Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hamari nojawan nasl

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hamari nojawan nasl

    Aoa,
    Attached Files
    Apna haq ada karo.

  • #2
    Re: Hamari nojawan nasl

    w.salam!

    ye open nahin ho raha hai khan bhai!:(

    Comment

    • #3
      Re: Hamari nojawan nasl

      lagta hai khan bhai ko pata nahi ke forum mei inpage ki file upload nahi hoti.Mei Khan bhai ki is file ko convert karkay psot kar raha hoo.:)
      Originally Post By Khan
      Attached Files

      Comment

      • #4
        Re: Hamari nojawan nasl

        AOA,

        Aap ka bohat shukria bahi ji asal main kabi inpage pe kam nain kia hai na lakin zaroorat aidaj ki maan hai:D

        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment

        • #5
          Re: Hamari nojawan nasl

          Shukriya khan,
          waqai aeysa hi lagta hai .. leykin meyye faasla(buzurgon aur najawan nasl) key dermayan sirf aik deewar ka hai aur wo deewar abhi itni mazboot nahi hai ....bas pehley qadm ki baat hai key ye qadm kaun uthata hai issey giraaney key liye
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Hamari nojawan nasl

            Khan aap ne boht khoob likha hey, lekin agar dekha jaye to HUMARAY BAZURGON ke pas HUMARAY LIYE boht waqt hey, aik HUMARAY PAS HI apnay BAZURGON K LIYE WAQT NHI hey.
            Waqaee jo shamein ikathay guzra karti theen humary bazurg aaj tunha beth kar guzartay hein, iss liye k humaray nojwan din bhar to apnay kam mein masroof rehtay hein lekin sham hotay hi INTERNET CAFFE ki ronaqain barhanay k liye bazaron ka rukh kartay hein ya apnay kamron mein beth kar kai kai ghantay computer per sarf kar detay hein. Ab aap btayein k bazurgon ka iss mein kia dosh hey? wo to becharay tars jatay hein k koi unn k paas aa kar bethay unn ki batein sunay, mugar iss daur mein boht kum nojwan aisay hon gay jo apnay bazurgon ko waqt detay hein aur unn ki batein samjhnay ki koshish kartay hein. MEDIA ne duniya ko qareeb se qareeb tar aur insano ko aik doosray se boht door door kar diya hey.

            Comment

            • #7
              Re: Hamari nojawan nasl

              Originally posted by barg.e.gul
              Shukriya khan,
              waqai aeysa hi lagta hai .. leykin meyye faasla(buzurgon aur najawan nasl) key dermayan sirf aik deewar ka hai aur wo deewar abhi itni mazboot nahi hai ....bas pehley qadm ki baat hai key ye qadm kaun uthata hai issey giraaney key liye
              AOA,

              Ji achi baat ki aap nain to phir hum sab mil kar qadam uthate hain aur iss dewar ko gira daite hain aman aur mohabat ki chadar orrte hain hum dunya main sabat kar sakte hain k hum zinda dil qoom hain.aap ka bohat shukria.

              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment

              • #8
                Re: Hamari nojawan nasl

                Originally posted by Muskan
                Khan aap ne boht khoob likha hey, lekin agar dekha jaye to HUMARAY BAZURGON ke pas HUMARAY LIYE boht waqt hey, aik HUMARAY PAS HI apnay BAZURGON K LIYE WAQT NHI hey.
                Waqaee jo shamein ikathay guzra karti theen humary bazurg aaj tunha beth kar guzartay hein, iss liye k humaray nojwan din bhar to apnay kam mein masroof rehtay hein lekin sham hotay hi INTERNET CAFFE ki ronaqain barhanay k liye bazaron ka rukh kartay hein ya apnay kamron mein beth kar kai kai ghantay computer per sarf kar detay hein. Ab aap btayein k bazurgon ka iss mein kia dosh hey? wo to becharay tars jatay hein k koi unn k paas aa kar bethay unn ki batein sunay, mugar iss daur mein boht kum nojwan aisay hon gay jo apnay bazurgon ko waqt detay hein aur unn ki batein samjhnay ki koshish kartay hein. MEDIA ne duniya ko qareeb se qareeb tar aur insano ko aik doosray se boht door door kar diya hey.
                AOA,

                Sach kaha aap nain hum un ko waqt nain daite pahle waldain sakhti kia karte the lakin aj nain karte agar karte hain to to hum un se dili tor pe naraaz hote hain ye kam to bachpan se sharo hota hai pahli seerri to ghar se hi sharo hoti hai bacha to kora kaghaz hota hai usse jo chain bana dain aap ka bohat bohat shukria.

                Sohail Abbasi.
                Apna haq ada karo.

                Comment

                • #9
                  Re: Hamari nojawan nasl

                  Originally posted by khan

                  w salaam.

                  waaah waaah bahoooot khooob sohail bhai bahooot umdeh aur zabardast likhaa aapnien aaj ki naujwan nasl ke mutalliq mujhe aapki yeh tehreer behud pasand aayi shukriyaa humse share kernien kaa main yehaan sirf itnaa kahoongaa ke aaj ke bachchey ab koraa kaaghaz nahin rahey jinhien hum jaisa chaahien banaa dien
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment

                  • #10
                    Re: Hamari nojawan nasl

                    Originally posted by Muskan
                    Khan aap ne boht khoob likha hey, lekin agar dekha jaye to HUMARAY BAZURGON ke pas HUMARAY LIYE boht waqt hey, aik HUMARAY PAS HI apnay BAZURGON K LIYE WAQT NHI hey.
                    Waqaee jo shamein ikathay guzra karti theen humary bazurg aaj tunha beth kar guzartay hein, iss liye k humaray nojwan din bhar to apnay kam mein masroof rehtay hein lekin sham hotay hi INTERNET CAFFE ki ronaqain barhanay k liye bazaron ka rukh kartay hein ya apnay kamron mein beth kar kai kai ghantay computer per sarf kar detay hein. Ab aap btayein k bazurgon ka iss mein kia dosh hey? wo to becharay tars jatay hein k koi unn k paas aa kar bethay unn ki batein sunay, mugar iss daur mein boht kum nojwan aisay hon gay jo apnay bazurgon ko waqt detay hein aur unn ki batein samjhnay ki koshish kartay hein. MEDIA ne duniya ko qareeb se qareeb tar aur insano ko aik doosray se boht door door kar diya hey.
                    Assalaam o alekum,

                    I agreeed wth u muskan ji but issmien sirf media kaa qasoor nahin hai hum bhi kuch kuch zimmedaar hain isske
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment

                    • #11
                      Re: Hamari nojawan nasl

                      Originally posted by khurram_shaikh
                      w salaam.

                      waaah waaah bahoooot khooob sohail bhai bahooot umdeh aur zabardast likhaa aapnien aaj ki naujwan nasl ke mutalliq mujhe aapki yeh tehreer behud pasand aayi shukriyaa humse share kernien kaa main yehaan sirf itnaa kahoongaa ke aaj ke bachchey ab koraa kaaghaz nahin rahey jinhien hum jaisa chaahien banaa dien

                      AOA,

                      Ji bahi ji passand karne ka bohat shukria nojawan hi hamara sarmaya hai in ko hamain bachana parre ga bohat se tofanoon se aap ka bohat shukria:)

                      Sohail Abbasi.
                      Apna haq ada karo.

                      Comment

                      • #12
                        Re: Hamari nojawan nasl

                        Originally posted by khurram_shaikh
                        Assalaam o alekum,

                        I agreeed wth u muskan ji but issmien sirf media kaa qasoor nahin hai hum bhi kuch kuch zimmedaar hain isske

                        Ji Khan aap sahee kaha aur media ko follow karnay walay kon hein? hum hi to hein! aur yaqeen karein kuch kuch nhi saray saray zimedaar hum hi hein jo apnay bazurgon ko pichli sadi ki pedawar samjh kar khud ko boht zayada educated aur broad minded aur modren samjhnay lagay hein. Jub k educated wohi log hein jinhon ne taleem k sath sath apnay abaa o ajdaad k kirdar aur unn ki aqdaar ko bhi apna hum qadam jana. aik choti see misaal deti hoon aap ko.....jub mein choti see bachi thi, humaray ghar koi aa jata to meray Abu jaan marhoom mujhey humesha jagah chorrnay k liye kehtay halaan k aur bhi kafi jagah hoti thi bethanay ko.............Aur aaj kal mein ne dekha hey k bachon ko agar aisa kaha jaye to woh muhn basortay hein aur baher se aaye huye kisi shakhs k liye to kia apnay maan baap ko kharra dekh kar bhi apni jagah se nhi uthatay.

                        Comment

                        Working...
                        X