Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Jamhuriat??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: Jamhuriat??

    kuch Khaas Hai Is Main .
    Attached Files
    Fight for Khilafah
    :insha:

  • #2
    Re: Jamhuriat??

    Merey nazdeek na Democracy (jo aaj kal raij hai) aur na Communism kisi tawajoh ki mustahiq hai!! Jamhoriyat mein insano ka sar gina jata hai yeh nahin dekha jata keh un dimagho mein kya bhara huwa hai - communism kuchh hadd tak theek hai agar state apni awwam sey sincere ho to! Lekin sach to yeh hai keh na jamhooriyat kisi behas key laiq hai aur na communism - sab sey behtareen system woh hai jo Islam ney duniya ko diya hai!
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Jamhuriat??

      Originally posted by Masood View Post
      ... sab sey behtareen system woh hai jo Islam ney duniya ko diya hai!
      aur wo kaun sa system?
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Jamhuriat??

        Originally posted by barg.e.gul View Post
        aur wo kaun sa system?
        Asal khilafat key satoonon per jadeed dor ki hakoomat!!
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Jamhuriat??

          Masood Bhi
          Jamhuriat Too Tabhi Ay Gi Na Jab Islam Ka Nizaam Ay Ga
          Too Phir Jamhuriat Per Bahas Kion Nahi Honi Chahiyae?
          Jab Jamhuriat Hamaray Pakistan Main Hai Hi Nahi Too Hum Ko He Is Per Bahas Kerni Hai Na Aur Kisi Nay Nahi Kerni.
          TAKEH JAMHURIAT HAMARAY PAKISTAN MAIN AA SACAY.
          Last edited by abdulwahab; 31 October 2006, 07:46.
          Fight for Khilafah
          :insha:

          Comment


          • #6
            Re: Jamhuriat??

            waisy main khudh bee jamhoriat k khilaf hun jaisa k Iqbal sy kaha hay k
            jamhoriat main bandoo ko tola nahi ginna jata hay............

            Comment


            • #7
              Re: Jamhuriat??

              Originally posted by abdulwahab View Post
              Masood Bhi
              Jamhuriat Too Tabhi Ay Gi Na Jab Islam Ka Nizaam Ay Ga
              Too Phir Jamhuriat Per Bahas Kion Nahi Honi Chahiyae?
              Jab Jamhuriat Hamaray Pakistan Main Hai Hi Nahi Too Hum Ko He Is Per Bahas Kerni Hai Na Aur Kisi Nay Nahi Kerni.
              TAKEH JAMHURIAT HAMARAY PAKISTAN MAIN AA SACAY.
              Aap kis tarha kah saktey hain keh jamhooriyat Pakistan mein nahin? Aap kaisey kah saktey hain keh misaal key tor per USA mein jamhooriyat hai? Mujhey sab sey pehley jamhooriyat ki tashreeh kar key btaiyey keh jamhooriyat kya hoti hai? Phir aap mujhey yeh btaiyey keh jo jamhooriyat Europe mein jissey aap Pakistan mein dekhna chahtey hain, woh asal jamhooriyat hai ??
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Jamhuriat??

                :donno:

                Comment


                • #9
                  Re: Jamhuriat??

                  Originally posted by Masood View Post
                  Aap kis tarha kah saktey hain keh jamhooriyat Pakistan mein nahin? Aap kaisey kah saktey hain keh misaal key tor per USA mein jamhooriyat hai? Mujhey sab sey pehley jamhooriyat ki tashreeh kar key btaiyey keh jamhooriyat kya hoti hai? Phir aap mujhey yeh btaiyey keh jo jamhooriyat Europe mein jissey aap Pakistan mein dekhna chahtey hain, woh asal jamhooriyat hai ??

                  ASSALLAM_U_ALLAIKUM.
                  MASOOD SAHIB AAP NAY KAHA KEH
                  ''AP KAISAY KEH SACTAY HAIN KEH PAKISTAN MAIN JAMHURIAT NAHI HAI AUR JAMHURIAT KI TAREF POOCHI HAI. AAP NAY TANZ KIA HAI SHYD HAAN YA NAHI.
                  MASOOD SAHIB AAP KO MAIN BATATA HON JAMHURIAT KIA HOTI HAI LAIN SUNAIN LAKIN ZARA GHOOR SAY.ager aap ki nazar main jamhuriat ki taref koi aur ho too main kuch nahi keh sacta lakin haqeeqat nahi badalti.
                  ..JAMHORIAT(DEMOCRACY).
                  YEH WOH TARZAE HAQOOMAT HAI JIS MAIN AWAAM HAQOOMAT KERTAY HAIN.YANI AWAAM KAY HER HAQOOQ KA KHIAL RAKHA JAY.
                  JAMHURIAT KA MATLAB HUM SERKAR MUHAMMAD(PBUH) KAY IS IRSHAAD SAY LAGA SACTAY HAIN KEH
                  ''KISI BHEE HUKMARAN KI HAQOOMAT MAIN AGER KOI 1 AORAT BHEE BHOKI SOOTI HAI TOO US KA HISAAB BHEE HUKMARAN SAY HO GA''
                  MUHAMMAD(PBUH) NAY YAHAN AORAT YANI AWAAM PERE HI ZOOR DIYA HAI.AB AGAY SUNAIN AAP LOGON KAY PASSANDEEDA ''ENGLISH MAN'' KAY ALFAAZ JAMHURIAT KAY BARAY MAIN.
                  IBRAHIM LANKAN NAY JAMHURIAT KI IN ALFAAZ MAIN TAREEF KI HAI KEH
                  ''GOVERNMENT OF THE PEOPLE,FOR THE PEOPLE,BY THE PEOPLE.''
                  ''YANI JAMHOORIAT HAQOOMAT KI WOH SHAKAL HAI JO AWAAM KAY LIYAE HO AUR AWAAM HI USAY CHALAATAY HOON.''
                  AB IS MAIN BHEE JAMHURIAT KI 2 KINDS HAIN
                  1.DIRECT DEMOCRACY
                  2.INDIRECT DEMOCRACY.
                  SAB SAY PEHLAY DIRECT DEMOCRACY KI TAREF SUNAI LAKIN ZARA GHOOR SAY.
                  YEH WOH TERZAE HAQOOMAT THI JO QADEEM ZAMANAY MAIN PAI JATI THI KION KEH IN MAIN POPULATION BUHAT KAM HOTI THI.IS KISAM KI HAQOOMAT MAIN WOH LOG HAQOOMAT KERTAY THAY JIN KO HER LIHAAZ SAY AZAADI THI AUR KISI CHEZ KI KAMI NA THI.HER KISAM KAY HAQOOQ HASIL THAY.
                  AB AYIN DOOSRI KISAM PER.
                  2.INDIRECT DEMOCRACY.
                  YEH WOH TARZAE HAQOOMAT HAI JO AAJ KAL ZIADA COUNTRIES MAIN RAIJ HAI.IS MAIN AWAAM APNAY ''NUMAINDAY'' CHUN KER HAQOOMAT UN KAY SAPURD KER DAITAY HAIN.AUR UN AFRAD KAY HATHOON MAIN HI HAQOOMAT HOTI HAI.
                  kehnay ka maqsad sirf atna hai keh
                  JAMHURIAT KA LAFAZ SIRF AUR SIRF AWAAM KAY LIYAE HOTA HAI
                  JAB AWAAM KO PURAY HAQOOQ MIL RAHAY HON TOO SAMAJH LAIN KEH JAMHURIAT QAIM HAI AGER AWAAM KAY KISI AIK FARD KO BHEE HAQ NA MILAY TOO SAMJH LAIN KEH JAMHURIAT QAIM NAHI HAI.
                  MERI SAMAJH MAIN AIK BAAT NAHI ATI KEH AAP KEHTAY HAIN KEH JAMHURIAT NAHI HONI CHAHIYAE.JAB TAK JAMHURIAT NAHI HO GI KISI KO KOI HAQ NAHI MILAY GA.
                  HAMARAY YAHAN JAB HAMARI HI KISI BAHAN KAY SAATH ''RAPE'' HOTA HAI TOO US KO 4,5 SAAL TAK TOO INSAAF HI NAHI MILTA AUR KAMEENA MUASHRA BHEE US KO KABOOL NAHI KERTA.
                  AUR BHE AISI BUHAT SI BATAIN HAIN JIN MAIN AWAAM KO INSAAF NAHI MILTA KION KEH JAMHURIAT KAIM NAHI HAI.KION KEH IS COUNTRY PER IS WAQAT SOLDIERS KI HAQOOMAT HAI.AUR WOH APNI MERZI SAY AIN HAIN.AWAAM NAY UN KO HUQMARAN NAHI BANAYA.
                  TOO PHIR AAP LOG KION KHILAAF HAIN JAMHURIAT KAY.
                  LAKIN MUJHAY SHEK PERTA HAI KEH AAP LOGON KI NAZAR MAIN JAMHURIART KI TAREEF KUCH AUR HAI.ZARA MUJH KO BHEE TOO PATA CHALAY AAP LOG KIA KEHTYA HAIN JAMHURIAT KAY BARAY MAIN
                  MASOOD SAHIB ZARA TAREF TOO KERAIN JAMHURIAT KI.
                  PHIR MILAIN GAY
                  INSHAALLAH
                  ALLAHHAFIZ
                  Last edited by abdulwahab; 1 November 2006, 08:20.
                  Fight for Khilafah
                  :insha:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Jamhuriat??

                    Abdulwahab very nice - aap ney mujhey "garam" kar diya hai. I'll put some word on that - give me some time please...
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Jamhuriat??

                      Masood Bhi Aap Jitna Marzi Time Lain
                      Aik Baat Achi Lagi Aap Ki Keh Aap Nay Baray Dil Ka Saboot Day Ker Tareef Ki Hai.
                      Phir Milain Gay
                      Inshaallah
                      Allah Hafiz
                      Fight for Khilafah
                      :insha:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Jamhuriat??

                        :masha nice topic
                        soon i ll poke my nose:)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Jamhuriat??

                          Originally posted by Me Here View Post
                          :masha nice topic
                          soon i ll poke my nose:)
                          :cc:
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment


                          • #14
                            Re: Jamhuriat??

                            Originally posted by filbahere View Post
                            :cc:

                            kia hoa filba bhai?:D

                            Comment


                            • #15
                              Re: MUBAHISA: Jamhuriat??

                              Originally posted by abdulwahab View Post
                              kuch Khaas Hai Is Main .

                              baat buhat mazzy ki hai tanz bhi hai magar ik jolly comment main:tomato:

                              Comment

                              Working...
                              X