Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Thap'paR...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Thap'paR...!!

    :rose
    Attached Files
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Thap'paR...!!

    Ji yeh ghalat he, aisa koi chaker nahi

    Buchay ko maar se nahi, tareekay se samjaein, us ke ander shaoor paida kerne ki kooshish karein, usay ghalat aur sahi mein tameez sikhaein...buchay bohat jaldi baat ko pick kerte hein.

    Infact, mein yeh kehta hoon ke buchay to aik pigli hui dahaat (Melted metal) ki tarah hotay hein, unhein jis saanchay mein undaila jaye wo us ka roop akhteyaar ker lete hein...aur jo buchay bigray huay hotay hein, to bus yahi samjein ke un buchon se ziada un buchon ke maan-baap ko tarbiyat ki zaroorat he...bucha koi bhi bura nahi hota
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Thap'paR...!!

      Originally posted by munda_sialkoty View Post
      aur jo buchay bigray huay hotay hein, to bus yahi samjein ke un buchon se ziada un buchon ke maan-baap ko tarbiyat ki zaroorat he...bucha koi bhi bura nahi hota
      twadi sariaN gallaN ek taraf :blush:, ooy bewaqofaa woh maaN baap bhi to kisi kay bach'chay hotay hain, phir to woh bhi buray nahee howay :cc:
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: Thap'paR...!!

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
        :rose
        you are 100% correct jin ko waldein naeen , dantay , martey , un ko dunia marti hay

        bachpan main app ney wo kahani zaroor class main perhi ho gi
        jis main chor / qatil ko jab pansi ki saza hoti hay to wo apni man sey milnay ki kohaish kerta hay and jab wo us sey milnay ati hay to us ko marnay ki kohsish kerta hay key ager is ney mujeh bachpan main mana kia hota , chorion sey roka hota , daraya damkhaya hota , to main ajj esay na hota
        etc etc
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment


        • #5
          Re: Thap'paR...!!

          Nahi Rullz..."Maar" .....meyra nahi khayal key aik bacha maar khaney sey sudher sakta hai.....

          aik bachey ki shaksiyat bana ney key liye waleydeyn ko bohot kaam kerna hota hai.......agar bacha perh nahi raha to sirf ussey aik thappar laga ker ye keh diya jaye key "ja ker perhein apna" ...aur bas baat khatam


          aik bacha jitna payar sey seekta hai wo maar ya daant sey kabhi bhi nahi seekh sakta hai
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Thap'paR...!!

            Waldain ki daant aur patayee insan ko buhut si burayoon se bachaa leti he

            west ke bachay aap ke samnay hein jo dantnay per bhi police bulatay hein aor 20 saal ki umer ke baad apnay parents ka naam tak bhool jatay hein
            Rabb e Zidni Elmaa"

            Comment


            • #7
              Re: Thap'paR...!!

              kuch nahi bus aap ka weham hy...............

              Comment


              • #8
                Re: Thap'paR...!!

                Bacha tu Bacha hota hai us ko kia pata k us nay kia kiia haiiii....Piyar say us ko samjhaya jaey aur us ko btaya jaey k jo kaam us nay kia hai wo ghalat hai aur us ko sudharnay ka moqa dia jaey...aur us ko btaya jey k jo us nay kai hai wo is ko dobara na dohraey...aur har kisi ka piyar jtanay ka alag tareeqa hota hai...kuch maan baap bachon ko kuch ziyada lad piyar day ker bigar daitay hain aur un ki ghalat salat batain mantay hain aur un baton per hans kar taal daitay hain agar tu aisa piyar bachon ko bigar daita hai ... main aisay piyar k haq main bilkul nahien hoon....un ki her ghalti per tokna maan bap ka farz hai ta k un ko pata chalay k wo ghalat ker rahay hain ya sahi agar nahien tokain gay tu bacha yahi samjhay ga k us nay jo kia hai wo sahi kia hai...aur jab bara ho ker wo wohi kaam baray tareekay say kerta hai tu zahir hai us ko dunia ki maar perti hai ... laikin maar ker bachon ko samjhana yeh koee tareeqa nahien hai un ko piyar say samjhaya Jaey tu mujhay yaqeen hai k wo sudhar saktay hain.......
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Thap'paR...!!

                  Originally posted by filbahere View Post
                  you are 100% correct jin ko waldein naeen , dantay , martey , un ko dunia marti hay

                  bachpan main app ney wo kahani zaroor class main perhi ho gi
                  jis main chor / qatil ko jab pansi ki saza hoti hay to wo apni man sey milnay ki kohaish kerta hay and jab wo us sey milnay ati hay to us ko marnay ki kohsish kerta hay key ager is ney mujeh bachpan main mana kia hota , chorion sey roka hota , daraya damkhaya hota , to main ajj esay na hota
                  etc etc
                  Good maiN bhi isi point ki wajah say keh rhaa tha aur dosra point mery nazdeek waqar masood sahab nay define kardia hai, kay wahan Maghrib main amma abba marain to local 15 par call kardo :donno:

                  Originally posted by waqar_masood View Post
                  Waldain ki daant aur patayee insan ko buhut si burayoon se bachaa leti he

                  west ke bachay aap ke samnay hein jo dantnay per bhi police bulatay hein aor 20 saal ki umer ke baad apnay parents ka naam tak bhool jatay hein
                  Bilkul theek
                  Last edited by RulzZ; 26 December 2006, 11:43.
                  That's Enough...!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Thap'paR...!!

                    Originally posted by Xenya View Post
                    Nahi Rullz..."Maar" .....meyra nahi khayal key aik bacha maar khaney sey sudher sakta hai.....

                    aik bachey ki shaksiyat bana ney key liye waleydeyn ko bohot kaam kerna hota hai.......agar bacha perh nahi raha to sirf ussey aik thappar laga ker ye keh diya jaye key "ja ker perhein apna" ...aur bas baat khatam


                    aik bacha jitna payar sey seekta hai wo maar ya daant sey kabhi bhi nahi seekh sakta hai
                    dar'asl ghalti meri hai maiN apni baat define nahee kar'saka :blush:, mera matlab hargiz yeh nahee thaa kay har baat par chpair maar dia jaiy :slap:, balkay maiN to "sakhti" kay hawalay say poch rhaa thaa jaisay kay filba aur waqar sahab nay farmaya aur 2 achi misalaiN paish keeN, kia aap ka nahee khayal kay bachoN par "sakhti" karni chaheay matlab jab woh ghalat hoon ya phir maghrib ki terhaan he theek hai :mm:
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Thap'paR...!!

                      Originally posted by Khalil View Post
                      kuch nahi bus aap ka weham hy...............
                      :slap:

                      Originally posted by sccorpion81 View Post
                      kuch maan baap bachon ko kuch ziyada lad piyar day ker bigar daitay hain aur un ki ghalat salat batain mantay hain aur un baton per hans kar taal daitay hain agar tu aisa piyar bachon ko bigar daita hai ... main aisay piyar k haq main bilkul nahien hoon....un ki her ghalti per tokna maan bap ka farz hai ta k un ko pata chalay k wo ghalat ker rahay hain ya sahi agar nahien tokain gay tu bacha yahi samjhay ga k us nay jo kia hai wo sahi kia hai...aur jab bara ho ker wo wohi kaam baray tareekay say kerta hai tu zahir hai us ko dunia ki maar perti hai ...
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Thap'paR...!!

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post



                        dekha mujy pata tha aap ka weham hy:slap:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Thap'paR...!!

                          Originally posted by Khalil View Post
                          dekha mujy pata tha aap ka weham hy:slap:
                          :D
                          :phool:
                          Get well soon lucky

                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Thap'paR...!!

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            :rose
                            "jinhen maan baap nahi martey un ko dunya marti hai" sahi baat es tarah sey hain ager ham maar ko Physical Beating ki sense mein na len yani shouldn't go for the literal meaning of Maar.
                            ham ye samjhtey hain k ye TERBIAT ka andaz he buchey ki over all personality ko develop kerta hai. ab ager ham maar se ye matlab len k walden buchey ki perwarish es tarah karen k jahan sirzanish ki zaroorat hai wahan strict hua jaye jahan nermi say kaam liya ja sakta hai wahan pyar say baat samjhae jaye yani parents ko waqt, halat, moqa aur buchey ki psyche ko dekhtey huwe uss ki perwarish k different phases ko deal kerna chahye tou waquii walden ki maar bhot zaroori hai. had say zayada pyar aur nermi buchey ko spoil ker deti hai so there should be a balance. han lakin maar ka matlab waquii MAAR nahi hona chahye rather it should be some way to teach the child a disciplined appraoch as this is parents' responsibilty to prepare the child for practical life.
                            Last edited by Gul-e-Lala; 26 December 2006, 21:19.
                            "All I have learned from Life is that I know nothing."




                            Comment


                            • #15
                              Re: Thap'paR...!!

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                              dar'asl ghalti meri hai maiN apni baat define nahee kar'saka :blush:, mera matlab hargiz yeh nahee thaa kay har baat par chpair maar dia jaiy :slap:, balkay maiN to "sakhti" kay hawalay say poch rhaa thaa jaisay kay filba aur waqar sahab nay farmaya aur 2 achi misalaiN paish keeN, kia aap ka nahee khayal kay bachoN par "sakhti" karni chaheay matlab jab woh ghalat hoon ya phir maghrib ki terhaan he theek hai :mm:
                              "jinhen maan baap nahi martey un ko dunya marti hai" ye baat bilkul theek hai....bache ke sab se pehle teacher us ke parents hote hai....bache ko zaroor buri baat par tookna chaheye aur pehle pyaar se samjhana chaheye, lekin agar pyaar se na samjhe to dantna bhi theek hai.....kuch restriction bhi hone chaheye...lekin ziada nahi ke bache tang aa jae....parents ke tokne se bacha aage chal ke kaafi problems se bach jaata hai.....:)
                              sigpic


                              Comment

                              Working...
                              X