Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia shararat karni chaye ????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: kia shararat karni chaye ????

    hmmmmmmmmmmmmmm kabhi kabhar to karni chahye..
    Allah

    Comment


    • #17
      Re: kia shararat karni chaye ????

      Originally posted by barg.e.gul
      sharartein kerni chahiyein magar spy jaisy sharartein kabhi bhi nahi kerni chahiyein:hathora
      Jitna serious samajh rahen hain utna serious nahin tha...
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #18
        Re: kia shararat karni chaye ????

        Lijiye dusri sharaarat ka waqiya,



        Ramdhan ka mahina tha, Eid qarib thi. Hum kuchh doston ne apne muhalley mein Eid Milan Party organize karne ka plan banaya, hamare group mein kuchh girls bhi tayyar ho gayi, jisme meri ek khala zaad sister bhi thi. Hum logon ne yeh socha ke 5-10 Rs. ka chanda ekatha kar len to personal expenses se bach jayenge. Chanda ekatha karne ke liye girls tayyar ho gayein. Hamare ilaaqey mei ek Shoukat Shahansha



        Girls daant sun kar wapas aa gayien. Agle din Shaukat shahansha ke information pe hamare gharon mein Ward Councilor aur unke arkaan aa dhamke, aur ham logon ko ulta sidha sunaya, ghar mein class lagi wo alag.

        Eid aayi, namaz parhey, gale mile sawaiyan khayi, aur chhota mota Eid Party organize kar hi daala.


        Ek mahine baad











        Hamare muhalley mein ek private English medium school hai, naam hai



        Angel Public School

        Co-Ed, English Medium with Arabic and Urdu Education

        Iss school ke maalik se Shaukat shahansah ki aapsi rassa kassi chal rahi thi. Ek din hum ne bazaar se ek bara sa banner cloth laya, banner cloth le kar sidha painter dukan pe gaya aur usse ek bara khubsurat sa banner bananey ko kaha aur yeh bhi hidayat di ke matter leak out na ho. Banner pe yeh likhna thaa.



        Devil Public School

        Co Ed, English Medium with Pop dance



        Contact for admission

        School proprietor

        Shaukat Shahansah



        Banner tayyar ho gaya, ab use latkane ki baat thi, school se thori dur ek chauraha sarak tha charon taraf se vehicles aate jaate thay, kabhi kabhi traffic jam bhi ho jata tha. ek raat main apne dost ke ghar chala gaya, mere dost nei bijli ki fuse kharab ho gayi hai usse thik karne ke bahane se apne bare bhaiya ke ghar se ek lambi sirhi (ladder) shaam ko hi laa kar rakh liya tha. raat ke 3.00 baje ka alarm laga ke so gaye, alarm baja hum log uthey, ek haath se banner dabaya, dusri haath se sirhi pakra, piche se mera dost sirhi pakra, aur chaurahe pe chala gaya, raat sunsaan thi, chori chuppe raat ko wahan pahunche, sirhi lagaya, darr bhi lag rahi thi, darte darte sirhi pe charhey aur jaise taise aarey tirche sarak k ek taraf se dusre taraf ke bijli ke khambe se banner baandh diya. Ab banner bilkul sarak ke bichon bich thaa. Aane jaane walon ki sabki nazar banner pe par sakti thi.

        Devil Public School

        Co Ed, English Medium with Pop dance



        Contact for admission

        School proprietor

        Shaukat Shahansah



        Fauran wahan se bhaag aaye, subah ke 4.00 baj rahe the, hum log ghar aa kar phir so gaye.

        Subah ka manzar kuchh aur hi thaa. Sarak pe bahut bhir thi, gaari, motor, car, scooter, sabhi jam tha, banner parhne ke baad sab ko gussa aa raha tha, log chilla bhi rahe thay, kuchh log galiyan bhi de rahe thay, aur kah rahe thay Shaukat se aisi ummeed nahin thi, Ward Councillor ko jab pata chala to usne Shaukat Shahanshah ko khub ulti sidhi sunaya.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #19
          Re: kia shararat karni chaye ????

          :lol :lol :lol :lol beachray ki khoob durgat banai aap logoo nay :D
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #20
            Re: kia shararat karni chaye ????

            Assalaam o alekum,



            bhai waah kyaa baat hai spy bahoot achchi shararatien ki aapnien :lol aisi hi kuch sharaaratien humnien bhi ki hain bachpan mien ek aisa hi qissa main bhi sunaataa hun ,


            garmiyoon kaa season thaa chhuttiyaan manaanien hum gaon gaye the aap sab jaantien hoongey garmiyoon mien aam phalte hai to gaon mien ek aam kaa baagh thaa khooob baraa jissmien kam az kam 200 drakht rahe hoongey ab aam dekh ker humaaraa dil kiyaa ke kachche aam khaaye jaayien jab uss baagh ke rekhwaale se aam ke liye kaha to ussnien saaf inqaar kerdiyaa ke nahin aam nahin mil sakte humnien bahoot request ki ke bhai hum shehri hain kuch aam de doogey to tumhaaraa kyaa jaayegaa lekin woh nahin maanaa hum binaa aam ke hi laut aaye :( phir shaam hum hum chand dostoon nien plan banaayaa ke aaj raat isski baagh hi khaali ker dein gey naa rahegaa aam naa rahegi aam ki khwaahish bass phir kyaa thaa raat huee sab soo gaye taqreeban raat ke 12.00 ke waqt hum 5 dost uthe aur jaise taise baagh mien pahoonch gaye khoob aam toore khoob aam toore itnien aam tore ke naa poochien jaate waqt hum sab ek boori bhi saath le gaye the ab aam toornien ke baad kuch aam boori mien daale aur laut aaye phir kuch doori per hi aam khaaye aur ghuthliyoon ko taalaab mien daal diyaa aur so gaye :) subeh jab so ker uthe saare gaon mien koohraam machaa thaa ke aam kissnien tooore such poochien khoob mazaayaa aayaa :lol :lol :lol :lol aisi hi bahoot si sharaatien hum nien ki hain lekin sab bachpan mien ab nahin ker paate ab to humaare bachchey ker tey hain aur hum dekhte reh jaate hain
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #21
              Re: kia shararat karni chaye ????

              lol khurram_shaik....ye sahih kiya aap sab ney yani key jab ghee seedhi ungli sey na nikley to ungli ko terha kerna hi perhta hai
              lucky you key bach bhi gaye
              Originally posted by khurram_shaik
              ... si sharaatien hum nien ki hain lekin sab bachpan mien ab nahin ker paate ab to humaare bachchey ker tey hain aur hum dekhte reh jaate hain
              :lol
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: kia shararat karni chaye ????

                Originally posted by khurram_shaikh
                Assalaam o alekum,



                bhai waah kyaa baat hai spy bahoot achchi shararatien ki aapnien :lol aisi hi kuch sharaaratien humnien bhi ki hain bachpan mien ek aisa hi qissa main bhi sunaataa hun ,


                garmiyoon kaa season thaa chhuttiyaan manaanien hum gaon gaye the aap sab jaantien hoongey garmiyoon mien aam phalte hai to gaon mien ek aam kaa baagh thaa khooob baraa jissmien kam az kam 200 drakht rahe hoongey ab aam dekh ker humaaraa dil kiyaa ke kachche aam khaaye jaayien jab uss baagh ke rekhwaale se aam ke liye kaha to ussnien saaf inqaar kerdiyaa ke nahin aam nahin mil sakte humnien bahoot request ki ke bhai hum shehri hain kuch aam de doogey to tumhaaraa kyaa jaayegaa lekin woh nahin maanaa hum binaa aam ke hi laut aaye :( phir shaam hum hum chand dostoon nien plan banaayaa ke aaj raat isski baagh hi khaali ker dein gey naa rahegaa aam naa rahegi aam ki khwaahish bass phir kyaa thaa raat huee sab soo gaye taqreeban raat ke 12.00 ke waqt hum 5 dost uthe aur jaise taise baagh mien pahoonch gaye khoob aam toore khoob aam toore itnien aam tore ke naa poochien jaate waqt hum sab ek boori bhi saath le gaye the ab aam toornien ke baad kuch aam boori mien daale aur laut aaye phir kuch doori per hi aam khaaye aur ghuthliyoon ko taalaab mien daal diyaa aur so gaye :) subeh jab so ker uthe saare gaon mien koohraam machaa thaa ke aam kissnien tooore such poochien khoob mazaayaa aayaa :lol :lol :lol :lol aisi hi bahoot si sharaatien hum nien ki hain lekin sab bachpan mien ab nahin ker paate ab to humaare bachchey ker tey hain aur hum dekhte reh jaate hain

                hmmm to gaoun kay sarey aam kay bhagaat aap khali kar jaya kartay they :hathora isi leye to nani key leeye kuch bacha nahi :donno:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #23
                  Re: kia shararat karni chaye ????

                  Asslam O Alaikum,
                  Har insaan kai andar kahin na kahin aik bazurg aur aik bacha hota hai :) aur shararat kye bagher to zindagi , zindagi nahi jahan tak mera khayal hai per depend kerta hai kab tak aik insaan shararatein hee kerta rahey aur kab budha ho jaye :) ..!! Aur haan baqee rahee baat achi buri ki to merey khayal sai dil azari na ho bas yehi aik koshish honi chayeh baqee shararat to mausoom hoti hai achi buri nahi :) khush rahyeh
                  Waslam

                  Comment

                  Working...
                  X