Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Updates:Ban on kite flying lifted

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Updates:Ban on kite flying lifted

    Originally posted by sarfraz_qamar View Post
    sab see pehlay to baat yehh hey kehh aap ne joo misal pesh kee thee wohh iss cheezee per suit nahee kertee......
    secondly meree khiall main yehh fazool kharchee nahee heyyy .........i think yehh taleem nizamm hoo yaa kuchh aorr hoo sabb prb hamaree country main kabhee bhee solve nahee hoo saktee yehh sabb kuchh chaltaa rehtaa hayy and it is part of life............
    yehh basant hoo yaa koii cultural programs hoo yehh hamaree zindgee kee chotee chotee khushiann hain aorr inhee chotee chotee khooshion kee saharee hee zindgee guzar rahee hayyyyyy thats why i say it should be but with care...........
    jahan tak care kaa talq heyy yehh abb hakoomat kee zimadare bantee heyy kehh wohh aisee iqdamat karee kehh koii masallaa naa hoo aorr yehh hamaree bhee zimadaree bantee heyyy kehh care see Basant celebrate karain..................
    i hope now u agree me
    aik taraf aap islam per amal kerney ka kehtey hein aur dossri taraf basant celebrate kerney ka bhi kehtey ho ???

    kya aap batayein gey ye tehwaar kyun ...kab....kaisey shuru hua???
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Updates:Ban on kite flying lifted

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      i hope now u agree me
      Sorry to say not agree.......:)
      aap nay basant manani hay to wessay hee mana lijiey per baat wo kijiey ......jiska wajood ho :)
      Wessay sab se pehlay to prove kijiey k culture hay ye humara ???to shayad humein bhi samjh aa hee jaey :)

      rahee baat pabandi k bawajood mananay ki s tehwaar ko to us ki reason bata chukay hum ..apnay chand lamhon ka sawad(maza) kerna maqsood hay sab logon ko .......is lieey manatay hain ........agar sahee taur se rules aur laws pass kieey jaeen ...aur humaree naam nihaad law pass kernay waalay apnay ghar se hee is kaam ko rokein to hee ruk sakta hay....

      yun nahin k law pss kar diya jaey ...aur law pss kernay waalon k apnay bachay hazaron rupay luta chhorein basant per :)
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Updates:Ban on kite flying lifted

        Originally posted by Xenya View Post
        yep....

        Ignorance!
        jabb hammrayy pass kisee baat kaa jawab rightly nahee hotaa to hamm aisaa hee lafz usee kertee hain ignorance.................
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #19
          Re: Updates:Ban on kite flying lifted

          Originally posted by Xenya View Post
          aik taraf aap islam per amal kerney ka kehtey hein aur dossri taraf basant celebrate kerney ka bhi kehtey ho ???

          kya aap batayein gey ye tehwaar kyun ...kab....kaisey shuru hua???
          aap nee yehh boht dilchasp baat kahee heyy kehh eik tarf main islam per amall kerenee kee baat kertaa hoo and 2nd side is thiss....
          tooo sabb see pehlee baat yehh heyy kehh islam per amal kernaa herr muslman kaa farzz bantaa heyy aorr yehh her kisee koo kernaa bhee chahiey....... main sirf itnaa kehtaa hoo kehh yehh joo sactarianism heyy yehh nahee honaa chahieyy ...............
          aorr jahan takk yeh Tehwar shooroo honee kaa talq heyy yehh harr koii jantaa heyy how it start u also know main to sirf itnaa soochtaa aor samjhtaa hoo kehh "iss mushkil door main joo bhee cheeze hamian thooraa saa fun aor enjoyment deyy usee zaroor honaa chahiey"
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment


          • #20
            Re: Updates:Ban on kite flying lifted

            Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
            Sorry to say not agree.......:)
            aap nay basant manani hay to wessay hee mana lijiey per baat wo kijiey ......jiska wajood ho :)
            Wessay sab se pehlay to prove kijiey k culture hay ye humara ???to shayad humein bhi samjh aa hee jaey :)

            rahee baat pabandi k bawajood mananay ki s tehwaar ko to us ki reason bata chukay hum ..apnay chand lamhon ka sawad(maza) kerna maqsood hay sab logon ko .......is lieey manatay hain ........agar sahee taur se rules aur laws pass kieey jaeen ...aur humaree naam nihaad law pass kernay waalay apnay ghar se hee is kaam ko rokein to hee ruk sakta hay....

            yun nahin k law pss kar diya jaey ...aur law pss kernay waalon k apnay bachay hazaron rupay luta chhorein basant per :)
            main yehee to kehnaa chahtaa hoo baqool aap kee yehh joo chand lamhoon kaa sawad joo heyy yehh aaj kee iss nafsanafsee kee doorr main milnaa boht mushkil hoo giaa heyy agar yehee chotee chotee khushian hamain naa milain to shayad hammarraa jeenaa mushkil hoo jayee thats why i say that it should bee ..................:hathora
            yehh joo aap nee laww pass karnee kee batt kahee heyy hamaree iss pk main koii bhee laww pehlay to aasanee see pass hotaa nahee agar hoo bhee jayee to uss kaa nifazz konnkaree gaa ,,,,,,impossible hey laws per amal kernaa yaa nafiz kernaa :cc:
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment


            • #21
              Re: Updates:Ban on kite flying lifted

              Originally posted by sarfraz_qamar View Post
              main to sirf itnaa soochtaa aor samjhtaa hoo kehh "iss mushkil door main joo bhee cheeze hamian thooraa saa fun aor enjoyment deyy usee zaroor honaa chahiey"
              Fun to aur bhi bohot tareekon sey haasil ho sakta hai wo Islam key khilaaf bhi na hon

              phir basant hi kyun?
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                Bahar kay mousam main asman pay rang barangi urti hove patanigan buhat khoubsurat lagti hain ...isi say to pata chalta hai kay bahar ai hai :) ..lekan...................jab ham yeh khabar suntay hain kay patang ki door say kisi ka gala cut gia to sari khoubsurti vohi maand par jati hai..............................
                patang ki door khatrnaak wali use na karain na .....

                ya pher koi khas jaga hoo jahan sab mill kay apna shok poora karain ...marain gay to un kay apnay marain gay :lol pher sabak millye ga unhye
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Fun to aur bhi bohot tareekon sey haasil ho sakta hai wo Islam key khilaaf bhi na hon

                  phir basant hi kyun?
                  yaa u r saying right that fun aorr bhee boht see tareeqoon see hasil hoo saktaa heyy kuch loog playing games like kertee hain aor enjoy kertee hain to kuch sirff reading yaa kisee aorr tareeqayy se enjoyment hasil kerteee hainn...........
                  but yehh bhee hoo skataa hayy keh eikk cheeze jo aap dislike kertee hain wahee cheeze 2nd ko pasand hoo yaa joo aap koo pasand hoo wahee 2nd koo napasand hoo........... aap apnee pasand kisee 2nd per zabardastee nahee thoonss sakteyy her kisee kaa apnaa style hey enjoyment kaa abb aap koo Basant mananaa achaa nahee lagtaa but i like it .......
                  iss tarah see aap koo agarr basant mananaa achhhaa nahee lagtaa to aap iss koo ghalt nahee kehh saktee ................... aor jahan takk islam kee khilaff honee kaa talq hayy meree khial main aisaa balikol bhe enahee heyy
                  aorr jah
                  "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                  Comment


                  • #24
                    Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    Bahar kay mousam main asman pay rang barangi urti hove patanigan buhat khoubsurat lagti hain ...isi say to pata chalta hai kay bahar ai hai :) ..lekan...................jab ham yeh khabar suntay hain kay patang ki door say kisi ka gala cut gia to sari khoubsurti vohi maand par jati hai..............................
                    patang ki door khatrnaak wali use na karain na .....

                    ya pher koi khas jaga hoo jahan sab mill kay apna shok poora karain ...marain gay to un kay apnay marain gay :lol pher sabak millye ga unhye
                    aap nee bohtt hee khoofnakk baat boht hee simple andaz main likhee heyy(marain ge eto unn kee apnee marr jainn gee) ...................
                    aisaa nahee boltayy khudaa naa karayy kisee kee sathh aisaa hoo :cc:
                    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                      aap nee bohtt hee khoofnakk baat boht hee simple andaz main likhee heyy(marain ge eto unn kee apnee marr jainn gee) ...................
                      aisaa nahee boltayy khudaa naa karayy kisee kee sathh aisaa hoo :cc:
                      han jab zahir hai aisi door say bachay baray mar jatay hain ..or unhay kuch ihsas nahi hota ...pher say aisai door lagana shuru kar daytay hain ..to jab in kay apnaoun ko kuch hoo ga to pata chalye ga
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #26
                        Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                        Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                        i think joo bhee cheeze hamm koo iss mushkil door main thoree see khushee dee uss ko karnaa chahiey............
                        aorr hamm 60 years see yeh basant manaa rahee hain now yehh hamaraa culture bann giaa heyy agar yehh hamaraa culture naa hotaa to itnee pabandee kee bawajood people iss celebrate kernaa kuunn chahteyy hainnn ............ kiaa aap kee pass iss cheeze ka jawab heyy
                        mohtram ye koi daleel nahi hai k jis cheez ko aap 60 saal say mana rahey hain woh aap ka culture hai. patang urrna aik aur baat hai aur BASANT celebrate kerna aik aur cheez. Basant ko es tarah man-ne ka trend pichle kuch saalon say shruu hua hai woh bhi media aur so called roshan khyali ki waja say. pichley kuch saalon say ham Valentine's day ko bhi khub josh k sath celebrate kerte hain tou kiya aaj say 10-20 saalon k baad ham ye keh saken gey k Valentine's day hamare culture ka hisa hai.
                        rahi pabandyun ki baat tou Burae say buchney ki talqeen aur Azab ki peshgoyun k bawjood insan Burae say nahi bachta ussi rah per chalta hai. this is human nature tou kiys ye es baat ki daleel ho jaye gi k Buraee ko zindagi ka essentials k taur per accept ker lena chahye kyun k insanon ki aik barri majority apney aap ko burae say nahi bacha sakti.
                        kuch lamhon ya aik din ki khushi kitney logon ko rulati hai kabhi shayed kisi nay nahi socha ho. aur hota kiya hai es din?? Lahore mein Basant night ki haqeeqat kis ko nahi maloom. jitna kuch es event per surf kiya jata hai ager uss ka half bhi needy public ko dey diya jaye ya unn ki falah behbood per laga diya jaye tou chand lamhon ki nahi MUSTQIL khushi hasil ho sakti hai.
                        waise aik baat aur kahen aap say. ager kahin say aap ko Basant festival ki history mil saki tou zaroor perrhye ga k es ka aaghaz kesey hua tha aur kis ney kiya tha
                        "All I have learned from Life is that I know nothing."




                        Comment


                        • #27
                          Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          Bahar kay mousam main asman pay rang barangi urti hove patanigan buhat khoubsurat lagti hain ...isi say to pata chalta hai kay bahar ai hai :) ..lekan...................jab ham yeh khabar suntay hain kay patang ki door say kisi ka gala cut gia to sari khoubsurti vohi maand par jati hai..............................
                          patang ki door khatrnaak wali use na karain na .....

                          ya pher koi khas jaga hoo jahan sab mill kay apna shok poora karain ...marain gay to un kay apnay marain gay :lol pher sabak millye ga unhye
                          exactly aanchal jee aap nay bilkul sahi kaha. patang bazi bhot say countries mein hoti hai China aur Japan mein bhi festivals hote hain lakin woh aik khas jaga per manaye jatey hain. baqaida grounds makhsoos kiye jatey hain jahan log es game ko enjoy kerte hain hamari tarah nahi k jaan ka risk le ker enjoy karo ya tou chhat say gir ker jaan say jao ya sari zindagi k liye koi organ ganwa betho. taaron aur darakhton mein atki patanon ko utarney ya kati patang ko lootney k liye ham nay apni aankhon say buchon ko road per bhagtey dekha hai jahan dhyan traffic per nahi ooper aasman ki taraf hota hai..
                          aur dhati doore say galey katna tou ab aik mamool ho gaya hai. her saal kitni janen es tarah jati hain lakin kisi ko kiya perwa
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."




                          Comment


                          • #28
                            Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                            Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                            mohtram ye koi daleel nahi hai k jis cheez ko aap 60 saal say mana rahey hain woh aap ka culture hai. patang urrna aik aur baat hai aur BASANT celebrate kerna aik aur cheez. Basant ko es tarah man-ne ka trend pichle kuch saalon say shruu hua hai woh bhi media aur so called roshan khyali ki waja say. pichley kuch saalon say ham Valentine's day ko bhi khub josh k sath celebrate kerte hain tou kiya aaj say 10-20 saalon k baad ham ye keh saken gey k Valentine's day hamare culture ka hisa hai.
                            rahi pabandyun ki baat tou Burae say buchney ki talqeen aur Azab ki peshgoyun k bawjood insan Burae say nahi bachta ussi rah per chalta hai. this is human nature tou kiys ye es baat ki daleel ho jaye gi k Buraee ko zindagi ka essentials k taur per accept ker lena chahye kyun k insanon ki aik barri majority apney aap ko burae say nahi bacha sakti.
                            kuch lamhon ya aik din ki khushi kitney logon ko rulati hai kabhi shayed kisi nay nahi socha ho. aur hota kiya hai es din?? Lahore mein Basant night ki haqeeqat kis ko nahi maloom. jitna kuch es event per surf kiya jata hai ager uss ka half bhi needy public ko dey diya jaye ya unn ki falah behbood per laga diya jaye tou chand lamhon ki nahi MUSTQIL khushi hasil ho sakti hai.
                            waise aik baat aur kahen aap say. ager kahin say aap ko Basant festival ki history mil saki tou zaroor perrhye ga k es ka aaghaz kesey hua tha aur kis ney kiya tha
                            sab see pehly baat to yehh heyy keh everyman has his own pont of view...........
                            secondly aap ne Velentine day kee baat kee basant aor valintine day main boht farq heyy velintine day Europe nad America etc see our country main aayaa heyy jabkeh Basant hamare yahhe kee pedawarr aor yahee kaa desee culture haii so u can not mix it together ...........
                            thirdly aap nee boht khoobsoort Lafz use kia heyy NAMM NIHAD ROOSHAN KHIALEE ........ main bhee iss naam nihad roshan khialee kee kee khilaf hoo ......................
                            Forthly u say that buraii kee tarf raghib honaa human nature hey i m not agree u at this point bcz Quran yehh kehtaa heyy insan kee asal fitrat yaa bunyaad achhaii hee heyy... so u can not say this
                            Fifthlly aap nee joo needy people per kharch kernee kee baat kee heyy yehh right kahaa hayy i agree u aor aissa honaa bhee chahieyy but aaj kee iss door main lakhoon main see koii eik shayad aisaa hoo gaa joo aisaa kertaa hooo gaa ...... soo aisaa soochnaa hee fazool hayy aor iss per amal kernaa namumkin haii aisaa sirf soochaa hee jaa saktaa heyyyy.............
                            Lastly main neee Basant kee baree main saree history parh rakhe heyy how it starts and its celebration in pk especially in Lahories main yehh kehta hoo yaa soochtaa hoo yaa meraa samjhnaa kehh lain kehh iss kee starting khaww kesee hoii now we r celebrating it and yeh hamree khooshee aor taskeen kee wajaa bann rahee heyy to iss koo zaroor honaa chahiey.......
                            sarfraz qamar



                            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                            Comment


                            • #29
                              Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              han jab zahir hai aisi door say bachay baray mar jatay hain ..or unhay kuch ihsas nahi hota ...pher say aisai door lagana shuru kar daytay hain ..to jab in kay apnaoun ko kuch hoo ga to pata chalye ga
                              Basant mananeyy kee dorran hadisat kaa honaa kisee kaa zakhmee hoo janaa yaa kisee kaa mar janaa yehh sab kuch hamree apnee ghaltion jinn main Dhatee Door kee istemall see lee kerr sabb kuch shamill haii inn sabb kaa use nahee honaa chahieyy yahan tak main aap see agree kertaa hoo isee liey to main kehtaa hoo kehh basant kaa tehwar mananaa ghalt nahee balkeh iss kaa mananey kaa tareeqaa sahee honaa chahieyyyyyy
                              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                              Comment


                              • #30
                                Re: Updates:Ban on kite flying lifted

                                Assalam-O-alekum
                                ye mujhe ek mail ayi thi..mene socha ap se share karon :)
                                Attached Files
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X