Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

child custody

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • child custody

    Asalam alaikum,
    mujhey aik assigment kerni hai aur topic hai
    "MOthers should always get custody of children after a divorce"
    Likhun gi to mey Pakistan law (yani islamice law)ko mudde nazar rakhtey huwe inshAllah magar apney kuch views bhi honey chahiyen
    aap kya kehtey hein mujhey kaun kaun sey topics cover kerney chahiyen??

    shukriya in advance for your views and time
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: child custody

    Originally posted by barg.e.gul

    Yellowsky

    Aapki soch bahut mature hai...wahan tak main kabhi qayas bhi nahin karta.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #3
      Re: child custody

      Mera view kuchh teekha hai.

      Awwal yeh ke "Divorce" hona hi nahin chahiye. Agar ho jata hai to "Divorcee" ko goli mar deni chahiye

      Agar Wife divorce maang rahi ho to husband wife ko goli maar de kyon ke divorce ke baad wife alag rahegi...ya kisi aur ke saath phir uss husband ka kya hoga...to "Sanam hum to marenge tumhen bhi le doobenge...".
      Divorce hona hi nahin chahiye.
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment

      • #4
        Re: child custody

        Originally posted by Spy009

        hnmmmm meray view k mutabiq agar nobat divorce tak pohnchnay ka khadsha ho to shadi hi nhi karni chahiye.
        Aur barri aasani se aap ne keh diya k Agar Wife divorce maang rahi ho to husband wife ko goli maar de kyon ke divorce ke baad wife alag rahegi...ya kisi aur ke saath phir uss husband ka kya hoga...

        Kia aap unn wajohat ko nazar andaz kar dein gay jin ki bina per wife divorce mang rahi hey?
        Kia Wife agar suffer kar rahi hey, takleef seh rahi hey to kia wo apni sari zindagi yoon hi guzar day?
        Mard hazraat wife ki iddat ya mout ki mudat bhi zayada nhi honay detay aur doosri shadi racha letay hein to aik aurat ko bhi jub islam ne yeh haq diya hey to phir mard hazraat kon hatay hein goli marnay walay?

        Aap in swalon per farigh waqt mein beth kar sochiye ga aur tajziya kijiye ga k aap kahan per ghalat hein aur phir goli marnay ka nazriya per dobara ghaur kijiye ga k kia iss se masayel hall ho jayein gay?

        And I do apologise k yeh uss swal ka jwab bhi nhi hey jo GUL ne poocha hey, mugar spy ki soch bilkul bachkana see lagi , iss liye mein jwab diye bina nhi reh saki. Beshakk unn ka apna view hey aur unn ko poori azaadi hey k wo uss ka izhaar bhi ker saktay hein jo unhon ne kiya. Mera maqsad unn per tanqeed karna hargizz nhi hey han unn k view se ikhtelaf zaroor hey jiss ka mein ne izhaar kiya.
        Gul aur Spy agar meri kisi bat se aap ko takleef pohnchi ho to mein maazrat khwah hoon.

        Comment

        • #5
          Re: child custody

          Originally posted by Spy009
          Mera view kuchh teekha hai.

          Awwal yeh ke "Divorce" hona hi nahin chahiye. Agar ho jata hai to "Divorcee" ko goli mar deni chahiye

          Agar Wife divorce maang rahi ho to husband wife ko goli maar de kyon ke divorce ke baad wife alag rahegi...ya kisi aur ke saath phir uss husband ka kya hoga...to "Sanam hum to marenge tumhen bhi le doobenge...".
          Divorce hona hi nahin chahiye.
          pehlay us husband ko hi goli nahi maar deeni chaye jis nay nobat yaha tak pounchai kay aurat divorce maang rahi hai ?
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: child custody

            [QUOTE=barg.e.gul]Asalam alaikum,
            mujhey aik assigment kerni hai aur topic hai
            "MOthers should always get custody of children after a divorce"
            Likhun gi to mey Pakistan law (yani islamice law)ko mudde nazar rakhtey huwe inshAllah magar apney kuch views bhi honey chahiyen
            aap kya kehtey hein mujhey kaun kaun sey topics cover kerney chahiyen??

            Gul ab aati hoon aap k asal topic ki traf k Should mothers always get the custody of children after a divorce? Meray views k mutabiq aap in points ko apni assignment mein shamil kar sakti hein(if u do agree with them:) )

            1. Sub se pehlay mother's mental health. ( kia woh bachon ki lookafter karnay k qabil hey ya nhi?)
            2. children's age ( kia bachay itnay chotay hein k unhein maan ki zaroorat hey?)
            3. mother's charactor ( kia maan ka kirdar iss qabil hey k wo apnay bachon specially bachiyon ko apnay pas rakh sakay?)
            4. Mother's financial circumstances ( kia maan maali taur per iss qabil hey k bachon ki taleemi zarooryat aur deeger akharajat utha sakay?)

            gul meray khyal mein agar koi maan in 4 catagories k mayar per poora utarti hey to she should get the custody, otherwise the father should have a right to bring up the children in a safe environment.
            Mein ne qanoon nhi parha lekin aisay waqeaat meri nazar se guzray hein jahan maon ko bachay de diye jatay hein lekin unn ki bad kirdari ki wajah se unn ki betiyan bhi pasti ki traf rawan hein...........mein zayada nhi kahoon gi iss baray mein, aap k liye ishara kafi hey.
            Woh mayein jo khud zehni tawazun theek nah honay ki wajah se pagil kehlai jati hein wo apnay bachon ko mout k ghaat utar chuki hein aur yeh 100% sach hey. aisi soorat mein bachon ka maan ki custody mein nah dena hi behtar hey.
            Wo bachay jo waldain ki talaaq k bahd maali halat ka shikar ho jatay hein, wo ahsas e kumtari, inteqami soch, cheen lenay ki aadat ya maskh shakhsiyat k hamil ban jatay hein, chori chakari aur bheek mangnay per mujboor ho jatay hein kiyun k sirf aik maan unn ki bunyadi zarooryat bhi poora nhi kar pati, jub tak k woh kisi aala khandan se taluq nah rakhti ho.
            Sheerkhwar bachay aur jwan larkiyan maan k hawalay ki jani chahiyein k unhein baap se zayada maan ki zaroorat hoti hey mugar sirf ussi soorat mein jub aik maan achay aur mazboot kirdar ki malik ho, mali taur per be sahara nah ho aur zehni taur per bhi iss qabil ho k wo bachon ko paal pos sakay.

            Comment

            • #7
              Re: child custody

              Originally posted by Spy009
              Agar Wife divorce maang rahi ho to husband wife ko goli maar de kyon ke divorce ke baad wife alag rahegi...ya kisi aur ke saath phir uss husband ka kya hoga...to "Sanam hum to marenge tumhen bhi le doobenge...".
              Divorce hona hi nahin chahiye.
              Jahan tak talluq goli marney ka hai to yeh to aap ki janib sy aisey hi gupshup hai.

              Jahan tak baat hai divorce ki to merey nazdeek agar miyaan bivi us nobat peh pohanch chukey hain jahan peh zindagi ka safar saath saath guzarney mein qabahat hai to talaaq sey behtar koi hal nahin. Is tarha khud bhi jiyo aur doosron ko bhi jeeney do. Talaq us waqt honi chahiye jab wapsi ka koi raasta nahin hai. Aisi nobat kyun aati hai? yeh aik elahda behas hai. Magar merey nazdeek khud peh, apni bivi ya shohar peh aur sab sey barh kar bachon peh bohat bada ehsaan hota hai agar insaan juda ho jaey.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: child custody

                Originally posted by Muskan
                hnmmmm meray view k mutabiq agar nobat divorce tak pohnchnay ka khadsha ho to shadi hi nhi karni chahiye.
                Yeh to aap mustaqbil ki baat kar rahi hain jissey kisi ney nahin dekha hota. Agar kisi ko maloom ho keh shadi mein talaq tak baat jaa pohanchey to koi shadi na karey. Magar yeh hadsaat, waqeyaat aur naseeb hotey hain jo yahan tak ley jatey hain.
                Originally posted by Muskan
                Wife agar suffer kar rahi hey, takleef seh rahi hey to kia wo apni sari zindagi yoon hi guzar day?
                Nikah sey pehley mard ko yeh haqq aurat ko sonpna parta hai keh woh talaaq talab kar sakti hai. Yeh islami law bhi hai keh aurat ko haq hasil hai.
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: child custody

                  Originally posted by Muskan
                  Gul ab aati hoon aap k asal topic ki traf k Should mothers always get the custody of children after a divorce? Meray views k mutabiq aap in points ko apni assignment mein shamil kar sakti hein(if u do agree with them:) )

                  1. Sub se pehlay mother's mental health. ( kia woh bachon ki lookafter karnay k qabil hey ya nhi?)
                  2. children's age ( kia bachay itnay chotay hein k unhein maan ki zaroorat hey?)
                  3. mother's charactor ( kia maan ka kirdar iss qabil hey k wo apnay bachon specially bachiyon ko apnay pas rakh sakay?)
                  4. Mother's financial circumstances ( kia maan maali taur per iss qabil hey k bachon ki taleemi zarooryat aur deeger akharajat utha sakay?)...
                  shukriya Muskan,
                  aap ney merey sawal ko poora perha :D:
                  mey inshAllah in points ko bhi add kerti hun
                  aap ka bohot ziada sara shukriya :rose
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  • #10
                    Re: child custody

                    Originally posted by Muskan
                    Originally posted by Muskan
                    Kia aap unn wajohat ko nazar andaz kar dein gay jin ki bina per wife divorce mang rahi hey?
                    Kia Wife agar suffer kar rahi hey, takleef seh rahi hey to kia wo apni sari zindagi yoon hi guzar day?
                    Mard hazraat wife ki iddat ya mout ki mudat bhi zayada nhi honay detay aur doosri shadi racha letay hein to aik aurat ko bhi jub islam ne yeh haq diya hey to phir mard hazraat kon hatay hein goli marnay walay?

                    Aap in swalon per farigh waqt mein beth kar sochiye ga aur tajziya kijiye ga k aap kahan per ghalat hein aur phir goli marnay ka nazriya per dobara ghaur kijiye ga k kia iss se masayel hall ho jayein gay?

                    Originally posted by Aanchal
                    pehlay us husband ko hi goli nahi maar deeni chaye jis nay nobat yaha tak pounchai kay aurat divorce maang rahi hai ?

                    Originally posted by MASOOD
                    Jahan tak talluq goli marney ka hai to yeh to aap ki janib sy aisey hi gupshup hai.

                    Jahan tak baat hai divorce ki to merey nazdeek agar miyaan bivi us nobat peh pohanch chukey hain jahan peh zindagi ka safar saath saath guzarney mein qabahat hai to talaaq sey behtar koi hal nahin. Is tarha khud bhi jiyo aur doosron ko bhi jeeney do. Talaq us waqt honi chahiye jab wapsi ka koi raasta nahin hai. Aisi nobat kyun aati hai? yeh aik elahda behas hai. Magar merey nazdeek khud peh, apni bivi ya shohar peh aur sab sey barh kar bachon peh bohat bada ehsaan hota hai agar insaan juda ho jaey.

                    Salam to all

                    First of all Muskan Sahiba aapka jawab qabil-e-tarif hai, aap ki tanqeed mein aisi koi dil azari wali baat hai hi nahin jo takleef pahunche.

                    Main pehle hi kaha tha ke mera view kuchh teekha hai, aur sabse juda hai, mera khyal bachkana nahin hai aur na hi gupshup mein hansne ke liye. Main unn wajoohat ko bilkul nazar andaz nahin karna chahta jis se talaq ki naubat aa rahi ho. Yaqinan usse mar dena chahiye jo Mian-Biwi ke azdwaaji zindagi ko jahannum ki zindgi mein tabdeel karne wala qasoorwar ho chahey wo mard ho ya aurat. (shoot karne ki baat maine dono taraf se ki hai).

                    Main divorce, dusri shaadi aur teesri shaadi ke bilkul khilaf hoon, iss se muhabbat mein kami ho jaati hai, aur jahan muhabbat kam ho wahan ki zindgi mein mithaas nahin rahta.
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: child custody

                      Originally posted by Muskan

                      1. Sub se pehlay mother's mental health. ( kia woh bachon ki lookafter karnay k qabil hey ya nhi?)
                      2. children's age ( kia bachay itnay chotay hein k unhein maan ki zaroorat hey?)
                      3. mother's charactor ( kia maan ka kirdar iss qabil hey k wo apnay bachon specially bachiyon ko apnay pas rakh sakay?)
                      4. Mother's financial circumstances ( kia maan maali taur per iss qabil hey k bachon ki taleemi zarooryat aur deeger akharajat utha sakay?)
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #12
                        Re: child custody

                        Itni bari baari Baatein ho rahee hain mera kya hai chado ji :D

                        Comment

                        • #13
                          Re: child custody

                          N e ways jokes a part ..!!

                          Bachon par maa ka haq jitna zayda hai utna kisi ka nahi ye baat at'al hai ..!! Talaq ki soorat main mera khayal hai kai bachey agar bolney kai qabil hain to un sai pooch lena chayhe ...!! Ab baaz cases asey hotey hain kai bachey sab kuch bolney kai bawajood kuch bhi bol nahi patey to aisey cases main jahan tak mera khayal hai din divide ker deney chayeh like half a month bachey maa kai pass rest baap kai something like this ..!! Thats wht i can say ..!!

                          Comment

                          • #14
                            Re: child custody

                            I dont know.....sahyed mei kuch galat keh doon

                            Magar aise log jo divore letey hain....they don't deserve to get the custody of the child. They really dont deserve it. Talaq letey waqt to wo bachey ka nahi sochtey k is ka mutaqbil kya ho ga... to phir talaq ke baad ounhein koi haq nahi banta haq jamaney ka. Ager ounhein sach mei apne bachey se pyar ho, ous ki perwa ho to nobat yahan tak aayeh hi nahi.
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: child custody

                              assalam alaikum

                              yeh sahi hai ke aik se ziyada shadee ke liye bhi kuch conditions hain sirf ayyashi ki khatir aik se ziyada shadee ki ijazat nahi hai. balkay ayyashi/zina se bachnay ke khaatir hi doosri/teesri/chothi shadee ko jaayez kiya gaya hai.

                              aur talaaq ke bhi kuchh qawaid o zawabit hain. Islam duniya ka wahid mazhab hai jis me talaaq ki ijazat hai. yeh aur baat hai ke doosray mazahib me ab talaaq ko jaayez qaraar diya gaya hai.

                              taalib e dua
                              Last edited by zahid; 24 July 2005, 15:11.
                              jo bhi maangna hai khuda se maang aye akbar
                              yahi woh dar hai jahan aabroo nahi jaati

                              Comment

                              Working...
                              X