Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kuch Baatin....adhori C!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kuch Baatin....adhori C!!

    ASSALAM-O-ALIKUM PEGHAM.NET!:salam:

    UMEED HAI K AP SAB THIIK THAAK HON GE OR APNI SWEET SE LIVES MAIN HASI KHUSHI BUSSY HON GE!:maan:

    AJ IK BUHAAAAAT COMMON SE BAT ZEHN MAIN AI JA RAHI HAI BAR BAR A RAHI HAI SO I THOUGHT 2 DISCUSS THAT AMONG U!:cc:

    IN PARICULAR WORDS KA KIA MATLAB HAI?:cc:

    TO PHIR YE SAB BATIN Q HOTI HAIN?

    KIA AP BHI IN WORDS KA ISTIMAL KERTE HAIN?AGER KERTE HAIN TO INKI REASON ZAROR BATAYYE GA Q K MAIN IN BATON KO SAMAJHNE SE QASIIR HON :blush:

    WASALAM!:embarasse

  • #2
    Re: Kuch Baatin....adhori C!!

    Hmm ......... Bacha yeh alfaz eo mei bhi use kerti hoon... magar in alfaz ka istemal is baa tper munhasir hai k aap kab kis waqt kis shaks se mukhatib ho :)

    In alfaz ka istemal mei main zada tar tab kerti hoon jab kabhi

    Kisi aisey topic per baat ho rahi ho jo meri samajh se bahir ho, yaan jis mei main shamil na hona chahoo .......

    Yaan koi shaks koi aisi baat pochey jo meri zati zindagi se related ho aur mei ous se share na kerna chahoo .......

    Koi shaks wese hi mujeh comment karey, ke tumhein aisa nahi kerna chahiye, yaan tum ne kiu kiya to ouse koi keh deti hoon meri marzi etc .........
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Kuch Baatin....adhori C!!

      Lolz yeh kessay Sawal hian Masoom Bachi :p hmmmmmmm tu "PATA NAHIN" tu hum tab hi USE kartay hian na jab kissi baat ka ilm hi na ho tu hum araam say keh detay hain " PATA NAHIN" aur " MERI MARZI" bhi tabhi USE hota hai jab keh lijyeah hum kissi baat ko maan na rahay ho ya kissi cheez main appni marzi chalana chahtay hon :D aur WESSAY HI bhi ise tarah ki choti choti baato'n main use hota hai :p
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment

      • #4
        Re: Kuch Baatin....adhori C!!

        Hmmmm Shammo behna aap kabih bhi aasan baat na ley kar aana - sochney per hi majboor karti ho har baar :D

        Kabhi bhi koi bhi baat kaheen na kaheen sey zaroor shuru hoti hai ya ki jati hai. Lekin aisey morr bhi aatey hain jahan per asal mudaa biyaan karney sey baat key bigarney ka andesha ho to "waisey hi" "aisey hi" "samajh jao na" kehna parrta hai. Mumkin hai keh us baat ka asal pehloo na samney laya jaey aur baat ko warghlana chaha ho. Honey ko to "WAISEY HI" kuchh bhi ho sakta hai :lol

        Yeh albeta aik bohat alag baat hai keh "kisi bhi baat mein siraf apni marzi count nahin karti".. lekin yeh masla samajhney ka hai, shayid samjhaney ka nahin. Agar aik insaan yeh kah kar apni jaan chhurra raha hoon keh "meri marzi" to iska matlab yehi huwa na keh
        1) woh aap sey is masley/mantaq per baat nahin nahin karna chahta (mumkin hai kisi ney manna kiya ho, ya khof ho, ya shaitani per utra huwa hai keh kuchh baat btani kuchh na.
        2) woh haqeeqat ko chhupa raha hai jis sey mazeed kasheedgi pedah karna chahta hai ya jab baat aik aisey rukh peh aa jaey jahan per agla qadam uthana ya agli baat karney sey halaat mein kasheedgi pedah ho jaey to insaan wahan sey fraar talaashta hai, aur kisi bahaney ki talaash mein hota hai
        3) ya is baat/mantaq mein koi haqeeqat shuru mein hai hi nahin jo "meri marzi" kah kar baat khatam kar raha hat

        Yahan per masla yeh hota hai keh har baat kah dena achha nahin hota. Kuchh batein kehney sey kisi ki dil-aazari hoti hai, aisi baton sey parhez karna hi chahiye aur koi bahana talaash lena chahiye. Magar is ammar ko apni aadat nahin bnaa lena chahiye. Haqeeqat agar majority key liye nuqsaan deh ho to ussey zahir kar dena chahiye. Phir yah nahin sochna/kehna chahiye keh "patah nahin" - aakhir aap ko pattah tha/hai jabhi aap mulavvis ho na.

        that's what I think :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Kuch Baatin....adhori C!!

          Originally posted by Masood

          Yeh albeta aik bohat alag baat hai keh "kisi bhi baat mein siraf apni marzi count nahin karti".. lekin yeh masla samajhney ka hai, shayid samjhaney ka nahin. Agar aik insaan yeh kah kar apni jaan chhurra raha hoon keh "meri marzi" to iska matlab yehi huwa na keh
          1) woh aap sey is masley/mantaq per baat nahin nahin karna chahta (mumkin hai kisi ney manna kiya ho, ya khof ho, ya shaitani per utra huwa hai keh kuchh baat btani kuchh na.
          2) woh haqeeqat ko chhupa raha hai jis sey mazeed kasheedgi pedah karna chahta hai ya jab baat aik aisey rukh peh aa jaey jahan per agla qadam uthana ya agli baat karney sey halaat mein kasheedgi pedah ho jaey to insaan wahan sey fraar talaashta hai, aur kisi bahaney ki talaash mein hota hai
          3) ya is baat/mantaq mein koi haqeeqat shuru mein hai hi nahin jo "meri marzi" kah kar baat khatam kar raha hat
          Zaroori nahi, Insan yeh jawab tab dei jab wo kuch chupa raha ho..... her baatke peechey koi waja hoti hai... kuch logo ko gair zarori dosro ke mamlat mei dhakal dene yaan dosro ki zati zindagi ke waqiyat ko kuredne ki aadat hoti hai... aisey insao ko her baat tafseel se batana yaan expalin kerna zarori nahi hota.. aisey logo ke liyeh yeh adhourey jumley buhut munasib hotey hain.
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Kuch Baatin....adhori C!!

            Originally posted by Saima Shaheen

            Mukamil itfaaq hai aap ki is baat sey aur shayid mein saheeh tor per kah nahin paya tha keh aisa bhi hota hai. Aur aisi baton mein yun kehna theek hai koi mayoob nahin hota. Khasoosan kureedney walon sey to Allah bachaey aur phir aisey logon ko aisa jawab dena drust hai.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Kuch Baatin....adhori C!!

              hmmmmmmm nice replies main abhi reply karon gi wai8!;)

              Comment

              • #8
                Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                Originally posted by MASHOOM BACCHI
                ASSALAM-O-ALIKUM PEGHAM.NET!:salam:

                KIA AP BHI IN WORDS KA ISTIMAL KERTE HAIN?AGER KERTE HAIN TO INKI REASON ZAROR BATAYYE GA Q K MAIN IN BATON KO SAMAJHNE SE QASIIR HON :blush:

                WASALAM!:embarasse
                PATA NAHIN
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                • #9
                  Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                  bachi, sabhi ney itney achey tareeqey sey bayaan ker diye hein ye teen lafz key aagey kya kahein :-)

                  Pata nahi :- jab kabhi log mujhey kehtey hein key "tum yun kyoon sochti ho" ya phir "tumhein kya ho jata hai" aur ya "tum kyoon yun rehti ho" in sab sawalon key jawab mey "pata nahi " keh ker baat khatam kerna mujhey asaan lagta hai

                  Waisey hi:- ye lafz aksar jab mey sara sara din kuch na khaon aur jab meyri bhook ki hawaley sey koi baat ho to "waisey hi " :D:

                  Meyri marzi:- ye sab sey mazzey ka lafz hai ..... bhaion ko chiraaney key liye bohot kaam ata hai :D Allah bhala karey jis ney ye lafz ijada kiya ...
                  leykin issey seriously nahi use kerti ...kyoon key ye bohot rude lagta hai ...
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #10
                    Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                    Assalaam o alekum,

                    bahooot khooob bachchi bahoot hi umdeh sawaal kiyaa :) waise jahaan tak mainien dekhaa hai in saare alfaazoon kaa humaari haqeeqi zindagi mien kam hi istemaal hoote hain lekin chand dostoon nien jo vajoohaat bataayin hain bilkool durusta bataayi hain kuch hud tak mainien dekhaa hai ke aise alfaaz insaan tab hi istemaal kertaa hai jab woh moood mien naa ho bass
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment

                    • #11
                      Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                      yeh alfaz be ikhtyar moon se nikal jate hain jab kuch explian na karne ka jee chah raha ho
                      Allah

                      Comment

                      • #12
                        Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                        Mere khiyall mai jab hum koi baat express na kar pa rahe hon, zarori nahi k hum chupana chahte hon magar hume express karne mai problem ho tu hum aise alfaz tab bhi istimaal karte hain.
                        Kabhi kabhi hum ulajh bhi jate hain kisi baat mai aur apni hi baat nahi samajh a rahi hoti tab bhi aise alfaz ate hain zaban par.
                        Har kisi ko aap har baat bata bhi nahi sakte aur batana chahte bhi nahi aise moqon par bhi aise alfaz aise ghair logon k liye ate hain...
                        Asal mai yeh be maini lafz apne andar buhut gehre maini rakhte hai......Faraq sirf itna hota hai k aap kis se baat karte howe istemaal kar rahe hain........bas.
                        Mai ik ghareeb benawa, Main ik faqir besada

                        Meri naza ki iltija ju pa saku tu saath do

                        Comment

                        • #13
                          Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                          Originally posted by MASHOOM BACCHI
                          ASSALAM-O-ALIKUM PEGHAM.NET!:salam:

                          UMEED HAI K AP SAB THIIK THAAK HON GE OR APNI SWEET SE LIVES MAIN HASI KHUSHI BUSSY HON GE!:maan:

                          AJ IK BUHAAAAAT COMMON SE BAT ZEHN MAIN AI JA RAHI HAI BAR BAR A RAHI HAI SO I THOUGHT 2 DISCUSS THAT AMONG U!:cc:

                          IN PARICULAR WORDS KA KIA MATLAB HAI?:cc:

                          TO PHIR YE SAB BATIN Q HOTI HAIN?

                          KIA AP BHI IN WORDS KA ISTIMAL KERTE HAIN?AGER KERTE HAIN TO INKI REASON ZAROR BATAYYE GA Q K MAIN IN BATON KO SAMAJHNE SE QASIIR HON :blush:

                          WASALAM!:embarasse
                          umm kiya question hai
                          mai bhe bohaat use kerte hon ye words

                          Wesy he
                          yay word main mostly jab use kerte hon jab mai kise ko koe bat batana nahe chahte hon :eye:

                          Pata nahe
                          yae mai mostly jab use kerte hon jab mai khud bhe conform na hon us bat k bary main ise liay mai kise ko batana nahe chahte hon.jab mujhy khud bhe smajh na aa raha ho kuch ..:)

                          meri merzii
                          ye mai us time kehte hon jab mai koi kaam galat keron aur mujhy pata bhe ho ye galat ha aur phir bhe mai keron aur koi mujh sy pocha aisa kio kera...to..:wink

                          Comment

                          • #14
                            Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Hmm ......... Bacha yeh alfaz eo mei bhi use kerti hoon... magar in alfaz ka istemal is baa tper munhasir hai k aap kab kis waqt kis shaks se mukhatib ho :)

                            In alfaz ka istemal mei main zada tar tab kerti hoon jab kabhi

                            Kisi aisey topic per baat ho rahi ho jo meri samajh se bahir ho, yaan jis mei main shamil na hona chahoo .......

                            Yaan koi shaks koi aisi baat pochey jo meri zati zindagi se related ho aur mei ous se share na kerna chahoo .......

                            Koi shaks wese hi mujeh comment karey, ke tumhein aisa nahi kerna chahiye, yaan tum ne kiu kiya to ouse koi keh deti hoon meri marzi etc .........
                            hmmm sis to ap bhi use kerti hain?:wink
                            yani apk khiyal main in words ka maani to hai per chupa hoa jo aram se samne nahin ata!:cc: .....
                            ok sis thx 4 ur rai!
                            KHUSH RAHIYYE AP!:rose :salam:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Kuch Baatin....adhori C!!

                              Originally posted by ~khawahish~
                              Lolz yeh kessay Sawal hian Masoom Bachi :p hmmmmmmm tu "PATA NAHIN" tu hum tab hi USE kartay hian na jab kissi baat ka ilm hi na ho tu hum araam say keh detay hain " PATA NAHIN" aur " MERI MARZI" bhi tabhi USE hota hai jab keh lijyeah hum kissi baat ko maan na rahay ho ya kissi cheez main appni marzi chalana chahtay hon :D aur WESSAY HI bhi ise tarah ki choti choti baato'n main use hota hai :p
                              Masoom nahin MASHOOM khuwahish sis! :tauba
                              per aksar mujhko aisa feel hota hai k jis person se main bat ker rahi hon usko wo bat PATA hai per phir bhi wo keh de k PATA NAHIN...to.....
                              q k jab mujhko kuch sure hota hai k is person ko pata hoin ga tabhi to pochti hon na;)
                              hmmmmmmmm per thx 4 ur reply sis!
                              ap bhi khush rahiiyyyyye!:rose :salam:

                              Comment

                              Working...
                              X