Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Allama Iqbal aur Ejtihad

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Allama Iqbal aur Ejtihad

    Originally posted by Khalil View Post
    Aslam o alikum,
    jehan tak mujy yaad hay k Ejtihad ka matlab hay k
    "" Theek rasta talash kerna"" ager shareyat main koi masly ka hal na hu ,
    ya koi aisa masla hu jis ka hal Hazoor Muhammad SAWW ky door main koi aur ho ,aur es door dor main os ka koi hal mumkin na hu..aur banda apni soch aur aqal k mutabik os ka hal talash ker lay....
    aam zindagi main aisay buhat say masaiyl a jatay hian jis ka ziker quran sunnat main nahi hota ...to is key leye main nay yeh suna hai kay pehlay to us mamlay ko quran sunnat main dhounda jaye ...vohan na nillaye to sahaba ki raye ko deekha jaye us main bhi na millaye to end main yehi kay us jaga kay jo alam loog hain un ki raye li jaye pher jo sab ka muttafiqa fasila hoo vohi kia jaye ......
    main nay to yehi suna tha ab agar kisi ko is baray main sahi ilm ho to woh yaha share kar daian :)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #17
      Re: Allama Iqbal aur Ejtihad

      Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
      :donno: plz pehlay ijtehaad ki meaning ko clear ker dijieey
      eijtehaad means "Interpretation of Islamic law" .... ya dosre maano mein aap ise "autheritative interpretation" bhi kaih sakte hain...
      there are some secondry laws in Islam. A "secondry laws" are made by ejtehaad by Islamic experts that doesn't contradict with the primarily laws of islam. But these secondry laws don't change the essence of Islam and help people be better muslims.:)
      hope aap sumjh gaye honge.... yahan hum ne simply explain karne ki koshish ki hai....:)
      Last edited by ummid; 13 November 2006, 03:48.

      Comment


      • #18
        Re: Allama Iqbal aur Ejtihad

        Originally posted by Khalil View Post
        aap kee baat main aik samaj nai aai ....aap ny kaha k ejitihad ky liy bandy ka mujtahid huna zarori hay.....kia wo sahabi RTA mujtahid thy???
        .................................................. .............
        waisy mera khiyal hay k ejtihad ka matlab hy k seedha rasta talash kerna es main bandy ka ujtahid huna zarori nahi..
        khalil bhai .. app ke baat main samjh giya hoon
        per jasy key app janty hain key "shari" problems
        ko hal kerna her admi ke key baas ke baat nahin
        as liye loog Fatwa hasil kernain Ulma ke pass jaty hain...

        asi tarah Ijtehad bhi her ek ke baas ke baat nahin
        kiyon ke Ijtehad ke liye kai tarah key uloom per command honi chahiye...
        like.. Arabic lang' , quran ke tafseer, nasikh wa mansookh ayat ka ilm, hadess sy mutaliq uloom like "asmaa ur rujal" ke alim etc
        yeh ek complet list hai uloom ke jo abhi pori nahin lekh rehaa.. jo shakihs deen ke un tamam umoor per mukumal uboor (command) rekhat hai woh ijtehad ker sakaaa hai...

        aisey he shakis ko Mujtehid kehtey hain..
        Sahaba-e-karaam (RTA) kiyon key Piyar nabi (S.A.W) ke khidmat main hazer ho ker barah e rast alim hasil kerty they.. as liye un ke Ailm bila shak wa shuba baad ke tamam logon sey ziyda thaa....
        Sahab-e-Akraam(R.T.A) apnian faislon per piyar nabi (S.A.W) sey ray bhi letaa key yeh faisla drust kiya hai ke nahin...

        khalil bhai jasy ke sub janty hain key aj kal log islam ko bhi apnain mufadat ke liye use ker rehay hain deen ka darad kisi ko nahin.. chahiey deni parites hon ya siyasi sub islam ko apni samjh ke mutabiq paish kerti hain

        as door main agher sub ko ijtehad ke khuli choti mil gai.. tu deen ka kiya hasher ho ga yeh app behater samjh saktey hain

        Iqbal nain jo ijtehad ke tasver diya us per meri kuch Ahle-Alim sey baat howi hai .. per main kuhd abhi us ko pori tarah nahin samjh saka..

        for example... agher mojada national as'ly ko Ijtehad ka akhtiyar hotaa tu abhi tek Hadood law per... 5 ya 6 fatway a chuky hotay.. aur phir opposition sy mushwary ke baad phir "ijtehad" change ho ker dobra 7th fatwa a jataa....

        as liye main iqbal ke tasver ijtehad per kuch nahin keh sakta.. woh ek azeem insaan hain
        un ke soch ko samjnahin ke liye mujh jaisy "tafil-e-maktab" ko abhi kafi sekhanain ho gaa...

        per main ek cheez kehta hon key ijtehad log apnain nafis ke khwahishat ka liye kerin tu yeh rasam tekh nahin rahy gi
        Zaid Hammid on Sawat War..
        A must Watch..

        Comment


        • #19
          Re: Allama Iqbal aur Ejtihad

          Originally posted by Aanchal View Post
          aam zindagi main aisay buhat say masaiyl a jatay hian jis ka ziker quran sunnat main nahi hota ...to is key leye main nay yeh suna hai kay pehlay to us mamlay ko quran sunnat main dhounda jaye ...vohan na nillaye to sahaba ki raye ko deekha jaye us main bhi na millaye to end main yehi kay us jaga kay jo alam loog hain un ki raye li jaye pher jo sab ka muttafiqa fasila hoo vohi kia jaye ......
          main nay to yehi suna tha ab agar kisi ko is baray main sahi ilm ho to woh yaha share kar daian :)
          that's the way to do it...:salam: :salam:

          Per merey khiyal main daily life key shari problems ke liye direct ulma e karam ksey hi pochna chahiye.. kiyon khud quran-o-hadees sey problem solve kerna itna easy nahin... aur quran ke ayat ka mufhoom hai key
          "Agher tum nahin janty tu un sey pocho jo Ahl-e-zikar (ahle Alim) hain"
          Zaid Hammid on Sawat War..
          A must Watch..

          Comment

          Working...
          X