Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

    Very True & Again Nice Topic

    Asay Sawal Kyon Jin ka Jawab nahe?
    - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

    Comment


    • #3
      Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

      Very True & Again Nice Topic

      Asay Sawal Kyon Jin ka Jawab nahe?
      - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

      Comment


      • #4
        Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

        Hamesha ki tarah nice post, Shy


        jahan tak zubaan ki baat hai to ham sab musalmaan Arabic mein ibaadat to karte hain, lekin arabic speaker nahin hain, agar ghair mumalik mein jaana par jaye to hamari zubaan wo nahin samajhta, ham unki zubaan nahin samajhte, Middle East,jise Arabic country kahte hain, yehan bhi ek Arabic zuban nahin hai, e.g Iraqi Arabic, Saudi Arabic, Kuwaiti Arabic, Misri Arabic, alag alag country ki alag alag arabic hai, but basic ek hi hai.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #5
          Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

          Aap agar english jaante hain to duniya k kisi bhi kone mein rah lenge, yeh hamare aur aapke mulk mein aisa samjha jata hai ke aur english jan.ne wale ko ahmiyat bhi di jaati hai, Zubaan sikhna achhi baat hai, but faasla nahin hona chahiye, Main 4 month before Czech Republic mein tha, wahan ke bahut kam log english jaante hain, Italy mein italwai, Portugal mein portugali, France mein French Germany mein german and Russia mein Russian language, ham log aisa samajhte hain ke Europe mein sab English speaker honge...yeh bharam hai, wahan ke log pehle apni zubaan bolte hain, phir english.

          Puri duniya mein sabse zyadah boli jaane wali zubaan chinese hai, wo ek dusre se milte hain to chinese bolte hain, lekin hamare mulk ke log milenge to shuru ho jate hain "Angrezi" mein, afsos ke kitabi english bolte hain, practical nahin.

          Hindustan mein 24 zubaano ko qanooni darja diya huwa, koi bhi zubaan bol sakte hain, agar foreing country mein North Indian aur South Indian (kerala ke, Tamil ke) mil jaaye to wo ek dusrey ke baat nahin samajh paate hain...kitna toota huwa hai...kitna fasla hai. Mulk ki zubaan ek honi chahiye.
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment


          • #6
            Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

            Oh hooooooooo Shy kahan say lati ho ithni baatein


            lahasil Behas :) khuch kehna sa ab beqaar sa lagta hai :)

            anywayz yaar Acha Topic hai aur is ka Jawab hmmm khuch nahin Shy khush raho tum :rose
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment


            • #7
              Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

              Originally posted by Adi
              Very True & Again Nice Topic

              Asay Sawal Kyon Jin ka Jawab nahe?
              thanxx lekin kiun nahi jawab? :donno:

              Comment


              • #8
                Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

                Is ka hal ye hona chahiye key school mey ye lang. as a 2nd lang seykhai jaye ..hum bohot saari cheezien school mey seekhtey hein ..aik baar schooling khatam ho jaye to agey colleges aur uni mey itney busy ho jatey hein key is taraf deyhan hi nahi jata aur aagey phir practical life hoti hai ...

                Hamarey mulk mey waqai english ko bohot aeyhmiyat di jati hai..deyni bhi chahiye leykin sath sath arabic ko bhi aik khas aeyhmiyat di jaye....

                baqi i agree with spy, European countries mey sab sey pehley national lang. ko importance milti hai
                Aap switzerland ko ley lein ....ye aik aeysi jagey hai jahan bohot saarey tourist aatey hein ...poorey mulk ko bhi chor ker agar aap Geneva aatey hein jo key aik international city kehlati hai jahan per 40 percent foreigners hein leykin phir bhi ..yahan ki first lang. French hai ....phir german...phir italian...

                goya ye aap ko majboor ker deytey hein in ki zabaan seekhney per ...
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~Ye Dooriyaan Ye Fasley~*~

                  Originally posted by shy
                  thanxx lekin kiun nahi jawab? :donno:

                  jawab yahi hai kay Aarbi Zaban say agar hum ko business aur jobs milnay lagay pakistan men tou phir koi bhe shaksh english nahe sekhe ga, sirf zaroorat ke waja say english sekhne aur apnani parti hai warna english zaban men asi koi khas baat nahe...
                  - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                  Comment

                  Working...
                  X