Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

IN4MATION: Our Education System

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Our Educatio System

    Originally posted by jia View Post
    its not only b coz of teachrs, students are also involv in
    this problem.

    main personaly tajarba bata raha hun.....

    hamary teacher aps main larty rehty thy k student un k pass tution pary..aur hum bee marty they k hum un sy hee parian...

    aur apny makan aur jo bee kaam huta wo hum sy NOKROOn kee tarh kerwaty they mager parhtay nahi they:lpop:

    Comment

    • #17
      Re: MUBAHISA: Our Education System

      Walikum Assalam!

      & thx 4 providing such a nice info
      n no doubt its quite very true:)
      KHUSH RAHYYE!:blush:
      ik or baat.........schooling period main teachers students k sath buhat mehnat bhi kerte hain jabk colleges n unis main students jo kerte hain khud kerte hain fully independent...................jo k ik lihaaz se accha bhi hai........is se insaan buhat kuch seekhta hai....:)

      Thx......!
      WASALAM:salam:

      Comment

      • #18
        Re: IN4MATION: Our Education System

        Salam..

        aaj aik aiesee sachayee saamney aayee.. ke mera dil chaha aap se share keroon ..

        Well baat ho rahi hai Pakistan ke Study system ki ... to aik baat jis pe aap ko bhi parh ke fakhar ho gaa.. ke hamari country ka Eductation system jesa bhi hai .. lekin syllabus practise mein itna dam hai ke aap rehti zindagi tak sab kuch aiesey yaad rakhtey ho jesey born-intelligent. well.. Wall street bohat barri /business/bank/IT market/economy hai NYC ki .. USA main dunya main bohat naam hai ..
        bohat khushi huii sun ker mujhey aaj klass main jab Corporate Finance ke Professor ne bataya Pakistan se bohat se students B.Com ker ke aatey hein, MBA ker ke aatey hein..aur yehan .. mashaAllah se bohat achi jobs pe hain .. kuch jo bachelors ker ke aaye aur yehan se masters ker chukey hein ab Wallstreet mein as IT admins job ker rahey hein .. earning more than $300,000.00 per year .. n by their knowledge .. bohat si dunya ko bohat impress kertey hein .. Thanks Allah ke Pakistan ka naam genius students genius way of teaching mein aata hai :)
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment

        • #19
          Re: IN4MATION: Our Education System

          Originally posted by Aania View Post

          :thmbup: :masha
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #20
            Our education system

            Now where we are leading?????????'

            check out!

            http://www.youtube.com/watch?v=jOImnAOkjWs
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #21
              Re: IN4MATION: Our Education System

              Checking:)

              Comment

              • #22
                Re: IN4MATION: Our Education System

                The Mask, Aabid, Daywalker aur Aania ke comments perhay

                Her banday ki apni apni assessment aur view point he. Aania ka jawaab bohat optimistic tha, Daywalker ke jawaab mein reality thi, The Mask ke Point mein theory se ziada practicle pe emphasize kia gaya he, theek he yeh bhi. Abid ki baat se kuch ziada ziada convincing nahi lagta.

                Now comming to my point of view:

                Sub se pehlay hamein yeh jananay ki zaroorat he ke acha nazam-e-taleem koon sa he. For the time being lets not talk about the Religious Education. Ager aam aadmi apni aam-fehm ko istamaal kerte huay yeh bata sakta he ke acha nizam-e-taleem wo hota jo ke insaan ko ziada huner-mund banata he. Is liye mein west ke nazam-e-taleem ko pakistan ke nazam-e-taleem ko bohat acha kahon ga.

                Doosri baat, aik acha, perha likha aur mustanad ustaad he tadrees ke faraiz achi tarah se ser-anjaam de sakta he. Aik acha ustaad aik mahar-e-nafseyaat ki tarah hota he, wo buchon ke potential ko dekhtay huay un buchon ke zehani meyar ke mutabik he tadrees kerta he.

                Hamaray mulk mein aaj tak yeh roona khatam nahi hua ke taleem urdu mein de jaye ya angreezi mein, jub ke pohanch chand aur mareeh se bhi aagay nikal chuki he. Aik cheez to ham pe bawar ho jani chahiye ke jis ne urdu mein taleem hasil ki wo ya to shayar bana ya mufakar, aur mufakar bhi us tarah ka jo subhu hajaam ki dukan pe ja ke akhbarat ko tatool ker uthal puthal ker ke apnay kuch tankeedi nazriyaat se aagah ker deta he. Ham yeh cheez kyoon nahi jaan paye, hum apni sooch aik nuktay pe kyoon ker markooz nahi ker patay ke angreezi he technology ki zubaan he, jub tak ke hum angreezi taleem ke manshaa se achi tarah wakif nahi ho jatay hum dunia ke saath kadam se kadam mila ke nahi chal saktay. Angreezi science ki zubaan he, technology ki zubaan he, so make it very clear, jo shayar banana chahta he wo urdu perhay, jo duniya ke saath chalna chahta he wo angreezi mein taleem hasil karay. aur angreezi ki taleem nisaab mein shuru se shamil ki jani chahiye.

                Hamaray nizaam-e-taleem mein buchon ke potential ko balisht se maapa jata he, yaani jo bucha paper mein ziada likhta he, chahay wo sahi likhay ya ghalat us ki quality pe marks diye jatay rahay hein. yeh system khatam hona chahiye.

                Sub se zaroori cheez, ke bucha wo cheez jaldi seekhta he jis mein usay ziada interest hota he...Institutes needs to facilitate the extra-carricular activities to give the children adequate exposure. Lower level pe competition ki fiza paida ki jani chahiye...buchon ko self-reliance pe mail kerna chahiye...buchon ko aik acha lecture do, aur phir buchon ko apna workout kerne do...is tarah buchon mein self-reliance ke saath saath creativity bhi paida ho gi...aur West mein yahi hota he...wahan buchon ke potential ko manzar-e-aam pe laya jata he...jub ke yahan buchon ka potential zang aalood ho ke khatam ho jata he...us ki salahiyatein ubher ke manzar-e-aam pe nahi aa patein...is cheez pe tawajo dene ki zaroorat he.

                Liberary system aam hona chahiye, teachers bohat qualified honay chahiyein, teachers ki yearly assessment honi chahiye...teachers ko upgrade kia jana chahiye...aik environment creat kia jana chahiye jis mein buchon mein awareness aam honi chahiye...haftay mein aik din extra-carricular activities ka hona chahiye, jis mein buchay debates karein, hallagulla karein etc.

                Aik healthy dimaag he aik healthy moaashray ko janam de sakta he...we need to realize this. We need to plan and re-arrange the things where we can get maximum output from the student's potential.
                :thmbup:

                Comment

                • #23
                  Re: IN4MATION: Our Education System

                  isi liye mein kuch lamba nahi likhta...koi perhta he nahi
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #24
                    Re: IN4MATION: Our Education System

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    isi liye mein kuch lamba nahi likhta...koi perhta he nahi
                    :D

                    mey perh chuki thi .....per reply nahi ker saki .......inshAllah later today:thmbup:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #25
                      Re: IN4MATION: Our Education System

                      Originally posted by yellowsky View Post
                      :D

                      mey perh chuki thi .....per reply nahi ker saki .......inshAllah later today:thmbup:
                      chalein ji dekh lete hein
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #26
                        Re: IN4MATION: Our Education System

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        chalein ji dekh lete hein
                        yes......if i could :D
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #27
                          Re: IN4MATION: Our Education System

                          @ Sialkoty

                          mey sirf aik cheez add kerna chahun gi wo ye hai key mey ney deykha hai key Pakistan mey gov. schools mey ----semi-gov. schools mey-----aur Private schools mey zameen Aasmaan ka farq hai

                          kam sey kam aik cheez to hamari gov. sab logon key liye aik level pey rakhey

                          aur baki system key liye aap ney bohot achey points diye hein ....asal mey ham log Gora Raaj key ander rahey hein to ham ney apna educations system waheen sey liya hai, london mey bhi her cheez aeysi hi hai gov. schools mey bharey huye bachey aur private schools mey teachers utney hi concern rehtey hein

                          Teachers ki kami is liye aati ja rahi hai kyun key un ko itni facilities nahi milti hein jis teacher ki pay itni kam ho key us ka poora maheena na nikley wo apna kaam theek sey nahi ker sakta hai kyun key us ki aadhi tawajo is baat pey hoti hai key how to manage my day to day life

                          baki inshAllah baad mey :D
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #28

                            to is mein itna soochnay wali kia baat thi waise :)
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #29
                              Re: IN4MATION: Our Education System

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              to is mein itna soochnay wali kia baat thi waise :)
                              nahi sochney ki koi baat nahi thi .........mey is sec. mey balkey kaheen bhi chahtey huye bhi kuch nahi likh pa rahi :donno:

                              anways i will complete my above reply later :insha:
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              • #30
                                Re: IN4MATION: Our Education System

                                Originally posted by yellowsky View Post
                                nahi sochney ki koi baat nahi thi .........mey is sec. mey balkey kaheen bhi chahtey huye bhi kuch nahi likh pa rahi :donno:

                                anways i will complete my above reply later :insha:
                                I can understand...hota he...mere saath bhi hota he :)
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X