Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

    Main apney is mazmoon sey kisi key khilaaf nafrat phailaney ki koshish nahin kar raha balkey apni nacheez soch key mutabiq us ghalti ko samney lana ki koshish kar raha hoon jo hamari kotahi ban gaee hai. Yaqinan kuchh logon poochein gey keh Arabs hi kyun, sari ummat-e-musalmah key leaders kuchh achhey nahin, bilkul nahin, magar hazar saal sey musalmano ki nazarein arab ki taraf rahi hain. Agar YEH qom Nabee Kareem SAW key sabaq ko yaad rakhti aur musalmano koi aik platform per jama rakhti to yeh halat naa aati.... Aap meri soch per tanqeed karney ka mukamal haq rakhtey hain :)

    Masood
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

    Part II
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

      AOA,


      Sach karrwa hota hai aur aap nain sach kaha hai bilol wo hi sortehal hai ghulamoon wali main aap ki baat se itafaq karta hoon lakin jane kab ye hosh k nakhoon lain ge aur iss waqti ayashi ki hawas se bahir ayain ge aap nain sach ka ahyina dikhaya aap ka bohat shukria.


      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #4
        Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

        i agree:(

        Comment


        • #5
          Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

          Aap nain jo batain ki hai masood sahib wo haqeeqat par mabni hain ahle arab aj b wo ayashiyan kar rahye hain jin ki ijazat islaam nain daita bohat shukria masood sahib.



          Comment


          • #6
            Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

            Mey to kuch bhi nahi kahun gi in Arabs key liye...in ko deykh itna ajeeb lagta hai
            aap ki tehreer ka shukriya

            Allah T'ala reham karey in Arabs per aur ham sab per Ameen
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

              [Assalam.o.Alaikum
              Aap ka mazmoon parha,haqeqato'n say parda to utha laikin afsos hay kay duniya ka taqreeban har musalamaan is haqeeqat ko sunnay aur daikhnay k liye aankhain aur kaan band kiye huway hay ya phir ghaafil bana huwa hay.aap ka aur ham logo'n ka farz banta hay kay kay is haqeeqat ko duniya kay konay konay tak pohncha'ain aur musalmano'n ko yeh sab sochnay kay liye majboor karai'n ta'k woh Islam ko sahi maaino'n mai'n paihchaan sakai'n aur Islam kay naam par in bad numa'n dhabbo'n ko dhouya ja sakay.ta k Islam ki asal haqeeqat duniya kay saamnay aa'sakay.is kay liye mairi guzaarish hay k is mazmoon ko tamaam forums mai'n jahaa'n jahaa'n bhi mumkin ho is ko likha ja'aiy to yeh bhi jaihaad say kam nahi'n hoga kay ham loge apnay qalam say bhi jaihaad kar saktay hai'n.jis k bas mai'n jitna hay kam az kam utna hi kar lay to yeh bhi ghaneemat hay.umed hay k tamaam forums mai'n is mazmoon ko laga diya ja'aiy ga k yeh bouhat umda aur qaabil-e-ghowr tehreer hay jis ko jitnay ziyada loge parhai'n gay utna hi acha rahay ga.Allah aap k qalam ko salaamat rakhay aur aap isi tarha baihtreen mazameen tehreer kartay rahai'n.Allah ham sab par raiham farma'aiy.aur ham ghaflat ki neend say qayamat say paihlay hi jaag ja'ain to acha rahay ga.
              khush rahiye.
              Allah Hafiz
              Haya]
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                Saudi Arab and Saudis ke uper jo bhi kahoon wo kam hoga, haqiqat yeh hai ke Saudi apne aap ko super generation samajhtey hain, asal musalman wahi hai, baaqi sab converted, Education ke naam 5% bhi nahin, hamarey mulkon ke barabar Saudi Arab ko aaney mein 20 saal lagega, yeh log agar khush o aram talab hai to uski wajah hai Haram Sharif, aur Madina Sharif, Rasool allah saw ki duwayen, otherwise yeh log kuchh nahin 4-6 shaadiyan common hai, takiye ke niche kankar (small pebbles) rakh kar sotey hain agar wife achhi response naa dey to agle din divorce, wife husband pe believe nahin karta husband wife pe believe nahin karta, even ki baap beton pe bhi believe nahin karta,

                in log ka education pattern American based hai, gharon mein roz marra ki istemal aane wali chizen Amercan hoti hain, yeh mulk Kingdom hai Democratic or Republic nahin aur taarikh gawah hai ke kabhi na kabhi tarje hukumat ka khatma hota hi hai, to phir aisi halat mein hukmuran kya future ki sochta hai, aisi situation aa jaye, mukhalfat hone lage, hukumat chhinn jaye to koun bachayega aisi halat mein "Wahi western Aaqa" hi bachayega.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                  Saudi Arab ki leading aur worldwide company Saudi Aramco hai,. Peechhlay dino Katrina Hurricane ke liye 5 million US dollar Red Cross Society ko diya, Iraq ke liye kabhi helping hand nahin,
                  Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                  Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                  Comment


                  • #10
                    Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                    Saudi Arab mein foreigners ladies mehfooz nahin rahti, chahey kis bhi profession mein ho except teachers.

                    Pure Saudi Arab mein Indoneshia ki maid servant bhare huwe hain, when maid servamt become pregnant, they send them exit,

                    According to Indonesian Embassy January 2004 se April 2004 tak lagbhag 450 indonesia ke maid servant khudkushi kar ke mari, ussey ghar mein mental torcher kiya jaata hai, buri tarah se peeta jaata hai, kai ladkiyan to "detergent" pee kar mar gayi.
                    Saudi ke gharon mein digital receiver milenge jisme 100 se zayad fuhashi aur "wo wali" channels milinge. Dusron ke liye Islam but unke liiye nahin.

                    Baqaul ek Saudi Aramco ke security unke ghar mein already 1 indonesian Khadima thi, ek roza wo visa le kar nayi khadima ke liye ghoom rahey thay, ek ne poocha already aap ke ghar mein ek khadima hai doosri kyon...jaantey hain unhon ne kya jawab diya..."Mera beta jawan ho gaya."
                    Last edited by Spy009; 17 September 2005, 13:50.
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment


                    • #11
                      Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                      spy kya ye sab sach hai :shocked
                      mey ney kuch arsa pehley aik kitab perhi thi jo key royal family ki aik princess ki life story thi ...chunkey wo aik american ney likhi isi liye perhney key baad i felt key agar 10 percent bhi is book ka sach hai to 80 percent propaganda hai sirf jhoot per mabni coz mey un sab yaqeen hi nahi ker sakti thi ....


                      ya Allah!
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                        Originally posted by barg.e.gul
                        spy kya ye sab sach hai :shocked
                        mey ney kuch arsa pehley aik kitab perhi thi jo key royal family ki aik princess ki life story thi ...chunkey wo aik american ney likhi isi liye perhney key baad i felt key agar 10 percent bhi is book ka sach hai to 80 percent propaganda hai sirf jhoot per mabni coz mey un sab yaqeen hi nahi ker sakti thi ....


                        ya Allah!
                        Shocked for what...to Saudiyon ki sachchayi pata nahin, yeh to maine kuchh waqiat bataye hain.

                        Saudi girls ke libas masha Allah kya kahna, wo log bahar pardon mein ghumtey hain but gharon mein France and Italian tarz ke libas hotey hain, ab ekka dukka salwar suit pahan.ne lagey hain.

                        Saudi log zaati fayede ke liye haram chizon ko halal ka fatwa laga kar kha lete hain.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #13
                          Re: Arab - Islam Key Muhafiz Ya Luterey?

                          Maood, you seem to be quite observant. Arbono ke her pehlo ki bohat umda akaasi ki he. Her baat ba-wazan her, hakeekat se barpoor he. Mein tumhari aik aik baat se itfaak kerta hoon.
                          :thmbup:

                          Comment

                          Working...
                          X