Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lamha-e-Fikriya: Open Letter To ARY DIGITAL

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Open Letter To ARY DIGITAL

    mei yeh sarey channels nahi dekhti ....phely GEO dekha kerti thi jsi per Aalim online, rishtey aur cokking prog mere fav they ........ dramas to intihayi bakwas they .. magar 6 mah pehley kuch intihayi behooda dramas shuroo ker diyeh geo ne bhi to me ne wo band kerwa diya ..... mei mature hoon magar meri sis achi choti hain ..... so i didnt want my younger sis to follow at that rabbish thinking its out culture.......

    PTV per mer mama papa bas news dekhtey hain ous ke ilawa fursat nahi hoti dekhney ki . meri bechari sis jabkabhi on kerti hain kuch barey bazurz log kuch behas-o-mubahisa ker rahey hotey hain to ounhon ne ous ka naam budho ka channel rakh diya hai is tarah yeh bechara bhi nahi dekha jata ....... :lpop:

    aur ARY to yahan aata hi nahi :rose
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: Open Letter To ARY DIGITAL

      Originally posted by Me Here View Post
      wow zabar10 Masood bhai!:clap:
      i m impressed.......!
      apne buhaaat accha likhaa hai
      although main TV nahi dekhti per i know k wahaan kiya kiya hoota hai.....chalte phirte ya khaaney k doran ager TV on ho to dekh ker afsoos hoota hai......
      jab se GEO ne GEO NEWS n GEO ENTERTAINMENT k channels alag kiye hain tab se to herat hai k GEO to bilkul bhi family channal nahi rahaa......
      or yahi haal ARY ka bhi hai.....channels fahaashi ki dourr mai aagey nikalne ko hi apni kaamyaabi samajhte hain
      SHAME ON US
      humin is tarah k channels ko bann kerwana chahiye per hum bhi aise hi cheezin dekhna pasand kerte hain to........phir abb bann kon kary ga...?
      Masla yeh hai keh hamarey mulk mein kisi baat key liye koi qanoon nahin, agra hota hai to uss per amal nahin kiya jata. Aik islami mulk mein aisi baton per jabran amal karwana chahiye hakoomaton ko. Ab dekhein main Dk mein rehta hoon, yahan per CABLE LAW aisa hai keh koi aisa channel nahin dikhaya jaa sakta ho hakoomat sey tasdeeq shudah nahin, aur jo channel open cable per hain, un per ikhlaaq'soz batein aik makhsoos waqt key baad dikhaii jati hain, yeh elag baat hai keh hamarey liye waisey hi har baat inki ikhlaaq soz lagti hai - magar kam az kam qanoon to hai jiska paas kiya jata hai....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #18
        Re: Open Letter To ARY DIGITAL

        Originally posted by Sweet & Sour View Post
        mei yeh sarey channels nahi dekhti ....phely GEO dekha kerti thi jsi per Aalim online, rishtey aur cokking prog mere fav they ........ dramas to intihayi bakwas they .. magar 6 mah pehley kuch intihayi behooda dramas shuroo ker diyeh geo ne bhi to me ne wo band kerwa diya ..... mei mature hoon magar meri sis achi choti hain ..... so i didnt want my younger sis to follow at that rabbish thinking its out culture.......

        PTV per mer mama papa bas news dekhtey hain ous ke ilawa fursat nahi hoti dekhney ki . meri bechari sis jabkabhi on kerti hain kuch barey bazurz log kuch behas-o-mubahisa ker rahey hotey hain to ounhon ne ous ka naam budho ka channel rakh diya hai is tarah yeh bechara bhi nahi dekha jata ....... :lpop:

        aur ARY to yahan aata hi nahi :rose
        Aalim online main ney Pakistan mein dekha tha aur mujjey bohat achha laga tha, main ney aik program mein call bhi ki thi. Lekin aaj kal to GEO bhi fuhashi ki janib ley janey wala channel banta jaa raha hai. ARY per dramas bohat umdah they inki coverage bohat achhi thi magar jab sey yeh compition aam huwa hai keh pak-bharat dosti aam ho to us waqt sey uryaani apna rang dikhaa rahi hai...

        Main TV bohat kam dekhta hoon agar kuchh dekhta hoon to Dr. Shahid Masood key programs ya kuchh Islamic behas waley programs... aur dramas sey to koi shoq raha hi nahin, is uryani ki wajah sey...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #19
          Re: Open Letter To ARY DIGITAL

          ARY , FTV , PTV, M4U , kis kis ka zikr kareiNge aap ham, in chaneloN ko dekh kar lagta hi nahi ke ye kisi musalman mulk ke channel haiN. ISLAMI JAMHOORI E PAKISTAN.

          waaye nakaami mataaye karwaaN jaata rahaa
          karwaaN ke dil se ehsaas e ziyaaN jaata rahaa

          bas aik hi channel kaafi tha barbaad gulistaaN hone ko
          har samt numaish jismoN ki, anjaam e gulistaN kia hoga

          khuda ne aaj tak us qaum ki halat nahi badli
          na ho jisko khyaal aap apni halat ke badalne ka

          :jazak:

          Comment


          • #20
            Re: Open Letter To ARY DIGITAL

            hmmm good

            geo wale b aise hi karhe hain

            sub drame aise hi hogaye hain

            aur waise u ine ghor ghor k dekhte ku ho x-(

            metu sports dekhta hon :D

            Comment


            • #21
              Re: Open Letter To ARY DIGITAL

              Originally posted by Aanchal View Post
              poora channel band karwanay ki kia zarorat hai larki :D ...jo cheezian sahi nahi hain sirf un pay control kia jaye ....
              :kr: news k ilawa kuch b sahee nahii na ise liye.....yes discussion corners b acche hoote hain:lpop:

              Comment


              • #22
                Re: Open Letter To ARY DIGITAL

                Originally posted by Masood View Post
                Masla yeh hai keh hamarey mulk mein kisi baat key liye koi qanoon nahin, agra hota hai to uss per amal nahin kiya jata. Aik islami mulk mein aisi baton per jabran amal karwana chahiye hakoomaton ko. Ab dekhein main Dk mein rehta hoon, yahan per CABLE LAW aisa hai keh koi aisa channel nahin dikhaya jaa sakta ho hakoomat sey tasdeeq shudah nahin, aur jo channel open cable per hain, un per ikhlaaq'soz batein aik makhsoos waqt key baad dikhaii jati hain, yeh elag baat hai keh hamarey liye waisey hi har baat inki ikhlaaq soz lagti hai - magar kam az kam qanoon to hai jiska paas kiya jata hai....

                i agree wid u here
                laws hain per books ki hadd tak qaid.......
                or un books ko kholna koi pasand nahi kerta to laws hooney k bawajood hum law-less loog hain.........per ye nizaam kab sudhrey ga.....?
                main ye ques next generation k liye nahi choorna chahti....:)

                Comment

                Working...
                X