Re: IT CAN B: bismillah ka tarjuma
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
To B Noted: bismillah ka tarjuma
Collapse
This topic is closed.
X
X
-
Last edited by tauruskhan; 3 November 2006, 16:11.People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people
Comment
-
Re: IT CAN B: bismillah ka tarjuma
Originally posted by filbahere View Postager hmm ney isi tarah barakets laga key matlab laganey lagey to aik wakat aa sakta hay jab quranic verses ka wo hal honey lagey jo bible and degar kitaboon ka hay
pehlay brackets key sath , baad main brakets remove
Allah hmm ko us wakat sey bachayeh Ameen
Aisa isnhallah kabhi nahi ho ga :) , kiu ke is ka zima bhi khuda ne khudh liya hai , jesa Quran mei hai
Inna Nahn-u-nazal naz-zikra wa inna laho lahafizoon"
Beshak hum ne hi quran outara hai aur hum hi is ki hifazat kerney waley hain.
baqi khuda hum sab ko fazol behas mei parney ki bajayeh sirat-e-mustaqeem per chalney ki taufeeq dai aur apni hifz-o-amaan mei rakhey, Ameen :dua
sigpic
Comment
-
Re: To B Noted: bismillah ka tarjuma
aslamo alykum janab filb sahib,
aap ny farmaya k aap ko bismillah k tarjuma ko smjhny kiliye agar lafz shouro ko brects main likh diya jay to koi aytraaz na hoga .jab yehi baat saima ji ny apni replly main kahi to aap ny wahaan foran aytraaz jar diya tha jis ka k main ny bhi jawab diya apni repply main aur ab khud saima ji ny bhi jawab de diya hy aap k alfaz ko qoute kar k.
rahi baat k hut dharam kon hy to wo sab janty hain k kon hy jo har aik par bila dalil ilzaam lagata hy aur kon hy jo dalail k sath baat karaha hy.hum ny aap k samny ulam ki tehqeeq rakh de hy bismillah main harf ba k istimal par ab aap chahen to issy qabool kareen chaheen to hameen hutdharam keh kar is tehqeeq ka inkaar kardeen.
aur wesy bhi mujhy samjh naheen aya k aap ny ye thred lagaya hi kion hy aur is se aap ny kon se deen ki khidmat anjaam de hy . jab hum sabit karchuky k ye khalistan ilmi masla hy to phir mujhy samjh main naheen ata k aap is behas ko yahaan toul de kar akhir kaya maqsid hasil karna chaty hain.?
agar aap ko bata karni hi hy to phir mery sath kijiye likin arabic qawaied aur zawabit ki rooh se na k mehaz apny qayas e fasda se kiuon k aap ki zati ray kisi kiliye hujat naheen.
aur rahi soura baqra ki ayat #79 ka hawala jis se aap ny inbrects tarjuma karny walon ko quran ka mafhoom badalny wala qarar diya hy to ye sara sar aap ki jahalat hy ilme lughat se bhi aur ilmy tafseer aur taweel se bhi.
sab se pehly to us ayat main aap ka apna peesh kiya gaya tarjuma hi aap k naam nehaad usoolon par poura naheen utarta.
kiuok ayat main lafaz fawail istimaal hua hy aur wail k bary main ahadeeth main aata hy k ye dozakh main aik ghati ka naam hy jis main kafroon ko dal kar sakhat kisam ka azab diya jay ga issi liye quran main jahan kaheen bhi fawail ya wail k naam se ALLAH paak ny waeed farmai hy to us ka tarjuma tammam mutarjmeen ny halakat ya barbadi se kiya hy .laikin aap ny jo tarjuma peesh kiya hy us main halakt ya barbadi ki bajay haif ka lafaz hy...
ab urdu lugat se mamoli se shanasai rakhny wala shakas bhi ya baat bakhobi janta hy k halakat ya barbadi k lafazi mafhoom aur aur haif k lafzi mafhoom main zameen o asmaan ka farq hy .jab ye baat sabit hy k wail dozakh main aik ghati ka naam hy to phir har sahib aqal o feham ye janta h k ayat ka jo mafhoom hy us kiliye wahaan lafaz halakt ya barbadi hi ziyada mozon hy na k haif jaysa kam shidat rakhny wala lafaz.
agar bilfarz aap ki baat maan bhi li jay to main apa se aap hi k usool k mutabik pouchta hon k haif arbi k kis lafaz ka tarjuma hy?...
agar aap kaheen to main quran k tarajum se aap ko senkroon misaleen aysi de sakta hon jin main arbic k asal word ka dosri zuban main motbadal na honi ki waja se ya to wohi lafaz tarjumy bharha diya gaya hy ya phir in breckts alfaaz laykar quran k mafhoom ko wazy karny ki koshish ki gai hy.....
ab akhir main main filba bhai ki peesh karda ayat ka asal tarjuma peesh karta hon..
79. فَوَيْلٌ لِّـلَّذِينَ يَكْتُبُونَ الْكِتَابَ بِأَيْدِيهِمْ ثُمَّ يَقُولُونَ هَـذَا مِنْ عِندِ اللّهِ لِيَشْـتَرُواْ بِهِ ثَمَناً قَلِيلاً فَوَيْلٌ لَّهُمْ مِّمَّا كَتَبَتْ أَيْدِيهِمْ وَوَيْلٌ لَّهُمْ مِّمَّا يَكْسِبُونَO
پس ایسے لوگوں کے لئے بڑی خرابی ہے جو اپنے ہی ہاتھوں سے کتاب لکھتے ہیں، پھر کہتے ہیں کہ یہ اللہ کی طرف سے ہے تاکہ اس کے عوض تھوڑے سے دام کما لیں، سو ان کے لئے اس (کتاب کی وجہ) سے ہلاکت ہے جو ان کے ہاتھوں نے تحریر کی اور اس (معاوضہ کی وجہ) سے تباہی ہے جو وہ کما رہے ہیںoساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: To B Noted: bismillah ka tarjuma
okey bahi app jetay main haara
aapp apni marzi sey Quran key tarjumay main izafa keeya jaeey
main kuch naeen kahoon ga
keeon kay main to jahil hoon bakol app key and app alim haan
Inshallah Allah hi app sey pochay ga
take careLast edited by tauruskhan; 3 November 2006, 18:50.People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people
Comment
-
Re: To B Noted: bismillah ka tarjuma
Originally posted by aabi2cool View Postaslamo alykum janab filb sahib,
ab akhir main main filba bhai ki peesh karda ayat ka asal tarjuma peesh karta hon..
79. فَوَيْلٌ لِّـلَّذِينَ يَكْتُبُونَ الْكِتَابَ بِأَيْدِيهِمْ ثُمَّ يَقُولُونَ هَـذَا مِنْ عِندِ اللّهِ لِيَشْـتَرُواْ بِهِ ثَمَناً قَلِيلاً فَوَيْلٌ لَّهُمْ مِّمَّا كَتَبَتْ أَيْدِيهِمْ وَوَيْلٌ لَّهُمْ مِّمَّا يَكْسِبُونَO
پس ایسے لوگوں کے لئے بڑی خرابی ہے جو اپنے ہی ہاتھوں سے کتاب لکھتے ہیں، پھر کہتے ہیں کہ یہ اللہ کی طرف سے ہے تاکہ اس کے عوض تھوڑے سے دام کما لیں، سو ان کے لئے اس (کتاب کی وجہ) سے ہلاکت ہے جو ان کے ہاتھوں نے تحریر کی اور اس (معاوضہ کی وجہ) سے تباہی ہے جو وہ کما رہے ہیںo
Filba ne ek chhoti si baat ke liye aap sab se raye maangi, aur advice kiya tha...aapne jo quote kiya hai ke kitabon mein tarmeem ki wajas se halakat hai...beshak hai...lekin adna se chizon ke liye nahin, aap ki yeh baat un logon pe aayed hoti hai jo aaj kala badey badey peshewar mufti aur aalim ho gaye hain...khud ki kitaben likhtey hain tarmeem kartey hai...aur Quran o hadeeth ka hawala dete hain...beshak unn logn ke liye jo daam kamaney aur naam kamaney ke liye aisa kartey hain halakat ka sabab hai...
but kisi ko direct ek chhoti si baat ke liye yeh kahna is not fair.
Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: To B Noted: bismillah ka tarjuma
Rand Corporation wala Thread Read out kerna Usman Haqaiq say Aagai Hogi Insha Allah Rahi Baat Bismillah kay Tarjuma Ki to Arbi kafi Wasi Zubaan hai es kay Aik aik Lafz kay kai kai Manay Hain jo aj kal Arbi Aarb may use hoti hai usay " Jangli " Arbi Kehtay hain jo kay QURAN ki Arbi say Totaly Diffirent hai,Dr.Zakir.Naik Kay Pass Maloomat Kafi hain Lakin Eilam nahe hai......Lihaza App Dr.Z.N kay Eilwana Mazeeeed Ulma Aekraam ko be es per Sun lain per Faisla ker lain Yak Terfa Bat per Faisla Deyna Insaf ka Taqaza Nahe Hota.... Umeed Hai Baat samaj Gay Hoon Gay
Comment
-
Re: To B Noted: bismillah ka tarjuma
Originally posted by Spy009 View PostThis is not correct Abid bhai...
Filba ne ek chhoti si baat ke liye aap sab se raye maangi, aur advice kiya tha...aapne jo quote kiya hai ke kitabon mein tarmeem ki wajas se halakat hai...beshak hai...lekin adna se chizon ke liye nahin, aap ki yeh baat un logon pe aayed hoti hai jo aaj kala badey badey peshewar mufti aur aalim ho gaye hain...khud ki kitaben likhtey hain tarmeem kartey hai...aur Quran o hadeeth ka hawala dete hain...beshak unn logn ke liye jo daam kamaney aur naam kamaney ke liye aisa kartey hain halakat ka sabab hai...
but kisi ko direct ek chhoti si baat ke liye yeh kahna is not fair.
spy bhai aap shated baat ko samjhy naheen yahaan baat ye naheen horahi k filba bhai ny jis ayat ko qoute kiya hy us ka shane nazool kiya hy ya us main kin logon k bary main waeed aai hy .balk baat ye thi k filba bhai ny bismilah k tamam tarajum jo aaj tak urdu ya kisi dosri zuban main huy hain un ko ghalat qarar de diya hy to main ny us par aap sab k samny bismillah k tarajum ki wazhat ulmah ki tehqeeq ki roshni main rakh de. aur filba bhai ny jo ayat qute ki thi aur us ka jo tarjuma likha tha usy main un k apny usool k mutabik challnge kiya tha k sabit kareen k is tarjumy main haif kis arbic word ka tarjuma hy....ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
Comment