...................
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
ARTICLE: Chanda Maamo Khuda ke leye
Collapse
X
-
Re: Chanda Maamo Khuda ke leye
bhai mujy aap sy thora sa ekhtilaf hay suadi arab k sath hum kaisy eid ker sakty hian....???? ager yehan pakistan main chand ka nazer aana sciene kee rooh sy mumkin hee nahi hay....aur bhai mery MOOTI MOOTI ankhaon waly...bee telescope lagai huti hay,,,,,,aur hamara pakisatn main yeh aik comity bani hui hay,,,,aik bakaida system hay ...mashaALLAh sy .....aur mery khiyal main pakistan main eid 100% manai jati hay..kiun wo markazi roiyat hilal hay os main sab maslak ky loag shamil hay ..aur suadi arab waly hamisha ghalt eid manaty hian....
-
Re: Chanda Maamo Khuda ke leye
janab waqar masood sahib ASLAMO ALYKUM ,
aap ka mazmoon parha parh kar yehi vbaat samjh main aai k aap zehni tour par to yehi chaty hain k MUSALMAN KAM AZ KAM EID K MASLY PAR WAHADAT KI LARI MAIN PEROY JAIEN.
laikin mujhy afsoo k sath kehna par raha hy k us whdat main perony kiliye aap ny jo tajaweez de hain wo naqable amal bhi hain aur khasi muzhika khaiz bhi hain.aap ki tajaweez par kar jo sab se pehla tasur mery zehan main ya hy wo ye hy k aap is masla main sharee qawaneen waqif hi naheen hain aur dosra ye k aap fikkri tour par intishaar ka shikar hain .aur aap ki is tehreer main baz jumly to bohat hi ziyada qable girfat hain ab choon k aap ny khud akhir main ye farma diya hy k aap ki ye sari bateen ahmqana hain to main un batoon ki mazeed wazhat naheen karta .
rahi baat is momaly main ham saudia ki peerwe kareen ya na kareen to us par main bazaty khud khch tehreer karny k ulmae kiraam ki tehreer ka sahar lon ga aur aik web se yahaan 2 mazameen naqal karny ki jasarat karoon ga jin main issi masly par guftgo farmai gai hy...
ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: Chanda Maamo Khuda ke leye
Assalamo allaikum Waqar
Bohat dino baad aap ka deedar huwa hai, lagta hai sahib kisi lambi Eid per gaey huwey they :eye: Chalein welcome back.
Mujhey is baat per bohat shiddat sey itifaaq hai keh hamein itehaad ki zaroorat hai aur yeh itehaad na siraf Eid key din per hona chahiye balkeh issey ahl-e-Islam key liye har sho'abey mein hona chahiye. Chand ka masla aik muddat sey raha hai aur yeh isi ka isi tarha rahey ga. Kyun keh masley ka hal nikalney waley hi nahin chahtey keh is ka hal nikley. Yeh aik jeeti jagti misaal hai keh hamarey musalmano ki sochein jab aik doosrey sey mukhtalif hoti hain to is qadar ho jati hain keh aik doosrey ko kaafir tak kaha janey lagta hai, aik doosrey key eeman per fatwey laganey sey bhi daregh nahin kiya jata.
Last Eid per main ARY per aik program mein 2 ulmaa ko dekh raha tha jo logon key sawalon key jawab dey rahey they. Aik sawaal aaya keh kya chand ka masla bohat bada masla hai jo hal nahin ho sakta? uski aik tajweez pesh ki gai ijo afsos nak baat hai mujhey yaad nahin rahi. Magar mujhey itna yaad hai keh aik aalim ney us per itifaq kya, doosrey ney usi key munh per beth ker kah diya keh ".... phir main aap ki baat bhi nahin manta" - yehi sab sey bada masla hai - chaand nahin!!!
Ab aatey hain Pakistan ki taraf. Sarhad mein hamesha eid baqya pakistan sey aik din pehley manaii jati hai. Pakhtoon kehtey hain keh sarkaari tor per hamari gawahi maani nahin jati. Baat phir wohi aa jati hai - yehi sab sey bada masla hai - chaand nahin!!!
Aap key column mein Saudia key saath Eid karney ka kaha geya hai to main is baat sey itifaaq nahin karta. Eid ka chaand zaroori nahin keh aik gaoun mein nazar aaey to doosrey mein bhi nazar aaey. Zaroorat is baat ki hai keh jab aik, do, 10, 20 baaligh muslim is baat ka elan kartey hain keh hamein chaand nazar aaya hai, to sari basti aur saath ki bastiyon mein elan karwaa dena chahiye keh chaand nazar aa geya hai. Is tarha agar aik elaqey mein aabad mumalik - jin mein Pakistan, India, Bangladesh waghera hain, agar yahan per baaligh aur qabil-e-aetbar musalmanon ney chaand dekhney ka dawa kiya ho, aur ussey sarkari tor per maan liya jaey aur us sarey elaqey main jadeed technology (tv, radio, email waghera) sey elaan karwaa dena chahiye - Lekin saudia ham sey bahir ho jata hai - saudia ki aapni fizaa hai.
Baqi jahan tak baat hai keh arabon ko Allah ney apney ka'aba ki hifazat key liye chuna hai - yeh aik bilkul hi elag baat hai. Main nahin samajhta keh arab is qabil hain keh woh ka'abey ki hifazat kar sakein - magar yeh elag behas hai.tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment