:salam: :salam:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
MUBAHISA: Allama Iqbal aur Ejtihad
Collapse
X
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
What is the word "Ijtihad" means ??
Then lets see ... what I can say about this argumentive .. thread :)
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Nice topic khalil.. tumare bat kafi had tak theek b hay.. tafsele reply soch ker or farig ho ker deta hun...Life is more strict than a teacher
A teacher teaches a lesson
and takes an exam.
But life takes an exam
and then teaches a lesson
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
yes bilkul thek kaha k muslim umaa ko ijtehad ki zaroorat hai mainney school life main is per ek mazmoon parhaa thaa ..humra mazhab kehta hia k humain agey barhna chahyeaa tarqi ki taraf kiya apney mazhab ki hadood main reh ker taraqi kerna koi buri baat nahi mager shariyat ko buniyad bana ker kisi ko tarqai kerney sey rookna ya khud bhi peechey rehnaa koi aqalmandi nahi...
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Thats Nice Topic Khalil Bhai
sab se pahle mein sab ko baatana chahoon ga k Ejtihad ka kia matlab hai
Ejtihad os Qanoon ko ya os tabdeeli ko kahte hain jo hum waqat aur haalat k mutabik islami Qawaneen mein la sakte hain
like
pic lena islaam main jaiz nahi hai lakin
aaj kal passport k lia apny ID k lia Photo lena lazmi hai
so is maslay mein sab MUlaana waqat k Muftee aur alam'e'deen mil beth k "EJTUHAD" ka tareeka use kerty hoay ISlami QAnoon mein waqat ki zaroorat k mutabik Tabdeeli lay k is ko Jaiz Qaraar de sakte hain ,
aur isi ko Ejtihad kaha jata hai ,
umeed hai k main smajne mein kaamyaab ho giya hoon ga
BAqi main b samjta hoon k Waqat aur zamanay k hesaab se kuch changes lay ani chahiya like picture ka jo masla hai aur b jo maslay hain jo k dunia k saath chalne k lia bohat he zaroori samje jain on main tabdeeli lai ja skati hai
lakin
aaj kal kahan se asay Moftee ya Alam-e-deen milain gay jo eik jagha akhatay ho k mutfiq ho k ksii nateejay pe pohnch sakin ?
bohat mushkil hai lakin namumkin nahi.
Allah hum sab ko nayk amal aur sedhy rasty pe chalne ki toofeeq ata farmiay !~~AKS~~
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
acha masla uthaya hay app nay
Meri nazar may Iqbal ka nazarya bilkul theek hay, warna yon to hum khud kabhi tarakki nahi kar saky gay, bayshak tarakki or technology ki rahoon may sahi or ghalat rasty bhi hain magar is k faisla karny k lye Allah nay insaan ko demagh say sochnay ki salahiyat bhi di hay, or Humko to Quran ka daman pakar kar agay chalna chahiye naa k Molviyon ka.
agar app nay tasweer khenchny ki example di hay to may bhi batati chalon k kuch arsy pehly mujhy sketching or drawing ka boht shok tha or mujhy frnds nay kaha k yeh banany say boht gunah milta hay or boht dara dia mujhy to may nay khud is masly ko ek Molana say pocha to unho nay nay kaha tha k nahi aisi koi baat nahi hay or koi gunah nahi milta, satisfaction k lye boht logo say baat ki par sub k jawab alag thy. ab mujhy bataen may kis ki mano?
or mery khayal say Agar hum Qudrat k banae hoe shahkar ki tareef karty hain or jo thought humary dil may hoti hain wohi dosro may art ya pictures k zarye say ujagar karty hain to bura kaha hay?
or wesy bhi hur cheez k roshan pehlo bhi hoty hain or tareek bhi. Cheezain ghalat nahi hoti, un k istamal ghalat ho jaty hain. jesy churi ko hum Fruits katny k lye bhi use kar sakty hain or kisi ka gala katny k lye bhi.:salam:
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Originally posted by ~~Aks~~ View PostThats Nice Topic Khalil Bhai
sab se pahle mein sab ko baatana chahoon ga k Ejtihad ka kia matlab hai
Ejtihad os Qanoon ko ya os tabdeeli ko kahte hain jo hum waqat aur haalat k mutabik islami Qawaneen mein la sakte hain
like
pic lena islaam main jaiz nahi hai lakin
aaj kal passport k lia apny ID k lia Photo lena lazmi hai
so is maslay mein sab MUlaana waqat k Muftee aur alam'e'deen mil beth k "EJTUHAD" ka tareeka use kerty hoay ISlami QAnoon mein waqat ki zaroorat k mutabik Tabdeeli lay k is ko Jaiz Qaraar de sakte hain ,
aur isi ko Ejtihad kaha jata hai ,
umeed hai k main smajne mein kaamyaab ho giya hoon ga
BAqi main b samjta hoon k Waqat aur zamanay k hesaab se kuch changes lay ani chahiya like picture ka jo masla hai aur b jo maslay hain jo k dunia k saath chalne k lia bohat he zaroori samje jain on main tabdeeli lai ja skati hai
lakin
aaj kal kahan se asay Moftee ya Alam-e-deen milain gay jo eik jagha akhatay ho k mutfiq ho k ksii nateejay pe pohnch sakin ?
bohat mushkil hai lakin namumkin nahi.
Allah hum sab ko nayk amal aur sedhy rasty pe chalne ki toofeeq ata farmiay !
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Originally posted by ~~Aks~~ View PostThats Nice Topic Khalil Bhai
sab se pahle mein sab ko baatana chahoon ga k Ejtihad ka kia matlab hai
Ejtihad os Qanoon ko ya os tabdeeli ko kahte hain jo hum waqat aur haalat k mutabik islami Qawaneen mein la sakte hain
Ijtehad.. qawaneen ke tabdeli ka naam nahin
Ijtehad lafz arabic word "juhad" or "jehad" ke tarah
Koshis kernian ke maenaa (meaning) rekhtaa hai
as ka matlab yeh hai ke agher kisee cheez ya kisi masley sy mutaliq koi wazih (clear) hukum shriyat main yani Quran-o-Sunaah main na milye tu Phir
Insaan apni soch samjh sy shriyat ke buniyadi chezon ko samjhty howy us "new problem" ko hal kery..
ass sillsily main ek hadees bhi mojood hai.. jis key shai alfaz tu mujhy yaad nahin Mufhoom peaish ker rehaa
hoon as liye kami beshi ho sakti hai..
Ek baar Piyarey Nabi (S.A.W) nain ek Sahabi(R.T.A)
ko kisi nay Area main Governer bana ker bhija
rawangi ke waqat pocha...key
Aay Maaez (i dont rember the exect name of sahabi)
faisly kis sy karoo gey.. unhoon nain jawab diya key ke Kitab ALLAH (Quran) sy .. phri Piyarey Nabi (S.A.W) nain pocha agher us main na miley tu .. phri Sahabi (R.T.A) nain farmya App (S.A.W) ke sunaat ke mutabik..
Phir Piyarey Nabi (S.A.W) nain farmaya us main bhi na paoo tu ..
phir Sahabi (R.T.A) nain farmay Phir main Ijtehad(yahni apni samjh boch sey .. koshis ker key) Faislia karoon ga.. as per Piyarey Nabi (S.A.W) nain un ko duaa dee...
Ijtehad.....
Ulmaa-e-akram jab kisi Problem ka wazeh (clear) haal quran-o-sunaah main na paty tu phir ijtehad kerty
per yeh her Aalim deen nahin ker sakta thaa.. yeh
sirf "Mujhtehdin" kerty jo denai uloom main bhut ziyda maharat rkehty.. ek mujhtead ko kai tarah ke uloom per subqat haisl hoti thi..
why Ijtehad is clsed or less used..
yeh ass wajha sey key khain aisaa na hoo ke looag apni khwahishat ke liye us ko istemal kerin...
jaisay key ajj kal key kuch log chahtey hain
Khaan ijtehad nahin ho saktaa
Agher koi problem shariyat main wazeh taur per moojood hai .. tu phri us ke muqabley main ijtehad nahin hotaa
kuch chezin aisi hain jin ke ijazat ba-haalt e majobri de jati hai...
Tasverin khichwana per Akhtilaa hai.. Kuch Ulma e karamm Digital pics (mobile pics, PC pics, Video) ko as liye jaiz kehty hain ke un ke mutabiq yeh ek
aarzi (Temp') tasveer hoti hai jo power off hoty haat jati hai... yeh ulma e kraam STill pics ko jaiz nahin kehty
.. kuch sitll ko bhe "mabjbori" like passport etc
aur Tableeg e deen ke liye jaiz kehty hain
Tu yeh assal main ijtehad nahin... ek shari problem
per mukhtalif ray (views) hain
Ijtehad's need.....
quran-o-sunaah ke tehat fiqah ke usool bany hain
aur ab tamam problems ka hal Fiqah ke usloon ke tehat Quran o hadees sey kiya jataa hai
islami law complet hai.. her cheez mojod hai
us ko samjhna hai..
Ijma ka rastaa mojod hai..
per humara Media ek hi shoor macha reha hai
ab "Films" tv dramas ,music etc ko tu Jaiz nahin khaa ja saktaa... agher waqai koi serious problem hai tu uss ka hall ho skata hai.. assal issue kam hai Shoor ziyda hai ...
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Originally posted by tauseeftariq View PostWrong !!!
Ijtehad.. qawaneen ke tabdeli ka naam nahin
Ijtehad lafz arabic word "juhad" or "jehad" ke tarah
Koshis kernian ke maenaa (meaning) rekhtaa hai
as ka matlab yeh hai ke agher kisee cheez ya kisi masley sy mutaliq koi wazih (clear) hukum shriyat main yani Quran-o-Sunaah main na milye tu Phir
Insaan apni soch samjh sy shriyat ke buniyadi chezon ko samjhty howy us "new problem" ko hal kery..
ass sillsily main ek hadees bhi mojood hai.. jis key shai alfaz tu mujhy yaad nahin Mufhoom peaish ker rehaa
hoon as liye kami beshi ho sakti hai..
Ek baar Piyarey Nabi (S.A.W) nain ek Sahabi(R.T.A)
ko kisi nay Area main Governer bana ker bhija
rawangi ke waqat pocha...key
Aay Maaez (i dont rember the exect name of sahabi)
faisly kis sy karoo gey.. unhoon nain jawab diya key ke Kitab ALLAH (Quran) sy .. phri Piyarey Nabi (S.A.W) nain pocha agher us main na miley tu .. phri Sahabi (R.T.A) nain farmya App (S.A.W) ke sunaat ke mutabik..
Phir Piyarey Nabi (S.A.W) nain farmaya us main bhi na paoo tu ..
phir Sahabi (R.T.A) nain farmay Phir main Ijtehad(yahni apni samjh boch sey .. koshis ker key) Faislia karoon ga.. as per Piyarey Nabi (S.A.W) nain un ko duaa dee...
Ijtehad.....
Ulmaa-e-akram jab kisi Problem ka wazeh (clear) haal quran-o-sunaah main na paty tu phir ijtehad kerty
per yeh her Aalim deen nahin ker sakta thaa..yeh
sirf "Mujhtehdin" kerty jo denai uloom main bhut ziyda maharat rkehty.
why Ijtehad is clsed or less used..
yeh ass wajha sey key khain aisaa na hoo ke looag apni khwahishat ke liye us ko istemal kerin...
jaisay key ajj kal key kuch log chahtey hain
Khaan ijtehad nahin ho saktaa
Agher koi problem shariyat main wazeh taur per moojood hai .. tu phri us ke muqabley main ijtehad nahin hotaa
kuch chezin aisi hain jin ke ijazat ba-haalt e majobri de jati hai...
Tasverin khichwana per Akhtilaa hai.. Kuch Ulma e karamm Digital pics (mobile pics, PC pics, Video) ko as liye jaiz kehty hain ke un ke mutabiq yeh ek
aarzi (Temp') tasveer hoti hai jo power off hoty haat jati hai... yeh ulma e kraam STill pics ko jaiz nahin kehty
.. kuch sitll ko bhe "mabjbori" like passport etc
aur Tableeg e deen ke liye jaiz kehty hain
Tu yeh assal main ijtehad nahin... ek shari problem
per mukhtalif ray (views) hain
Ijtehad's need.....
quran-o-sunaah ke tehat fiqah ke usool bany hain
aur ab tamam problems ka hal Fiqah ke usloon ke tehat Quran o hadees sey kiya jataa hai
islami law complet hai.. her cheez mojod hai
us ko samjhna hai..
Ijma ka rastaa mojod hai..
per humara Media ek hi shoor macha reha hai
ab "Films" tv dramas ,music etc ko tu Jaiz nahin khaa ja saktaa... agher waqai koi serious problem hai tu uss ka hall ho skata hai.. assal issue kam hai Shoor ziyda hai ...
aap kee baat main aik samaj nai aai ....aap ny kaha k ejitihad ky liy bandy ka mujtahid huna zarori hay.....kia wo sahabi RTA mujtahid thy???
.................................................. .............
waisy mera khiyal hay k ejtihad ka matlab hy k seedha rasta talash kerna es main bandy ka ujtahid huna zarori nahi..
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
I don't know what's the mean of 'ijtihad'...koi explain bhi karta hai to koi 'wrong' 'right' karta hai...pehle aapas mein muttafiq hon...aur 'ijtihad' ka saHi meaning batayen...Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Allama Iqbal aur Ejtihad
Aslam o alikum,
jehan tak mujy yaad hay k Ejtihad ka matlab hay k
"" Theek rasta talash kerna"" ager shareyat main koi masly ka hal na hu ,
ya koi aisa masla hu jis ka hal Hazoor Muhammad SAWW ky door main koi aur ho ,aur es door dor main os ka koi hal mumkin na hu..aur banda apni soch aur aqal k mutabik os ka hal talash ker lay....
Comment
Comment