:rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
IN4MATION: Our Education System
Collapse
X
-
-
-
Re: Our Educatio System
aslamo alykom bhai,:rose
aap nay pakistan k taleem nizam ki baat ki ....aur hamari dukhti rag par hath rakh dala ..pakistan main kaya taleemi nizam hy? koi aik nizam ho to baat karoon ..yahaan to jitni claseen utny nizam...jageer daron aur waderon aur beuro creats ki uladon kilye alag nizam issi main siasat dano ko bhi shamil kar lijiye...
ameer tabka kiliye alag nizam... middle class kiliye alg nizam ...
aur mazdoor aur gareeb tabka kiliye bori aut ali school...
ye to baat thi system of education ki ab baat hojay zara nisaab ki...aap nay apnay matric tak k nizam aur nisab ko magrabi nisab se compare karty huy behtar qarar dia main kisi had tak aap ki bat se agree hon..laikin jab ham parha karty thy to issi nisab ki wajha se ham mar kha gay hota ye tha k english hameen parhai hi naheen jati thi english ki pehli kitab 6ti jamat se shru ki jati thi aur matric tak aik english ki book hoti thi aur jaysay hi banda nay sience k sath matric pass karlia to ab sara nizam hi badli yani aik kitab urdu ki rah gai baqi sab khuch engreezi main aagyaa ye tha nizam...
aur aaj kal bhi kaya hy..?wohi ghisa pitta ratta systam..lambi lambi asgienments...is k ilawa kaya rakha hy is nizam main ...
aur akhir main rahi sahi kasar sada sahib ki roshan khiali nay nikal di hy k pehly jo thori bohat islami taleem de jati thi ab us ka bhi satya nass kardia hy..
ab to main nay yahaan tak suna hy k mohtarma fatimah jinah ki kahani ko nikal kar mushraf ki walida ki kahani dal di gai hy........ye hy nizam...ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
Comment