Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Thap'paR...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Thap'paR...!!

    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
    parents ko waqt, halat, moqa aur buchey ki psyche ko dekhtey huwe uss ki perwarish k different phases ko deal kerna chahye tou waquii walden ki maar bhot zaroori hai. had say zayada pyar aur nermi buchey ko spoil ker deti hai so there should be a balance.
    nice comments

    Originally posted by Wafa View Post
    "jinhen maan baap nahi martey un ko dunya marti hai" ye baat bilkul theek hai....bache ke sab se pehle teacher us ke parents hote hai....bache ko zaroor buri baat par tookna chaheye aur pehle pyaar se samjhana chaheye, lekin agar pyaar se na samjhe to dantna bhi theek hai.....kuch restriction bhi hone chaheye...lekin ziada nahi ke bache tang aa jae....parents ke tokne se bacha aage chal ke kaafi problems se bach jaata hai.....:)
    Nice words :phool:
    That's Enough...!!

    Comment


    • #17
      Re: Thap'paR...!!

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
      nice comments
      thnks a lot :)
      "All I have learned from Life is that I know nothing."




      Comment


      • #18
        Re: Thap'paR...!!

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
        dar'asl ghalti meri hai maiN apni baat define nahee kar'saka :blush:, mera matlab hargiz yeh nahee thaa kay har baat par chpair maar dia jaiy :slap:, balkay maiN to "sakhti" kay hawalay say poch rhaa thaa jaisay kay filba aur waqar sahab nay farmaya aur 2 achi misalaiN paish keeN, kia aap ka nahee khayal kay bachoN par "sakhti" karni chaheay matlab jab woh ghalat hoon ya phir maghrib ki terhaan he theek hai :mm:
        Na hi sakhti kerni chahiye aur na hi khuli choot

        aeysi tarbeeyat honi chahiye jis mey aap bachon ko us ki limits bata dein ......ta key ussey khud pata ho wats wrong...wats right.....aur wo in limits key ander rahey....

        aik baar bachey ko apni limits pata chal jayein to parents ko ye sawal kerney ki zaroorat hi nahi pesh ati key

        kahan gaye they? kis sey miley ? kyun miley ? ye kaam kyun kiya wo kyun nahi kiya?
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19
          Re: Thap'paR...!!

          I am not agree ... :lol
          well Scorpon kitney thapar parr chukey hein :lol
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #20
            Re: Thap'paR...!!

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            twadi sariaN gallaN ek taraf :blush:, ooy bewaqofaa woh maaN baap bhi to kisi kay bach'chay hotay hain, phir to woh bhi buray nahee howay :cc:
            Meri jaan murgi ke anday buchon se ziada aaj kul ke maan baap ko tarbiyat ki ziada zaroorat he...jo walidein sensible hotay hein un ke buchay bhi sensible hotay hein...buchay pyaar ki zubaan samajtay hein, buchon ko motivation ki zaroorat hoti he na ke discourgement ki...buchay ko right guideline chahiye hoti he, maar koi solution nahi, is se buchay mein complex paida ho jata he, us ki personality kharaab ho jati he...jo waledein baat baat per buchon ko maartay hein to is ka simple yahi matlab he ke un ki walidain ki tarbiyat mein kuch flaws hein...mein tujay pyaar se samja raha hon samaj ja, mujay ziada ghusa na charha :na:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: Thap'paR...!!

              Nahi Scorpio ................ Maar her bachey ke liyeh aur her situation mei zarori nahi .......... Its is agreed ke kabhi kabhi bachon per ounhi ki bhalayi ek liyeh hath outhana perta hai magar yeh her baat ka hal bhi nahi hota ...........
              Meri sab se choti sis .............. She's Eleven :masha ... Wo mere hathon mei hi pali hai ....... she was born when I wasn't working tab mei college mei thi ........ mei ne FA private kiya hai to oun dino mei ghar per hoti thi ........ to ous ka her tarah se khayal mei hi rakhti thi and with in no time woh mujh se itna attach ho gayi ke she never bothered to find where's mum as long as i was around ........... aur aaj tak mujhe ous per buhut kam hath outhaney ki zarorat pari hai .....bachey masoom hotey hain, nadanian aur sharartein kertey hain, yeh oun ka haq bhi hai ....... ab yeh baat hum per lagoo hoti hai ke hum oun herkaton ko kis tarah parakhtey hain ...... ager ounhein samjhaney ka humara hi tareeqa galat hai to bacho ka kya kasoor ....... My sis know very well wht are the things she's forbidden from and if she goes for any of those ..... she herself will be in trouble .......... sab hum per depend kerta hai ke hum apni baat bachon tak kaisey pohanchtey hain aur wo ousey kis way mei samajhtey hain .....
              Last edited by 'SamRazi'; 10 January 2007, 06:11.
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: Thap'paR...!!

                Originally posted by 'Sweet & Sour' View Post
                Nahi Scorpio ................ Maar her bachey ke liyeh aur her situation mei zarori nahi .......... Its is agreed ke kabhi kabhi bachon per ounhi ki bhalayi ek liyeh hath outhana perta hai magar yeh her baat ka hal bhi nahi hota ...........
                maiN nay bhi kaheen nahee likha kay humaisha danda lay kar bachoN kay sar par sawar hona chaheay, ghair zarori maar aur raub rakhnay kayleay maar peet ka to koi ze'shaur insaan sauch he nahee sakta..
                That's Enough...!!

                Comment


                • #23
                  Re: Thap'paR...!!

                  Originally posted by Aania View Post
                  I am not agree ... :lol
                  well Scorpon kitney thapar parr chukey hein :lol
                  bohot he kam isi leay to miss kar'rha hoon :khi:

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  jo waledein baat baat per buchon ko maartay hein to is ka simple yahi matlab he ke un ki walidain ki tarbiyat mein kuch flaws hein...
                  jo jawab SS ko dia hai woh he tumharay leay hai aqal kay dushman :a stick:, ghuma phira kar wohe baat kar'rhay hai aur samajh rhay ho kay koi mukhalfat kar'rha hai, tumhara koi haal nahee bach'chay :comfort:
                  That's Enough...!!

                  Comment

                  Working...
                  X