Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

    Attached Files

  • #2
    Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

    deykhein shy,
    islam ney hamien sab kuch dey diya hai ...

    to deykhein hamien to naye ideas ki koi zaroorat hi nahi hai sab kuch hamarey paas hai sirf aur sirf hamein aeysey khalifa ki zaroorat hai .....inshAllah
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

      Originally posted by barg.e.gul

      lekin isi trah ki aik hakoomat Taliban ne bhi to banai thi Afghistan me or wahan aman-o-aman ki soorat haal bohat zaberdast thi par us ko bhi mita dia giya

      Comment

      • #4
        Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

        Asslam O Alaikum,
        bohat acha topic hamesha ki tarhan shuru kerney par mubarak baad qabool kero ,
        America billi aur ham sab musalman choohey, Kya baat hai ji nice one ..!!! But you know that fact ? Ham main sai har koi har aik aik doosrey ki taang khenchta phir raha hai so baat kahan a ker khatam hoti hai ? Unity ? aur woh muslims main kahan hai ?
        Har kisi ko apney paet ki pari hai idher to ye sab kasey ho ga ? Bari bari baatein kerney sai ? yaa amal kerney sai ? Hukamran Cheetey hamarey wohi kharab hain to ham sab kya kerein gai ? Kya Iran ki tarhan hamein bhi inqalab lana chayeh ? kai sab ko maar girain aur phir mulk bhi tabah kerwa lein ? Kaun si aisee taqat nahi hai aaj ham musalmanon kai passs ? Saudi Arab agar apney wasail USA sai nikalwa ley (petrolium) to jantey hein kai kehney waley kehtey hain aik research kai mutabik USA could go bank currupt , Idher UAE waley they are arranging almost 20% of the whole fuel ab kahein kya kehtey hein ? Aaj ye sab aik ho jaein UNITY laey aein to kaun khara ho sakta hai samney ? No one..... Hamarey aur aap kai baatein kerney sai kuch nahi ho ga aur na hee hamarey aap kai sudharney sai ..!!! Ye aisa hee hona tha aur aisa hee ho ga till the time jab sab kai sab Musalman UNITY nahi laein gai aur jab sab UNITY laein gai tabhi to wo waqt shuru ho ga jis ko sab Qayamat kehtey hain ...!! Khair i dont know main kya keh raha hoon kya nahi topic acha laga so bolna shuru ho ga mazrat khwa hoon jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh
        Waslam

        Comment

        • #5
          Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

          Originally posted by shy
          lekin isi trah ki aik hakoomat Taliban ne bhi to banai thi Afghistan me or wahan aman-o-aman ki soorat haal bohat zaberdast thi par us ko bhi mita dia giya
          Taliban ki hakoomat thi ussey islami hakoomat nahi keh saktey ....
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

            Originally posted by ForumAdmin
            Asslam O Alaikum,
            bohat acha topic hamesha ki tarhan shuru kerney par mubarak baad qabool kero ,
            America billi aur ham sab musalman choohey, Kya baat hai ji nice one ..!!! But you know that fact ? Ham main sai har koi har aik aik doosrey ki taang khenchta phir raha hai so baat kahan a ker khatam hoti hai ? Unity ? aur woh muslims main kahan hai ?
            Har kisi ko apney paet ki pari hai idher to ye sab kasey ho ga ? Bari bari baatein kerney sai ? yaa amal kerney sai ? Hukamran Cheetey hamarey wohi kharab hain to ham sab kya kerein gai ? Kya Iran ki tarhan hamein bhi inqalab lana chayeh ? kai sab ko maar girain aur phir mulk bhi tabah kerwa lein ? Kaun si aisee taqat nahi hai aaj ham musalmanon kai passs ? Saudi Arab agar apney wasail USA sai nikalwa ley (petrolium) to jantey hein kai kehney waley kehtey hain aik research kai mutabik USA could go bank currupt , Idher UAE waley they are arranging almost 20% of the whole fuel ab kahein kya kehtey hein ? Aaj ye sab aik ho jaein UNITY laey aein to kaun khara ho sakta hai samney ? No one..... Hamarey aur aap kai baatein kerney sai kuch nahi ho ga aur na hee hamarey aap kai sudharney sai ..!!! Ye aisa hee hona tha aur aisa hee ho ga till the time jab sab kai sab Musalman UNITY nahi laein gai aur jab sab UNITY laein gai tabhi to wo waqt shuru ho ga jis ko sab Qayamat kehtey hain ...!! Khair i dont know main kya keh raha hoon kya nahi topic acha laga so bolna shuru ho ga mazrat khwa hoon jeetey rahyeh khush rahyeh sada abad rahyeh
            Waslam
            kese aei gi ye unity? :( n thanxx for ur reply

            Comment

            • #7
              Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

              Originally posted by barg.e.gul
              Taliban ki hakoomat thi ussey islami hakoomat nahi keh saktey ....
              lekin mere khiyal me wo ham sab ki nisbat islam ke zeada kareeb the

              Comment

              • #8
                Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                Originally posted by shy
                kese aei gi ye unity? :( n thanxx for ur reply
                islam kay asloun pay amal karain to buhat kuch hasil kia ja sakta hai ..ham nay islami taleemat ko kabhi samajh kay parha hi nahi ...
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                  Originally posted by shy
                  lekin mere khiyal me wo ham sab ki nisbat islam ke zeada kareeb the
                  nahi main bhi is cheez kay haq main nahi houn kay Tailbaan ki hakoomat islam kay zaida qareeb the ....
                  unhoun nay koi apna alag say hi rule banaya hova tha ....aurtoun ko parhanay tak nahi dayatay they or job ki bhi ijazat nahi the ,,buhat pabandiayan laga di the .....
                  taleem hasil karnay ki bajaye talwaroun say larnay ki taleem deena yeh hakoomat hai ?
                  gar sahi islamic hakoomat hoti un ki to ajj khutem na hoti ... :-)
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                    Jawab
                    Attached Files
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #11
                      Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                      Originally posted by shy
                      lekin isi trah ki aik hakoomat Taliban ne bhi to banai thi Afghistan me or wahan aman-o-aman ki soorat haal bohat zaberdast thi
                      Nahin Shy Talbaan ney kisi bhi tor islami hakoomat qaeem nahin ki thi, yeh hamari bhool hai. Islam ney auraton ko unkey jo haqooq diye hain, Talbaan unehin roondhtey jaa rahey they. Meri information key mutabiq kisi mard ko clean shave rehney ka hukm nahin tha, Islam key kis rukan mein likha hai keh mard clean shave nahin rah sakta? Yeh zaroor hai keh dhari bharhaney aur moonchein katwaney ka kaha geya hai, magar yeh zabardasti to nahin hui na. Talbaan mein bohat si achhaiyaan thin, magar unho ney bohat sey ghalat kaam bhi kiye hain.

                      Aur waisey bhi Afghanistan ki hazaron saal ki tareekh yehi btati hai keh wahan kabhi sakoon nahin raha, hamesha khana-jangi rahi hai.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                        Originally posted by ForumAdmin
                        Saudi Arab agar apney wasail USA sai nikalwa ley (petrolium) to jantey hein kai kehney waley kehtey hain aik research kai mutabik USA could go bank currupt , Idher UAE waley they are arranging almost 20% of the whole fuel ab kahein kya kehtey hein ?

                        Duniya mein siraf aik maslaa hai, tail. USA duniya mein tail ka istimaal karney wala sab sey bada mulk hai, unkey apney paas tail key bohat badey zakhaeer mojood hain, magar woh sab reserves hain. Jab tak Arab countries mein tail mojood hai, duniya mein dehshat-gardi ki jang hoti rahey gi. Hamarey bad-kirdaar hukmraan (chahey woh pak mein hon ya saudia mein) hawas mein khoey rahein gey. Islami mumalik mein ghurbat na ho agar yeh arab aur doosrey leaders apni aankhon per sey madhoshi ki ainak utaar phainkein. Magar ham bikhree hui soch rakhney wali kathputliyaan hain jo kisi doosrey key isharon peh naach rahi hain.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                          Originally posted by ForumAdmin
                          UNITY laein gai tabhi to wo waqt shuru ho ga jis ko sab Qayamat kehtey hain
                          Nabi Pak SAW ki pasheengoi hai keh qareeb qayamat keh ham per aik jang musalat kar di jaey gi. Us jang muqablah kisi ANDEKHI taqat key saath ho ga aur kafiron key saath musalmaan bhi us jang mein hissah lein gey.

                          Meri naqis soch key mutabiq yeh WAR AGAINST TERROR yeh woh jang hai. Kyun keh meri aqal yeh maaneney sey inkaar karti hai keh Al-Qaedah ka koi network yun sargarm hai jaisey yeh kaafir btaa rahey hain. Na 9/11 mein Al-Qaedah ka haath tha, na London bombing mein aur na hi kisi aur jaggah. Yeh aik hawwa bnaya huwa hai.

                          Jis tarha key halaat pedah kiyey jaa chukey hain, unkey ro sey yehi nazar aata hai keh ab Iran, Syria aur Pakistan ki bari hai. Jab in teeno mumalik peh US ka qabza ho jaey ga to Nabi Kareem SAW ki aik aur pasheen-goi poori sabat ho jaey gi:

                          "Qurb qayamat mein musalmano key hathon sey tmaam aas paas key elaqey chhin jaein ge aur Islam siraf 2 shehron key beech rah jaey ga, makkah aur madina".

                          Duniya key halaat usi dagger peh jaa rahey hain.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                            AOA,

                            Aap nain jo kaha haqbajanab hai ilama sahib nain kia khoob kaha .

                            AH tahir e lo hooti us rizk se moot achi

                            jis rizk se ati ho parwaz main kotahi.

                            Lakin aj hum kahan hain kis k chungal main hain esayiyoon k ya yahodoyoon k lakain hum to donoon k fareeb ka shikar hain amdaad kahan se laite hain kashkool kis k age philate hain un k age jo alme islaam se ilm hasil karte the aj hum ilm se lai kar paise tak gharz har wo cheez jo hamari zaroorat hai aj moshrikoo k paas hai iss arooj aur zawaal ki kahani k peche kia moharkaat the wo aap sab baihtar jante hoon ge hamare namwar (kahte hote sharm mahsoos hoti hai)hukmaraan ayashi main kho gaiye aur khoye hoye hain ye islaam ki dikhayi hoyi rah nain jis pe aj umate musliman k hukmaraan chal rahye hain wo kon sa molk hai jahan monafkoon ki fouj nain baihthi ahle arb jo kabi apni azmaat apni bahadri se pahchane jate the aj kahan hai?baat ki aap nain gainti ki to ye gainti bandana utna hi moshkil hai jitna moot ko se ankhain milana hum to karbala b bohl gaiye jo hamain samjane aur hamain kofaar k age na jokne ka paigham daita hai hum rooz ba rooz basti ki taraf ja rahye hain aur islaam k dushman bolandi ki janab hamain uljane wala yahood jis ko koi aik jaga tikne nain daita tha aj uss nain dunya pe kabza kia hua .agar aap islami dunya ka baghoor jaiza lain to faqat PAKISTAN hi wo wahid islami molk hai jo ahtami taqat rakhta hai lakain salamti council main motakil nashist k liye kisi araab molk nain hamayat nain ki jo lamha e fikriya hai araab mamalik ki baat karain to un k pass tail ki wo dolat hai k wo dunya pe hukmarani kar sakte hain lakin afsoos nak ammar ye hai k wo b aik aik kar k dushmanane islaam k hath Aa rahyi hai aur hum tamasha daikh rahye hain aur barre fakhar se kahte hain k hum to nain hain jab hum pe baat hoyi daikh lain ge ye aik doosre ko daikhne main hi hum nain pasti ikhtaiyaar ki aj hum choti choti riyastoon ko nain sanbal sakte aik wo door tha jab sara arab aur bare sagheer tak alme islaam ki hakumat thi lakin ye halaat kabi na the jo aaj hain.gaiti bandi ja sakti hai agar araab momalik aur alme islaam sika kar lain agar aaj hamri soch aik nahoyi to shaid kabi aik na ho sake nafratain mita k agar hum aik ho jain to sari dunya agar aik ho jaye to musalmanoon ka baal b bika nain kar sakti hum apne Allah pe tawako karte hain k hum (alme islaam)sarkharo hoon ge.

                            Sohail Abbasi.
                            Apna haq ada karo.

                            Comment

                            • #15
                              Re: Bili Ke Gale Me Ghenti Kon Bandhe Gaa?

                              Naa America billi hai aur naa musalman chuha. Rahi baat ghanti baandhne ki to ghanti kyon baandhe, ek zahar aalod bhara chuha billi ke maut ke liye kaafi hai.
                              In my view Taliban hukumat naa kabhi achha tha aur naa hi iss tarah ki hukumat honi chahiye. Afghanistan ki maazi hukumat Taliban ka role Saddam aur Osama se barh kar tha Islam ko Khaufnaak banane ka, Waisi hukumat kam se kam aaj ke zamane mein nahin chahiye jahan Insaani huqooq ko dabaya jaye

                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X