aap sab sey request hai keh yahan per har us din ka andraaj kiya jaey jo hamarey mulk mein ba'tor-e-taateel manaya jata hai....

    Kashmir Day
    Eid Day (kitni chutiyan hoti hai?)
    23. March
    14. august
    Iqbal Day
    Yom-e-difaa
    Quaid Day
    ...
    (mazeed???)

    Official holidays in Pakistan are

    5th Feb kashmir Solidarity Day
    23rd March Pakistan Day
    1st May Labour Day
    14th August Independence Day
    9th Nov Iqbal Day
    25th Dec Quaid Day

    es k ilawa Eiden, Aashoora days are off.

    Defence day, Quaid and Iqbal's death anniversaries and many other events are observed but there are no public holidays for 'em. Moreover week end comprises of only one holiday that's Sunday with few exceptions of institutions.
    Last edited by Gul-e-Lala; 7 February 2007, 18:55.
    "All I have learned from Life is that I know nothing."

    Comment

    • #17
      Re: Ta'ateel key Din

      Originally posted by Gul-e-Lala View Post
      dekhen baat ye hai k zayada ter holodays international hoti hain lakin u can't take away the right to observe local and cultural days as holidays. her jaga per esa he hota hai. aur ager aap diff countries ki holidays ko conpare karen tou almost aik jitni he banti hain farq sirf itna hai k Pak mein events ka number zayada hai aur baqi countries mein events kam lakin un k liye off days zayada like easter and xmass.
      ASSALLAM_U_ALLAKUM.
      PAKISTAN MAIN SIRF AUR SIRF ''MAZHABI LIHAAZ'' SAY HOLIDAYS HONI CHAHIYE.
      BAQI SAB HOLIDAYS BAQWAAS HAIN KHAAS TOR PER ''KASHMIR DAY'' JISAY HUM SAB YOM_E_YAKJEHTIYAE KASHMIR'' KAY NAM SAY JANTAY HAIN.
      Fight for Khilafah
      :insha:

      Comment

      • #18
        Re: Ta'ateel key Din

        Originally posted by abdulwahab View Post

        walaikum salam

        kyun??
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #19
          Re: Ta'ateel key Din

          Originally posted by yellowsky View Post
          walaikum salam

          kyun??
          YEH QOOM PEHLAY HEE GEHREE NEEND MAIN HAI AUR HUM IS KO AUR HOLIDAYS DAITAY HAIN LAMBI TAAN KER SOONAY KAY LIYAE KION HAI NA KAMAL .
          Fight for Khilafah
          :insha:

          Comment

          • #20
            Re: Ta'ateel key Din

            Originally posted by abdulwahab View Post
            YEH QOOM PEHLAY HEE GEHREE NEEND MAIN HAI AUR HUM IS KO AUR HOLIDAYS DAITAY HAIN LAMBI TAAN KER SOONAY KAY LIYAE KION HAI NA KAMAL .
            IN logon mey aap ka shumaar bhi hota hai??
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #21
              Re: Ta'ateel key Din

              Originally posted by Gul-e-Lala View Post
              It's not Dhong. Pakistan observes February 5, as Kashmir Solidarity Day(alongwith Kashmiris both in AJK and Indian held Kashmir), as it has been doing since 1990, shortly after the armed uprising in the State began. this is to express Pakistan's support to Kashmiris for "self-determination" and to draw international attention to the long-standing Kashmir issue.
              Gul mera khiyaal hai keh hamein Kashmiriyon sey ziyada Kashmir sey solidarity hai :). Hamari hakoomat key paas SIRAF aik jawaz hai apney budget ka almost 70% dafa'a per kharch karney ka, aur woh yehi kashmir hai - warna hamein itni kaseer raqm defence per kharch karney ki zaroorat nahin. Awwam ko meethi neend sulaney key liye yeh 'dhong' rachaya ja raha hai keh hamein Kashmiriyon sey hamdardi hai. Jo kashmiri beroon-e-mulk aaey hain, unhein Pakistan sey bilkul koi hamdardi nahin hai!!!
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: Ta'ateel key Din

                Originally posted by abdulwahab View Post
                YEH QOOM PEHLAY HEE GEHREE NEEND MAIN HAI AUR HUM IS KO AUR HOLIDAYS DAITAY HAIN LAMBI TAAN KER SOONAY KAY LIYAE KION HAI NA KAMAL .
                Allah Tala farmatey hain keh jaisi qom hoti hai ussey leaders bhi waisey hi miltey hain - [chahey woh siyasi hon ya mazhabhi :lpop:]
                Last edited by Masood; 8 February 2007, 16:14.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #23
                  Re: MUBAHISA: Ta'ateel key Din

                  hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm

                  Comment

                  • #24
                    Re: Ta'ateel key Din

                    Originally posted by yellowsky View Post
                    IN logon mey aap ka shumaar bhi hota hai??
                    ASSALLAM_U_ALLAIKUM.
                    MERAY BHI AAP KA JAWAAB BACHOON JAISA HAI.
                    KHAWAABAY GHAFLAT KI NEEND MAIN SOI HOI ESI JAISI QOOM MAIN ''IQBAAL'' BHEE THA.
                    MAGER IQBAAL KO KISI NAY ''CRITICISE'' NAHI KIA BALKEH US KI HOSLA AFZAI KI.
                    JO LAGTA HAI AAP NAHI KER SACTAY.
                    MAGER IQBAAL KAY SHAHEENOO KO KOI FARAQ NAHI PERTA.
                    Fight for Khilafah
                    :insha:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Ta'ateel key Din

                      Originally posted by Masood View Post
                      Allah Tala farmatey hain keh jaisi qom hoti hai ussey leaders bhi waisey hi miltey hain - [chahey woh siyasi hon ya mazhabhi :lpop:]
                      AAP NAY SAHI KAHA LAKIN
                      ''MAZHABI NAHI SIRF SIYASI''
                      Fight for Khilafah
                      :insha:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Ta'ateel key Din

                        Originally posted by abdulwahab View Post
                        ASSALLAM_U_ALLAIKUM.
                        MERAY BHI AAP KA JAWAAB BACHOON JAISA HAI.
                        KHAWAABAY GHAFLAT KI NEEND MAIN SOI HOI ESI JAISI QOOM MAIN ''IQBAAL'' BHEE THA.
                        MAGER IQBAAL KO KISI NAY ''CRITICISE'' NAHI KIA BALKEH US KI HOSLA AFZAI KI.
                        JO LAGTA HAI AAP NAHI KER SACTAY.
                        MAGER IQBAAL KAY SHAHEENOO KO KOI FARAQ NAHI PERTA.
                        Aap GHALAT kehtey hain, aap ko Iqbal ka phir patah hi nahin. Iqbal per tanqeedein karney waley kam nahin they - aur 1907 ka dor woh dor tha jab iqbaal ney sab kuchh (shairi tak) chhorrney ka faisla kar key mustaqil tor per England mein rehney ka soch liya tha!!!!
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #27
                          Re: Ta'ateel key Din

                          Originally posted by abdulwahab View Post
                          AAP NAY SAHI KAHA LAKIN
                          ''MAZHABI NAHI SIRF SIYASI''

                          :kr: YEH hoti hai BACHON wali baat keh "maaan maaan qasoor mera nahin uska ka tha" .......
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #28
                            Re: Ta'ateel key Din

                            Originally posted by Masood View Post
                            :kr: YEH hoti hai BACHON wali baat keh "maaan maaan qasoor mera nahin uska ka tha" .......
                            BHI MAIN SAMJHA NAHI KIA KAHA AAP NAY?
                            Fight for Khilafah
                            :insha:

                            Comment

                            • #29
                              Re: MUBAHISA: Ta'ateel key Din

                              1. january
                              5th Feb kashmir Solidarity Day
                              23rd March Pakistan Day
                              1st May Labour Day
                              14th August Independence Day
                              9th Nov Iqbal Day
                              25th Dec Quaid Day
                              Eid-ul-fiter 2
                              Eid-ul-Adha plus Hajj 3
                              Eid-Mailad-ul-Nabi SAW
                              Yom-e-Ashoora
                              Defence

                              Abhi tak jo official ta'teel key din nazar aaey hain unmein sey agar to 1. january ki chuti hoti hai, to nahin honi chahiye, 5. February, Kashmir Solidarity day bhi nahin hona chahiye, 23 march ko qrardad-e-Pakistan manzoor hui thi magar iski ta'teel nahin honi chahiye, 1. may labour day bhi nahin hona chahiye - is liyey keh hamari qom ki aksariyat ghurbat mein zindagi guzar rahi hai unhein is din sey koi ta'aluq nahin. 14. august ki chhuti honi chahiye. Defence day ki agar chuti hoti hai to issey bhi cancel hona chahiye, Iqbal day, Quaid day bhi chhuti nahin honi chahiye, Iskey elawa mujhey ilm huwa hai keh Bank Holyday ki bhi chhuti hoti hai - issey bhi cancel hona chaiyey. Eid per 2 aur badi eid per 3 chhutiyan ok hain, Yom-e-ashoora bhi theek hai aur Eid mailad-ul-Nabi bhi.

                              Mujhey is baat ki samajh nahin aati keh hamarey mulk mein SUNDAY ko kyun weekend ki tarha manaya jata hai??????? Yeh Yahoodiyon ka SABATDAY hota hai!!! Hamarey haan siraf JUMMA ki chuti honi chahiye aur bas!
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • #30

                                Asal mey jo buisness community hai un ko nuqsaan hota hai--wo is tarhan key friday Pakistan mey chutti next two days doosrey mumalik mey weekend hota hai is tarhan week mey 3 din to off huye ---- Pehley ye chutti friday ko hoti thi magar phir sun. ko rakhi gai ta key logon ko sahoolat ho aur Jummah half day hai.......ta key sab araam sey salat ul jummah perh liya karein

                                aur wo jo itni chutiyan ap ney cancel kara di hein.......is pey Pakistani youth(students) aap key khilaaf ho jayein gey :P
                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X