Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aabi bhai ...need ur help.......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aabi bhai ...need ur help.......

    Assalam O ALaikum n Adaab!!!!

    aabi bhai aap se kuch maloom karna tha hamein ger aap bata sakein to ... actually baat ye hay k humaray yahan jab apartment rent per letay hain ya mortgage per to one year k baad jo amount rent ya mortgage humnay pay ki hoty hai us per one year k baad building manager nay kuch roz pehlay hamein $40.00 ka check diya ye keh kar k ye aap ka interest hay jo ap nay 1 year amount pay kia rent ya mortgage ki shakal mein ......ye yahan mostly Apartment building khwah rental ho ya condominium un ka dastoor hay ....

    hum nay un se poocha to unhon nay kaha k jo amount rent ya mortgage ki soorat mein tenants detay hain wo compnay kisi bussiness mein laga dety hai phir us se ye yearly interest aata hay to hum apnay tenents ko check de detay hain ....

    ab hamein maloom ye kerna hay k kia wo $40.00 ka check istemal karna sahee hoga hamaray lieey...........???

    kion k hamara dil aamadah nahin hota is per yehee sun k ye interest hai......

    agar aapko is baray mein kuch maloom ho to plz hamein Islaam ki ru se aagah kijieey .....kion k is per khasi behas kar chukay hum sab se yehee keh k ye istemal kerna sahi nahin hay....

    n friends aabi bhai hee nahin ager kisi aur ko bhi kuch maloomaat hon is baary mein toplz aagah kijieey ga hamein ..cuz jitnay munh utni baatein k musdaaq hamein to yahan logon ney confuse ker dala hay :pagal: :pagal:
    Last edited by Eshaa Chaudhry; 29 September 2006, 18:13.
    sigpic

  • #2
    Re: aabi bhai ...need ur help.......

    aslamo alykum dear sister mujhy aap k sawal ki kafi had tak to samjh aagai hy likin phir bhi khuch tish ngi baqi ha .kiya aap batana pasand kareen gi k aap kahaan rehti hain aur plz zara is lafaz mortgage ka jo aap ny likha hy koi asan sa urdu tarjuma bata deen tak mujhy jawab deny main sahoolat ho aur ye bhi aap jis apartment main rehti hain us main raehny kiliye pehly se aap ny kaya kaya sharayet teh kar rakhi hain?
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment

    • #3
      Re: aabi bhai ...need ur help.......

      Originally posted by aabi2cool View Post

      Mortgage ka matlab hota hai "bandaq rakhna, girvi rakhna"

      Kisi property ko kisi aadmi ke paas ek muddat tak lease pe de kar badle mein(personal) loan lene ko Mortgage kahtey hain, aur muddat puri honey par property wapis lene ke liye raqam + interest deney padtey hain

      Generally yeh transaction bank mein hota hai
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment

      • #4
        Re: aabi bhai ...need ur help.......

        Wa Alaikum Assalam ,
        Sorry Aabi bhai Ramadan ki wajah se kuch kamm time k lieey hee aa patay hain hum PG per ..aur 2 din absent rahay ...aap k sawal ka half reply to aapko Spy ji nay ker diya hay ...mortgage ki meaning bhi bata dee ....

        baqi hum bataey detay hain k hum canada mein rehtay hain ..mortgage k system ko simple words mein hum yun explain kiey detay hain k jab kisi nay apna zaati apartment lena ho to phir bank ek terha ka loan dety hai us shakhs ko us ki credit history k hisaab se ....jo wo lay kar apartment layta hay phir us k baad monthly installment mein wo loan bank ko pay kerta rehta hay .....ye is ki bht simple se meaning aapko samjhanay k liey bata rahay hain ..wessay to is mein bhi different criteria hotay hain ..

        baqi rent per jo log rehtay hain un ki to bas one year ki lease sign hoty hai apartment ki ...jis k according jo bhi monthly rent banta hay wo pay kerna hota hay ....ab prb ye hay k jo monthly rent pay kiya gaya apartment ka wo building owner nay kisi bussiness mein laga diya ...sab tewnants(kiraey daaron ) ka ....aur one year k baad us per jo interest huaa wo sab ko checks de dieey ..kisi ka forty dollars to kisi ka us se ziyada ............ab problem ye hay k wo jo forty dollars hain wo interest hay hum kehtay hain k wo istemal karna sahi nahin hain .....aur kuch log kehtay hain k nahin aap wo istemal mein laa saktay hain ..............yehee hum jaanna chah rahay thay k ...sahee hay ya nahin ........
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: aabi bhai ...need ur help.......

          Esha ji generally aisa hota hai ke aaj kal log rent pe hi rahtey hain aur agreement ke waqt ek advance mein moti raqam deni hoti hai, yeh advance amount land lord ke paas security money rahta hai, jab koi tenant makan khali karta hai to wo raqam wapis kar di jaati hai, yeh badi achhi baat aur imaandari ka saboot hai ke aap ko Canada mein uss advance money ke badley mein kuchh mil raha hai, otherwise aaj kal badey shahron mein iskey badley kuchh nahin milta.

          now tell me 1 question
          suppose kisi ne kuchh paise invest kiye aur uss mein jo profit aa raha hai wo kya hoga...profit or interest, I think that's profit

          masla masayel bahut hain

          second, yeh ke yeh chhoti raqam hai, only 40 dollars, agar yeh badi raqam hoti jaise 40,000 or 400,000 thousand to ham shayad iski bahas bhi nahi kartey ke yeh interest hai ya profit, wo amount bank balance hota...

          btw aisi matter pe discuss karni chahiyie, lekin aap ko correct and path finder fatwa kahin nahiin milega...diversion bahut hai so let it to distribute among poors, and the better way to give own relatives who is poor.
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          • #6
            Re: aabi bhai ...need ur help.......

            Originally posted by Spy009 View Post
            second, yeh ke yeh chhoti raqam hai, only 40 dollars, agar yeh badi raqam hoti jaise 40,000 or 400,000 thousand to ham shayad iski bahas bhi nahi kartey ke yeh interest hai ya profit, wo amount bank balance hota...

            .
            Spy Ji thanks for ur comments lekin ek baat per aitraz hay hamein wo ye k jis nay dhiyan rakhna ho na haram halal ka us k nazar mein chahay raqam chhoti ho ya baree dhyan rakhay ga wo laazmi .Aur Allah hum sab ko taufeeq de is baat ki k hum is baat ka dhyan rakhein :dua ....................aur yahan per to log ek ek peny k liey bhi jaan detay hain , specially south asians jinhon ney her taraf loot maar ka baazar garam rakha hay ye kehtay huey k kaafir ka pessa hay khaatay jaao bas, kaheen bank se loan ley k planned bankcruptcy show kertay hain to kaheen low income show kar k jhooti welfare batoortay hain ......aur bhi baray tareeqay bana rakhay hain logon nay khanay k ... ...to yahan logon k lieey ye mufft k forty dollars bhi bohat hain ,.................khair ye ek different behas ho jaey gee ................... asal baat ye hay k hamein dhyan rakhna hay is baat ka isee lieey sawal ka jawab dhoond rahay hain aur abhi tak satisfied nahin huey .......................
            Last edited by Eshaa Chaudhry; 4 October 2006, 15:34.
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: aabi bhai ...need ur help.......

              aaslamo alykom dear sister aap k sawal ka mukhtasar jawab ye hy k aap ko jo wo pesa mil raha hy wo soud ki mad main aata hy lehaza wo aap apny istimal main naheen lasakteen .baqi raha soud ka moamla to wo bohat hi peehchda kisam k msail main se aik masla hy us k bary main aap ko ziyada tafseel se iswaqat naheen bata sakta...
              aap kahaan rahti hain ye main ny is liye poucha k baz ulma k nazdeek jo momalik darrul harab hain un mumalik ka soud soud naheen hota likin saheeh baat wohi hy jo k oper main ny likhi k soud soud hi hota hy chahy darul harab(yani gair msulim mumalik) ho ya darul islam ho .
              baqi raha un dollers ka degar istimal to unheen aap kisi falahi kaam mai istimal karsakti hain bator sadqa aur mery khiyal main aap wo raqam pegham k chiragh program main laga deen...
              baqi wALLAHO ALAM...w/salaam aabi
              Last edited by aabi2cool; 4 October 2006, 16:37.
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment

              • #8
                Re: aabi bhai ...need ur help.......

                Esha, tumhara question perha, bulke us per replies bhi perhay...

                Is baat per mukhtalif ulmaa ki mukhtalif aaraa hein...lekin mujay jo sahi lagi wo yeh he ke, ager aap ko profit ka business kerna he to aap pehlay yeh dekhiye, ke jis business mein aap investment ker rahay hein wo business halaal he ke haraam, i mean jo mortgage se aap ko interest ya in other words profit mila kia wo halal ke business se aaya ya haraam ke business se...aur waise bhi jo paisa sirf is liye lagaya jaye ke us ka benifit he milay ga nuksaan nahi, kuch ulema ke nazdeek yeh sood he aur haraam he...ager aap ne businesss mein kuch investment ki he aur aap profit ke saath saath nuksaan ke bhi shareek hotay hein to wo jaiz he.

                Kuch ulema ke nazdeek lottery ki money haraam he aur kuch isay inaami raqam keh ke jaiz karar de dete hein...ub pata nahi aap ki raqam ko inaami raqam se tashbeeh dena chahiye ya nahi...is moaamlay pe bohat se loogon ki mutzaad aaraa hein...behtar he ke aap kisi aalim se yeh masla discuss karein aur jo wo kehtay hein un ke accordingly act karein.

                Allah hamaein behtar jananay aur samajnay ki toofeek de....aameen
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: aabi bhai ...need ur help.......

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  aaslamo alykom dear sister aap k sawal ka mukhtasar jawab ye hy k aap ko jo wo pesa mil raha hy wo soud ki mad main aata hy lehaza wo aap apny istimal main naheen lasakteen .baqi raha soud ka moamla to wo bohat hi peehchda kisam k msail main se aik masla hy us k bary main aap ko ziyada tafseel se iswaqat naheen bata sakta...
                  aap kahaan rahti hain ye main ny is liye poucha k baz ulma k nazdeek jo momalik darrul harab hain un mumalik ka soud soud naheen hota likin saheeh baat wohi hy jo k oper main ny likhi k soud soud hi hota hy chahy darul harab(yani gair msulim mumalik) ho ya darul islam ho .
                  baqi raha un dollers ka degar istimal to unheen aap kisi falahi kaam mai istimal karsakti hain bator sadqa aur mery khiyal main aap wo raqam pegham k chiragh program main laga deen...
                  baqi wALLAHO ALAM...w/salaam aabi
                  Wa Alaikum assalam ,
                  Thanks aabi bhai aap nay hamein wohe reply kiya hay jo humein yahan per sirf ek aalim nay kiya tha ...baqi sab nay confuse hee kiya ..........
                  is baaray mein hamara yehee kehna tha un sab ko k jis cheez ka sure nahin aapko k wo sahee hay ya ghalat to kia zarurat hay k usey istemaal mein laya jaaey ...hum khud bhi is haq mein nahin thay qataeey k hum wo raqam istemal karein .....
                  bht bht shukriya aapka ....

                  Khush rahieey Allah aap k ilm o fazal mein bht bht sara izafah karay aur aap ko isey sab mein baantnay ki taufeeq ata farmaey Aameen :dua
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: aabi bhai ...need ur help.......

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Esha, tumhara question perha, bulke us per replies bhi perhay...

                    Is baat per mukhtalif ulmaa ki mukhtalif aaraa hein...lekin mujay jo sahi lagi wo yeh he ke, ager aap ko profit ka business kerna he to aap pehlay yeh dekhiye, ke jis business mein aap investment ker rahay hein wo business halaal he ke haraam, i mean jo mortgage se aap ko interest ya in other words profit mila kia wo halal ke business se aaya ya haraam ke business se...aur waise bhi jo paisa sirf is liye lagaya jaye ke us ka benifit he milay ga nuksaan nahi, kuch ulema ke nazdeek yeh sood he aur haraam he...ager aap ne businesss mein kuch investment ki he aur aap profit ke saath saath nuksaan ke bhi shareek hotay hein to wo jaiz he.

                    Kuch ulema ke nazdeek lottery ki money haraam he aur kuch isay inaami raqam keh ke jaiz karar de dete hein...ub pata nahi aap ki raqam ko inaami raqam se tashbeeh dena chahiye ya nahi...is moaamlay pe bohat se loogon ki mutzaad aaraa hein...behtar he ke aap kisi aalim se yeh masla discuss karein aur jo wo kehtay hein un ke accordingly act karein.

                    Allah hamaein behtar jananay aur samajnay ki toofeek de....aameen
                    Thanks for ur consideration Aamir baat ye hay k hum apnay ik aalim saahib se hamesha mashwara kar liya kartay thay ....wo ab yahan anhin hotay koi contact number bhi nahin so humnay socha k :masha se PG per bhi to sab members ko kuch na kuch maloomaat hay kion k koi prb ho to aap sab log bhi aalim se poochtay hee hon gay is waja se humnay yahan sawal pooch liya ......hamein bhi yahan canada mein kaeey aalim ney mukhtalif kisam k replies kieey kaheen jaaeyaz kaha isey to kaheen ghalat ......
                    per ek baat hoty haina k dil mutmaen nahin tha so hamara na ho saka ....aabi bhai k reply se satisfaction hueey hai hamein .....kion k humein to un k bussiness ki noeeyat nahin maloom k building waalon nay wo kis kisam k bussiness mein pessay lagaey thay .... so hamara khyal hay k hamein ye use nahin kernay chahieen ...

                    baqi Allah hum sab ko taufeeq de sab behter samjhnay aur us per amal karnayt ki Aameen
                    sigpic

                    Comment

                    Working...
                    X