Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

    Assalam-o-Alikum Pegham.com!:salam:


    ALLAH TALLA ap sab ko apni nighibaani mai rakhe AMEEN!

    Members.......2 days k baad 14th of August hai:)
    or surely hamarey liye ik aham din hai:)
    ap logon ka khiyal hai k humin 14th of August kis tarah se celebrate kerna chahiye?
    jis tarah k hum her saal celebrate kerte hain kiya ye tareeqa mozoo hai? ya humin is mai changes laaney chahiyein

    apkey comments buhat ahaam hoon ge


    (i may not b there 4 sometime but carry on ur discussions wid more passion :) )
    KHUSH RAHIYYE
    WASALAM
    Me Here

  • #2
    Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

    walaikum salam barish,
    13 views and not a single reply :O

    14 Aug. ko kaisey celebrate kerna chahiye?

    Most Imp. thing du'a
    key hum is ki hifazat ker sakein-
    kyoon key is din ko hasil kerney key liye un azeem logon ney apney akhri khoon ka qatra bahaaney tak ka azm kiya tha
    ab is ki hifazat hum per farz hai

    secondly liaqat Ali khan ney Pakistan banan ney per kaha tha key
    "Pakistan hamari tajarba gah ho ga aur hum dunya ko ye deykha dein gey key choda so saal pehley waley assool ab bhi zinda hein"

    to hamein pakistan ki ideology ko yaad rakhna chahiye...alfaaz mey bhi aur amaal mey bhi

    --Aaj 14 aug. hamein is tarhan celebrate kerna chahiye key hamari electronic aur print media lebanon aur Palestine ko support karey aur sirf nation unity ki nahi balkey poori Muslim Ummah ki unity ki baat karey---

    plus

    kids ko khas ker un ko jinhon ney kabhi Pakistan deykha hi nahi ....un ko apney roots key baarey mey batana chahiye so that they know where they belong from

    voila merey views

    jiyo Pakistan
    ----
    aur Aanchal ki tarhan achi si aik family gathering bhi rakhni chahiye :D
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

      Pakistan Zinda Abad
      :salam: :salam: :salam: :salam:

      Comment


      • #4
        Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

        Adaab!!!
        Me here bohat umdah topic k saath haazir huey hain aap , khasay dino baad mubahisay mein ..
        thanks
        Ab aatay hain aap k sawal ki taraf k 14th August kaisay manana chahieey ,
        To Bazahir dekha jaey to to hum khushyan manatay hain , gali mohallay imaraton per parcham lehratay hain , aur Pakistan Zinda baad k naaray buland karein gay......
        yehee hota hay Her saal is ek din Aur us k baad bhool jatay hain hum sab kuch aur phir se wohee rawish hoty hai hamare ........laraeey ,fasaad ......
        Kia yun parcham lehra denay aur naaray buland kar denay se is din ki Azmat ka haq ada ho jata hai........????
        Zara muhasiba karein hum apna ,k kia yehee sab kuch kerna bohat hai....................k ek taraf apnay behan bhaeeyon ki ezaa rasani kerein hum , kaheen sucide bombing to kahein strikes , aur doosree taraf "hum azaad hain k naray bulnad karein ".......musalmaan ki Misaal Rasool Paak SAW ney jism se tashbeeh detay farmaya k "jism k ek hissay mein takleef ho to us ka asar saray jism per perta hai"
        To phir ye hum kis kisam ka jashn manatay hain hum k jab hamaray musalman bhaeey behno ki sarzameen per jang-o-jadal ka mausam hai.....un k gharon imaraton ko musmar kiya ja raha hai....
        Hamara sab se bara almiya hee ye hai k ye GHAR YE WATAN hamein bana banaya mil gaya, hamein khud se apni jaan per koi takleef nahin uthhani paree ,so hum baythh k sirf yahan k system ko gaaliyan de saktay hain ...us k sudhaar mein koi contribution nahin ker saktay .........Buray ko bura keh k peechay hatt jana bhi ek buraeey hee hai ...Abhi hamein 20 days huey pakistan se aaey , bohat se logon k munh se humnay suna k is mulk ney hamein diya hee kya hai ???
        to hamein hayrat huey sun k aur afsos bhi , humney un se ye sawal kiya k ager socha jaaey to humney is mulk ko kia diya hai....Khoon kharabay , munafiqat, dehshat gerdi ,......:)

        to mere nazar mein to sab se pehlay her 14th august ko Apna ehtasab kerna chahieey k last year hum kia thay aur ek saal mein kia haasil kiya ...????
        Us k baad jahan tak apni base per hum kuch achha ker saktay hon kisi buraeey ka khatma ker saktay hon to usey kerna chahieey ...
        Pakistan ki Saalmiyat k lieey duaa kerni chahieey ....
        Aur khud se ye ehad bhi k is taraqee mein apna hissa apna eham kirdar ada karein gay.....
        Allah Pakistan ko Salamat rakhay, ye sarzameen hamaray buzurgon ki qurbani ki gawah hai , ye sarzameen hamara maan hai ...Allah isey Apni Amaan mein rakhay aur hamein is ki hifazat kernay ki taufeeq ata farmaey ....:dua
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

          kuch nahi just enjoy

          Comment


          • #6
            Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

            Mujhey yaad hai keh jab ham Pakistan mein they to aik Eid ka sa samaan huwa karta tha, subah subah uth ker jhandiyaan lagana, parcham lehrana aur doston key saath sara din shehar mein ghoomna....

            Magar DK mein aa ker siraf TV per program hi dekehy jatey hain, yahan per 14. august per Town Hall mein aik maila lagta hai magar wahan per koi khaas josh nahin hota, bas log miltey hain tarha tarha ki taqreerein suntye han aur ghar chaley jatey hain.

            Yun lagta hai keh goya kisi ko celebrate karney ka patah nahin...Mera khiyaal hai ke yahan DK mein rehney waley pakistaniyon ke us din aik sa libaas pehnena chahiye - jis mein mardon ko safed pents aur green blazers aur larkiyon ko safed shalwaar aur green qameez - aur sabhi town hall mein jama ho ker watan key geet gaein, stall lagein pakistani khano key waghera waghera. that will be fun...

            Otherwise nothing special right now :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

              jashan-e-azaadii zaror celebrate karna chaye ....green or white combination kay drees pehnain, ghar main party day apbay friends/relatives ko ....bahir ghoumnay jaian ...apnay dress pay pakistani flag kay bages lagain ...apnay mulk kay leye dua karain ...bachoun ko is din kay baray main bataian ...or unhay bhi green/white color kay dress pehnaian or un kay hathoo main jahnday daian ....ballon daian unhay green n white color kay .....:D: ....
              jab jashan-e-azaadi khutem hoo jaye to jhandian aram say utaar laian paoon kay neachay na ati rehain :rose
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Mubahisa: 14th August Kese Celebrate Karin....?

                ap sab k comments ka buhaaat sa thx:)
                main kuch additions kerna chahoon gi

                14th Aug........ko hamari country mai jis tarah se celebrations hooti hain wo me ko nahi pasand
                mujhe ik baat samajh nahii aati k young boys jis tarah se act kerte hain wo is sab se aakhir saabit kiya kerna chahte hain???
                motor bikes k sylencers nikaal ker + ganda sa ik get up ker ke?????

                Masood BHai or Aanchal sis ne get up ki baat ki:)
                buhaat khoobsorat getup bataya ap logoon ne

                per yahaan to boys ka get-up ajeeb sa hi hoota hai????
                sleeveless shirts........ya phir even widout shirts???
                sir per red colour k scarfs????

                mujhe hassi bhi aati hai or dukh bhi hootA HAI K aakhir ye sab q????
                hum azaadi patakhey baja ker q celebrate kerte hain????????

                or bhi buhat kuch detail se discuss kerne wala hai
                catching u later
                ap sab k replies per INSHALLAH seprately comments doon gi:)

                Comment

                Working...
                X