Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN4MATION: Our Education System

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: IN4MATION: Our Education System

    ^^^:D

    continuation of my reply
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #32
      Re: IN4MATION: Our Education System

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      The Mask, Aabid, Daywalker aur Aania ke comments perhay

      Her banday ki apni apni assessment aur view point he. Aania ka jawaab bohat optimistic tha, Daywalker ke jawaab mein reality thi, The Mask ke Point mein theory se ziada practicle pe emphasize kia gaya he, theek he yeh bhi. Abid ki baat se kuch ziada ziada convincing nahi lagta.

      Now comming to my point of view:

      Sub se pehlay hamein yeh jananay ki zaroorat he ke acha nazam-e-taleem koon sa he. For the time being lets not talk about the Religious Education. Ager aam aadmi apni aam-fehm ko istamaal kerte huay yeh bata sakta he ke acha nizam-e-taleem wo hota jo ke insaan ko ziada huner-mund banata he. Is liye mein west ke nazam-e-taleem ko pakistan ke nazam-e-taleem ko bohat acha kahon ga.

      Doosri baat, aik acha, perha likha aur mustanad ustaad he tadrees ke faraiz achi tarah se ser-anjaam de sakta he. Aik acha ustaad aik mahar-e-nafseyaat ki tarah hota he, wo buchon ke potential ko dekhtay huay un buchon ke zehani meyar ke mutabik he tadrees kerta he.

      Hamaray mulk mein aaj tak yeh roona khatam nahi hua ke taleem urdu mein de jaye ya angreezi mein, jub ke pohanch chand aur mareeh se bhi aagay nikal chuki he. Aik cheez to ham pe bawar ho jani chahiye ke jis ne urdu mein taleem hasil ki wo ya to shayar bana ya mufakar, aur mufakar bhi us tarah ka jo subhu hajaam ki dukan pe ja ke akhbarat ko tatool ker uthal puthal ker ke apnay kuch tankeedi nazriyaat se aagah ker deta he. Ham yeh cheez kyoon nahi jaan paye, hum apni sooch aik nuktay pe kyoon ker markooz nahi ker patay ke angreezi he technology ki zubaan he, jub tak ke hum angreezi taleem ke manshaa se achi tarah wakif nahi ho jatay hum dunia ke saath kadam se kadam mila ke nahi chal saktay. Angreezi science ki zubaan he, technology ki zubaan he, so make it very clear, jo shayar banana chahta he wo urdu perhay, jo duniya ke saath chalna chahta he wo angreezi mein taleem hasil karay. aur angreezi ki taleem nisaab mein shuru se shamil ki jani chahiye.

      Hamaray nizaam-e-taleem mein buchon ke potential ko balisht se maapa jata he, yaani jo bucha paper mein ziada likhta he, chahay wo sahi likhay ya ghalat us ki quality pe marks diye jatay rahay hein. yeh system khatam hona chahiye.

      Sub se zaroori cheez, ke bucha wo cheez jaldi seekhta he jis mein usay ziada interest hota he...Institutes needs to facilitate the extra-carricular activities to give the children adequate exposure. Lower level pe competition ki fiza paida ki jani chahiye...buchon ko self-reliance pe mail kerna chahiye...buchon ko aik acha lecture do, aur phir buchon ko apna workout kerne do...is tarah buchon mein self-reliance ke saath saath creativity bhi paida ho gi...aur West mein yahi hota he...wahan buchon ke potential ko manzar-e-aam pe laya jata he...jub ke yahan buchon ka potential zang aalood ho ke khatam ho jata he...us ki salahiyatein ubher ke manzar-e-aam pe nahi aa patein...is cheez pe tawajo dene ki zaroorat he.

      Liberary system aam hona chahiye, teachers bohat qualified honay chahiyein, teachers ki yearly assessment honi chahiye...teachers ko upgrade kia jana chahiye...aik environment creat kia jana chahiye jis mein buchon mein awareness aam honi chahiye...haftay mein aik din extra-carricular activities ka hona chahiye, jis mein buchay debates karein, hallagulla karein etc.

      Aik healthy dimaag he aik healthy moaashray ko janam de sakta he...we need to realize this. We need to plan and re-arrange the things where we can get maximum output from the student's potential.
      Problem hamarey Country ke awam main nahen hai
      Problematic hai Govt of Pakistan .. jinhon ne nawaza hamen aiesey aiesey wazeer r taleem se jo barmala public ko khatab mein kehtey hain >> nursery grade se .. poorey 40 Parah of Quran (na aooz billah ) parhaye jayen ge new syllabus main:(
      problem students ke parhney mein samajhney mein nahen hai ..
      Problem Pakistan ke Politicians hai azal se... jo achi hukoomaton ko neest o nabood is liye ker detey hein .. public khush-haal hai ..
      Problems .. 2# political dhandey hain
      Problem .. 2# politicians of Pakistan hain
      Problem ... Luteri govt of PK hai ..
      Problem corruption hai .. jo students ko chkna choor ker deti hai
      bina sifarish , bina money job nahen milti
      Problem har us office mein pao ge jahan aap chup ker ke suntey jao
      Problem tab tak rahey gi jab tak .. baghawat/inqilaab ka bol bala na ho
      shayed aik corrupt system ko break kerney ke liye aik war/aik jang lekin us ke positive effects to shayed kuchal diye jayen lekin phir aik anokha corrupted political ruler samney aa jaye ..
      yuk :(
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment

      • #33
        Re: IN4MATION: Our Education System

        Originally posted by Aania View Post

        Jahan tak 40 paaron ki baat he...i think Fedral minister of education out of sense ho ga thoora sa...ghalti insaan se ho jati he.

        Politics he sirf aik problem nahi he aania...aur bhi bohat si problems hein...education aik complecated issue he jo bohat si cheezon pe base kerti he...hamein un doosray factors per bhi ghoor kerna he.

        Aik govt ke peelay school mein aap ko politics nazar nahi aaye gi...fund ki kami zaroor nazar aaye gi...lekin is ke ilawa us idaray ke ander bhi be-hud be-zaabt'giyaan pai jati hein, jis ka nuksaan new generation ko bugtna perh raha he maleducation ki surat mein. sub se ziada important cheez meri nazar mein mustanid asaatza ki kami he.

        anyways thanx for ur answer :)
        :thmbup:

        Comment

        • #34
          Re: IN4MATION: Our Education System

          Originally posted by yellowsky View Post
          ^^^:D

          continuation of my reply

          Dr. Ata ur Rahman kafi acha kaam ker rahey hein education sector mey leykin mey kahun gi key issey speedy hona chahiye

          @ languages
          aap ki baat bilkul theek hai key hum "apna apna" kertey rehtey hein aur ye nahi deykhtey key dunya kahan sey kahan phonch gai hai
          education system sara kuch lectures her cheez English mey hi honey chahiyein kyun key these days its a lang. of science
          sath mey aur languages ko ignore mat karein Urdu, Arabic, aik regional lang. zaroor as a subject perh'aein

          @ child's psychology/ student counselor
          her school mey agar nahi to her area mey jo schools un key liye aik psychologist hona chahiye jis ka bachon key sath aik link ho aur wo help out karey students ko key aagey un ki professional field kya honi chahiye
          Pakistani parents pata nahi kyun ye chahtey hein key un key beytey engineers hon aur beytiya'n doctors, sara kaam aik bachey key interests per us ki zehni salihiyaton per hona chahiye

          @ subject racism
          Aap ke sub points mein se sub se acha point mujay yeh laga @ child's psychology/ student counselor.

          Lekin aam loogon ki nazar mein yeh point aik be-maani sa he, lekin meri nazar mein student couselling ke liye psychetrists aur experts honay chahiyein jo ke one day fortnightly workshops karein students pe workout karein, students ko guide karein, students mein jo khaamiyaan hein unhein highlight ker ke un pe control kerne ke liye unhein expert advise dein...is se students mein aik awareness aaye gi...wo ziada ba-shaoor ho jaein ge...aur jis moaashray ka bucha bashaoor ho jata he, us mooashray ke mustakbil ko kabi zung nahi lag sakta :)

          whereas other conventional subjects are concerned...to mein yeh kahon ga, ke 8th grade tak to saari cheezein mix perhani chahiyein, ta ke students ko idea ho sakay ke wo aagay kia kerna chahtay hein, kon si line adopt kerna chahtay hein...us ke baad 9th grade se specializing subjects hoon...aur science ke subjects completely english mein hoon...jo buchay urdu, ya arabic perhna chahtay hein wo aagay ja ke separate ho jaein...yaani students jo bhi perhein un mein unhein aboor hasil ho jaye.

          your points are quite agreeable and valid
          :thmbup:

          Comment

          • #35
            Re: IN4MATION: Our Education System

            Originally posted by munda_sialkoty View Post
            Jahan tak 40 paaron ki baat he...i think Fedral minister of education out of sense ho ga thoora sa...ghalti insaan se ho jati he.

            Politics he sirf aik problem nahi he aania...aur bhi bohat si problems hein...education aik complecated issue he jo bohat si cheezon pe base kerti he...hamein un doosray factors per bhi ghoor kerna he.

            Aik govt ke peelay school mein aap ko politics nazar nahi aaye gi...fund ki kami zaroor nazar aaye gi...lekin is ke ilawa us idaray ke ander bhi be-hud be-zaabt'giyaan pai jati hein, jis ka nuksaan new generation ko bugtna perh raha he maleducation ki surat mein. sub se ziada important cheez meri nazar mein mustanid asaatza ki kami he.

            anyways thanx for ur answer :)
            Uncle MS ... ghar ka sarbarah ba-sha-oor ho naa .. to gharon mein sakoon aur khushi aur kaamyaabyaan qaiim rehti hain ..

            Uncle MS .. ghor fermao ..Politics /Govt wo point hai jis pe country ka sab kuch depend kerta hai ..

            kia khyal hai .. agar u ko aik khitta diya jaye ..
            all in all yours with lots of people kese sab kuch handle kero ..ge
            konsey log choose kero ge ..
            five fingers are not same ..
            U.S ambessy of PK main jab se Pakistani govt ne bandey bitha diye .. public ke liye mushkilen barh gayee .. socho ... :cc:
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment

            • #36
              Re: IN4MATION: Our Education System

              Originally posted by Aania View Post
              Uncle MS ... ghar ka sarbarah ba-sha-oor ho naa .. to gharon mein sakoon aur khushi aur kaamyaabyaan qaiim rehti hain ..

              Uncle MS .. ghor fermao ..Politics /Govt wo point hai jis pe country ka sab kuch depend kerta hai ..

              kia khyal hai .. agar u ko aik khitta diya jaye ..
              all in all yours with lots of people kese sab kuch handle kero ..ge
              konsey log choose kero ge ..
              five fingers are not same ..
              U.S ambessy of PK main jab se Pakistani govt ne bandey bitha diye .. public ke liye mushkilen barh gayee .. socho ... :cc:
              zahri baat he, jahan pakistani hoon ge wahan loogon ki mushkilein barhein gi he :lpop:

              chalo mein tumhari baat maan leta hoon...ub khush :D
              :thmbup:

              Comment

              Working...
              X