Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Inteqaam~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~Inteqaam~*~

    :)
    Attached Files

  • #2
    Re: ~*~Inteqaam~*~

    Nice post Shy...zehni nafsiyati ke uper aapne achha khaka khincha hai..."Insaan ke fitrat mein inteqaam paya jata hai..."main iss se agree nahin hoon, kyon ke main tashaddood bhari terror filmen nahin dekhta, usme apna waqt barbad hota hai, aur dimagh bhi pakk jata hai.

    Main jab Mughal-e-Azam dekha to apne aap ko Salim feel kiya, jab Titanic dekha to apne aap ko Jack feel kiya, Jab Maine Pyar Kiya dekha to apne aap ko Prem feel kiya...log aman, peace aur muhabbat ke taraf bhi sochta hai.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: ~*~Inteqaam~*~

      hmmm Shy tumhian daad deni chayiaye ithnay achay aik tu topic lati ho dosray tajziya tumhara buhat acha hota hai

      khair Insani Fitrat yeh tu theek hai jo hum say bura karey ga hum bhi us say buray karney ki khosis kartay hain aur JO filmo'n main dekhaya jata hai mera khayal hai wo hamaray Mohsaray say hi liyeah jata hai aur kissi had tak theek bhi hota hai
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: ~*~Inteqaam~*~

        Inteqaam
        Attached Files
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: ~*~Inteqaam~*~

          Asslam O Alaikum,

          Itni mushqil sochein kahan sai lati ho ..!! Yaan wasey hee bari bari baatein sun'aney ka shoaq rekhti ho ? :)
          Filmon ki to kya hee baat hai khas taur per ghair mulki filmein to bohat bohat bari bari filmein hain ..!! FIlmain kuch hamarey mulk main bhi kam nahi hain par ab a kar sab reh gya hai :D ..!! Khair ye baat to 101 % sach hai kai jo film main chal raha hota hai ham hamesha khushi dekh ker khush aur ghami dekh ker ghamgeen ho rahey hotey hain :D Par main shuru sai lai kar aaj tak yehi sochta aya hoon kai kambakht Villan kyun nahi jeet'ata hamesha hero hee kyun khair ji ..!! ye sab chado avein fazool ki baatein ..!!
          Inteqam .!!
          Islam main shayad yehi kaha hai kai kai Badla lo par maaf kerna afzal hai .!! Shayad ka lafz main nai yahan is liye istemal kya kyun kai main sirf naam ka musalman hooon yakeenan mujh sai behtar aap loag jantey hein..!!! Main aur kisi ka to nahi kahon ga par jahan tak mera taluk hai main shayad maaf bohat kam karta hoon koi apna agar mujhey kuch keh jaye to badla nahi leta maaf ker deta hoon kyun kai apnon sai aksar -o- beshtar mujhey ye sab milta hai .. :) haan koi ghair ho to main nahi maaf ker pata zaroor leta hoon iteqam chahey kuch bhi ho ..!! Werna neend nahi parti mujhey ..!! ab agar koi kehta hai kai main to ji maaf hee kert deyta hoon to wo bhi ajab si baat hai kyun kai insaani nafsiyat is baat ki ijazat nahi detein n e ways ..!! acha silsala hai nice work keep it up be blessed
          Waslam

          Comment


          • #6
            Re: ~*~Inteqaam~*~

            Originally posted by Spy009
            Nice post Shy...zehni nafsiyati ke uper aapne achha khaka khincha hai..."Insaan ke fitrat mein inteqaam paya jata hai..."main iss se agree nahin hoon, kyon ke main tashaddood bhari terror filmen nahin dekhta, usme apna waqt barbad hota hai, aur dimagh bhi pakk jata hai.

            Main jab Mughal-e-Azam dekha to apne aap ko Salim feel kiya, jab Titanic dekha to apne aap ko Jack feel kiya, Jab Maine Pyar Kiya dekha to apne aap ko Prem feel kiya...log aman, peace aur muhabbat ke taraf bhi sochta hai.
            haan aap tbhi theek karte hen :)

            Comment


            • #7
              Re: ~*~Inteqaam~*~

              Originally posted by ~khawahish~
              hmmm Shy tumhian daad deni chayiaye ithnay achay aik tu topic lati ho dosray tajziya tumhara buhat acha hota hai

              khair Insani Fitrat yeh tu theek hai jo hum say bura karey ga hum bhi us say buray karney ki khosis kartay hain aur JO filmo'n main dekhaya jata hai mera khayal hai wo hamaray Mohsaray say hi liyeah jata hai aur kissi had tak theek bhi hota hai
              thanxx khwahish :) or sahi kaha ke inteqam insani fitrat me shamil he.

              Comment


              • #8
                Re: ~*~Inteqaam~*~

                Originally posted by Masood
                Masood
                g aap ne bhi sahi kaha ke moaf karna behter he,thanx 4 ur reply :)

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~Inteqaam~*~

                  Originally posted by ForumAdmin
                  Asslam O Alaikum,

                  Itni mushqil sochein kahan sai lati ho ..!! Yaan wasey hee bari bari baatein sun'aney ka shoaq rekhti ho ? :)
                  Filmon ki to kya hee baat hai khas taur per ghair mulki filmein to bohat bohat bari bari filmein hain ..!! FIlmain kuch hamarey mulk main bhi kam nahi hain par ab a kar sab reh gya hai :D ..!! Khair ye baat to 101 % sach hai kai jo film main chal raha hota hai ham hamesha khushi dekh ker khush aur ghami dekh ker ghamgeen ho rahey hotey hain :D Par main shuru sai lai kar aaj tak yehi sochta aya hoon kai kambakht Villan kyun nahi jeet'ata hamesha hero hee kyun khair ji ..!! ye sab chado avein fazool ki baatein ..!!
                  Inteqam .!!
                  Islam main shayad yehi kaha hai kai kai Badla lo par maaf kerna afzal hai .!! Shayad ka lafz main nai yahan is liye istemal kya kyun kai main sirf naam ka musalman hooon yakeenan mujh sai behtar aap loag jantey hein..!!! Main aur kisi ka to nahi kahon ga par jahan tak mera taluk hai main shayad maaf bohat kam karta hoon koi apna agar mujhey kuch keh jaye to badla nahi leta maaf ker deta hoon kyun kai apnon sai aksar -o- beshtar mujhey ye sab milta hai .. :) haan koi ghair ho to main nahi maaf ker pata zaroor leta hoon iteqam chahey kuch bhi ho ..!! Werna neend nahi parti mujhey ..!! ab agar koi kehta hai kai main to ji maaf hee kert deyta hoon to wo bhi ajab si baat hai kyun kai insaani nafsiyat is baat ki ijazat nahi detein n e ways ..!! acha silsala hai nice work keep it up be blessed
                  Waslam
                  chalen aap apnon ko to moaf kar dete hen ye bhi achi baat he,wese me apne hon ya gher kisi se badla nahi leti,kuch bura lage koi dil tore to baat dil me zarur rakhti hun par badla nahi leti,aap bhi badla na lia karen,insan badle me kabhi kabhi barh jata he.thanxx 4 ur reply :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~Inteqaam~*~

                    :(
                    Attached Files

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~Inteqaam~*~

                      Iteqam ek aisa jazba hai jo gham-o-gussey ki halat mei insan per hawi hota hai. Gussey ki halat mei insan ka koi bhi reaction ho humaesha galat hota ahi aur burey asrat muratab kerta hai. Rahi baat filon ki to wo bas ek zariya-e-tafreeh hota hai ousi hadth tak rahey to acha hai. Ager insan ousey haqeeqat man'ney lagey to ous se buhut galat asrat bhi leta hai. Filmo mei dekhayi janey wali batain haqeeqat se mukhtalif hoti hain, filomo mei humein acha lagta ho ga, itni takleefein sehne ke baad Hero ka villan ko peet'tey dekhna. Magar real life mei aisa nahi hota. Jahan tak mei samajhti hoon, Inteqam lena insan k ander ki kamzori hai, jo wo chupaye rakhta hai, aur moqa miltey hi inteqam ki soorat mei dosrey per zahir ker deta hai.

                      Mere khayal mei ager kisi ne bura kiya ousey ous ke haal per aur ous ka badla khuda per chor dena chahiyeh :) .
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~Inteqaam~*~

                        Main nai to pehley hee kaha hai kai apnon ko maaf ker do aur ghaer sai zaroor inteqam loon ga main ..!!! Aur jo bhi ker rahey hain musalman bikul sahi ker rahey hain its not tht i m n extremist no i m not ..!! but yes i do understand one thing that issues should be resolved ..!! we should reply to them so tht they cud undertsand one thing that IT HURTS ..!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~Inteqaam~*~

                          Asalam o Alikum
                          Attached Files

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~*~Inteqaam~*~

                            Originally posted by shy
                            :(

                            Assalaam o alekum,


                            shy bahoooooot khooooob bahooot hi umdeh topic laayi hain aap hum sabke beech aur aapki iss baat se main 101% muttafiq hun ke aaj jo kuch ho rahaa hai woh ek sachchi haqeeqat hai , jab kisi ki maan baap bhai bahen rishtedaaroon ko usski aankhoon ke saamnien qatl ker diyaa jaaye usski maan bahen ki izzat loooti jaaye to ek aulaad kyaa kare bhalaa siwaay inteqaam ke usske pass koee raastaa nahin hotaa kyoon ke woh jeenaa nahin chaahataa jeeye bhi to aakhir kisske liye usskaa sab kuch to cheen liyaa gayaa usse lekin yeh zaalim duniyaan usse terrorist kehti hai jabke woh terrorist nahin ussnien wohi kiyaa jo usse kernaa chaahiye thaa , mujhe behud khushi huee aapkaa yeh mazmoon perh ker kyoon ke yeh ek mazmoon nahin balke sachchaayi per mabni baatien kahi hain aapnien shukriyaa humse share kernien kaa khush rahien
                            :tang: RISK IS MY BUSINESS

                            DANGER IS MY GAME

                            DONT PLAY WITH ME
                            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                            Comment

                            Working...
                            X