Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Pasban e Haram
Collapse
X
-
Re: Pasban e Haram
Waqar Masood sahib!
Main ney aap ki tehreer parhee aur mujhey ehsaas huwa hai keh hamarey darmiyaan dard rakhney waley bhi mojood hain. Is tehreer ka jawab main zara tafseel sey doon ga aur apney andaaz mein. Thora sa intizaar kijiye :)
Masoodtumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
-
Re: Pasban e Haram
bohot shukriya aap ki itni achi tehreer ka ...
jab hum sab aik hi soch aur aik hi dard rakhney waley log hein to phir hum itney bay bas kyoon ho gaye hein ya phir ker diye gaye hien ..." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Pasban e Haram
Originally posted by khanAOA,
iss taizi k door main aj b ahse loog mojood hain jo kis ka dard jante hoon aap ki tahreer b ussi dard ka hisa hai waqar sahib aap ka bohat bohat shukria.
Sohail Abbasi.
dil mein ehsaas paida kerna mushkil hota hay aur is ehsaas ko barqaraar rakhna is say bhi ziada mushkil , yeh column to ik martaba kay ehsaas ka nateeja hay , KHUDA keray keh aisa ehsaas agar mustaqil dil mein qayam nahi kerta to kabhi kabhi hi a jaya keray..dua kejay ga , hosla afzayee ka bay had shukria
waqar masoodRabb e Zidni Elmaa"
Comment
-
Re: Pasban e Haram
Originally posted by MasoodYeh thread bhi dekhein:
http://www.forum.pegham.net/showthread.php?t=792
janab meri tehreer to kher jo thee so thee aap kay javab nay to tehreer ki qeemat pori ker de,
tehreer mein aap nay jis khami ka zikr kia keh mein nay sirf aaj ki baat ki hay, aaj kay halat ka zikr keya hay , aap darust hein lekin musannif kay zehen mein mujavizza mazmoon likhtay waqt koye salaah denay ki bajayee muslamanoon ki mojodh halat ka naqshaa tha aur dil mein yahi dard tha keh iqbal jo raah hamain buhut pehlay dikhlaa gayee thay ham aaj bhi us per gamzan nahin , aaj bhi hamari alag alag rahein hein , alag manzilein, alag revayatain ,alag firqay, alag maslak.unity is strength kia hota hay yeh ham 4th-5th class kay baad bhool jatay hein kionkeh ham mazmoon hi bhool jatay hein,aap ki ik aur baat ka zikr keroon ga keh aap nay darust keha keh aaj kal logoon ki soch yeh ho gayee hay keh musalmaanoon ko zaval ana hay , aur yeh zavaal ka irteqayee process hay , is leye likhnay aur kehnay waloon ka her lafz bekaar hay ..kash hamari soch tabdeel ho sakay
column mein jo tishnagee baqee reh gayee thee aap kay behtreen javab nay pori ker de ya is terah kehyee keh aap kay javab nay column kay khayal ko sahi terah say beyan kia hay to sahi rehay ga ,
umeed hay aaenda bhi aap say tabadla e khayal ka moqa milta rehay ga
niaz mand
waqar masoodRabb e Zidni Elmaa"
Comment
Comment