Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Net Chatting

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Net Chatting

    Pehle zamanay mein rishtay khandanwalay recommend kartay thay. Magar ab koi kissi ki zimmidari nahi leta.:tauba
    Kiyonkay Muslim mashray mein dating nahi hote iss leye shadi daftron ka eik maem ul badal logon ne chat nikal leya hay.:a stick:
    Kiya ziyada tar log issi leye chat karte hain?Aur kiya net ki jhoti dunyia mein ye eik kamyab tareeqa hay?App ka kiya khyal hay?

    Is chatting on net a bad idea?
    Last edited by Masood; 13 November 2006, 18:11.
    ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

  • #2
    Re: Net Chatting

    apni apni soch aur jaisa banda huga osy waisy hee response mily ga
    aur mashaALLAH mera tajarba hay K net ...per buhat achy loag huty hian....jaisa k reall life main bee nahi huty

    Comment


    • #3
      Re: Net Chatting

      Is tarha ka aik thread pehley discuss ho chuka hai - please referr to that....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Net Chatting

        Shukriya ap ki response kay leye.Mujhe wo thread nahi mille jis mein pehle ye zikar hochuka hay.
        ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

        Comment


        • #5
          Re: Net Chatting

          `**WELCOME MUTFANIN @ BEHES-O-MUBAHISA**`
          :welcome: :welcome: :welcome:

          Net Chat......Hmmmmmm
          well it totally depends on the next person.
          net ki dunya 95% jhooti hai.....5% sacchi bhi hai
          it depends on ur luck k apko her taraf jhoot mily ya sach bhi...
          per u must not b among those who r flirt themselves n spreding bad things.

          Net per pegham jese forums bhi hain jahan hum discussion kerte hain n its also a sort of chatting....!
          watelse i can say:)
          Last edited by Shaim; 17 November 2006, 17:21.

          Comment


          • #6
            Re: Net Chatting

            Mera nahi khiaal k ziada tar log apna net (chat) per partner dhoondnay k liye aatay hain. yeh to tafreeh ka aik zaria hai jahan aap gap shap kar saktay hain aur nay dost bana saktay hain.
            Net ki dunia aur haqeeqi dunia bohat mukhtalif hain. Net per chat k doraan aap ko doosray insaan k baray main sirf wahi pata chalta hai jo woh batana chahta hai. meray khial main net tasweer ka aik ruk dikhata hai jo k hameesha acha hi hota hai. Main nay kuch arsa kabal aik report parhi thi jis main american society ki broken marriages par tahkeek ki gai thi. is report main talaak aur extra marital affairs ka aik bara ansar net ka istemal karaar dia gia tha. wajah saaf zahar aati hai k insaan ko har waqt khoob say khoob tar ki talash rehti hai aur isi ki justajo main woh yeh bhi bhool jata hai k khud us main bhi bohat shi khamiaan hain.
            Main to is nuqta-e-nazar ka haami hon k net chat ko rishtay dhoondnay k mutbadal k taur par nahi laina chahyee.

            Comment


            • #7
              Re: Net Chatting

              Kahtay hain k dhoondnay say khuda bhi mil jata hai....agar aap net ki dunia main achay log dhoondna chahian tu mere khyal main kami nahien hai...bhot waseeh dunia hai yeh .... jo jis mind ka banda ho ga wo apnay liey usi mind ka banda doondh lay ga...mera chatting ka acha tajruba raha hai...
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Net Chatting

                hmmm well mere khiyal se depend karta hai dosre bande pe aur aap ki luck pe

                kiun k reality mai b tu har koi acha nahi hota aap aise bande se xpect b nahi karte aur woh aap ko dhoka de jata hai so net pe b aise hi hota hai

                so it all depends waise mai tu is liye nahi net use karti

                Comment

                Working...
                X