Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Islam ki Dawat ??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Islam ki Dawat ??

    Asslamo Alikum
    Aik special se mozo ke sath hazir hua hoN again :salam:
    Agar kisi non muslim ko dawt-e-islam deni ho ......to phir baat kahan se aur kese shoro karni chahye ??
    Mujey aik Christian ko Islam ki dawat deni hay InshAllah aur main ne pukhta azam kar rakha hay :) ??
    Allah

  • #2
    Re: Islam ki Dawat ??

    Mashallah kaafi naik khayal hai aap ka........:)
    Allah aap ke irade ko kamyaab kare...aur aap ko naik ajer de...(aameen)
    apna mashwarah kuch waqt baad deinge...
    khush rahiye daani bhai..:rose

    Comment

    • #3
      Re: Islam ki Dawat ??

      G ummid intezar karta hoN :)
      Allah

      Comment

      • #4
        Re: Islam ki Dawat ??

        Alfaaz ki jaga apney Amaal sey us ko Islam ka message dein
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Islam ki Dawat ??

          Islam jaisa pakeeza mazhab kaheen b nahi.....yeh aap janty hain...bus yehi sy shoro ker dain.....unain apny NABI AKRAM SAWWkee batian ...samjain aur khudh b amal ker k dekhain....

          Comment

          • #6
            Re: Islam ki Dawat ??

            aap key jowab key liya , Dr Zakir Nayak ka jowab bohat hi sahee hay
            is ka source www.irf.net
            Last edited by tauruskhan; 26 August 2006, 15:22.
            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

            Comment

            • #7
              Re: Islam ki Dawat ??

              Originally posted by barg.e.gul View Post
              Alfaaz ki jaga apney Amaal sey us ko Islam ka message dein
              ji bilkul gul ji aap ney sahi kaha k alfaz ki bajaey apnay Amal se usey dawat dee jaey , lekin amaal k saath lafzon ki bhi zarurat perty hai .beherhaal.........hamara mazhab mukammal aur jaamea mazhab hai,jis mein zindagi k her pehloo ko roshan aur ujagar kiya gaya hay .. so jab mukammal taur per hum us per amal karein gay apna her amal , apna tarz-e-zindagi , apna rawayya , sab usee k mutabiq hoga to believe me k itni attraction hai hamaray religion mein k gher mazhab k log jaan-na chahtay hain is mazhab k baaray mein ....khojna chahtay hain ..aur jab jaan jaatay hain to phir unhein andaza hota hay k ye raasta ye Mazhab sahee simt lay jata hay ..isee raastay mein aafiyat hai ....
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Islam ki Dawat ??

                thanx for all ur comments :slam:
                Allah

                Comment

                • #9
                  Re: Islam ki Dawat ??

                  Originally posted by barg.e.gul View Post
                  Alfaaz ki jaga apney Amaal sey us ko Islam ka message dein
                  Daawaa ya Dawaat ke liye aamal se ziada alfaaz ki zaroorat he, you have to logically convince non-muslim :) Aap achay kaam karein koi gair muslim aap ko dekh ke muslim nahi ho ga, jub tak aap usay Daawat nahi dein ge unhein islam aur un ke mazhab ka comparison ker ke sahi aur ghalat nahi bataein ge :)

                  Yaaram bhai, ager aap loogon ne Gair-muslim ko daawat-e-islam deni he to sub se pehlay unhein un baaton per agree keejiye jo islam mein aur un ke mazhab mein yaksaan hein...jese ke Esai mazhab mein Sharaab haram he, Pork haram he, Blood haram he, hamaray islam mein bhi haraam he...ager aap in cheezon pe convince ker lete hein phir aahista aahista aagay berhiye aur jo cheezein common he unhein Quran ke reference se unhein bataiye. Don't expect the sudden change, try to convince them gradually and in parts.

                  Aap Dr. Zakir Naik ke lecture perhiye, Islam and Christiantiy, pehlay unhein similarities bataiye, phir differences bataiye, but you have to be very much careful while quoting the reference, its a delicate matter. You must be sure what you are saying is cent percent correct.

                  Sub se pehlay unhein Khuda ki wahdaniyat ke baray mein bataiye. Unhein bataiye ke un ki kitaab bible is not the word of God, Toora't Allah ki kitaab thi, lekin wo aik limited time-period ke liye thi. Wo Bani-israel ke liye thi, jub ke Quraan Puri insaaniyat ke liye tha. Bible ke beesiyoon baar revised hui, lekin Quraan ka aik aik haraf apni jagah salamat he, aur ta'kayamat koi bhi is mein rad-o-badal nahi ker sakta. Unhein bataiye ke Bible mein aik jagah pe bhi Harzat Esa ne apne aap ko Khuda nahi kaha. Bulke unhoon ne yeh kaha ke wo jo bhi kerte hein Allah ki merzi se kerte hein...

                  Bohat si baatein hein, aap pehlay basics se start keejiye, is ke saath mein apne aap ko update bhi keejiye aur apne Christian doost ko Dawaat dijiye. You know hum loogon per Dawat lazim he. Kyoon ke aakhirat mein jub Gair-musalmanon se sawaal kiya jaye ga to wo yeh kahein ge ke "Ya Khuda mein to na samaj tha lekin mere aas paas musalman thay, mujay hakeekat se kisi ne aashna nahi kerwaya". Wish you best of luck in this nobel cause.
                  Last edited by Mr. Sialkoty; 31 August 2006, 06:49.
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Islam ki Dawat ??

                    Aamir bhai aap ke jawab se dil ko taskeen hoi aur ilm main mazeed izafa bhi hua InshAllah i will handel all this :) main abhi yeh kaam shoro nahi karoN ga :) pehle main apne aap ko thora cover karoN ga..jab mera knowledge is qabil ho ga ke main kisi bhi baat ka jawab de sakoN to ......InshAllah tala main us ko dawat de doN ga
                    aur yeh hum sab per farz bhi hay :) aap logoN se bhi guzarish hay ke jab bhi koi gher muslim mile to use Dawat zaroor dejye :) aur use convince zaroor kejye aage man'na ya na man'na un ka kaam hay :)
                    Thanx :hug:
                    Allah

                    Comment

                    • #11
                      Re: Islam ki Dawat ??

                      Originally posted by Yaaram View Post

                      mention not dear

                      be blessed :)
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Islam ki Dawat ??

                        Originally posted by munda_sialkoty View Post
                        Daawaa ya Dawaat ke liye aamal se ziada alfaaz ki zaroorat he, you have to logically convince non-muslim :) Aap achay kaam karein koi gair muslim aap ko dekh ke muslim nahi ho ga, jub tak aap usay Daawat nahi dein ge unhein islam aur un ke mazhab ka comparison ker ke sahi aur ghalat nahi bataein ge :)

                        Yaaram bhai, ager aap loogon ne Gair-muslim ko daawat-e-islam deni he to sub se pehlay unhein un baaton per agree keejiye jo islam mein aur un ke mazhab mein yaksaan hein...jese ke Esai mazhab mein Sharaab haram he, Pork haram he, Blood haram he, hamaray islam mein bhi haraam he...ager aap in cheezon pe convince ker lete hein phir aahista aahista aagay berhiye aur jo cheezein common he unhein Quran ke reference se unhein bataiye. Don't expect the sudden change, try to convince them gradually and in parts.

                        Aap Dr. Zakir Naik ke lecture perhiye, Islam and Christiantiy, pehlay unhein similarities bataiye, phir differences bataiye, but you have to be very much careful while quoting the reference, its a delicate matter. You must be sure what you are saying is cent percent correct.

                        Sub se pehlay unhein Khuda ki wahdaniyat ke baray mein bataiye. Unhein bataiye ke un ki kitaab bible is not the word of God, Toora't Allah ki kitaab thi, lekin wo aik limited time-period ke liye thi. Wo Bani-israel ke liye thi, jub ke Quraan Puri insaaniyat ke liye tha. Bible ke beesiyoon baar revised hui, lekin Quraan ka aik aik haraf apni jagah salamat he, aur ta'kayamat koi bhi is mein rad-o-badal nahi ker sakta. Unhein bataiye ke Bible mein aik jagah pe bhi Harzat Esa ne apne aap ko Khuda nahi kaha. Bulke unhoon ne yeh kaha ke wo jo bhi kerte hein Allah ki merzi se kerte hein...

                        Bohat si baatein hein, aap pehlay basics se start keejiye, is ke saath mein apne aap ko update bhi keejiye aur apne Christian doost ko Dawaat dijiye. You know hum loogon per Dawat lazim he. Kyoon ke aakhirat mein jub Gair-musalmanon se sawaal kiya jaye ga to wo yeh kahein ge ke "Ya Khuda mein to na samaj tha lekin mere aas paas musalman thay, mujay hakeekat se kisi ne aashna nahi kerwaya". Wish you best of luck in this nobel cause.
                        bohat hoob munda ji
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment

                        • #13
                          Re: Islam ki Dawat ??

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          bohat hoob munda ji
                          Thank you abid bhai :rose
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Islam ki Dawat ??

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            ager aap loogon ne Gair-muslim ko daawat-e-islam deni he to sub se pehlay unhein un baaton per agree keejiye jo islam mein aur un ke mazhab mein yaksaan hein...
                            lekan yeh humaye kesay pata chalna hai un kay mazhab main kia kia cheezian shamil hian ?:mm:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: Islam ki Dawat ??

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Daawaa ya Dawaat ke liye aamal se ziada alfaaz ki zaroorat he, you have to logically convince non-muslim :) Aap achay kaam karein koi gair muslim aap ko dekh ke muslim nahi ho ga, jub tak aap usay Daawat nahi dein ge unhein islam aur un ke mazhab ka comparison ker ke sahi aur ghalat nahi bataein ge :)

                              Yaaram bhai, ager aap loogon ne Gair-muslim ko daawat-e-islam deni he to sub se pehlay unhein un baaton per agree keejiye jo islam mein aur un ke mazhab mein yaksaan hein...jese ke Esai mazhab mein Sharaab haram he, Pork haram he, Blood haram he, hamaray islam mein bhi haraam he...ager aap in cheezon pe convince ker lete hein phir aahista aahista aagay berhiye aur jo cheezein common he unhein Quran ke reference se unhein bataiye. Don't expect the sudden change, try to convince them gradually and in parts.

                              Aap Dr. Zakir Naik ke lecture perhiye, Islam and Christiantiy, pehlay unhein similarities bataiye, phir differences bataiye, but you have to be very much careful while quoting the reference, its a delicate matter. You must be sure what you are saying is cent percent correct.

                              Sub se pehlay unhein Khuda ki wahdaniyat ke baray mein bataiye. Unhein bataiye ke un ki kitaab bible is not the word of God, Toora't Allah ki kitaab thi, lekin wo aik limited time-period ke liye thi. Wo Bani-israel ke liye thi, jub ke Quraan Puri insaaniyat ke liye tha. Bible ke beesiyoon baar revised hui, lekin Quraan ka aik aik haraf apni jagah salamat he, aur ta'kayamat koi bhi is mein rad-o-badal nahi ker sakta. Unhein bataiye ke Bible mein aik jagah pe bhi Harzat Esa ne apne aap ko Khuda nahi kaha. Bulke unhoon ne yeh kaha ke wo jo bhi kerte hein Allah ki merzi se kerte hein...

                              Bohat si baatein hein, aap pehlay basics se start keejiye, is ke saath mein apne aap ko update bhi keejiye aur apne Christian doost ko Dawaat dijiye. You know hum loogon per Dawat lazim he. Kyoon ke aakhirat mein jub Gair-musalmanon se sawaal kiya jaye ga to wo yeh kahein ge ke "Ya Khuda mein to na samaj tha lekin mere aas paas musalman thay, mujay hakeekat se kisi ne aashna nahi kerwaya". Wish you best of luck in this nobel cause.
                              :clap: :rose

                              Comment

                              Working...
                              X