Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

    ---
    Attached Files
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

    acha topic hay.............inshaALLAh yehan behas hugi

    Comment

    • #3
      Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

      sab se pehli baat ye hai k Mulla ka sahi matlab samjha jaye. aur ager koi hamare liye es ko explain ker de tou ham thankful hun ge kyun k ho sakta hai hamare zehan mein Iqbal ki Term Mulla ka jo tasawer hai woh sahi na ho.
      "All I have learned from Life is that I know nothing."

      Comment

      • #4
        Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

        Hmmmmmmm

        Nice topic:lpop:
        jo defn mere zehn main hai "MULLA" ki main INSHALLAH share karoon gi:)
        keep on ur discussions:)

        KHUSH RAHYEE
        n nice topic!:thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

          Originally posted by Gul-e-Lala View Post

          Mery khayal main Allama Iqbal "Kirdar-e-Mulla" kay mukhalif nahee thay balkay "Fankar Mulla" say sakht bezar thay :mm:, aur mazeed wazahat kay leay mazeed logoN ka intezar farmaeay :blush:
          That's Enough...!!

          Comment

          • #6
            Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

            Originally posted by Khalil View Post
            acha topic hay.............inshaALLAh yehan behas hugi
            Tum bhi to behas karo kia yonhe nach'tay rhoo gaiy :embarasse

            Originally posted by Me Here View Post
            Hmmmmmmm

            Nice topic:lpop:
            jo defn mere zehn main hai "MULLA" ki main INSHALLAH share karoon gi:)
            keep on ur discussions:)

            KHUSH RAHYEE
            n nice topic!:thmbup:
            ok jee hum intezar farmatay hain :salam:
            That's Enough...!!

            Comment

            • #7
              Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

              Meyrey khayal mey jin Mullahs ko hum aaj critise kertey hein wo un ki Qaul or Feyl mey tazaaad ki bina per kertey hein ...

              btw "Fankar Mullah" kaun si kisam hai?
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                Originally posted by Xenya View Post
                Meyrey khayal mey jin Mullahs ko hum aaj critise kertey hein wo un ki Qaul or Feyl mey tazaaad ki bina per kertey hein ...

                btw "Fankar Mullah" kaun si kisam hai?

                Fankar Mulla woh he hotay hain jinhain hum criticize kartay hain :blush:, woh jo batatay hain kay tum kal mar jao gaiy aur dozakh main jao gaiy phir dozakh kay azab ki tafseelat bayan ki jati hain aur yoon muslmanoN ko "rah-e-hidayat" par laya jata hai... jab kay Iqbal kay nazdeek "Loog aAsan samajhtay hain MuslmaaN hona..!!" jab Muslman hona aasan nahee to "Ulma" to is say thoRa oncha darja hai..

                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post

                  ji ham bhi yehi samjhte hain infact ham es sab ko Iqbal k uss shair k tanazer mein dekhte hain.
                  "Mula ki azan aur hai Momin ki azan aur"
                  "All I have learned from Life is that I know nothing."

                  Comment

                  • #10
                    Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                    Originally posted by Gul-e-Lala View Post
                    ji ham bhi yehi samjhte hain infact ham es sab ko Iqbal k uss shair k tanazer mein dekhte hain.
                    "Mula ki azan aur hai Momin ki azan aur"
                    o koon loag o tussi

                    "Mula ki azan aur hai Mujahid ki azan aur"

                    Comment

                    • #11
                      Re: MUBAHISA: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                      mera khiyal hay bhai scorp rules..sab sy pehly aap apni ray ka ezhar karian...kiun k aap ny kuch socha huga tab hee post lagain hy...

                      Comment

                      • #12
                        Re: MUBAHISA: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                        Originally posted by Khalil View Post
                        mera khiyal hay bhai scorp rules..sab sy pehly aap apni ray ka ezhar karian...kiun k aap ny kuch socha huga tab hee post lagain hy...

                        waday sianay ho tussi :blush:, dar'asl baat yeh hai kay main aik mehfil main tashreef farma thaa , wahan buzargoN kay darmian "Mulla" par jang chiRi hoi thee, aik Sahab nay dil khool kar mulla ko bura bhala kaha aur Iqbal kay asha'ar ka sahara bhi lia, us mehfil main mery chand zati buzrg bhi mojod thay :khi:, is leay pehlay to maiN had-e-adab main raha aur un ki taraf twatur say daikh kar samjhata rhaa kay hazrat aap kuch "oncha" bool rhay hain... par woh musalsal boltay rhay aur "mulla" aur "ulma" ko aik he saf main khaRa kardia, woh "fankar mulla" kay bjaiy "kirdar-e-mulla" kay mukhalif lag rhay thay, jab sabr ka pemana labraiz howa to maiN nay had-e-adab teh kar kay apnay chacha jee ki jaib main rkhi aur on sahab ki shan main gustakhi kar dali.... aur gustakhi bhi aisi kay woh forum par shayad bayan nahee hosakti, is gustakhi say woh hazrat to khamosh ho gaiy laikin phir maiN nay Iqbal kay mulla aur "kirdar-e-mulla" ko on kay samnay define kia, laikin mery zati buzurg meri gustakhi ki wajah say musalsal mujhay ghoor rhay thay is wajah say mujh maiN bhi kuch kehnay ki himmat baqi na rahee :khi:,

                        hon samajh aaya qis'sa.... :wk,
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #13
                          Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                          Originally posted by Khalil View Post
                          o koon loag o tussi

                          "Mula ki azan aur hai Mujahid ki azan aur"
                          :cc:acha Mujahid tha ..sorry humain shair poore pooer yad nahi rehte :blush: ghalti ki muazrat aut Tasheeh ka shukriya :)
                          "All I have learned from Life is that I know nothing."

                          Comment

                          • #14
                            Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            Fankar Mulla woh he hotay hain jinhain hum criticize kartay hain :blush:, woh jo batatay hain kay tum kal mar jao gaiy aur dozakh main jao gaiy phir dozakh kay azab ki tafseelat bayan ki jati hain aur yoon muslmanoN ko "rah-e-hidayat" par laya jata hai... jab kay Iqbal kay nazdeek "Loog aAsan samajhtay hain MuslmaaN hona..!!" jab Muslman hona aasan nahee to "Ulma" to is say thoRa oncha darja hai..
                            Aa han...

                            theek theek

                            is tarhan to hamarey paas Fankaar siyasi leaders bhi hain ....right?
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: "Iqbal" aur "Mulla"...!!

                              Originally posted by Xenya View Post
                              Aa han...

                              theek theek

                              is tarhan to hamarey paas Fankaar siyasi leaders bhi hain ....right?
                              Fankar Siasi Leaderz jab "Siasi Leader" keh dia to Fankar laganay ki kia Zarorat hai :blush:,
                              meri darj-e-bala post ka koi yeh matlab na lay kay maiN "amr-e-bilma'rof" or "nahi un'il munkir" ka mukhalif hoon, balkay mery kehnay ka matlab yeh thaa kay tableegh kay doran banday ko itna gunahgar show kia jata hai kay woh sochta hai kay chalo ab to maghfirat honi he nahee :blush:, ya phir wesa he waqeya paish aata hai jis maiN apnay gunah dhonay kayleay insaan apnay bach'choN ki qurbani paish karta hai.....
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              Working...
                              X