Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

logoo ko kaisay deal karna chaye ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • logoo ko kaisay deal karna chaye ???

    assalamalikum

    hamarai zindagi main humaye buhat say logoo say wasta partaa hai achay bhi or booray bhi .....
    kaha jata hai kay kisi say achi taraha peash aoo to woh bhi aap say aisay hi peash aye ga .......lekan aam zaindagi main aisa hota nahi hai ....har banda apnay alag nature ka hota haai ......
    aab itnay saray logo ko kaisay deal karna chaye ??? hamara kia rawayya hona chaye ...????
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

    Ager mei apni baat keroo, to meri aadat hai k mei jab kisi se milo to zada be takaluf nahi hoti..... khamosh reh ker ous ki shaksiyat ka jaiza lene ki koshish kerti hoon, ous ki baton, herkaton aur andaz se. Ous ke baad ager mujhe wo shaks theikh lagey to baat kerti hoon werna nahi kerti. Apney kam se kam, ager baat krene ki zarorat pare bhi to point to point. Akser aisa hota ahi k mei logo per bharosa keren ki galati ker leti hoon, jo meri mama bhi mujhey kehti hain kharab aadat hai, magar masla yeh hai k humein sach bolna sikhaya jata hai to phir hum yeh samajhtey hain ke dosra shaks bhi sacha hai humari tara. Yahi galati ho jati hai.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

      Asslam O Alaikum,
      nice one .. bohat acha topic shuru kya hai ..!! Meri soch koi mufak'arana to hai nahi jo barh charh kar koi lecture doonn ga par zindagi ka tajarba jo hai wo bas yehi kehta hai kai jo jasey milta hai us sai wasey hee milein ..!! Koi pyar sai milta hai to pyar sai mlein koi nafrat sai to nafrat dikhain ..!! Koi zayda chalaki laganey ki koshish kerey to apna rasta seedha rakhein ..!! 100 baton ki aik baat sunein sab ki par karein wo jo dil kerey :)
      Waslam

      Comment


      • #4
        Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

        AOA,


        Logoon ka rawaiya un ka chiRr CHIRra pan un ka bartao alag hota hai aur sab asar andaaz hota hai mahool pe k wo kis main mahool main rah rahye hain sona to tha k ji ko ji hai lakin daikhne main aj kal kam ata hai bahz ahse shafeeq insan hote hain k daikh k rashk ata hai aur bahz ahse k daikh k tars ata hai agar donoon kam na hoon to hum acha kisi kahain aur....


        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment


        • #5
          Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

          Mei yahan yeh bhi add kero gi k roz mara zindagi mei aam logo se milti hoon, to mera behave oun ke sath straight forward hota hai..... Jese aap aainey ke samney aayein to ous mei aap koi apna aks dikhayi dai ga, koi acha hai to acha , bura ho to bura. Depend kerta hai k koi kis tara milta hai.
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

            hmmm Insaani fitrat hai wo tu khabi nahin badal sakhti lekin khair yeh hai kay jo aap say araam say baat karein aap bhi us say wessay hi kijyeah lekin sakhat lehjey main ya kissi bhi tarah tu chup kar kay hat jayeah wahaan say kum-az-kum main khud yahi karti hoon :-s
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment


            • #7
              Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

              Asalam o Alikum

              Logoon say Milna Achchi Aadat hai Muger Mehfil may Kam Bola jay or Musbit Andaz May Bola Jay to Achcha or Munasib Hota Hai es say App k Waqar may Aizafa Hota Hai

              Comment


              • #8
                Re: logoo ko kaisay deal karna chaye ???

                Normal aur pyar se deal karta hoon, ek do baar milne ke baad bande ko pehchan leta hoon ke wo kis meyaar ke banda hai, agar saHi hai to thik agar ghalat hai to main khud hi uss se dur rahta hoon.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment

                Working...
                X